Sazaye ishq. سزائے عشق Comp...

By frozenRose3112

158K 10.2K 11.6K

Sazaye ishq 1 ( completed✔️) Sazaye ishq 2 ( completed)✔️) Sazaye ishq ,jazaaye shabaab hasti asst Nigaar e... More

Chapter 1
Chapter 2
Chapter 3
Chapter 4
Aayat. Chapter 6
Mateen : chapter 7
Aayat chapter 8
Chapter 9
Chapter 10
Chapter 11
Chapter 12
Chapter 13
Chapter 14
Chapter 15
Chapter 16
Chapter 17
Chapter 18
Chapter 19
Chapter 20
Chapter 21
Chapter 22
Chapter 23
Chapter 24
Chapter 25
Sazaye ishq Trailer
Chapter 26
Chapter 27
Chapter 28
Chapter 29
Chapter 30
Chapter 31
Chapter 32
Sazaye ishq 2
Book 2❤️Chapter 1
Book 2❤️Chapter 2
Book 2❤️chapter 3
Book 2 chapter 4
Book 2 chapter 5
Book 2 , Chapter 6
Book 2 , Chapter 7
Book 2, Chapter 8
Book 2 , chapter 9
Book 2 , chapter 10
Book 2 , chapter 11
Book 2 , Chapter 12
Book 2 , chapter 13
book 2 chapter 14
Book 2 chapter 15
Book 2 chap 16
Book 2 chap 17
Book 2 , chap 18
Book2 :Chapter 19
Book 2: chapter 20
Book 2 ❤️chapter 21
Book 2 : chapter 22
Book 2 chap 23
Book 2 Chapter 24
Book 2 chap 25
Book 2 chapter 26
Book 2 chapter 27
Book 2 chapter 28
Book 2 : chapter 29
Book 2 chapter 30
Book : chap 31
Book 2 chapter 32
Book 2 chapter 33
Book 2 : chapter 34
Book 2 : chapter 35
Book 2 : chapter 36
Book 2 : chapter 37
Book 2: chapter 38
Book 2 : chapter 39
Book 2 : chapter 40
Book 2 : chapter 41
Book 2: chapter 42
Book 2 : chapter 43
Book 2 : chapter 44 (last chapter)
Epilogue
Moomal

Mateen chapter 5

2.9K 179 233
By frozenRose3112


Laakh ye chaha k us ko bhool jaoun FAraz🌸🌸

HOSLAY apni jaga BEBASI apni jaga💔💔

               🍁Ahmed faraz 🍁

**~~**~~**~~**~~**~~**~~**
"Mujhay samajh nahi aata ke tu, sarah aunty ka beta kesay hai kahan wo itni sweet nature and shy hain  aur kahan tu itna chhichhora  "

Aditya ne suitcase se apnay kapray nikal raha tha aur saath hi saamnay uskay bed par bethay Mateen jo apnay mobile main masroof tha uski taraf dekhay bagair ,be yaqeeni se bhari awaz main kaha tha .

Mateen aur Aaditya ne dubai trip ka program banaya tha aur subha hi wo dono London se Dubai pohanchay thay.   kuchh dair araam ke baad unhain baaqi group ke saath dubai ki sair ke liye nikalna tha.

Jub se wo dono london se dubai ke liye niklay thay tab se flight se lekar airport ke gate tak Mateen ne har guzarti khoobsurat larki se flirting jaari rakhi thi or wo bhi is baat ke ba wajood ke wo london main apni ek adad girlfriend chhor kar aya hai.

" shut up Aadi"

Mateen ne apnay side se pillow utha kar usay phaink kar mara.  Lein Aadi ne ek haath se hi wo pillow uskay sar se takraanay se pehlay hi pakr liya tha.

" nahi waqayi main ..koi itna chhichhora kesay ho sakta hai . Kal tu Emily se apnay pyar ka izhar kar raha tha aur aaj har haseen chehray pe fida ho raha hai...? Tujhay thori bhi sharam nahien aati..?!"

abki baar Aditya ne Mateen kay chirnay par hanstay huway kaha, usay pata tha kay Mateen is baat se humaisha chirta hai.

