Sazaye ishq. سزائے عشق Comp...

By frozenRose3112

158K 10.2K 11.6K

Sazaye ishq 1 ( completed✔️) Sazaye ishq 2 ( completed)✔️) Sazaye ishq ,jazaaye shabaab hasti asst Nigaar e... More

Chapter 1
Chapter 2
Chapter 3
Chapter 4
Mateen chapter 5
Aayat. Chapter 6
Mateen : chapter 7
Aayat chapter 8
Chapter 9
Chapter 10
Chapter 11
Chapter 12
Chapter 13
Chapter 14
Chapter 15
Chapter 16
Chapter 17
Chapter 18
Chapter 19
Chapter 21
Chapter 22
Chapter 23
Chapter 24
Chapter 25
Sazaye ishq Trailer
Chapter 26
Chapter 27
Chapter 28
Chapter 29
Chapter 30
Chapter 31
Chapter 32
Sazaye ishq 2
Book 2❤️Chapter 1
Book 2❤️Chapter 2
Book 2❤️chapter 3
Book 2 chapter 4
Book 2 chapter 5
Book 2 , Chapter 6
Book 2 , Chapter 7
Book 2, Chapter 8
Book 2 , chapter 9
Book 2 , chapter 10
Book 2 , chapter 11
Book 2 , Chapter 12
Book 2 , chapter 13
book 2 chapter 14
Book 2 chapter 15
Book 2 chap 16
Book 2 chap 17
Book 2 , chap 18
Book2 :Chapter 19
Book 2: chapter 20
Book 2 ❤️chapter 21
Book 2 : chapter 22
Book 2 chap 23
Book 2 Chapter 24
Book 2 chap 25
Book 2 chapter 26
Book 2 chapter 27
Book 2 chapter 28
Book 2 : chapter 29
Book 2 chapter 30
Book : chap 31
Book 2 chapter 32
Book 2 chapter 33
Book 2 : chapter 34
Book 2 : chapter 35
Book 2 : chapter 36
Book 2 : chapter 37
Book 2: chapter 38
Book 2 : chapter 39
Book 2 : chapter 40
Book 2 : chapter 41
Book 2: chapter 42
Book 2 : chapter 43
Book 2 : chapter 44 (last chapter)
Epilogue
Moomal

Chapter 20

2K 139 359
By frozenRose3112


Wo Acha Hay Tou Behtar, Bura Hay Tou Bhi Qabool

Mizaaj-E-Ishq Mein Aib-O-Hunar Dekhay Nahi Jaatay...!!!

        💝AHMED  FARAZ 💝
🎀🎀🎀🎀🎀🎀🎀🎀🎀🎀🎀🎀
chapter 20
" mujhay lagta hai aaj barish honay wali hai...london se itni door sooraj dekhnay aaye thay , aur ab yahan bhi baarish.."

" kya..." Mateen ne Aditya ki awaz pe na samjhi se Aditya ki taraf dekha.

" maine kaha Aaj baarish hogi!!!...tumhara dhiyaan thori dair ke liye Aayat se hatay to tum meri baat suno na!!" Aditya ne chirrtay huway kaha to Mateen ne sharmindgi se muskuratay huway apni pichhli gardan pe haath phairtay huway Aditya ko dekha.

" aisi koyi baat nahi hai yaar.," Mateen ne uskay shanay pe haath rakhtay huway usay mananay ki koshish ki .

" jub se hum yahan aaye hain, tum sirf Aayat ko dekhay ja rahay ho...aur agar ye aisi baat nahi hai to phir kesi baat hai??" Aditya ne bhi aaj itnay dino ka gussa nikaalnay ka irada kar liya tha.

" aur jo tum Rabia ko dekhtat ho , us ka kya..!?" Mateen ne bhi Aditya ki kamzor nus pe haath rakha. Jis pe Aditya ne satpata kar Mateen ki taraf dekha.

