Sazaye ishq. سزائے عشق Comp...

By frozenRose3112

158K 10.2K 11.6K

Sazaye ishq 1 ( completed✔️) Sazaye ishq 2 ( completed)✔️) Sazaye ishq ,jazaaye shabaab hasti asst Nigaar e... More

Chapter 1
Chapter 2
Chapter 3
Chapter 4
Mateen chapter 5
Aayat. Chapter 6
Mateen : chapter 7
Aayat chapter 8
Chapter 9
Chapter 10
Chapter 11
Chapter 13
Chapter 14
Chapter 15
Chapter 16
Chapter 17
Chapter 18
Chapter 19
Chapter 20
Chapter 21
Chapter 22
Chapter 23
Chapter 24
Chapter 25
Sazaye ishq Trailer
Chapter 26
Chapter 27
Chapter 28
Chapter 29
Chapter 30
Chapter 31
Chapter 32
Sazaye ishq 2
Book 2❤️Chapter 1
Book 2❤️Chapter 2
Book 2❤️chapter 3
Book 2 chapter 4
Book 2 chapter 5
Book 2 , Chapter 6
Book 2 , Chapter 7
Book 2, Chapter 8
Book 2 , chapter 9
Book 2 , chapter 10
Book 2 , chapter 11
Book 2 , Chapter 12
Book 2 , chapter 13
book 2 chapter 14
Book 2 chapter 15
Book 2 chap 16
Book 2 chap 17
Book 2 , chap 18
Book2 :Chapter 19
Book 2: chapter 20
Book 2 ❤️chapter 21
Book 2 : chapter 22
Book 2 chap 23
Book 2 Chapter 24
Book 2 chap 25
Book 2 chapter 26
Book 2 chapter 27
Book 2 chapter 28
Book 2 : chapter 29
Book 2 chapter 30
Book : chap 31
Book 2 chapter 32
Book 2 chapter 33
Book 2 : chapter 34
Book 2 : chapter 35
Book 2 : chapter 36
Book 2 : chapter 37
Book 2: chapter 38
Book 2 : chapter 39
Book 2 : chapter 40
Book 2 : chapter 41
Book 2: chapter 42
Book 2 : chapter 43
Book 2 : chapter 44 (last chapter)
Epilogue
Moomal

Chapter 12

2K 149 271
By frozenRose3112

Meri Nazar ne To dil tak rasayi di thi usay.......💕💕💕💕
Meri Rooh main wo apnay hunar se utra hai....!!!💕💕💕

                              🌺MiRZA GHALIB🌺

                                   ☘☘☘☘☘☘☘☘☘☘☘☘

chapter 12

Aaj Dubai main unka doosra din tha. Aur aaj wo sub burj-al-khalifa dekhnay jaa rahay thay.

jub Aayat ko pata chala ke aaj wo dunya ki sub se unchi building ko dekhnay ja rahay hain , aur to aur wo usay andar se dekh sakain ge , uski to khushi ka koi thikana hi na raha tha.

Par is sub khushi main ek kaanta, nahi balkay do kaantay baar baar uski halak main phans rahay thay. 

Ek tha wo Haadi , jo uskay room kay ilawa baaqi har jagah, jahan wo aur Rabia jaatien wahan uski mojoogi laazman hoti. ye sub wo us Rabia ki be waqoofi ki wajah se bhugat rahi thi.

Wesay Haadi bura nahi tha. Balkay Rabia to Haadi ki company ko bohat enjoy kar rahi thi,  par masla Aayat ka apna tha , jisay baaqi kisi bhi gair  larkay ki tarhan us kay saath bhi itna ghulna milna pasand nahi  tha. par wo kuchh keh bhi nahi sakti thi. Is liye khamosh hi rehti.

Aur doosra tha wo Mateen...! us shakhs ne to húd hi kar di thi.

Aayat ki is trip ko kharaab karnay ki to jesay us nay qasam le rakhi thi. Wo har baar kisi na kisi bahanay se aakay unkay saath beth jaata. unkay saath aisay baatain karta jesay wo ek din kay nahi , balkay bachpan ke jaan'nay walay hon.

khaas tor par jub Haadi Aayat se kuchh baat karna chahta to usi waqt Mateen ko bhi koi na koi baat yaad aa jaati , aur Haadi ke kuchh bhi kehnay se pehlay hi apni baat karna shuroo kar deta.

