Sazaye ishq. سزائے عشق Comp...

By frozenRose3112

158K 10.2K 11.6K

Sazaye ishq 1 ( completed✔️) Sazaye ishq 2 ( completed)✔️) Sazaye ishq ,jazaaye shabaab hasti asst Nigaar e... More

Chapter 1
Chapter 2
Chapter 3
Chapter 4
Mateen chapter 5
Aayat. Chapter 6
Mateen : chapter 7
Aayat chapter 8
Chapter 9
Chapter 10
Chapter 11
Chapter 12
Chapter 13
Chapter 14
Chapter 15
Chapter 16
Chapter 17
Chapter 18
Chapter 20
Chapter 21
Chapter 22
Chapter 23
Chapter 24
Chapter 25
Sazaye ishq Trailer
Chapter 26
Chapter 27
Chapter 28
Chapter 29
Chapter 30
Chapter 31
Chapter 32
Sazaye ishq 2
Book 2❤️Chapter 1
Book 2❤️Chapter 2
Book 2❤️chapter 3
Book 2 chapter 4
Book 2 chapter 5
Book 2 , Chapter 6
Book 2 , Chapter 7
Book 2, Chapter 8
Book 2 , chapter 9
Book 2 , chapter 10
Book 2 , chapter 11
Book 2 , Chapter 12
Book 2 , chapter 13
book 2 chapter 14
Book 2 chapter 15
Book 2 chap 16
Book 2 chap 17
Book 2 , chap 18
Book2 :Chapter 19
Book 2: chapter 20
Book 2 ❤️chapter 21
Book 2 : chapter 22
Book 2 chap 23
Book 2 Chapter 24
Book 2 chap 25
Book 2 chapter 26
Book 2 chapter 27
Book 2 chapter 28
Book 2 : chapter 29
Book 2 chapter 30
Book : chap 31
Book 2 chapter 32
Book 2 chapter 33
Book 2 : chapter 34
Book 2 : chapter 35
Book 2 : chapter 36
Book 2 : chapter 37
Book 2: chapter 38
Book 2 : chapter 39
Book 2 : chapter 40
Book 2 : chapter 41
Book 2: chapter 42
Book 2 : chapter 43
Book 2 : chapter 44 (last chapter)
Epilogue
Moomal

Chapter 19

1.8K 144 185
By frozenRose3112

Us ko na pa sake thay jab dil ka ajeeb haal tha,
Ab jo palatt ke dekhiye baat hi kuch muhaal thi,
Meri talab tha aik shaks woh jo nahin mila to phir,
Hath dua se yoon giray bhool gaya sawaal bhi

           🌾PARVEEN SHAKIR🌾
chapter 19
⚔⚔⚔⚔⚔⚔⚔⚔⚔⚔⚔⚔
Aayat ke jaanay ke baad Zarish ka paraishani se bura haal tha , wo kayi dair tak yunhi ghar main kisi rooh ki tarhaan bhatakti rahi ke uska dimaagh kisi aur cheese ki taraf ho par , har baar ye khayaal usay be chain kar deta ke pata nahi Aayat Zoyan se kya keh rahi hongi aur Zoyan aapi ka dil jeet paaye ga ke nahi .

Aakhir apna dimaagh kharaab honay se bachanay ke liye isnay apni dost ke ghar jaanay ka faisla kiya jo uskay ghar se kuchh hi faasly par rehti hai , wo apni ammi ko bata kar apni dost ainy ke ghar chali aayi. Par yahan bhi uska wesa hi haal tha.

Wo Ainy se uskay honay waalay susraal ki buraaiyaan sun rahi thi jub uska mobile bajna shuroo ho gaya , aur jub us ne screen par Zoyan ka naam dekha to uskay ausaan khata ho gaye aur dil zor zor se dharakna shuroo ho gaya.

Wo Ainy se excuse karkay uskay kamray main aa gayi taakay akelay main Zoyan se baat kar sakay.

Usnay zyada kuchh na sochtay huway call attend ki ,

" Zarish is waqt kahan ho tum ..?"
Zarish ke kuchh bhi kehnay se pehlay Zoyan ne us se sawal kar diya. Aur uski awaz main phaili sanjeedgi se Zarish ko kisi buri khabar ka andesha honay laga.

" kyun..? Kya huwa..sub kuchh theek..."

