Sazaye ishq. سزائے عشق Comp...

By frozenRose3112

158K 10.2K 11.6K

Sazaye ishq 1 ( completed✔️) Sazaye ishq 2 ( completed)✔️) Sazaye ishq ,jazaaye shabaab hasti asst Nigaar e... More

Chapter 1
Chapter 2
Chapter 3
Chapter 4
Mateen chapter 5
Aayat. Chapter 6
Mateen : chapter 7
Aayat chapter 8
Chapter 9
Chapter 10
Chapter 11
Chapter 12
Chapter 13
Chapter 14
Chapter 15
Chapter 16
Chapter 17
Chapter 18
Chapter 19
Chapter 20
Chapter 21
Chapter 22
Chapter 23
Chapter 24
Chapter 25
Sazaye ishq Trailer
Chapter 26
Chapter 27
Chapter 28
Chapter 29
Chapter 30
Chapter 31
Sazaye ishq 2
Book 2❤️Chapter 1
Book 2❤️Chapter 2
Book 2❤️chapter 3
Book 2 chapter 4
Book 2 chapter 5
Book 2 , Chapter 6
Book 2 , Chapter 7
Book 2, Chapter 8
Book 2 , chapter 9
Book 2 , chapter 10
Book 2 , chapter 11
Book 2 , Chapter 12
Book 2 , chapter 13
book 2 chapter 14
Book 2 chapter 15
Book 2 chap 16
Book 2 chap 17
Book 2 , chap 18
Book2 :Chapter 19
Book 2: chapter 20
Book 2 ❤️chapter 21
Book 2 : chapter 22
Book 2 chap 23
Book 2 Chapter 24
Book 2 chap 25
Book 2 chapter 26
Book 2 chapter 27
Book 2 chapter 28
Book 2 : chapter 29
Book 2 chapter 30
Book : chap 31
Book 2 chapter 32
Book 2 chapter 33
Book 2 : chapter 34
Book 2 : chapter 35
Book 2 : chapter 36
Book 2 : chapter 37
Book 2: chapter 38
Book 2 : chapter 39
Book 2 : chapter 40
Book 2 : chapter 41
Book 2: chapter 42
Book 2 : chapter 43
Book 2 : chapter 44 (last chapter)
Epilogue
Moomal

Chapter 32

1.9K 119 222
By frozenRose3112

Baad Muddat Usko Daikha To Jism-o-Jaan Ko Yun Laga
Pyasi Zameen Pe Jaisay Koi Baras Gaya Baadal Ki Tarah

💕Wasi shah💕

**********************

Mohabbat kya hai...?

nafs ki zaroorat...?!

ya dil ki aadat...?!

Ye kyun hoti hai...? kesay hoti hai...? ye koyi nahi jaanta, par is ki asal gehraayi sirf wohi jaanta hai jo ismain is had tak doob chuka ho ke waapas aanay ka koyi rasta na rahay.

Aur Mateen ishq ki usi gehraayi main doob chuka hai jahan usay aur kuchh nazar nahien aata.

jub usnay pehli baar Aayat ko dekha , jo ek nayi kali usaky seenY main khili thi, aaj wo kali ek gulab bun gayi hai. Bus farq sirf itna hai ke Mateen ki mohabbat ka gulab ab mar raha hai , aur uski girti ek ek patti Mateen ke seenay ko cheerti huwi gir rahi hai.

Aaj fehmida beghum aur Murad sahab Zarish ke ghar Zoyan ka rishta le ja rahay thay. Aur Fehmida beghum ki bohat zid thi ke Mateen bhi unkay saath chalay.

Mateen ne bohat aaraam se unhain ye keh kar mana kar diya ke wo daadi jaan ke saath rukna chaahta hai. Aur jub Fehmida beghum ke israar ke bawajood Mateen ne mana kar diya to wo bhi khamosh ho gayien.