" kya..kon main!!? Nahi main tumhari tarah obsessed nahi huwa hoon Rabia ke peechhay, aur wesay bhi usnay bataya ke wo engaged hai , aur mujhay sirf ek dost ki nazar se dekhti hai" akhri jumlay tak Aditya ka chehra utar gaya tha. Aur uska jawab sun ab chonknay ki baari Mateen ki thi.

" kya!! Phir first day pe wo tumhari taraf dekh kar itnay daant kyun nikaal rahi thi. " Mateen ne bhi koi lehaaz nahi kya tha , wesay bhi rabia kon sa uskay saamnay mojood thi.

" Mateen !!! Tum is tarhaan Rabia ke baaray main nahi keh saktay, aur meray liye uski dosti bhi bohat hai" Aditya ne khafgi se kaha.

" phir bhi...tumhain koshish to karni chahiyay thi, is tarah haar kyun maan li ..?" Mateen ko apnay bhaai jesay dost ke liye bohat bura mehsoos ho raha tha is liye uskay itnay jaldi haar maannay par gussa bhi.

" main uskay faislay ki izzat karta hoon is liyay"

" Aadi kabhi kabhi life main har cheez plate pe sajaye nahi milti, humain uskay liye thori koshish bhi karni chahiyay.agar hum aisa nahi karainge to saari umar khaali haath reh kar  doosro'n ko bhari plate le jaatay dekhna paray ga. "

Mateen bazaahir to Aditya se keh raha tha par ander dil main wo khud se mukhatib tha , uski nazar wapas saamnay blue colour ke shalwar qameez suit main malboos Aayat ki taraf gayi , jo apni friends ke saath kinaray pe khari photography kar rahi thi.

Beach pe chalti thandi hawaa main baar baar uska dupatta ur raha tha , aur wo baar apnay dupattay ko sambhaal rahi thi..,uskay baal jo hotel se nikaltay waqt adhay bundhay huway thay , yahan jumeirah beach pe ab juray (messy bun) ki shakal ikhtiyaar kar chukay thay.

Mateen ko pehlay kabhi larkion ke baal is style main achhay nahi lagtay thay, par Aayat pe ye hair style bhi bohat pyara lag raha tha.

" agar tum Aayat ke baaray main soch rahay ho to , bhool jao..wo kabhi tumhain haasil nahi honay wali. "

Aditya ki awaz pe Mateen ne  nazar Apnay mun pasandida nazaray se hataa kar Aditya  ki taraf ki, Jo Aayat ko udaas muskurahat liye dekh raha tha.

" Aadi meray dost .... Tum shayad bhool gaye ho kay tum kis se ye baat keh rahay ho...kya kabhi aisa huwa hai ke Mateen ne kisi ko chaha ho aur wo usnay na mili ho, kabhi nahi na?? Is baar bhi nahi hoga... " Mateen ne muskuratay huway khud passndi se kaha.  uskay poor poor se zahir tha ke wo apnay aap par kitna mutaqad tha. Mateen ki baat sun kar Aditya ne maayoosi main sar hilatay huway Mateen ko dekha.

" har larki ek jaisi nahi hoti Mateen"

"Haan ...ye baat to tum ne bilkul theek kahi ,har larki ek jesi nahi hoti... Aayat sub say alag hai ..sub say alag , aur sirf meri .." Mateen ne Aayat ki taraf dekhtay huway khuaabeeda(latent) andaaz main kaha to Aditya ke dil main ek anjaanay dar ne janum le liya. Wo Mateen ko bachpan se jaanta hai..Mateen ki ek bohat buri Aadat thi jub wo kisi cheez ke peechhay par jaata tha to usay haasil karnay se usay koyi rok nahi sakta tha.

Par aaj Mateen ko koi cheez nahi par ek jeeta jaagta insaan chaahiye...aur Aditya Mateen ki ankho'n main usay haasil , usay apna banay ki tarap saaf dekh raha tha, guzartay har din kay saath Mateen ki Aayat ke liye chah main izafa hota ja raha  tha.