" Zarish meri baat suno...tum..tum is waqt jahan bhi ho ..foran Aayat ke paas jao..theek hai..?"Zoyan ne zarish ki baat ko kaattay huway sanjeedgi se kaha.

" Zoyan kuchh batao to sahi...kya baat hai..tum mujhay dara rahay ho.." Aayat ke naam pe Zarish ko kayi wehmo'n ne aa ghera tha aur Phir Zoyan bhi kuchh saaf nahi bata raha tha.

"Meri jaan, main tumhain is waqt kuchh nahi bata sakta .. Please wo karo jo abhi main keh raha hoon...theek hai..!" Is baar Zoyan ne narmi se kaha to Zarish ne koi chaara na paatay huway haan kaha, aur uskay haan kehtay hi Zoyan ne call cut kar di.

Zarish kuchh pal wahien mujasma(statue) bani rahi. par do pal baad wo harkat main aayi aur kamray se bahar nikal kar Ainy se ek bahana karkay wahan se ghar ki taraf chal pari.

Pooray raastay uska dimaag pata nahi kya kya khauf daar kahania bana chuka tha, aur jub tak wo ghar ke darwazay tak pohanchi uska poora jism dar ke maaray thanda par chuka tha.

Wo baar baar door bell bajanay lagi , aur kuchh hi dair main unki mulazima naaila ne darwaza khola.

" aapi kahan hai..?" Ander daakhil hotay hi usnay subsay pehlay Aayat ke baaray main poochha.

" baaji thori dair pehlay hi aayien hain...aur wo apnay kamray main chali gayien.." Naaila ne bataya.

" aur ammi..?"

"Wo aap ke jaanay ke baad se apnay kamray main hain ,abhi tak bahir nahi aayien. " mulazima ka jawab suntay hi wo seedhi apnay aur Aayat ke room ki taraf jaanay lagi to peechhay se Naaila ke bulanay par wo ruk gayi aur bezaari se usay dekha.

"Wo...Aayat baaji jub aayi to...wo bohat ro rahien thien..aur.." Naaila ka ye kehna tha ke Zarish uski poori baat sunay bina hi apnay kamray ki taraf taqreeban bhaagtay huway gayi.

Taiz dharaktay dil ke saath wo darwaza khol kar ander dakhil huwi, par Aayat ko wahan na pa kar uska dil aur be chaini ka shikaar honay laga. par jub usay bathroom se shower ki awaz aayi to usnay andaza laga liya ke Aayat zaroor baathroom main hogi.

" ya Allah sub kuchh theek ho...please..please " ye kehtay huway wo bathroom ke darwazay ke aagay ruk gayi aur knock karnay lagi ..,,jub ander se koi jawab na aaya to wo Aayat ko awaz denay lagi , par jub Aayat ne phir bhi koi jawab nahi diya to ab Zarish ka dil uski halaq main aa gaya tha.. Usay kuchh theek nahi lag raha tha.

Zarish ne handle ghumaya to wo unlock tha, usnay aur kuchh na soojhtay huway ander jaanay ka faisla kiya , aur ek lambi saans lekar usnay darwaza khol diya.

" Aapi..!"Saamnay jo manzar usay nazar aaya tha usay dekh kar be saakhta Zarish ke moon se nikla tha.

**********
Do teen pal wo yuunhi us tooti bottle  ko dekhti rahi , wo jaanti thi ke wo jo soch rahi hai wo ghalat hai ...par is waqt wo kisi bhi tarhaan is dard ko khatam karna chahti hai... in yaado'n ko khud se door rakhna chahti hai , aur iskay ilawa usay aur koi chara nazar nahi aa raha tha.

Kitni dair se uskay ooper girta thanda paani uskay jism ko suun kiye ja raha tha , par is waqt wo jis zehni haalat se guzar rahi thi uski wajah se wo har jismaani takleef se barh kar thi.

Aayat ne apna kaanpta haath us sheeshay ki taraf barhaaya aur usay thaam kar apny qareeb khainch liya , wo wahien letay us sheeshay ke tukray ko apnay haath main thaamay dekh rahi thi aur apnay anguthay se uski teekhi kinari par phairnay lagi. Wo kinari itni taiz thi ke ek hi second main Aayat kay anghuthay ki skin cut gayi aur us jagah se taizy se khoon behna shroo ho gaya.