Mateen ko unhain is tarhan mana karna bohat bura lag raha tha , par wo majboor tha, wo apnay kiye waaday se kesay peechhay hat jaaye. Chaahay uska dil machal hi kyun na raha ho Aayat ko phir se dekhnay ke liye.

Unkay jaanay ke baad wo daadi ke room ki taraf barh gaya , par Idrees ke usay awaz denay par wo ruk gaya. Idrees aur Zoyan dono living room main PS4 par hand combat khail rahay thay.

Wo chalta huwa wahien aa gaya aur sofay pe beth gaya. Zoyan aur idrees dono zameen par sofay se taik laga kar bethay thay.

" chalay gaye wo log..?" Idrees ne poochha ,uski nazar saamnay apnay player pe thi jo Zoyan ke player pe ghoonso ki baarish kar raha tha. Uski ungliyan remote ki keys par is raftaar o dabao se chal rahien thien ke Mateen ko laga ye handle dobara istamaal honay ke layak nahien rahay ga.

" shit.!!!' .." Zoyan ne gussay se chillatay huway remote sofay pe patkha. aur idrees apni jeet ki khushi se zyada Zoyan ki haar pe khush hotay huway qehqahay laganay laga. .

ye paanchhvii baar idrees ne Zoyan ko haraya tha.

Jub se Murad sahab aur Fehmida beghum jaanay ke liye tayaar ho rahay thay , tab se Zoyan iztraabi ka shikaar ho gaya tha. Aur isi wajah se apna dhiyan bhatkaanay ke liye wo ye game khail raha tha.

par har baar game ke doran uska dimaag phir Zarish ki taraf mur jaata.

Zoyan Zameen se uth kar Doosray sofay par beth gaya. Idrees bhi game bund karnay ke liye uth gaya.

" Baba ne kuchh kaha to nahien jaatay huway..? matlab koyi hukam saadir kiya kya..?" Zoyan ne apnay baalon main ungliyan phairtay huway Mateen se poochha.

Idrees bhi ab Mateen ke barabar main aakay beth gaya tha.

" nahien , Chachu ne kuchh nahi kaha , Kyun.?"

" in janaab ko dar tha ke Khaalu isay phaansi pe charhaanay ka keh kar gaye hongay.." Idrees ne kaha aur phir se hansnay laga. Jis par Zoyan ne usay khaa jaanay waali nazron se dekha.

"Tum kab jaa rhay ho hydrabad..?! koyi kaam dhanda hai ke nahi tumhain. "

" oh hello..!! main medical ka student hoon , aur apni house job shuroo honay ka intzaar kar raha hoon ,tumhari tarhan nahi ke bus faaltu degree lekay abba ke paison pe ayaashi karoon..!!"
Idrees ne bhunna kar kaha.

Zoyan abhi idrees ko jawab denay hi wala tha ke Mateen beech main bol para.

"Bachon ki tarhan aapas main larna bund karo, bachay nahi ho tum log..!, Pehli baat ke ye Idrees ka bhi ghar hai..! Aur doosri ye ke Zoyan ki degree main koyi buraayi nahi hai. Ek doosray ki izzat karna seekho, ye rishta bohat aham hai zindagi main.. isay kisi bhi qeemat main nahi khona.. Tum log nahi jaantay ke kitni takleef hoti hai kisi aisay shakh ko khona jo aap ke liye bhaai jesa ho..! "

Mateen ne jazbaati hotay huway kaha. Idrees ne usay moo'n phaaray herangi se dekha. Mateen ki baat uskay sar se guzri thi.

par ye sunnay ke baad Zoyan ke chehray par hamdardi ke taasuraat thay.

" umm... hum lar nahi rahay thay Mateen.., hum to aisay hi.." Idrees ne halki awaz main kaha. Idrees ke ye kehnay par Mateen ko apni ghalti ka ahsaas huwa to usnay kuchh lumhon ke liye Aankhain bhainch lien aur dil main apnay aap ko kosnay laga.

" i am sorry .." Ye kehnay ke baad wo uth kar lambay dug bhartay apnay Room ki taraf chala gaya. Idrees ab bhi be yaqeeni se uski pusht ko dekhta raha.

