Sazaye ishq. سزائے عشق Comp...

By frozenRose3112

159K 10.3K 11.6K

Sazaye ishq 1 ( completed✔️) Sazaye ishq 2 ( completed)✔️) Sazaye ishq ,jazaaye shabaab hasti asst Nigaar e... More

Chapter 1
Chapter 2
Chapter 3
Chapter 4
Mateen chapter 5
Aayat. Chapter 6
Mateen : chapter 7
Aayat chapter 8
Chapter 9
Chapter 10
Chapter 11
Chapter 12
Chapter 13
Chapter 14
Chapter 15
Chapter 16
Chapter 17
Chapter 18
Chapter 19
Chapter 20
Chapter 21
Chapter 22
Chapter 23
Chapter 24
Chapter 25
Sazaye ishq Trailer
Chapter 26
Chapter 27
Chapter 28
Chapter 29
Chapter 30
Chapter 31
Chapter 32
Sazaye ishq 2
Book 2❤️Chapter 1
Book 2❤️Chapter 2
Book 2❤️chapter 3
Book 2 chapter 4
Book 2 chapter 5
Book 2 , Chapter 6
Book 2 , Chapter 7
Book 2, Chapter 8
Book 2 , chapter 9
Book 2 , chapter 10
Book 2 , chapter 11
Book 2 , Chapter 12
Book 2 , chapter 13
book 2 chapter 14
Book 2 chapter 15
Book 2 chap 16
Book 2 chap 17
Book 2 , chap 18
Book2 :Chapter 19
Book 2 ❤️chapter 21
Book 2 : chapter 22
Book 2 chap 23
Book 2 Chapter 24
Book 2 chap 25
Book 2 chapter 26
Book 2 chapter 27
Book 2 chapter 28
Book 2 : chapter 29
Book 2 chapter 30
Book : chap 31
Book 2 chapter 32
Book 2 chapter 33
Book 2 : chapter 34
Book 2 : chapter 35
Book 2 : chapter 36
Book 2 : chapter 37
Book 2: chapter 38
Book 2 : chapter 39
Book 2 : chapter 40
Book 2 : chapter 41
Book 2: chapter 42
Book 2 : chapter 43
Book 2 : chapter 44 (last chapter)
Epilogue
Moomal

Book 2: chapter 20

1.5K 101 34
By frozenRose3112

Book 2 chap 20

Not edited




karun na yaad magar kis tarah bhulaun use

ghazal bahana karun aur gungunaun use

wo KHar KHar hai shaKH-e-gulab ki manind

main zaKHm zaKHm hun phir bhi gale lagaun use

jo ham-safar sar-e-manzil bichhaD raha hai 'faraaz'

ajab nahin hai agar yaad bhi na aaun use

                         💞💞💞💞💞💞💞AHMED FARAZ💞💞💞💞💞💞💞

" Poochhnna thora ajeeb lag raha hai par...kya kal raat Aayat ne kuchh.... mera matlab hai.. Aayat... kya wo normal thi..?. ."  Jo sawaal wo poochhna chaahta tha wo is se thora zyada aasaan tha samjhnay main.

Mateen ne chonk ke uski tarf dekha jis par Zoyan apnay sawaal par sharminda honay laga.

Usnay sharmida muskaan ke saath maazratan Mateen ki taraf dekha , par phir saamnay tv ki taraf gardan ghuma di. Wo dil main apni be waqoofi pe khud ko kosnay laga.  Ye kesa atpata sawaal tha..            

" chhoro bhool jao maine ye bakwaas ki bhi thi.."

" utni hi normal thi,  jitna Aayat ki jagah koyi bhi ho sakta hai.." Mateen saada lehjay main bola.

Abkay Zoyan ne chonk kar uski taraf dekha.

Mateen ki nazrain hunooz Tv screen par jamien huwien thien aur honton par ek ajeeb muskurahat. Uskay jawaab aur taasuraat se Zoyan ko kuchh kuchh andaza ho raha  tha ke kal raat Aayat ne Mateen ke saath kis tarhaan ka bartaao kiya hoga. 

Usay In dono ke liye bohat bura mehsoos ho raha tha. Ek taraf wo aur Zarish thay , jo ek doosray ko paakay dunya haasil kar lenay jesi khushi mehsoos kar rahay thay. Aur doosri tarf Mateen aur Aayat, jo ek bandhan main bandh kar bhi ek doosray se aasmaan o zameen jitnay door thay.