Aaj usay Aayat se zyada Mateen ke liye fikar lahak ho rahi thi , kyunkay uska dost waqayi main ek aisi larki ke pyar main giraftaar ho gaya hai jo uski feelings ki parwah kiye bagair do teen din baad wapas apnay mulk chali jaaye gi.phir kya hoga,,?

***********

Aaj uska shalwar qameez pehnnay ka faisla bilkul ghalat nikla , jub se wo is beach pe aayi hai tub se sirf apnay baal aur dupattay ko hi sambhalay jaa rahi hai. Theek se photos bhi nahi le paa rahi..

" Aayat kya kar rahi hai..? seedhi khari reh na , ye kya baar baar kartab dikha rahi ho .!" Rabia jo Aayat ki pic le rahi thi Aayat ke baar baar kapray theek karnay pe chirtay huway boli.

" dafa karo pictures ko , maine nahi khichwani ....idhar do camera wapas.." Aayat ne tung aa kar camera Rabia se le li aur wahien rait par beth gayi. Rabia bhi uskay baraabar main beth gayi.

" kya baat hai...kuchh huwa hai kya.." Aayat ke phulay moon ko dekh kar Rabia ne poochha.

" kuchh nahi....bus abu ki yaad aa rahi hai..." Aayat ne halki awaaz main kaha.

" wo to tujhay roz aati hai , aaj udaas honay ka koyi special occasion hai kya..? "

" aaj abu ki birthday hai.." Aayat ne udaas lehjay main bataya.

Har saal wo apnay abu ki birthday pe unkay liye kuchh na kuchh special karti hai , jesay last time usnay khud cake banaya tha aur us se pehlay usnay apnay abu ki sub ghar walo'n ke saath waali saari pictures ka ek khoobsurat album bana ke unhain gift kiya tha. Par aaj...aaj wo sirf unsay phone pe baat kar paayi, uska bohat dil kar raha tha ke wo abhi apnay abu ke paas jaaye aur unhay ek tight hug de kar wish karay par kesay..

" koi baat nahi , wesay bhi hum do din baad ghar ja rahay hain , tub kar lena apnay abu ko wish, theek hai.." Rabia ne Aayat ke gird baazu phailatay huway usay dilaasa diya aur phir apni doosri dost ke bulanay par Aayat se excuse karkay uth gayi aur baaki girls ki taraf chali hayi.

Aayat saamnay surfing kartay surfers ko dekhnay lagi , jo bari maharat se samandar ki lehro'n pe hukumat kiyay huway thay. Wo kitni dair wahien bethi rahi , aur kuchh second main usay apnay ooper paani ki khusgawaar thandi boonday girti mehsoos huwien.

Aur Baadal ki ek zordaar garaj ke saath hi mosla-dhaar baarish shuroo ho gayi , wahan mojood kayi logo'n ke chehray khil uthay to kayion kay chehray na pasandeedgi ke izhaar main badal gaye.

Par uskay ooper girti ek ek boond uska mood khudhgawaar karti gayi aur ab uskay honto'n pe bari si muskurahat phail gayi thi. Aayat ko bachpan se hi barish bohat pasand thi, isi liye monsoon ka mausam uska subsay favourite season tha.

Wo raiteeli zameen se foran uth gayi aur baazu phailaays aur chehra aasmaan ki taraf kiyay wo baarish ki gudgudi karti taiz boondo'n ko apnay chehray par mehsoos karnay lagi.

Ab tak wo poori bheeg chuki thi , par apnay suroor main khoyi wo har cheez se anjaan thi.  is waqt sirf ek wo thi aur ye barasti maina...

" Aayat hum saamnay us hotel main ja rahay hain , tumhain chalna hai?" Rabia ki awaz par Aayat ne ankhain khol kar uski taraf dekhtay huway usay ye keh kar mana kar diya ke wo thori dair baad khud wahan aa haaye gi .

Rabia bhi theek hai keh kar wahan se bhaagti chali gayi. Aur uskay jaanay ke baad Aayat  wahien khari Baarish  ka lutf leti rahi , par baar baar apnay kapray bhi theek karti rahi , par usay phir se ye ahsaas honay laga jesay koyi usay dekh raha ho , Aayat ne idhar udhar logon main dhoondnay ki koshish ki , aur khuchh dair main usay  thoray faaslay par  Mateen khara dikhayi diya.