" ye Mateen ko konsa dora para..!?" Idrees ne Zoyan ki taraf dekhtay huway herangi se poochha.

" mujhay aaj bhi herat hai , tum ne bina dimaag ke Medical kesay karli. "

Jawab main idrees ne sofay pe rakha cushion uskay moo'n pe de maara.

"jaahil Doctor ..!!!"

***********

"Ye log hain kon.! Aur aap ne unhain aanay ki ijazat kesay de di ammi..? ek baar mujh se mashvara to kar letien kam se kam. !"

" Aaahir maine haan nahi kahi thi.. darasal Aayat ne hi meray kuchh kehnay se pehlay hi saajda begum ko haan kardi. Aur phir meri samajh nahi aaya ke Aayat ke haan karnay ke baad main inkaar kesay kar doon.., aur wesay bhi hum ne abhi rishtay ke liye haan thori kardi hai, wo to bus hum se milna chaahtay hain .."

Rehana beghum ne Aashir ke gussay ko thanda karnay ki koshish ki. Wo khud Zarish ke is achanak ke rishtay se pareshan ho gayien thien. Par kehtay hain na ke jahan bair ke darakht hotay hain to wahan pathar bhi barastay hain.

" Aayat hai kahan.."

" wo kitchen main mehmano ke liye refreshment ka intzaam kar rahi hai.. subha se pata nahi kitni cheezain bana chuki hai..." Rehana beghum ko Aayat ki Zarish ke is rishtay main itni dilchaspi kuchh hazam nahi ho rahi thi.

" Aayat to bachi hai , par aap to bari hain Ammi , aisay kesay kisi ko bhi apnay ghar aanay ki ijazat dedi?! pata nahien kis tarhan ke log hain.. main to kehta hoon abhi Saajda Aunty ko phone karkay unhain un logo ko ghar laanay se mana kar dain.." Aashir ne hatmi andaz main kaha aur sofay par beth gaya.

Rehana beghum Aashir ki baat sun kar pareshan ho gayien, haan kehnay ke baad wo ab kesay mana kar sakti hain, jubkay Abhi Aashir ke office se aanay ke thori dair pehlay hi Saajda beghum ka phone aaya tha ke wo log pandra minute main wahan pohanch jaayn ge.

" Aashir hum aisa nahi kar saktay , ye ikhlaaq ke khilaaf hai.. rishta dena ya na dena ye to humara faisla hai , unkay yahan aa jaanay se rishta ho thori jaaye ga. , aur rahi baat unlogo ke hasbo nasb ki to tum is baaray main fikar mat karo , saajda beghum bata rahien thi ke log bohat hi achhay hain. Bohat baray khaandaani log hain"

Rehana beghum ne bari Aasaani se Aashir ka gussa thanada kar diya tha, aur ab Aashir ko unki baat samajh aa rahi thi. Usnay ek gehri saans li aur apni paishani ko sehlatay huway kaha.

" theek hai Ammi... aap kehti hain to theek hai , mil letay hain in logo se bhi. par Ye baat aap bhi jaanti hain ke hum Zarish ki shadi Aayat se pehlay nahien kar saktay.. Jub Aayat Haadi ke liye haan kar degi , tabhi main Zarish ki shadi ke liye razamand hoonga.." Ye keh kar wo wahan se uth kar apnay Room main change karnay chala gaya.

Par uski baat sunnay ke baad , kitchen ke darwazay pe kahari Aayat ka jism jesay pathar ka sa ho gaya tha.

************

Mehman aadhay ghantay pehlay hi Saajida beghum ke hamrah aa chukay thay. Rehana beghum Fehmida beghum se bohat mutasir huwi thien, wo bohat hi narm go andaaz ki maalik thien, par unkay har andaz se unkay aala khaandaan se taaluq ka anadaza lagaya ja sakta tha. Aur is ke ilawa wo bohat mail milaap waali khatoon bhi lag rahien thien.