Magar Aayat ko kuchh bhi mehsoos na huwa...uski surkh ankhain abhi tak us sheeshay par jami thien aur dimaag is soch main ke , kitna aasaan hoga apnay is dard ko khatam karna...bus kucch dair...

Haath main sheesha liye wo aaraam se deewar par taik laga kar beth gayi...aur apna khoon se bhara haath jis main sheesha tha wo apni doosri kalaayi ki taraf laayi.bus ek cut aur phir sub kuchh khatam.....

"Paanchh saal se is ghar main har fard sirf aapki khushi ke baaray main sochta hai... Par aap ...aap ek khud-garz insaan ki tarhaan sirf apnay baaray main sochti rahien ,"

Zaraish ke kahay gaye alfaaz uskay kaano'n main goonjnay lagay ' aur uska barhta haath wahien ruk gaya. Ek baar phir Aayat sirf apnay baaray main soch rahi thi..sirf apni takleef ke baaray main , ye jaantay huway ke jub Aayat ne pehli baar aisa kuchh karnay ki koshish ki thi to uskay apno ki kya haalat huwi thi , wo kitna paraishan ho gaye thay.

Usnay rotay huway wo sheeshay ka tukra saamnay phink diya aur apna chehra apnay haatho'n main le kar be tahasha roti rahi. Na wo jee sakti thi na mar...usay samajh nahi aaraha tha ke wo kya karay.

ya Allah meri madad kar...meri aazmaaish khatam kar day..meray dil o dimaag ko sukoon de....us ka dil uska rom rom apnay parwardigaar se madad maang raha tha.

Wo usi haalat main wahien bethi roti rahi ...usay pata bhi nahi chala ke kisi ne do teen baar darwaza knock kar kay usay awaz di ... Aur wo ab bhi be khabar thi jub kisi ne darwaza khola.Usay hosh tab aaya jub kisi ne Usay pukaartay huway uskay haath uskay chehray se hataye.

Saamnay Zarish usay paraishani se dekh rahi thi, Zarish ki ankho'n main apnay liye fikar o paraishani dekh kar Aayat us se lipat gayi aur na chahtay huway bhi ba awaz roti rahi.

Zarish ne isay apnay hisaar main le  liya aur uski ankhain bhi nam ho gayien , wo usay halki awaz main chup honay ke liye kehti rahi oar khud wo bhi apnay ansuon ko behnay se nahi rok oaa rahi thi.

usay samajh nahi aa raha tha ke wo Aayat se kya poochhay , wo khud ander se khauf zada thi ke Aayat ka jawab wo bardasht kar paaye gi ke nahi.  , uska dil aur dimaag kashmakash ka shikaar ho gaye thay , Aayat ki is haalat ki wajah Zoyan ho sakta hai , ye soch bhi uskay liye na qaabil e  qabool  thi..par Aayat subha bilkul theek thi , aur ab...

************

Zarish se baat karnay ke baad wo wapis usi road tak aaya jahan usnay Mateen ko chhora tha. Mateen ab bhi wahien khara tha , jub Zoyan ne car wahan roki to Mateen bina kuchh dair kiye Car main aakay beth gaya.

" Mateen..."

" Mujhay is waqt kuchh nahi kehna" Mateen ne Zoyan ke mazeed kuchh bhi kehnay se pehlay hi sakht lehjay main kaha.

Zoyan ne jub uskay chehray ki taraf dekha to usay thori dair pehlay ek tootay insan jis ki ankhai'n uskay dil ki keifiyat bayaan kar rahien thien , ab uski jagah ek jazbaat se aari shakhs nazar aaya , Mateen ki ankhain kisi bhi jazbay se khaali thien, jesay wo ek pathar dil ka maalik ho. Usay is tarhan dekh kar Zoyan ne kuchh dair ke liye khamoshi ikhtiyaar kar li aur car start kar di.

Jub Aayat ander apnay ghar main chali gayi to Zoyan ne Zarish ki call ka wait kiya , lekin jub Zarish ki taraf se kuchh na aaya to , Zoyan ne khud Zarish ko call ki thi.