Baarish main mujasmay ki tarhaan khara , honto'n pe muskurahat liye wo kisi hollywood movie ka hero lag raha tha, par jub Aayat ne  uski nazar ka zaawiya dekha jo Aayat pe markooz tha to ek dum se Aayat ne apni nazar phair li aur apnay dupattay ko khud pe poori tarhaan se lapait liya.

Aayat ko  usay ahsaas huwa ke abhi wo Mateen ko check out kar rahi thi. Ya Allah ye mujhay kya ho raha hai...usnay dil main sochatay huway aah bhari.

*********
Beach se hokar  wo sub waapas apnay hotel aa gaye aur wahien lunch kiya, aur us pooray waqt Aayat unkay saamnay waali table pe Aditya aur apnay kuchh angraiz dosto'n ke saath bethay Mateen ko dekhnay se bhi guraiz kar rahi thi , aur Rabia aur apni friends main apna dimaag uljhanay ki koshish bhi kar rahi thi , par anjaanay main hi sahi  us ki nazar gaahay bagaahay Mateen kay chehray pe bhatak rahi thi , aur har baar jub Rabia Aayat ki is harkat ko note karti usay table ke neechay se laat maarti.is chakar main uska oair dard karna shuroo ho gaya tha aur Uska poora lunch is tarah guzar gaya.

Baarish jald hi ruk gayi to unkay guide ne bataya ke sham ko wo sub global village jaayen ge , jisay sun  kar uski friends ne bundaro'n ki tarhaan uchalna koodna shroo kar diya, wo sirf unhain dekhay ja rahi thi.

Sham tuk Haadi ki tabiat bhi Kuchh behtar huwi to wo bhi chalnay ke liye tayaar ho gaya. Aur phir pooray raastay wo unkay group ke saath betha baatain karta raha, par Aayat ko herat ho rahi thi ke park tak pohanchnay tak Haadi bechara zinda kesay bach gaya kyunkay jitni dair wo Aayat ke group main tha utni dair se ,barabar ki row main betha Mateen Haadi ko apni nazro'n se khanjar maaray ja  raha tha.

Park main dakhil hotay hi sub titter bitter hogaye , kyunkay har kisi ko subsay pehlay apni favourite ride pe bethna tha.aur aur kisi ka bhi favourite kisi doosray kay favourite se match nahi ho raha tha.

Wo bhi London eye jesay dikhnay wali ride pe jaana chah rahi thi par apnay mobile ki musalsal bells par Rabia ko jaanay ka keh kar khud ek bench par aakay beth gayi. Aur apnay purse se mobile nikaala , caller id pe abu likha huwa tha.

Usnay bina ek second dair kiyay call attend ki.

" Assalaam u Alaikum Abu.." Salaam ke saath hi uska dil bojhal ho gaya tha.

" happy Birthday abu......

haan pata hai subha wish kiya tha par....."

Apnay abu ko wish kartay huway uski awaz bharra gayi thi.

" nahi main ro nahi rahi....

wo bus....

sachi......

konsa flavour..?...last time maine jo banaya tha wo zyada achha tha.." Uski ankho'n main paani tair raha tha aur hont'n pe muskurahat.

" hum abhi global village main aaye hain.... jee bohat mazaa hai...... insha Allah next time poori family ki trip hogi...... ji Abu...... ji..... main ghar aaoon gi to phir se aap ki birthday celebrate karainge..... ji.... Allah hafiz" Aayat ne call cut karkay mobile wapas apnay purse main rakh diya. Aur kuchh dair wahien bench pe taik lagaaye saamnay gair mueen nuqtay ko dekhti rahi.
***
Mateen Aditya ke saath khara tha jub uski nazar Rabia ki taraf pari jo apni doosri friend ke saath thi, usnay nazar ghuma ke Aayat ko dhoonda lekin  jub usay Aayat usay kahien nazar na aayi to wo thora paraishan honay laga.