" jub Allah ne itni beautiful girls banayi hain  ,to humain iska  faida uthana chahiye, aur har koi tum jesa saadhu to nahi hota. "

Mateen ne mobile bund kia aur seedha ho kar beth gaya. Par ab uskay cheray par bhi shokh muskurahat thi.

"Aur wesay bhi tu jaanta hai ,Main Emily ke baaray main serious nahi hoon. Wo khud meray peechhay pari huwi hai , maine koyi usay aisa wesa aasra nahien diya. "

" wo to tu kisi ke baaray main bhi nahi hota hai, par Emily ke baaray main bhi to soch ...achha emily ko chhor ..,  agar sarah aunty ko tumhari in aadaton ke baaray main pata lag gaya to....jaantay ho na wo kitni hurt hongi..?" 

Apni mom ka naam suntay hi  Mateen ek dum serious ho gaya. Aur thori dair pehlay wali muskurahat ka naamo nishan bhi uskay chehray par nahi tha.

" agar tum mom ko batanay ke baray main soch rahay ho , to apni haalat kay baaray main bhi soch lena .. Jo main kharaab karoonga. "

Mateen ne Aditya ko warn karnay wali nazron se ghoortay huway kaha jis par Aditya ne haar maantay huway nafi main sar hilaya aur baat ko wahien khatam  kar diya , wo jaanta tha ke Mateen se ye sub kehna fazool hai  , wo humaisha se apni marzi aur pasand ki karnay  ka aadi tha. Jo cheez usay pasand aa jaati usay haasil karna mateen ke liye ek challenge ho jaata, aur jub wo usay haasil kar leta to wo cheez uskay liye koi attraction nahi rakhti thi.

Mateen ki kisi bhi ek larki par na tiknay ki aadat ne  kayi larkiyon ka di tora tha. Par is sub se Mateen ko koi farq nahi parta , wo aksar ye kehta ke us se waasta rakhnay waali larkiaan shuroo se uski is aadat se waaqif thien , phir kyun wo uskay peechhay aayien. .

Aditya bathroom main jaatay huway ruka aur mateen jo phir apnay mobile main masroof tha , uski ki taraf sanjeeda nazron se dekha.

" Mateen"

"Hhmm" Mateen mobile par koi funny video dekh raha tha aur hans raha tha par Aditya ki awaz par uski taraf dekha.

"Kabhi socha hai ...Jis tarhaan se tum baqi larkiyon ka dil tortay ho ... Kal ko koi larki tumhara bhi dil tor de to?"

" aisi koi larki dunya main paida hi nahi huwi" Mateen ka lehja pur aitmaadi aur khud pasandi se bhara tha.

**~~**~~**~~**~~**~~**~~**

"Ssssssapni ungli par taze dard ne  Mateen ko apnay khayaalon se bahar nikala. Uski ankh apni ungli par gayi jis main se khoon beh raha tha.

Bohat din se wo office ya bahar se kuchh na kuchh kha kar guzara kar raha tha par aaj uska dil ghar ke banay khanay aur khaas kar ke sarah ke hasth se bani pakistani dishes khaanay ka kar raha tha , jo sarah kisi dor main pehlay wahab aur phir mateen ke liye aksar banati thi. Aur isi liye aaj usnay ghar main hi kuchh na kuchh bananay ka faisla kiya tha. par sarah ke be jaa laad aur pyar ne Mateen ko kabhi kitchen main qadam bhi rakhnay nahi diya aur jub bhi wo baahar kahien aur hota to Aditya humaisha uskay saath hota jo cooking main expert tha par aaj wo dono uskay saath nahien thay.

Mateen ne aadhi kati pyaz jisay kaat te huway usnay apni ungli zakhmi karli thi,  side main kardi aur kitchen main lagay washbasin main tap ke neechay apna haath kar diya. Aur paani ke saath apna khoon behta dekhta raha.

Cut gehra honay ki waja se khoon bina rukay tezi se beh raha tha.  Mateen ne apnay doosray haath se cut ko zor se press kiya , jis par khoon ruk gaya.

