Sazaye ishq. سزائے عشق Comp...

By frozenRose3112

159K 10.3K 11.6K

Sazaye ishq 1 ( completed✔️) Sazaye ishq 2 ( completed)✔️) Sazaye ishq ,jazaaye shabaab hasti asst Nigaar e... More

Chapter 1
Chapter 2
Chapter 3
Chapter 4
Mateen chapter 5
Aayat. Chapter 6
Mateen : chapter 7
Aayat chapter 8
Chapter 9
Chapter 10
Chapter 11
Chapter 12
Chapter 13
Chapter 14
Chapter 15
Chapter 16
Chapter 17
Chapter 18
Chapter 19
Chapter 20
Chapter 21
Chapter 22
Chapter 23
Chapter 24
Chapter 25
Sazaye ishq Trailer
Chapter 26
Chapter 27
Chapter 28
Chapter 29
Chapter 30
Chapter 32
Sazaye ishq 2
Book 2❤️Chapter 1
Book 2❤️Chapter 2
Book 2❤️chapter 3
Book 2 chapter 4
Book 2 chapter 5
Book 2 , Chapter 6
Book 2 , Chapter 7
Book 2, Chapter 8
Book 2 , chapter 9
Book 2 , chapter 10
Book 2 , chapter 11
Book 2 , Chapter 12
Book 2 , chapter 13
book 2 chapter 14
Book 2 chapter 15
Book 2 chap 16
Book 2 chap 17
Book 2 , chap 18
Book2 :Chapter 19
Book 2: chapter 20
Book 2 ❤️chapter 21
Book 2 : chapter 22
Book 2 chap 23
Book 2 Chapter 24
Book 2 chap 25
Book 2 chapter 26
Book 2 chapter 27
Book 2 chapter 28
Book 2 : chapter 29
Book 2 chapter 30
Book : chap 31
Book 2 chapter 32
Book 2 chapter 33
Book 2 : chapter 34
Book 2 : chapter 35
Book 2 : chapter 36
Book 2 : chapter 37
Book 2: chapter 38
Book 2 : chapter 39
Book 2 : chapter 40
Book 2 : chapter 41
Book 2: chapter 42
Book 2 : chapter 43
Book 2 : chapter 44 (last chapter)
Epilogue
Moomal

Chapter 31

1.4K 116 147
By frozenRose3112

Chapter 31

Is tarah gaur se mat dekh mera haath ae Faraz..!!
In laqiron mein hasraton ke siwa kuch bhi nahin..

💕Ahmed Faraz 💕

                      🎼🎼🎼🎼🎼

Wo kitnay lumhay be yaqeeni se Aashir ki taraf dekhti rahi... uskay dil main aanay waali shikaayat honto pe aanay se pehlay hi dum torti nazar aa rahi thi.

Sharmindagi se Aayat ne apni gardan jhuka li thi.

Wo sharmindagi jo wo aaj bhi apnay saath honay waalay haadsay ki wajah se mehsoos karti aayi hai .

Wo sharmindagi jo usay apnay bhaai se be takalluf honay se rok leti hai.

Par Aashir ke faislay se uskay ander uthnay waali thais uski aankhon  se motiyon ki shakal main beh nikli thi.

Aashir gor se Aayat ko dekh raha tha. Wo apnay is faislay par Aayat ka radde amal dekhna chaahta tha , aur Aayat ki jhuki gardan usay uskay sawaal ka jawaab de gayi thi.

Wo jaanta tha ke Aayat is waqt kya mehsoos kar rahi hogi.

" Aayat main jaanta hoon ke tum kya soch rahi ho... par yaqeen maano , main kabhi koyi aisa faisla nahi karoon ga jis main tumhari khushi na ho.." Aashir ne Inthaayi narm lehjay main usay apni mukhlisi batanay ki koshsish ki.

" maine Haadi se baat ki hai ,usay tumharay maazi se koyi farq nahi parta.. wo tumhari bohat izzat karta hai.. Aur ye sub jaannay ke baad , main is rishtay ko kisi bhi haal main mana nahi kar sakta tha. Maine Ammi se bhi is baaray main baat ki thi ,aur Ammi bhi is rishtay se bohat khush hain. "

Ammi ke zikr par Aayat ne ek dum se Aashir ki taraf dekha. Uski aankhon se zahir hoti beyaqeeni saaf zahir thi.