" kal raat Zarish , Aayat bhabhi ke liye bohat pareshan thi. Usay dar tha ke unhain phir se depression Ka dora na par jaaye.. aur agar main ghalat nahien hoon to kal raat wahi huwa tha.... haina Mateen..." 

" uskay Abu ko kya huwa tha Zoyan..?" Mateen ne Zoyan ke sawaal ko nazar andaaz kartay achaanak poochha.

Usay Aayat ke kal raat ke ilzaamat yaad aaye thay. Jo poori raat uskay dimaag main goonjtay rahay thay. Par ek baar bhi wo inkay jawaab dhoond nahien paaya tha.

Zoyan ko ye baat Zarish se pata chali thi ke unkay baba ki wafaat ki wajah heart Attack tha jo unhain Aayat ke baaray main sunnay ke baad huwa tha.  Usay to laga tha ke Mateen ko iskay mutalliq pehlay se ilm hoga. Par Mateen to is se bilkul la ilm hai.

"unkay waalid heart patient thay , aur.." Zoyan ye kehtay kehtay ruka , wo faisla nahien kar paa raha tha ke Mateen ko ye baat bataaye ya nahien , kyunaky wo achhi tarhaan se jaanta tha ke Mateen pehlay se hi Aayat ko lekar pachtaaway ki aag main jal raha hai , aur ab ye sachaayi batanay ka matlab hai us aag main aur tail daalna.

" aur kya Zoyan..? , tum ruk kyun gaye..?" Mateen ka dil jaan chuka tha ke Zoyan kya kehnay se ruk gaya hai , par dil main ab bhi ek aas thi ke ye uski ghalat fehmi bhi ho sakti hai.

Par wo apnay naseeb ko bhi jaanta tha ke abhi kuchh aur zakham bhi hain jo uski taqdeer ka hissa banne hain. Phir is baar wo kesay sukoon ki saans le sakta hai.

" Jub unhain Aayat ke saath huway us haadsay ka pata chala to unka dil ye baat bardaasht nahien kar paaya.. aur wo..." Aur is pal usay yun laga jesay kisi ne uskay seenay par ek bhaari bojh rakh diya ho , usay ek dum se shadeed pachtaway ne aa ghera tha. 

sofay par pusht tikaatay huway usnay apni  haath apni paishaani par rakh diya. Aur ek gehri saans li.

Pichhlay kayi moqon par Aayat ke uskay Abu ke liye alfaz usay apnay dimaag main goonjtay sunaayi denay lagay.

Mujhay Abu yaad aa rahay hain...'.

Main apnay Abu se bohat pyar karti hoon.

Tum ne mujhse mera Abu chheen liya Mateen..! main tumhain kabhi muaaf nahien karoon gi....!

Usay ab pata chala tha ke kal raat usnay Mateen se wo sub kyun kaha tha. Wo kyun usay is had tak nafrat karti hai. Uski nazar main Mateen ne us se uska Abu chheen liya hai.. aur kisi had tak ye baat sach bhi hai, Aayat se uskay Abu ke door honay ki wajah Mateen hi hai.

Zoyan ne Mateen ke shaanay par haath rakhtay huway usay hosla denay ki koshish ki ,  par Mateen bina kuchh kahay  ek dum se sofay se utha aur wahan se nikalta huwa apnay kamray main chala aaya.

Is waqt wo sirf tanhaayi chaahta hai , kisi ki hamdardi nahien.

Kamray main daakhil hotay hi usnay apni side table se cigarette aur Lighter nikaala aur bed par beth kar cigarette sulgaaya.

Wo jaanta tha ke Aayat apnay abu se bohat pyar karti hai, jub Dubai main sub larkian apni azaadi ko enjoy kar rahi thien , tab Aayat apnay Abu ko yaad kartay huway aansoo baha rahi thi...

usay ab bhi yaad hai jub usnay Aayat ko park main akelay bethay rotay huway dekha tha. Kitna dar gaya tha wo, kitna taish bhar gaya tha uskay andar is soch ke saath hi ke uskay ronay ki wajah kahien koyi larka to nahien..!.. Par kitna heraan huwa tha wo ye jaan kar ke Aayat apnay Abu ko yaad karkay ro rahi hai.