Jub Zarish ne Zoyan se uski baat ki wajah poochhi thi , to pamhay bhar ke liye Zoyan ko laga ke wo Zarish ko kho de ga , par doosray hi pal usnay apnay dimaag se is manhoos khayaan ko jhatka tha. Aur shukar tha ke Zarish me uskay kehnay par koi sawal koye bagair amal karnay ke liye haan kehdi, warna wo Zarish ko kya batata...wo to khud anjaan tha ke aakhir aaj jo kuchh huwa us ki wajah kya hai.

Poora Raasta khamoshi se kat gaya , par Zoyan ka dimaag un ginat sawaalo'n se ghira huwa tha , aur jin ka jawab wo Mateen se har haalat main lena chahta hai.

Gare se hokay Car jub unkay porch main ruki to Mateen ne ek bhi second dair kiye bagair car se nikal gaya aur lambay dug(stride) bhartay huway ander dakhil ho gaya. Ye bhi dekhay bagair ke peechhay Rida usay ruknay ke liye awazain de rahi hai.

Zoyan bhi uskay peechhay jaanay laga par Rida ne abki baar usay rok liya.

" ye Mateen bhaai ko kya huwa hai? Wo kuchh ajeeb lag rahay thay..kuchh huwa hai kya..?" Rida ne darwazay taraf dekhtay huway heraani se poochha.

" kuchh nahi huwa.. Wo aisay uskay sar main dard ho raha tha shayad is liye" Zoyan ne bahana banaya aur bina Rida ka jawab sunay wo Mateen ke peechhay barh gaya.

Living room main koi nahi tha , is liye bina kisi ke rokay wo seedha Mateen ke room ki taraf chala aaya. aur bina darwaza knock kiye wo ander daakhil ho gaya.

Mateen saamnay bed se taik lagaaye Zameen par betha huwa tha , wo apnay  dono baazu bed ki kinaati par phelaaye aur sar ooper chhat ki taraf kiye kisi gair mueeni nuktay ko dekh raha tha. Darwaza khulnay aur bund honay ki awaz par bhi usnay apni nazar Zoyan ki taraf nahi ki.

" Main jaanta hoon...tum yahan kyun aaye ho Zoyan.....par main tumhain kuchh nahi bata sakta.." Mateen ne ab bhi Zoyan ki taraf dekhay bagair bhaari  Awaz main kaha. Aur Mateen ke ye kehnay ke saath hi Zoyan ka paara barhnay laga. Mateen ne soch bhi kesay liya ke Aaj jo kuchh usnay dekha aur suna  , us sub kay baad wo itni Aasaani se Mateen ki khaamoshi qabool kar lega.

" Tum Aayat ko kesay jaantay ho!?" Zoyan ne aagay barhtay huway do tok andaaz main poochha.

"  main tumhain nahi bata sakta"

" tumhain batana hoga Mateen! Tumhain dekh kar uski aisi haalat kyun ho gayi thi. Tum is tarhan khaamosh nahi reh saktay" Zoyan ne soch liya tha ke Mateen chahay ya chahay usay Zoyan ko such batana hi hoga.

Mateen ne itni dair main pehli baar Zoyan ki taraf dekha , aur Mateen ki ankho'n main dard ghum , gussa,...kya na tha is waqt uski ankho'n main.aur usay dekh  pal bhar main Ziyan ka  gussa hamdardi main tabdeel ho gaya.

" Tum chalay jao yahan se..., mujhay akela chhor do Zoyan.." Mateen ne phir se apni nazar Zoyan se phiartay huway rundhi huwi awaz main kaha. "

Aisa kya huwa tha Mateen aur Aayat ke darmyan jo Mateen ko itni takleef de raha hai....aisi kya baat hai jisay wo chhupa raha hai.
Wo do qadam aagay barh kar Mateen ke aagay zameen par beth gaya.

" tum jaantay ho wo Zarish ki behn hai ...aur aaj jo kuchh huwa uskay baad mera aur Zarish ka rishta kis mor pe aa jaaye ga ye tum achhi tarhan se jaantay ho , tumhain nahi laga ke suchaayi jaannay ka mujhay bhi huq hai..?...please mujhay batao , tum Aayat ko kesay jaantay ho" Zoyan ne do ghantay se uskay dil main betha  dar apni zabaan  pe laatay huway halki awaz main  kehtay huway phir Mateen se sachaayi jaannay ki koshish ki.

Par Zoyan ki baat pe is baar Mateen ki aankhain taish se bhar aayien thien.aur wo jhatkay se uth kar khara ho gaya.