To uski ammi bhi is se waaqif hain...?

Aur in dono ne ek baar bhi Aayat se poochhna bhi gawara nahi kiya...?

Ek baar bhi ye nahi socha ke wo kya chaahti hai....?

Par wo kis moo'n se shikaayat karay, kis haisiyat se mana karay, ke ek baar pehlay bhi uski marzi ki wajah se sub kuchh barbaad ho gaya....

" Aayat ..." Aayat ki Aankho'n main beyaqeeni aur dard dekh kar Aashir ne haath barha kar uskay rukhsar pe rakha aur apnay anguthay se uskay aansoo ponchay.

Aayat  apnay honto se nikalti siski ko roknay ke liye apnay hont ko daant talay dabaanay lagi.  uski nazar Aashir ke ilawa har jagah thi.

" Aayat..! tum kya chaahti ho..?" Aashir ne halki awaz main kaha.

Aayat ka dil dukhnay laga tha.

sub apni marzi ka karnay ke baad , phir kyun us se poochhtay hain ke wo kya chaahti hai..!?

Wo kyun ye zaahir kartay hain ke ab bus uski khuaahish ke mutaabik uski zindagi ke faislay hongay.

Pehlay Mateen , aur ab Aashir..!

Wo kya karay..!? Kya jawab de..!?

jub usay kisi faislay ka haq diya hi na gaya ! chaahay wo faisla uski Zindagi se jura hi kyun na ho.

Wo ek baar phir khud ko unkay ooper bojh mehsoos kar rahi thi.....

Uska dimaag aisi un'ginat socho'n se ghirnay laga tha. Par ye sub sachaayi thi ya uska dimaag usay phir se tanhaayion main ghaseet raha tha.., Ye wo khud nahi jaaanti.

Aashir Aayat ko bohat goar se dekh raha tha , in kuchh seconds main usnay , Aayat ke chehray pe chaanay waalay kitnay hi gehray saayon ko dekha.

Usay Pata tha ke Aayat phir se apnay dimaag ki un Manfi (negative) socho'n main ghir chuki hai.

" Aayat meri taraf dekho..!" Aashir ki awaz pe Aayat ne chonk kar uskay chehray ki taraf dekha.

" main aur Ammi is rishtay se bohat khush hain.., par.., agar tum ye shadi nahi karna chaahti.. to main waada karta hoon Aayat , main tumhain ye shadi karnay ke liye  majboor nahi karoon ga... par ye baat bhi yaad rakhna ke ye rishta maine bohat soch samajh kar kiya hai, is liye koyi bhi jawab denay se pehlay hazaar baar soch lena."

"aur agar achhi tarhan sochne ke baad tumhara jawab inkar  huwa... to main tumharay har faislay main tumhara saath doonga. " Aashir ne narm lehjay main jsay haqeen dehani karayi.

Aayat ne kuchh kehnay ke bajaaye sirf asbaat main sar hilaya aur dobara se  apni nazrain apni goad ki taraf kar di.

Aashir ne shafqat se uskay sar par haath rakha aur usay wahien betha chhor kar uth kar apnay Room ki taraf barh gaya.

Par uski soch ab Uskay Aayat ko diye gaye tasalli bakhsh waaday ki taraf mahu thi.

Usnay Aayat se keh to diya tha ke uskay inkaar par wo uska saath dega , par uski zabaan ka kya jo usnay Haadi ko di thi, Aayat ko uskay naam  karnay ki.

************

"Mujhay ye to pata tha ke wo nalayak hai...! par wo in harkaton  pe bhi utar aaye ga ! mujhay andaza nahien tha..!! Pata nahi kis ghar ki bachi ko ghalat raah pe laaya hai..!!" Murad sahab gussay main bolay.

"Hai kahan wo naalayak.." unka bus nahi chal raha tha ke abhi wo Zoyan ke kaan pakar ke uski durgat bana de.