Magar us waqt wo kahan jaanta tha ke ek din wo khud hi uskay har Aansoo ki wajah banay ga..

Ye sub kyun ho raha hai uskay saath..! Wo kesay itnay saaray gunaahon ke bojh ko seh paaye ga..?

Maazi main Usnay kayi larkion ke dil toray thay , unkay aansuon ka sabab bana tha.  Unhain apni waqt guzaari ke liye istamaal kiya tha, tab uska kehna tha ke usnay to kisi se nahien kaha tha ke wo uskay liye sanjeeda hon.... par jub usay khud ko pyar huwa , usnay usay bhi mukammal barbaad kar diya...

Kya ye uskay gunaahon ki saza hai...?

Shayad haan...!  ye uskay gunaahon ki hi saza hai..!

Nidaamat se ghiri sochon main garq wo ek se zyada cigarette phoonk chuka tha.

kamray ki khirki aur darwaaza bund honay ki wajah se pooray kamray main gaarha dhunaan phail chuka tha. Jub wo apnay aap main khoya huwa tha tab koyi darwaza khol kar andar daakhil huwa , aur uskay saath hi khaansnay ki awaaz bhi aanay lagi.

Mateen ne chonk kar saamnay dekha to usay apnay naak aur moo' n par haath rakhay khaansti Aayat nazar aayi. Aur wo ek dum se cigarette ash tray main masal kar Utha.

" Aayat.." usne Pehlay Aayat ki taraf jana chaaha par phir kuchh yaad aanay par wahan se hata aur kamray ki khirki ki taraf barha, bhaari parday sirka kar usnay khirki ke dono taak khol diye taakay room main phaila dhuaan baahar nikal sakay. Aur phir wapas bed ke qareeb aaya aur wahan table par rakhay paani ke jug se glass main paani bhar kar Aayat ki taraf glass barha diya.

Wo abhi tak shadeed khaans rahi thi. Aur khaansi ki wajah se uski aankhon main bhi paani bhar aaya tha.

" ye lo paani pee lo.." Par Aayat ne uska barhaaya huwa glass apnay haath se door jhatak diya.

" Aayat paani peelo tumhaari khaansi ruk jaaye gi.." Mateen ne usay samjhaatay huway phir se glass uski taraf barhaaya par is baar Aayat ne glass ko is tarhaan paray hataaya ke usmain se aadhay se zyada paani farsh par gir gaya.

" mujhay nahien chaahiye paani... door hato mujh se , meray zyada sagay bannay ki koshish mat karo." Aayat ne bheegi palkon se uski taraf gussay se dekhtay huway kaha. Par is waqt Mateen ko uskay is gussay ki koyi parwaah nahien thi par uski haalat ki thi.

Uska dil  Aayat ko zabadasti paani pilaanay ko chaah raha tha.

" bekaar ki zid chhoro Aayat , main jaanta hoon tum mujh se nafrat karti ho par meri wajah se apnay aap se dushmani nibhaanay ka kya faaida..? ye lo paani peelo , phir main tum se door bhi ho jaaoon ga aur yahan se chala bhi jaaoon ga..." Mateen ne ek baar phir glass main paani bhartay huway uskay aagay barhaaya. Jisay kuchh dair dekhnay ke baad Aayat ne thaam liya aur us se paani peenay lagi. Aur waqayi main paani peenay ke baad uskay galay ko kuchh rahat mili thi. Warna is dhunain se uska halaq tak sulag gaya tha.

Usay paani peetay dekh Mateen ke honton par halki si muskaan phai gayi. wo usay dekhtay huway kuchh qadam peechhay hat gaya.

Uskay qadmon ki awaaz par Aayat ne nigaahaun utha kar uski tarf dekha. Par Mateen tab tak wahan se murta kamray se baahar chala gaya tha.

Mateen ke kamray se bahar jaanay ke baad Aayat ne ek baar pooray kamray main nazrain ghuma kar dekha. Jahan ab bhi dhunain ke halkay Badal mandlaa rahay thay. Aur phir uski nazar side table par rakhi ash tray par gayi jis main teen chaar sulgay  huway cigarette ke tukray  paray thay.

Itnay saaray bujhe cigarette dekh Usay ek dum jhatka sa mehsoos huwa. wo nahien jaanti thi ke Mateen cigarette noshi ka aadi hai. 