Rabia aur Aayat zyada tar saath hi hoti hain, aur abhi Aayat ko kahien na dekhna , pehli baar Mateen ka dil dar aur fikar se bhar gaya. Wo Aditya se ek bahana bana kar Rabia ki taraf jaanay laga kekin tub tak wo ek ride main beth chukien thien.

Ab wo khud hi Aayat ko idhar udhar dhoondnay laga  , aur usay dhoondtay dhoondtay wo wapas daakhli gate ke qareeb pohanch gaya tha , aur phir  us ki nazar Bench pe bethi Aayat pe pari, aur uska dil pursukoon ho gaya , par jesay hi usnay  Aayat ke bheegay gaalo'n ko dekha , wo chund pal ka sukoon bhi khatam ho gaya.
Wo taqreeban bhaagta huwa uskay paas aaya tha.

" Aayat!...tum ..tum ro kyun rahi ho!?.kuchh huwa hai kya.!!" Aayat apnay khayaalon se nikli aur humaisha ki tarhaan Mateen uskay saamnay khara tha. Bus farq itna tha ke aaj uskay chehray pe shokhi aur muskurahat ki jagah fikar aur paraishani thi. Aur wo phoolti saanso'n ke saath apnay dono haath kamar pe rakhay huway usay khojti nazro'n se dekh raha tha.

Aaj Aayat ka larnay ya behas ka koi mood nahi tha , is liye usnay apni hathayli se apnay aansoo saaf kartay huway nafi main sar hilatay huway jawab diya.

" kuchh nahi huwa...." Mateen ko uskay jawab pe yaqeen nahien huwa aur wo bina ijazat uskay barabar bench pay uski taraf moo karkay beth gaya.

" jhoot mat bolo Aayat..ye ansoo be wajah kesay ho saktay hain ..."phir ek khayaal se uskay jism main gussay ki ek shadeed lehar dor gayi "kisi larkay ne kuchh kaha kya..batao Aayat!!"

Mateen taish bhari Aankhon se Aayat ko dekhtay huway poochh raha tha , aur  Mateen ki qayaas aaraion pe Aayat apna dukh bhool kay usay heraangi se dekhnay lagi.

" batao Aayat..!"

" mujhay abu ki yaad aa rahi hai!!!...t'is liye ro rahi thi ..." Aayat ne takreeban chillatay huway kaha. Aur Ab Heraangi se do chaaar honay ki baari Mateen ki thi.

" to.....apnay abu se phone pe baat karlo , is main ronay ki kya baat hai?.." Ab kay Mateen ne halki awaaz main mahwara diya.

" wo main kar chuki hoon mr Sherlock "

" to phir kyun ro kyun rahi ho.!!?." Ye larkian itni over emotional kyun hoti hain ?abu ki yaad aa gayi to beth ke ronay lag jaayain gi?Aayat ko rotay dekh wo pata nahi kya kya qayaas aaraaia'n kar chuka tha. Aur ye madam abu ki yaad main ansoo baha rahi hain.

"  aaj abu ki birthday hai ...main unkay paas jana chahti hoon.." Aayat ne halki awaz main bataya. Uska sar jhuka huwa tha aur uski ankho'n se aansoo gir kar uski jholi main tip tip gir rahay thay.

Ye sun kar Mateen ko ab uskay kiye bura mehsoos ho raha tha.

Mateen kuchh dair bina kuchh kahay khamoshi se usay dekhta raha . Aur phir achanak usnay haath baraha kar apna haath Aayat ke chehray ke neechay de diya aur usi second Aayat ka ek girta aansu Mateen ki hatheli par gira tha.

Mateen ki is achanak harkat pe Aayat chonktY huway ek dum se peechhay huwi par ab tak Mateen ne apna haath wapas kheench liya tha.