" aap ghalat samajh rahay hain chachu , aisi koyi baat nahi hai... darasl Zoyan ne us larki ko collage main dekha tha aur tab se wo usay achhi lagti hai.., aur wo to apni pasand ko halaal rishtay main baandhna chaahta hai., ye to achhi baat huwi na ke wo us larki se nikaah karna chaahta hai..."

Mateen me ek dum se Zoyaan ko bachaanay ke liye jhoot ka sahara liya, usay dar tha ke Murad sahab abhi Zoyan ko dhoondnay kamray se bahar na chalain jaayen.

Idrees aur Zoyan ke kehnay par wo Murad sahab ke Room main unsay baat karnay chala to aaya. Par Zoyan ki Zarish se shadi ke zikr pe hi Murad sahab ka paara charh gaya tha.

Aur ab Mateen ko Zoyan ke aaj saara din pareshan honay ki wajah samajh aayi thi.

Zoyan khud is waqt Fehmida beghum se kitchen main baat karnay gaya tha. Aur yahan Mateen Murad sahab ko raazi karnay ki koshish main tha.

" ye bhi to patah nahi hai ke larki kis ghar se taaluq rakhti hai, achhi family hai bhi ke nahi..! Hai kahan wo naalaayak..!  bulao usay yahan..,!! " Murad sahab ne ek baar phir gussay se kaha. Par wo khud uth kar jaanay waalay thay ke Mateen ek dum se unkay saamnay aa gaya.

" chachu aap please  gussa mat hon.. Zoyan ki pasand buri nahi hai., i mean , wo achhi family hai.... aur wesay bhi shadi to ek na ek din karni hi hai... aur agar Zoyan apna humsafar apni pasand se chaahta hai to is main ghalat kya hai. Islam bhi to is baat ki ijazat deta hai na chachu.. phir aap Zoyan pe itna naraz kyun ho rahay hain. "

Mateen ne bohat koshish ki ke wo Murad sahab ko raazi kar sakay jis ke liye wo yahan bheja gaya hai.

Mateen ki baat pe Murad sahab kuchh dair khamosh ho gaye. Wo Mateen ki baat se sehmat thay. Kayi saal pehlay yehi baat unhon ne bhi kahi thi Wahab ke liye. Phir aaj wo khud kyun Ghulam haider ki tarhan rad e amal de rahay thay.

Unhon ne ek gehri saans bhari aur kuchh sochtay huway asbaat main sar hilaya.

" sahi kaha tum ne Mateen.... wesay Kon hain wo log..!?" Murad sahab ke sawaal par Mateen ke chehray par ek dum se muskurahat aa gayi thi.

Chalo Murad sahab ki razamandi se ek mushkil marhala to tai ho hi gaya.

************

Sub log daadi ke kamray main jamaa thay. Murad sahab aur Fehmida beghum Daadi jaan se Zoyan ki shadi ke mutalliq baat karnay aaye thay.

Daadi jaan is khabar se itni khush huwi ke Mateen ko unki sehat ke mutalliq fikar laahak ho gayi. Wo  khushi se Zoyan ki paishani choomtay huway usay abhi se dus bacho'n ki duaain de rahien thien. Aur bechara Zoyan sharmindagi se laal peela ho raha tha.

Aur wahan khara Idrees waqfay waqfay se aisay fiqray kas raha tha ke sub ki hansi nikal rahi thi lekin Zoyan sirf usay kha jaanay waali nazron se hi dekh saka.

Daadi jaan ki khuaaihish thi ke jald se jald Zarish ki family ke baaray main poochh gaachh karwa li jaaye , taakay  Zoyan ki farmaaish ke mutabiq  isi haftay ke ander ander rishta bheja jaaye.

Jub Zoyan se Zarish ka address poochha gaya to pata chala ke usi Area main Fehmida beghum ki ek jaannay waali bhi rehti hain. Jis se wahan rishtay ki baat karnay main aur bhi aasaani ho jaaye gi.