Aayat ko shak ho raha tha wo ye sub kuchh jaan boojh kay kar raha hai.

jesay kal raat ki baat lelo. jub baaqi group ki tarhan wo bhi dinner ke liye sub ek table par  saath bethay thay. Jin main Aayat , Rabia aur unki friends kay ilaawa Haadi bhi mojood tha. Par kuchh hi dair main Mateen aur Aditya bhi bin bulaye mehman ki tarhaan , wahien unkay saath beth gaye.

Aur un dono ko dekh kar iski baaqi friends itni khush huwi jesay kisi Prince Charming ki entry ho gayi ho.

Wesay wo khud bhi is baat se inkaar nahi kar sakti ke Mateen bohat handsome tha.

usay yaad hai jub pehli baar uski nazrain Mateen pe pari thien , ek second kay liye to wo khud bhi uski taraf  attract huwi thi.  par uskay moo kholtay hi Aayat us sehar se nikal bhi gayi thi. 

Lekin ab bhi wo jub bhi uski aankhon main dekhti hai ,  Aayat be ikhtyaar apna wajood unain doobtay mehsoos karti hai. Wo aankhain usay apnay hisaar main qaid rakhnay ka hunar achhi tarhan se jaantien hain.

Aur isi liye wo jub bhi Mateen ko dekhti to humaisha uski Ankho'n main na dekhnay ki koshish karti thi .

Us pooray dinner ke doran wo Mateen ki nazrain khud par mehsoos kar rahi thi. Jiski wajah se wo theek se khana tak na kha paayi thi. Wo dil hi dil main usay be shumaar rangeen alqbaat se nawaazti rahi.

Wo koyi do saal ki bachi nahi thi jo Mateen ki maainay khaiz nazaron aur zu maani guftagu ko na samajh sakay. Wo achhi tarhan jaanti thi ke Mateen us main interested hai.

par jo baat usay bilkul samajh nahi aa rahi thi , wo ye thi kay itni khoobsurat larkion ke hotay huway wo uskay peechhay kyun par gaya hai..?

Wo hi kyun!!?...

" kin sochon main ghum ho madam?.."

Is waqt wo sub Burjul khalifa ke Elevator main thay , aur Elevator main kuchh mini screens aur chhoti lights ki bilkul halki si roshni thi.

Aayat ki nazar saamnay lagi screen par thi , par dimaag kayi socho'n main gum tha , jub Rabia ki awaz par usnay chonk kar uski taraf dekha.

" baad main bata'un gi tumhan " Ye keh kar usnay apni nazar wapas saamnay floor numbers ki taraf kardi jo tezi se barh rahay thay.

Unkay package ke mutaabik  Elevator 124th floor tak ruk gaya.
Jub darwaza khula aur wo sub Elevator se bahar observation desk main daakhil huway to jis manzar ne un sub ka Suaagat kia wo un sub ko apnay sehar main lenay ke liye kaafi tha.

"Subhaan Allah ..." Glass ke saamnay kharay hokar bahar ki taraf dekhtay hi , be'ikhtyaar  Aayat ki zabaan se ye lafz niklay thay.

" waqayi.... subhaan Allah ,bohat khoobsurat hai.." Aayat saamnay dekhnay main itni magan thi ke wo apnay saath kharay Mateen ko bhi na mehsoos kar saki.

" aur jo manzar main dekh raha hoon .. Wo tumharay manzar se zyada khoobsurat hai.."

Is baat par Aayat ne uski taraf asamjhi se dekha to Mateen ko apnay seenay se haath baandhay shareer muskurahat liye usi ki taraf dekhtay paaya.

"Phir se nahi..." Aayat ne moon hi moon main kaha "

"Kuchh kaha tum ne Aayat..?" Aayat ne Mateen ko jawab na dena hi behtar samjha aur wapas glass ki taraf mur gayi.

" wesay yellow colour tum pe suit karta hai. Bilkul ek chamakta suraj lag rahi ho." Pehlay kabhi Mateen ko kisi larki kay liye itni koshish nahi karni pari thi. Is liye wo nahi jaanta tha kay aisa kya kahay jis se Aayat khush ho jaaye.

Par Shayad ek ye wajah bhi thi jo Aayat uskay liye ek challenge bhi bun gayi thi. Aur challenges kisay pasand nahi hotay..?

Mateen ke ye kehnay par Aayat ne chonk kar herat se Mateen ki taraf dekha.