Aashir aur Murad sahab alag se drawing room main bethay thay. Aashir Murad sahab ke saath jald hi business ki batain karnay main masroof ho gaya tha. Murad sahab Aashir se bohat mutaasir huway thay. Aur dil hi dil main faisla kiya ke wo Aaahir ko apni company main job ki offer karain ge.

Aayat Rehana beghum ke isharay par wahan se uth gayi aur apnay room main aa gayi.

Zarish sar pe dupatta orhay aainay ke saamnay apnay aks ko dekh rahi thi. Par uskay chehray par ghabraahat saaf dekhi jaa sakti thi.

Aayat chalti huwi uskay peechhay khari ho gayi.

gulabi rung ke suit main malboos Zarish bohat pyari lag rahi thi. Aayat ne dil main Allah se Zarish ke achhay naseeb ki dua maang li.

" aapi.. aap kab aayien..?" Aayat ko apnay peechhay kharay dekh Zarish ne herangi se poochha.

" jub tum khud ko dekhtay huway apnay khayaalon main guum thien. "

" aapi... mujhay dar lag raha hai.. agar main unhain pasand na aayi to..? Ya Ammi aur bhaai ne inkaar kar diya to..?" Zarish ne Aayat ki taraf murtay huway pareshani se kaha.

Zarish ki baat par Aayat ke dimaag main Aaahir ke kahay gaye alfaz goonjay thay. Uska dil beth raha tha is dar se.

" aisa kuchh nahien hoga Zarish. tum itna socho mat. Chalo utho..,! ammi ne tumhain bulaya hai , tumhari honay waali saas se milna bhi to hai. " Aayat ne ek dum se apnay ander aitmaad paida kiya aur Zarish ko tasalli denay ke baad usay chhaira.

Zarish ka chehra ek dam sharam se laal ho gaya , aur usay dekh Aayat ka dil shadaab ho gaya tha. Aayat ne uski paishani choom li aur Zarish pe Aayat ul kursi ka dum karnay ke baad usay bahar le aayi.

" Assalaam Alaikum.." Living room main daakhil hotay hi Zarish ne fehmida beghum aur saajida beghum ko salaam kiya. Fehmida beghum jo Rehana beghum se baaton main masroof thien Zarish ki awaz par unhon ne nazar utha kar Zarish ki taraf dekha.

" wa Alaikum Assalaam.. Mashal Allah aapki dono betiyan hi bohat pyari hain. Aao beta idhar aao mere paas betho. .." Fehmida beghum ne Zarish ko apnay barabar main bitha diya. Aayat wahan se kitchen main chali gayi.

" aapki bari beti shadi shuda hai..?" Na jaanay kyun fehmida beghum ko Aayat ko dekh kar Mateen ka khayaal aaya tha. Is liye be sabab poochh bethien.

Fehmida beghum ke sawaal par Rehana beghum ka dil jesay kisi ne muthi main daboch liya tha. Wo isi tarhan ke sawalon ki wajah se aur bhi pareshan ho jaati thien. kyunkay Aayat ki umar dekh ke subkay dimaag main yehi aata ke wo shadi shuda hogi.

par ye batatay huway unka dil toot jaata hai ke , itni khoobsurat aur umar honay ke bawajood Aayat abhi tak kanwari hai.

"Nahien darasal hum abhi Aayat ke liye rishtay ki talaah main hain.. aap to jaanti hain achhay rishtay kitni mushkil se miltay hain. " is kay ilawa unhain aur koyi jawab samajh nahien aa raha tha.

fehmida beghum ne Zarish se uski parhaayi aur kayi chhotay motay rasmi sawaal poochhay , sirf uski awaz sunnay ke liye , aur Zarish unhain bohat pasand aayi thi. Par Zarish ke ilawa wo Aayat ko bhi gaahay bagaahay dekh rahien thien. Aayat ki pur waqaar shakhsiyat par ikhlaaq se choor lehja fehmida beghum ko bohat bhaa gaya tha.