Yaqeenan usnay in kuchh saalon main hi cigarette peeni shuroo ki hogi , kyunkay usnay Dubai main pehlay kabhi Mateen ko cigarette peetay nahien dekha tha.

Lekin wo ye bhi kesay bhool sakti hai ke Usnay to Mateen ko pehlay kabhi sharaab peetay bhi nahien dekha tha , par wo bhi to usnay pee thi.

Insaan kitnay munaafiq hotay hain, itnay mukhoton ke peechhay chhupay darinday. Usnay hiqaarat se socha tha. Phir wo apnay bag ki taraf barhi jis main se wo Rida ke liye ek suit nikaalnay ke liye yahan aayi thi. Jo usay yaqeen tha ke Rida ko bohat pasand aaye ga.

************

Saara waqt Aayat ne Zarish aur Rida ke saath guzaara , aur din ko jub lunch ka time huwa to Aayat aur Zarish ke kaafi israar ke baad bhi Fehmida beghum ne unhain ye keh kar kitchen main qadam rakhnay bhi nahien diya ke ye unkay ghar ki rasam hai ke jub tak dulhan ki sataavray ki rasam nahien ho jaati tab tak wo ghar ka koyi kaam nahien karain gi sirf aaraam karain gi.

Pehlay to Aayat aur Zarish ko unka matlab samajh nahien aaya , par phir Fehmida beghum aur Rida ne unhain bataya ke ye ek rasam hai jis main maaikay waalay dulha aur dulhan ko apnay ghar par khaanay par bulaatay hain aur ye bhi ke is se pehlay dulhan apnay maaikay nahien jaa sakti. Ye sun kar Zarish bohat pareshan ho gayi kyunkay wo to aaj hi ghar jaana chaahti thi apni ammi aur bhaai se milnay. Par ab usay is rasam tak ka intzaar karna paray ga.

In sub baaton ke doran Aayat sub kuchh khaamoshi se sun rahi thi. Wo ab bhi Zarish ko nazar andaaz kiye huway thi , aur kayi baar jub Zarish us se mukhaatib hoti to Aayat maamooli sa jawaab de kar apna dhiyaan Rida ki taraf kar deti.

Zarish ko Aayat ka usay yun nazar andaaz karna bohat dil geer kar gaya tha, par wo jaanti thi ke ye uski ghalti ki wajah se hi ho raha hai.

Ye jaantay huway bhi ke unkay abu se jura koyi bhi mozoon uskay liye kitna hassaas hai , Us raat usay Aayat se wo baat nahien karni chaahiye thi. Par wo sub us ne jaan boojh kar nahien kaha tha , Aayat ko Aashir bhaai ke paas jaanay se roknay ki jaldi main wo sub uskay moo'n se nikal gaya tha.

Par ab wo sirf khud ko koss hi sakti thi ke usay apni zabaan pe qaabu rakhna chaahiye tha.

Zarish wahan bethay Aayat ko khud ko nazar andaaz kartay dekh bohat dil bardaashta ho gayi thi aur uski aankhon main nami phailnay lagi. wo Rida se bahana karkay wahan se jaldi se apnay room main chali aayi.

Zoyan apnay room main hi tha apnay cupboard main apni kuchh shirts hang kar raha tha. Zarish ko is tarhaan udaas chehra liye daakhil hotay dekh pareshan ho gaya.aur shirts wahien chhor kar uskay paas chala aaya

" kya huwa Zarish? Tum ro kyun rahi ho..?" Zoyan uskay qareeb aakay bola. Zarish bed ki kinaari par bethi khaamoshi se  aansoo baha rahi thi.

Zoyan ke poochhnay par usnay nafi main sar jhataktay huway apni hatheli ki pusht se aansoo ragar diye.

" ye kya na main gardan hila rahi ho ? main kya naabeen hoon jo tumharay aansoo mujhay nazar nahien aayen ge?! Mujhay batao kyun ro rahi ho..?" Zoyan subha se uskay har baat pe jhoot bolnay ki wajah se pehlay thora sakhti se bola par phir Zarish ke honton se ek siski nikli to usay apni ghalti ka ahsaas huwa aur phir narmi se bola tha. Wo ab Zarish ki taraf chehra kiye bed par beth gaya.