" Tumhain dikhayi nahi deta ke main tumhain avoid kar rahi hoon.,?! is kay bawajood tum har baar kisi na kisi bahanay se mujh say baat karnay ki koshish kar rahay ho. Self respect naam ki koyi cheez hai bhi kay nahi tum main?.!". Aayat ne aakhir khul kay baat karnay ka faisla kar liya tha.

"Awww... meri billi ko to gussa aa gaya...? "

Ye suntay hi Aayat ka paara aasman tak pohanch gaya tha.

" how dare..... main billi nahi hoon. " us ne dheemi awaz main Mateen ki taraf cheekhnay kay se andaz se kaha. Wahan mojood baqi tourists ki awaz ki wajah se koi in dono ki baatain nahi sun sakta tha.

" tumhain billi naam pasand nahi aaya ..? Achha phir chuhiya theek hai? " Mateen ko Apnay saamnay khari gussay main laal hoti Aayat bala ki khoobsurat lag rahi thi. Is liye us nay Aayat ko mazeed tease karnay ka socha. .

"Tum chuhay.... ! tum-tumhari aanay wali poori nasalain chuhay!! , tum hotay kon ho mujh pe in jaanwaro'n ke naam rakhnay walay, pagal insan...!!"

" us waqt tak Mateen apni hansi nahi rok saka aur wo zor zor se hansnay laga jis par Aayat ka dil kiya kay ya to wo Mateen ko is building se phenk de ya khud yahan se kood jaaye. Par saamnay mojood mazboot glass ki meharbaani se aisa mumkin nahi tha.

" wesay agar meri nasal chuha hogi To phir to tumhaari agli nasal bhi chuha hi huwi. Haina.... Kuchh samajh aaya....?" Mateen ne Aayat ki taraf zara sa jhuk kar shokh muskurahat ke saath kaha aur  bina Aayat ka jawab sunay wahan se hat gaya.

Aayat ko jub uski baat ka matlab samajh aaya to uski ankhain herat aur gussay se phat gayien.  aur wo uski taraf mur gayi.

" chha-chhundar kahien kay , apnay dimaag se fuzool baatain nikaal do, kyunkay aisa kabhi nahien hoga..!.." Aayat ne bina kisi ki parwah kiye usay gussay se kaha. Aur Mateen jo abhi Aayat se thoray faaslay par tha uskay is naye aizaz par mura aur usay myskuratay huway ankh maar kar wapas jaanay laga.

"Ya Allah ye konsa leech meray peechhay par gaya hai." Aayat ne roti shakal kay saath halki awaz main kaha tha.

•••••••••••

" kyun janab kin khayaalon main khoye huway ho"

Mateen Idrees aur Zoyan teeno clifton kay qareeb ek club main Aaye huway thay.

Aaj Mateen ka kahien janay ka mood nahien tha par Zoyan aur Idrees dono Mateen ko taqreeban ghaseet kar laaye thay. Aur abhi jub wo dono apnay doston ke saath gup shup kar rahay thay. tab tak Mateen wahien cold drink peetay huway apnay khayaalon main kab gum ho gaya usay ahsaas bhi nahi huwa tha.

" Oh Mateen bhaai , apnay khayaalon se bahar niklo..."

Idrees ki Awaz pe Mateen ne uski taraf dekh kar jabran muskurahat ke saath usay dekha aur apni cold drink ka sip liya.

"Hey guys..! Kisi ne dekha ...? wo Saamnay jo red dress main larki khari hai, wo kabsay Mateen bhai ko dekhay ja rahi hai. " Zoyan kay dost Nawaz ne jub ye bataya to sub ki nazarain us larki ki taraf gayien , jo waqayi Mateen ki taraf hi dekh rahi thi. "

"wah yar .. Idhar hum itna bun than kay aaye huway hain aur kab say aas main bethay hain kay koi hum pe nazre karam farma de , lekin abhi tak ek makhi bhi barabar se nahi guzri ,  aur idhar aap hain jinhain pata bhi nahi  ke unpay line mari ja rahi hai....? " Nawaz ne rashk (envy) bharay andaz main kaha.

Mateen ne jawab main kuchh nahi kaha bus muskuratay huway us larki ki taraf dekha , jo ab usi ki taraf aa rahi thi. Tight sleeveless dress main malboos wo larki Aayat se kitni mukhtalif thi.

Jahan Aayat kay lambay dark brown baal thay , is larki kay light brown baal shaanay tak stylishly katay huway thay.

Jahan ek taraf Aayat ka safaid chehra humaisha make up ki layers se paak hota tha , is larki ne apnay chehray ko ba qaaida paint kiya huwa tha.