Mateen bathroom se first aid box lene ja raha tha ke door bell ki awaz sun kar wo darwaza kholne chala gaya . Usay pata tha ke zaroor koi na koi pehchan wala taaziyat ke liye aaya hoga jo is waqt wo face nahi karna chata,  par la chaara usnay darwaza khola.

saamnay khara ba roab shakhs jo complete suit main malboos tha Mateen ko dekhtay hi unki ankhon main narmi aur apnaaiyat bhar gayi thi.

Mateen ko yaad nahien aa raha tha ke ye kon hain , aur wo bina kuchh zaahir kiye unhain dekhnay laga.

Jub Wo shakhs bina kuchh kahay sirf Mateen ko aisay dekhay ja raha tha jesay usnay dunya ki subse anmol cheez dekh li ho. Aur unka is tarhaan se baa qaaida ghoorna ajeeb lag raha tha par mateen ne ehtraman unhain salaam kiya.

" umm...Assala mu Alaikum uncle"

" waAlaikum Assalam beta...."

Salaam ka jawab detay huway unki awaz main ek larziah saaf ayaan thi aur unki ankhon main nami tair rahi thi jo kuchh dair pehle tak nahi thi. Mateen ko samajh nahi aa the raha tha ke ye shakhs kon hai , jo hai to ajnabee par na jaanay kyun unhain dekh kar usay mehsoos honay lagaa tha ke ye koyi gair nahien .

" Mateen main ..main tumhara Murad chachu" aur is se pehlay ke Mateen kuchh samajh paata  us shkhs ne aagay badh kar Mateen ko apnay seene se laga liya.

..........................

Wahab ki wafaat ke baad bhi wahab ke wa alid ghulam haider ka dil nahien pighla tha aur Murad aur un ki biwi ki laakh minnaton ke bawajood unhon ne sarah aur Mateen ko apnanay se inkaar kar diya tha , par Murad wahab ki aakhri nishani ko is tarhan darbadar nahien dekh saktay thay is liye usnay sarah ko pakistan aanay ko kaha tha par sarah ke saaf inkaar par Murad ne khamoshi ikhtiyaar kar li par itnay saalon main wo sarah se raabtay main tha aur sarah aur mateen ki khair khabar leta rehta. wo Mateen se milna chahta tha usay apnay khandaan ke baaray main batana chahta tha, par sarah na jaanay kyun Mateen ko in sub baaton se door rakhna chahti thi aur murad ne sarah ke is faislay ka ehtraam kartay huway kabhi khud se Mateen se koi raabta nahi kiya tha. Par achaanak Mateen ki phone call ne usay kahien khushi se do-chaar kar diya tha to kahien sarah ki khabar ne ghamgheen.

Par Mateen ka us se raabta karna is baat ka saboot tha ke sarah ne Mateen ko uskay khandaan ke baaray main sub kuchh bata diya tha. Aur ab wo apnay cousin aur azeez-az-jaan dost ki Aakhri nishani ko apnay ghar le jaana chaahta tha , usay apni dadi se milaana chahta tha jo aaj tak apne shohar ke kiye gaye galat faislay par tadap rahien hain.

Ghulam haider ki wafaat ke baad wo unkay is faislay ko bhi torna chahti hain aur Mateen ko kisi bhi haalat main apnay ghar apnay saamnay chahti hain. Aur murad bhi is baar Mateen ko apnay saath lenay ke liye aaya tha.

" apnay ghar chalo beta"

Murad ne Mateen ko apni taraf ki saaari sachhayi bataadi aur jub Mateen khaamoshi se sub sunta raha to Murad chachu ne uskay shhaanay pe haath rakhtay huway iltjaayi lehjay main kaha. Lekin wo is baat se bhi dar rahay thay ke kahien Mateen unkay saath chalnay se inkaar na kar de. Phir wo uski Dadi ko kya jawaab dengay , kesay unhain sambhaalain ge.

" heek hai...main chaloon ga pakistan.. " Mateen ne unki taraf dekhtay huway saada lehjay main kaha tha.

" par sirf is liye ke ye meri mom ki aakhri wish thi"

Ye keh kar wo kitchen main un dono ke liye sandwiches banane ke liye chala gaya kyunkay koi pakistani dish banana us kay bus ki baat nahi thi.