" ye kya harkat thi Mateen ..! " Aayat ki awaz gussay aur be yaqeeni se bhari huwi thi. Lekin Mateen ne Aayat ko koyi jawab nahi diya. Aur apni hatheli pe giray us moti jesay ashk ko dekhnay laga.

Usay khud nahi pata tha ke usnay aisa kyun kiya , Aayat ke ashko'n ko girtay dekh , pata nahi kab uska haath barh gaya tha.

" jaanti ho...kabhi kabhi maamuli sa dikhnay wala ye Ansoo, kisi ke liye seep ke moti se bhi zyada qeemti ho sakta hai..." Mateen ne gehri aur jazbo'n se bhari Awaz main kaha, uski nazar apni hatheli pe mojood Ashk se uth kar ab Aayat ke chehray par thi.

Mateen ki Ankhain jazba e ishtiyaaq(desire/longing ) liye jis shiddat aur mohabbat se Aayat ko dekh rahien thien , Aayat ko apni rooh tak Mateen ki ankho'n ke hisaar main qaid mehsoos ho rahi thi.

Mateen ke jazbo'n ki tapish ki taab na laatay huway Aatat ne haya se apni ankhain jhuka lien.

" main..main wo Rabia mera wait kar rahi hogi...to..." Aayat  nazrain churatay huway uth khari huwi aur bina Mateen ki taraf dekhay ya uska jawab sunay wahan se chali gayi. Us ka dil taiz raftaar se dharak raha tha.

Mateen dheemi muskurahat liye usay jaata dekhnay laga.

Kam az kam Aayat ne rona to bund kar diya tha, Us ne dil main socha.
Aur phir uski nazar apni hatheli pe Aayat ke ansso ki taraf gayi.

Wo is qeemti seep ko zameen par phainkna nahi chahta tha. Phir kuchh soch kar usnay apni hatheli apnay honto'n ke qareeb kardi aur us Aansoo ko pee liya.

***********
Aaj wo bohat thak gayi thi is liye apnay room main daakhil honay ke saath hi wo bistar par gir gayi thi.

Par achanak uskay room pay knock ki awaz pe Aayat ne aankh kholi , aur ye soch kar ke zaroor Rabia hogi wo marail qadmo'n ke saath darwazay tak aayi aur aadh khuli ankh se darwaza khola.

Saamnay jo shakhs khara tha usay dekh Aayat ki ankhain ek dum se poori khul gayien.

" Hii.."

😲😲😲😲😲😲😲😲

Salaam😊😊😊 vote and comments farz hain😊

Haan haan pata sub ka mujhay maarnay ko dil kar raha hoga is wat , par main kya karoon Aadat se majboor jo hoon😜😜😜

Subsay favourite scene aur dialogue konsa laga🤔🤔

Aur.....darwazay par kon tha aur kyun🤔🤔🤔🤔

Next update: Saturday 😀

Continue Reading

You'll Also Like

662K 6.4K 55
Part 1: kacchi dor se bandhe hum tum (cmplt) Part 2: Likh du aasma pr (cmplt) Part 3: Inkishaaf e yaar (cmplt) Part 4: Teri deewani (ongoing)
68.3K 4.9K 20
𝐏𝐚𝐚𝐤 - پاک /pure/ 𝙎𝙖𝙧𝙩𝙖𝙖𝙟 𝙎𝙖𝙡𝙖𝙪𝙙𝙙𝙞𝙣 𝘼𝙡𝙖𝙢 : 𝘛𝘩𝘦 𝘧𝘶𝘵𝘶𝘳𝘦 𝘩𝘦𝘪𝘳 𝘰𝘧 𝘈𝘭𝘢𝘮 𝘬𝘰𝘩𝘴𝘢𝘢𝘳, 𝘈 𝘳𝘶𝘵𝘩𝘭𝘦𝘴𝘴 𝘭...
273K 7.7K 74
قصه بقلم : هند محمد ( ازيس محمد ) قصه رومانسيه اجتماعيه بين ريم وكريم وتدور الاحداث حولهم من مصاعب ومشاكل وكيف نجاح قصة حبهم بالزواج فى الاخر قصه ك...