" Aapi mujh se bohat naaraaz hain... aaj subha bhi jub main unhain lenay gayi thi , tab bhi unhon ne mujh se bohat sakhti se baat ki.. Zoyan... pehlay kabhi unhon ne mujh se is tarhaan baat nahien ki aur naa hi kabhi naaraaz huwien hain... par aaj wo..." Batay huway wo be tahasha rona shuroo ho gayi.

Usay Aayat ki naaraazgi bohat takleef de rahi thi. Zoyan ne uskay ansuon se tar chehray ko apnay dono haathon ke pyalay main bhar kar usay apni taraf dekhnay par majboor kar diya.

Zoyan ki aankhon main Zarish ke liye fikar aur hamdardi ke saath saath be panah pyar bhi tha. Jisay dekh kar uski barasti aankhon se do ashk aur beh niklay thay.

" Aayat bhaabhi is waqt apni zindagi ke bohat eham mor se guzar rahi hain.. Khud ko unki jagah rakh ke dekho , kya tum wo sub bardaasht kar sakti ho jo unke saath huwa..? Nahien na..!? Par wo bardaasht kar rahien hain.. aur tum ne hi kaha tha na ke wo paanchh saal se ek aisi zindagi guzaar rahien hain jo ek jahannum se kam nahien hai.. Aur ab ye andaza lagao ke aaj wo us insaan se jurr chuki hain , jo anjaanay main hi sahi par unki is haalat ka zimmay daar hai.... Is waqt wo kis zehni aziyat ka shikaar ho sakti hain , is baat ka hum sirf andaaza laga saktay hain par Aayat wo aziyat seh rahien hain. "

"agar is sub ke baad wo agar thori pathar dil bun gayien to humain is pe heraan nahi hona chaahiye. kyunkay had darja takleef bhi insaan ko kathor bana deti hai , par wo kathor to nahien bani , wo sirf khafaa hain sub se.."

Zoyan ke usay is tarhan samjhane par Zarish ko ab apna dukh bohat maamooli aur be wajah ka mehsoos ho raha tha. Ye sub baatain to usay sochni chaahiyain thien. Par Aayat ki thori naaraazgi se hi wo itni jaldi dil bardaashta ho gayi.

Zarish ne sharmindagi se apni palkain jhuka lien thien.

" ye sub mujhay sochna chaahiye tha.. par mujhsay aapi ki naaraazgi bardaasht nahien hoti.." Zarish bilkul halki awaaz main boli.

Zoyan ne apni maasoom Zarish ko apnay seenay se laga liya.

" Meri Zarish.. tum itni hassaas kyun ho ? ye hassasiyat tumhain takleef ke siwa aur kuchh nahien de gi.. par uskay liye main humaisha tumharay saath rahoon ga tumhain sambhaalnay ke liye. aur wesay bhi is bahaanay bina sharmaaye tum meray seenay se to lagti ho. " Aakhir main Zarish ka mood sahi karnay ke liye Zoyan ne mazak kiya jis par Zarish ne uskay pait par ek mukka raseed kiya. Jo haqeeqat main uskay liye bohat maamooli tha par Zarish ke liye usnay halki si dard bhari aah bhi bhari.

Wo Zarish se bohat pyar karta hai aur aaj agar Zarish uski huwi hai to uski wajah Aayat aur Mateen ka bohat saath bhi hai. Par khud wo dono  apni khushion se ab bhi bohat door hain. aur in dono ko unki manzil tak pohanchaanay ke liye usay jo kuchh karna paray wo  Zaroor karay ga.

Par shurooaat kahan se karay , aur kesay...?..

💞💞💞💞💞💞💞💞💞

Salaam sazaye ishqiyans :)

Aaj ka chapter main sub se favourite dialogue konsa laga? Zaroor share karain ☺️

Next update aglay Saturday ko hogi insha Allah

Continue Reading

You'll Also Like

29.5K 1.1K 21
Ranked1#in halal Ranked 1# in urdu اب اصل اردو میں بھی Kisi larki ki zindagi main sub se ahem din konsa hota hai..? Jub uska nikaah hota hai , jub wo...
136K 7.5K 46
A journey of Two people who were broken. Ahil Raza & Hoorain Ahmad Kabhi kabhi humara guzra hua kal humare ane wale kal ko bhi khaa jata he. Hume...