Unhain ye baat thori ajeeb lag rahi thi ke Aayat jesi larki ab tak kanwari kesay reh sakti hai. Har larkay ki maa Aayat jesi larkion ki hi talaaah main hotien hain, phir Aayat sub ki nazar se bojhal kesay hai..?"

Kuchh dair baatain karnay ke baad Fehmida beghum aur Murad sahab jaanay ke liye uth gaye. Aur jaatay waqt Fehmida beghum ne Zarish aur Aayat dono ki paishani choom kar unki taareef ki.

Unkay jaanay ke baad Zarish apnay Room main chali gayi par Aayat , Aashir aur fehmida beghum living room main beth gaye.

" log to bohat achhay lag rahay thay.., "

" haan par kya faaida.., aap jaanti hain hum abhi Zarish ka rishta nahi kar saktay. aap kal unhain phone karkay humara jawab bata dejiye ga. " Aashir ne hatmi lehjay main kaha.

Aayat ne be yaqeeni o herangi se Aashir ki taraf dekha.

" par kyun..? Jub rishta achha hai to aap inkaar kesay kar saktay hain...? achhi qismat sirf ek baar dastak deti hai.. aap is tarhan jald baazi main inkaar nahi kar saktay bhaai ..! " Aayat ne be taabi se kaha.

" Aayat tum jaanti ho hum aisa nahi kar saktay... tumhari shadi se pehlay hum Zarish ki shadi nahi kara saktay..." Rehana beghum ne usay samjhanay ki koshish ki.

" to kya meri wajah se aap saari zindagi Zarish ko kanwara bitha kar rakahain gi Ammi..!" Aayat ki awaz zara si taiz ho gayi thi. Wo Apni wajah se Zarish ki khushian barbaad nahi honay se sakti.

" Aayat apnay kamray main jao..!!" Aashir ne sakhti se kaha. Par Aayat be yaqeeni se un dono ko dekhay jaa rahi thi.

" agar aisa karna para to haan , jub tak tumhari shadi nahi ho jaati , Zarish ki shadi bhi nahien hogi..!!" Rehana beghum ne Aayat ki taraf dekhtay huway kaha.

Aayat ko yaqeen nahien aa raha tha ke uski Ammi ye keh sakti hain.

Sirf is liye ke maashra kya kahay ga , ya kya sochay ga uskay baaray main , wo apni doosri beti ki zindagi ki bali charhaanay ko tayaar hain...?

ye kesa muaashra hai jahan insaaniyat khatam hoti jaa rahi hai.

Muaashra to insaan ki sahulat ke liye hota hai, naakay usay zinda dargoar karnay ke liye.

Par nahien...! wo aisa hargiz nahien honay de sakti..! wo apni wajah se Zarish ki zindagi barbaad nahi honay degi. Phir chaahay uskay liye usay kuchh bhi karna paray.

" theek hai phir... Main Haadi se shadi ke liye tayaar hoon... mujhay is rishtay se koyi inkaar nahi hai. .."

******************

Continue Reading

You'll Also Like

20.7K 1.7K 55
#1 in Spiritual 12 times, and still counting. . "Among the things that people have found from the words of the previous prophets was:'If you feel no...
169K 9.7K 9
Hamdaani Heirs #3 The story of Furqaan and Aamaal. How fate brings them together in bleak circumstances. The storms they brave. How a lover's wait i...
58.8K 1.6K 41
وهل بضع كلمات ستصف حبي لكِ ؟! وهل لهفتي لسماع صوتكِ سيكفي؟! وهل خافقي الذي يشن الحروب لرؤياك سيكون دليل محبتي؟! القاسي احبكِ فتحملي جحيم قسوته..
662K 6.4K 55
Part 1: kacchi dor se bandhe hum tum (cmplt) Part 2: Likh du aasma pr (cmplt) Part 3: Inkishaaf e yaar (cmplt) Part 4: Teri deewani (ongoing)