Aur phir is tarhaan tai paaya ke in do dino main Fehmida beghum apni us jaannay waali ke zariye Zarish ki ammi se unkay ghar rishta le jaanay ki baat karain gi.

Mateen wahan konay main deewaar se pusht jamaaye khara sub ke chamaktay chehray ko halki muskaan liye dekh raha tha.

Sub kitnay khush lag rahay thay. Abhi rishta tai bhi nahi huwa tha aur ghar main abhi se itni khushi phail gayi thi.

Sub ko itna khush dekh kar uska dil bhi mehsoor ho gaya tha.

Wo kuchh pal ke liye apnay ghum ko bhool gaya tha. Wo bhool gaya tha ke itnay saalon baad Aayat ko dekhnay ke baad usnay ek baar phir usay kho diya hai.

Agar paanchh saal pehlay jo kuchh huwa , wo na hota to kya wo bhi Aayat ke liye is tarhan rishta bhaij sakta tha..!? Kya is tarhaan wo usay humaisha ke liye khud se jor sakta tha..! ?

Par ab kya faaida ye sub sochnay ka , agar ye soch kar uska dil aur zakhmi hona hai. Ye hasratain wo apnay seenay main daba dena chaahta tha , par ye naadaan dil phir ek nayi hasrat karnay lagta tha.

Wo in sub ko wahien chhor kar bahar chala aaya. Sub ka dhiyaan Zoyan ki taraf honay ki wajah se usay kisi ne jaata nahien dekha.

Wo chalta huwa bahar lawn main chala aaya.

Sardi ki yakh thandi hawa uskay chehray ko chhoo rahi thi. Wo kuchh pal Aankhain bund karkay wahien khara hawa ko apnay chehray se takraata mehsoos karnay laga.

Kaash ye hawa jesay uskay chehray aur haatho ko suun kar rahi hai, wesay hi uskay dil ko bhi suun kar paati....

Ye dil jo guzartay har pal ke saath kisi ka naam leta usay tarpaa raha tha.

Uskay honton par ek nam muskurahat thi, par uski aankhon se do ashk beh niklay. Wo ab aasmaan main madham roshni liye chaand ko dekhnay laga.

Aasmaan main phaili dhund ke baa'as naarangi  roshni bikhri huwi thi. Par dhund ke baa'as taaray nazar nahien aa rahay thay. Jis ki wajah se aaj chaand bilkul akela tha. Bilkul uski tarhaan.

Apnay irdgird itna pyar , itnay rishtay honay ke bawajood wo khud ko akela mehsoos kar raha tha.

Jesay kisi registaan main ek bhatka shakhs hota hai.

Itnay pyar ke bawajood uska dil be sukoon tha. Uska roam roam har pal ek bojh talay dabay ja raha tha.

Pachtaawa..!  jo usay kisi bhi tor apnay kiye ko bhoolnay nahi deta. Usay saans nahi lenay deta.

Wo nahi jaanta wo kab tak is bojh talay zinda reh sakta hai...

kab tak wo apni is nakaam zindagi  ko aur guzaar sakta hai.

Wo thak chuka hai is sub se , wo khud ko khatam karna chaahta hai...!

par aisa kar bhi mahi sakta..

Wo nahien jaanta ke ab aur  Kab tak wo is Saza e ishq ko bardaasht kar sakta hai.

************

Assalaam Alaikum dear readers:)

Please please vote zaroor karain aur apnay comments ke zariye apni raaye se aagaah zaroor karain.

Continue Reading

You'll Also Like

86K 2.8K 35
Secret agent based novel اس کہانی میں آپ کو بہت سے کردار نظر آئیں گے تو میں بس ایک بات کہنا چاہوں گی۔۔۔ "گھبرانا نہیں ہے"😂♥ باقی کہانی جاننے کے لئے...
31.5K 754 12
Simple Love story... love at first sight.. later it becomes complicated,emotional.. Journey of trust & love.... love story of Usman & Aiza....
10.9K 676 24
"Tumhein muhabbat hogayi hai uss se?" "Agar umar bhar sirf usske saath ko chahna muhabbat hai toh han shayad hogayi hai mujhay uss se muhabbat" _____...