" sachaayi....konsi sachaayi ... Jiski wajah se maine apna bhaai jesa dost kho diya , ya jis se anjaan hokay bhi meri maa paanchh saal tak meray liye parishaan hotay huway beemaar ho gayi!!..aur jis ki wajah se main aaj tak na jee sakta hoon aur na hi mar sakta hoon!!!..,aur tum chaahtay ho kay main tumhain ye sub bata doon..."

Ab tak  Mateen ki awaz bhara gayi thi , aur wo chalta huwa apnay Room ki khirki ki taraf chala aaya aur uski kinari pe haath rakhtay huway wo bahar ki jaanib dekhtay huway apni baat ko jaari rakha.

" nahi Zoyan....mujh main tum sub ko khinay ki himmat nahi hai....main tumhari aankho'n main bhi apnay liye nafrat nahi dekh sakta...."Mateen ki awaaz bharra gayi thi aur usnay khirki ke kinaray ko mazbooti se pakra huwa tha.

Jahan ek ek lafz kehtay huway Mateen ki khud se nafrat barh rahi thi , wahien doosri taraf Zoyan ko ek ek lafz dhachkay ki tarhaan mehsoos ho rahay thay.

Wo khaamosh qadmo'n se barhta huwa Mateen ke peechhay khara ho gaya aur uskay shaamay par haath rakh diya.

" suchaayi kuchh bhi ho..meray dil main tumharay liye nafrat kabhi paida nahi hogi...." Mateen ke maazi main jo kuchh bhi huwa ho ya wo chaahay jo bhi apnay baaray main sochay , par itnay din Mateen ke saath waqt guzaarnay ke baad usay jaan'nay ke baad Zoyan ko Mateen ke saaf dil aur aalaa kirdaar main koi shuk nahi tha.

" theek hai....tum such jaan'na chatay ho to phir main tumhain sub kuchh bataoon ga...par main jaanta hoon aaj is kamray se jaanay ke baad tum kabhi mujhay is nazar se nahi dekh pao ge , jis nazar se abhi tak dekhtay rahay ho. Tum bhi mujh se nafrat karnay lago ge"

Mateen ke ye kehnay par Zoyan nafi main gardan hilatay huway usay kuchh kehna chaha par Mateen ke is aglay inkishaaf(disclosure) par Zoyan ke lafz uskay moon main hi reh gaye.

" meri Aayat se paachh saal pehlay Dubai main mulaqat huwi thi..."

😱😱😱😱😱😱😱😱😱😱
Vote and comment farz hai😉😉

Assalaam u Alaikum my lovely Readers 😊

Achha ab kis kis ko lagta hai ke such jaannay ke baad Zoyan bhi Mateen se nafrat karay ga.

Next chapter main
Dubai main jo kuchh huwa , wo sub bataya jaaye ga. 😉😉










********

Continue Reading

You'll Also Like

68.4K 4.9K 20
𝐏𝐚𝐚𝐤 - پاک /pure/ 𝙎𝙖𝙧𝙩𝙖𝙖𝙟 𝙎𝙖𝙡𝙖𝙪𝙙𝙙𝙞𝙣 𝘼𝙡𝙖𝙢 : 𝘛𝘩𝘦 𝘧𝘶𝘵𝘶𝘳𝘦 𝘩𝘦𝘪𝘳 𝘰𝘧 𝘈𝘭𝘢𝘮 𝘬𝘰𝘩𝘴𝘢𝘢𝘳, 𝘈 𝘳𝘶𝘵𝘩𝘭𝘦𝘴𝘴 𝘭...
158K 10.2K 80
Sazaye ishq 1 ( completed✔️) Sazaye ishq 2 ( completed)✔️) Sazaye ishq ,jazaaye shabaab hasti asst Nigaar e yaar , figaar e jigro masti asst Visaal...
55.4K 9.4K 31
هێی خاتونی چێشت لێنەر..! ئەترسم دوبارە خۆشەویستی بکەم و دڵت بشکێنم و نەتوانم تۆم خۆشبوێت بەقەد ئەوەی تۆ منت خۆشەوێت با دوبارە خۆشەویستی بکەینەوە...
403K 22.1K 53
Mehr-o-Mah (مہر و ماہ) - The sun and the moon A collection of short stories filled with love, spice, drama and a roller coa...