In dono main zameed aur aasman ka farq tha.

jub bhi wo kisi larki ko dekhta, to har baar na jaanay kesay uska dimaag us larki ko Aayat se compare karta. Aur har baar Aayat usay sub se zyada khoobsurat lagti.

Shayad isi liye kehtay hain ke khoob-surati dekhnay walay ki Ankh main hoti hai. Aur uski nazar main Aaj bhi sub se zyada haseen larki sirf Aayat hi hai.

" hii guys." Wo larki unkay saamnay aa kar khari ho gayi. Uski nazar gaahay-ba-gaahay saamnay White t shirt aur black jeans main malboos serious looks kay saath bethay Mateen pe ja rahi thi. Aur baqi Zoyan aur Idrees jahan Mateen ki itni be-nyazi pe heraan ho rahay thay , wahien Nawaz kay jalan se phulay huway chehray pe ba mushkil apni hansi rokay huway thay.

" Hello " Mateen kay ilawa un teeno ne uskay hi ka jawab diya.

" kya main aap logon kay saath beth sakti hoon?" Wo larki kuchh zyada hi be-baak thi. Mateen ne socha.

" yes please.." Idrees ne kaha. Aur Wo unkay sofa kay saamnay rakhi seat par beth gayi.

" my name is Anita " usnay apna taaruf karaya. Aur Zoyan ne bhi sub ka taaruf karaya, lekin jub Zoyan ne Mateen ka taaruf karaya to Anita Mateen ko aisay dekhnay lagi jeaay uski laakhon dollars ki lottery nikal aayi ho.

" tabhi maine pehlay kabhi aapko yahan nahi dekha. Meri Aunt bhi Central London main rehti hain. "

" to hum kya karain .. Achaar daalain tumhari aunt ka..? Nawaz ne halki awaz main barbaraaya jo loud music ki wajah se Anita ne to nahi , par idrees aur Zoyan ne bakhoobi suna tha.

Nawaz ke is fiqray se uski hansi nikal gayi thi jisay chhupaanay ke liye usnay apnay moo pe haath rakh diya tha. Aur aisay zahir kiya jesay usay khaansi ho rahi ho.

Anita wahan unkay saamnay bethay Mateen se baatain karnay lagi ,  jis main sirf Anita bol rahi thi aur Mateen sirf khamosh , par bezari se sun raha tha. Aur doosri taraf Nawaz tha jo beech beech main koyi na koyi aisi baat keh deta jis say kayi baar to Zoyan aur idrees ki hansi nikal jaati to kayi baar wo khamoshi se Mateen ko is tarhaan bezaar hotay dekh lutf andoz ho rahay thay.

Aakhir jub raat kay 11 bajay to unhon ne ghar jaanay ka bahana bana kar us Anita naami Mateen ki fan se Mateen ki jaan churaayi. Lekin jaatay huway jub usnay Mateen se uska mobile number maanga to Zoyan ne Mateen ke kuchh bhi kehnay se pehlay  usay Nawaz ka number Mateen ka keh kar bata diya. Aur phir wo wahan se nikal gaye.

Mateen bhi un dono ko itna hanstay dekh khush tha , ye jaanay bagair ke bohat jald uski zindagi main aisa mor aanay wala tha jo shayad usay milnay wali ye khushi bhi khatam kar dega.

...........................
Don't forget to vote and comment 😊😊💐💐💐😘😘

Continue Reading

You'll Also Like

58.8K 1.6K 41
وهل بضع كلمات ستصف حبي لكِ ؟! وهل لهفتي لسماع صوتكِ سيكفي؟! وهل خافقي الذي يشن الحروب لرؤياك سيكون دليل محبتي؟! القاسي احبكِ فتحملي جحيم قسوته..
62.9K 3.9K 34
"Woh muskurahat bhool hi nahi paata main,woh chehra mere samne se hat ta hi nahi..." "Mohabbat ho gai he usse?" "Nahi. lekin agar phir woh muskurahat...
5K 145 16
G to chaliye mery sath muhabbat k ek Haseen safar ma. Safar muhabbat ka, Muhabbat k imtehan ka,,,or jub tk muhabbat ma imtehan na ho to muhabbat ka m...
273K 7.7K 74
قصه بقلم : هند محمد ( ازيس محمد ) قصه رومانسيه اجتماعيه بين ريم وكريم وتدور الاحداث حولهم من مصاعب ومشاكل وكيف نجاح قصة حبهم بالزواج فى الاخر قصه ك...