******

Do hafton main hi Mateen ke pakistan jaanay ke sub intazaamaat ho gaye thay. Is arsay main Mateen ko Murad chachu ki mohabbat aur unki apnaaiyat ka bhi ahsaas ho chuka tha , par dil main ek chubhan thi jo Mateen har baar pakistan ke naam par mehsoos karta.  aur wo aur kuchh nahi , ek shakhs tha, jo mulk pakistan se jura huwa hai. Aur aaj wo us mitti pe qadam rakhnay jaa raha tha jahan wo shakhs bhi mojood hai.

***

"Jaldi niklo warna bus nikal jaaye gi" Aditya tez tez qadmon se takreeban bhaag raha tha aur mateen usko is tarhaan dekh kar sirf hansta jaa raha tha, us ko bus ki koi fikar nahi thi.

Wo dono hotel se bahar aaye jahan group ke takreeban log sawaar ho chukay thay. Aur baaqi kuchh in dono ki tarhaan abhi nikle thay.

Sub ko abhi wahan mojood dekh kar Aditya ne sukoon ka saans liya aur bus ke saamnay apnay ghutno pe haath rakh kar khara ho gaya"

"Maine kaha tha abhi itni dair nahi huwi hai.."Mateen ko abhi tak Aditya par hansi aa rahi thi. Dubai ki dhoop ki tapiah bohat taiz thi is , liye usnay apnay back pack se cap nikal kar pehni li aur bus ki taraf peeth kar ke Adiya ko lambi lambi saans bhartay dekh maza le raha tha. Aur usi lumhay koi cheez us se takraayi aur ek girney ki awaz ke saath ek niswaani cheekh ki awaz aayai.

Mateen ne peechay mur kar dekha , par zameen par dekhnay se pehlay hi uski nazar apnay saamnay khari us larki par pari jo zameen par giri us cheez ko hanstay huway dekh rahi thi. bilkul usi tarhaan jis tarhaan kuchh dair pehlay wo Aditya par hans raha tha. par Is hansi main ek khoobsurat jhankaar thi jo seedha uskay dil par baj rahi thi.

baby pink colour ki knee length ki cotton shirt aur jeans main malboos us khoobsurat larki ko dekh kar wo wahien sun ho gaya.

Us larki ke chehray ki maasumiyat aisi thi jo Mateen ko apni nazar jhapkaanay ki bhi ijazat nahi de rahi thi.

" sirf hansti raho gi ya meri help bhi karo gi ...aahh"

zameen par pari cheez ki awaz ne Mateen ko apnay dilchasp kaam se bahar nikala aur jub usnay zameen ki taraf dekha to pata chala ke us se koi cheez nahi balkay ek jeeti jaagti larki takraayi thi. Par usay ek nazar dekhnay ke baad Mateen ne phir se nazar andaaz karkay Mateen ne phir apna saara dhiyaan us maasoom dikhnay wali larki ki taraf kar diya.

" Hii"

Mateen ne apnay chehray par apni makhsoos charming smile, jis par kayi larkiyan apna dil haar bethi hain,  saja kar apnay saamnay khari us larki ki taraf haath badhaaya jis ka dhiyaan abhi bhi Mateen par nahi gaya tha.

par Mateen ki awaz par usnay Mateen ki taraf pehlay heraangi se dekha , aur kuchh dair wo usay yunhi dekhti rahi par jub Mateen ke honton par shokh muskraahat dar aayi to us larki ne ek dum se Apni nazrain Mateen ke chehray se hataa dien.

Uskay gulaabi rukhsar dekh kar Mateen ne dil dil main khud ko peeth par ek thapki di. dunya main aisi koi larki bani hi nahi ..jo tumhain dekh kar tumhari taraf attract na ho. Mateen ne socha.

Par us larki ke jawab denay se pehlay hi Aditya ki awaz par dono ne uski taraf dekha jo pata nahi kab us doosri larki ko utha chuka tha ya wo khud hi uth gayi thi kyunkay ab tak wo dono ek doosray ko introduce kar rahay thay aur un dono ke cheray ki rangat bata rahi thi ke un dono ke dil bhi introduce ho chukay thay.

Mateen ne phir se apni larki ki taraf dekha jo khud bhi  abroo uchkaaye heraangi se ye manzar dekh rahi thi. Usay apni taraf mutwajja karnay ke liye Mateen ne usay mukhaatib kiya.

" hello..! mera naam Mateen hai.."mateen ne phir se khud-Aitmaadi se baat karna shuru ki.

"To..!? " us larki ne bezaar lehjay main kaha jisay sun kar Mateen ne heraangi se uski taraf dekha. Thori dair pehlay usay dekh kar sharmaati larki kahan gayi....?!!

"To...introduce yourself " Mateen ne haar nahi maani thi.

" Mateen in se milo .. Ye hai rabia , ye pakistan se aaye hain. Aur rabia ye hai Mateen mera best friend. "

Is se pehlay ke Wo larki Mateen ko mazeed kuchh kehti , Aditya ne apnay saath khari larki ka taaruf karaya"

" aur ye ....,? "Jub us pink suit wali larki ne kuchh na kaha to Mateen ne bhi be-jhijhak us ki taraf apnay sar se ishara kartay huway poochha.

"Oh ! Ye hai meri best friend Aayat , hum dono aur humaari kuchh class fellow girls saath aayi hain , wo bus main beth chuki hain warna un sab se taaruf ho jaata aapka.."

Rabia ne un dono se Aayat ka taaruf karaya jo Rabia ko is tarhan aj-nabiyon se itna be -takalluf(free ) hotay dekh heran o gussay se usay ghoor rahi thi.

Par ikhlaqan us ne haath badha kar Adiya se musaa-fah kiya par jub Mateen ki baari aayi tub bus ke start honay ki awaz par un chaaron ko yaad aya ke unhain dair ho rahi hai.

Aur Mateen ke honton ki shokh muskaan us waqt gaayab ho gayi jub Aayat uska barha haath nazar andaaz karkay, sub se pehlay apna bag sambhaltay huway bina kuchh kahe aur dekhay , bus ki taraf chaldi thi.

aur Rabia jo Mateen ke haath ki taraf dekh rahi thi Aayat ki is harkat par sharmidgi se muskuratay huway pehlay Aditya ko ek nazar dekha aur phir Aayat ke peechhay chal di.

Wo dono ab tak wahien kharay unhain jaata dekhtay rahay .

"She's mine" Mateen ne bus main charhti Aayat ko dekhtay huway  pur aitmaad lehjay aur par gehri awaaz main kaha tha .

**~**~**~**~**~**~**~**~*
Salaam:🍁🍁
First of all thank you so much for your support ..it means a lot. Aur ab story ki taraf , aap ko kya lagta hai Kesay hogi Mateen aur Aayat ki paanchh saal baad ki mulaqat?

Please vote, comment and share my story with your friends😘😘😘

Continue Reading

You'll Also Like

125K 7.1K 46
A journey of Two people who were broken. Ahil Raza & Hoorain Ahmad Kabhi kabhi humara guzra hua kal humare ane wale kal ko bhi khaa jata he. Hume...
63K 3.9K 34
"Woh muskurahat bhool hi nahi paata main,woh chehra mere samne se hat ta hi nahi..." "Mohabbat ho gai he usse?" "Nahi. lekin agar phir woh muskurahat...
5K 145 16
G to chaliye mery sath muhabbat k ek Haseen safar ma. Safar muhabbat ka, Muhabbat k imtehan ka,,,or jub tk muhabbat ma imtehan na ho to muhabbat ka m...
68.4K 4.9K 20
𝐏𝐚𝐚𝐤 - پاک /pure/ 𝙎𝙖𝙧𝙩𝙖𝙖𝙟 𝙎𝙖𝙡𝙖𝙪𝙙𝙙𝙞𝙣 𝘼𝙡𝙖𝙢 : 𝘛𝘩𝘦 𝘧𝘶𝘵𝘶𝘳𝘦 𝘩𝘦𝘪𝘳 𝘰𝘧 𝘈𝘭𝘢𝘮 𝘬𝘰𝘩𝘴𝘢𝘢𝘳, 𝘈 𝘳𝘶𝘵𝘩𝘭𝘦𝘴𝘴 𝘭...