Hum hi kyu ?( Anushma)

By AditiRathi9

12.2K 1.2K 810

Nothing in description More

Introduction
Part - 1
Part -2
Not an Update
Part -3
Part -4
Part -5
Part 6
Part -7
Part -8
Part - 9
Part -10
Part -11 .
Independence Day.
Part -12 .
Part -13.
Part -14
Part -16 .
Part -17
Part -18
Part -19 .
Not an update.
Part -20
Part -21 .
Part -22
Teaser
Part -23
Happy Diwali
Part -24
Part -25
Suggestions
Part -26
Part -27
New Year.
Part -28
Information.
Part 30
Part -29
Happy Holi
Part -31
Part -32
Part -33
Part -34
Part -35 .

Part -15

263 36 51
By AditiRathi9

Continue from last part .

At Lucknow.

At one room.

Karishma ( in mind) : Abb hume aaj hi khud ko innocent prove karna hoga hamaare pass jyada time nahi hai. Hmm aur aaj hi karenge hum khud ko innocent prove aur apna suspension bhi cancel karwa ke rahenge. Abb apna kaam shuru karte hai .

Then Karu di footage again dekhti hai

After watching footage.

Karishma ( in mind) : Hmm hamara shak sahi tha isne S letter ka bracelet pehna hua hai aur sath mein hamare chahre ka mask bhi lag rakha hai aur usne golden earing bhi pehna hai . Hmm aur uske haath mein ek bag bhi hai jarur woh drugs bhi ismein hi leke aayi hogi Hmm uska hi kaam hoga yeah. Ab ek kaam karte hai JKJ jewellers ke pass jaake pata karne ki koshish karte hai ki yeah hai kon

Then Karu di scarf se face cover karke nikal jaati hai.

After 30 minutes.

Karishma reached at JKJ jewellers .

Karishma : Excuse me ( to salesgirl)

Sales girl : Jii Mam batayea kya lena hai apko bracelet necklace bangles kya dikhaun aapko?

Karishma : Hume kuch nahi lena hum aapse kuch puchna hai.

Salesgirl : Jii puchiyea mam.

Karishma : Aap yeah bata sakti hai kya ki yeah earing aapki shop se hi liya hua hai kya? ( show golden earing to the girl) .

Salesgirl : Yes Mam yeah earing hamari shop se hi liya hua hai.

Karishma : Okk aur kya yeah ladki aayi thi yeah kharidne? ( shows her photo to sales girl)

Salesgirl : No madam koi aur thi.

Karishma : Accha

Karishma ( in mind) : Woh jarur yeah kharidne ke baad hamara mask laga kar thane gayi hogi . Hmm yahi hua hoga.

Karishma : Accha usne bill kiske naam se pay kiya tha?

Salesgirl : Let me check mam.

Karishma : Okk

After Checking

Salesgirl : Mam usne bill Rani ke naam se pay kiya tha .

Karishma: Acha.
Karishma ( in mind) : Rani... Rani iska matlab Rani jail se bahar aa gayi hai magar kaise. Humne kudh use jail mein dalwaya tha phir kase. Pata karna padega.

Karishma : Kya aap Rani ka sketch banwane mein meri help kar sakti hai please?

Salesgirl : But why kyunki aap toh police se bhi nhi hai shyd.

Karishma : Hum police se hi hai.

Then Karu remove scarf from her face.

Karishma : SI Karishma Singh from Mahila Police Station Lucknow .

Salesgirl : Arre Karishma madam aap aapko kon nahi jaanta appki wajah se toh hum jaisi job wali ladkiyaan raat ko bhi safely ghar pahunch jaati hai but Madam aap ese scarf mein?

Karishma : Thanks woh humne ek case ke silsile mein face scarf se cover kiya hua hai

Salesgirl : Okk mam. Aur haa mai aapki help karungi.

Karishma : Thanks.

Salesgirl : Arre ismein thanks ki koi baat nahin hain madam yeah toh hamara farz hai aur sach kahu toh mai bhi aapki tarah ek acchi police officer banna chahti thi but family ki financial condition weak hone ki wajah se nahi ban payi.

Karishma : Ooh.

Salesgirl : Yes.

Karishma :Okk so chale because hume thoda late ho raha hai.

Salesgirl : Okk but appko Sir ( owner of shop) se permission leni hogi.

Karishma : Okk le lenge.

Then Karishma shopkeeper se permission le leti hai aur salesgirl ke sath jaake Rani ka sketch banwati hai.

After 1 hour.

Now the sketch is completely ready. And that salesgirl is also left. And Karu sees that sketch and get shocked and angry because the sketch is Rani 's ( show mein joh nakli Qayamat bani thi) .

Karishma ( in mind) : Iska matlab mera shak sahi tha yeah Rani hi hai joh yeah sab kar rahi hai magar yeah toh jail chali gayi thi phir bahar kaise aa gayi aur ise kaise pata chala drugs ke bare mein. Pata karna padega. Ama ek baar mil jao Rani bhaiya kasam esa haal karenge naa tumhara ki tum toh kaa koi aur bhi kabhi bhi ek imaandar officer ko fasa nahi payega. Ek kaam karte hai iska photo kabri ko bhejte hai iske bare mein pata karne.

Then she calls her khabri and she picks it .

Khabri : Jai Hind Madam.

Karishma : Jai Hind ama suno hum naa tumko ek ladki ka photo bhej rahe hai tumko uske baare mein pata karna hai ki kaha rehti hai kaa karti hai etc etc.

Khabri : Okk Madam .

Karishma : Hmm aur suno humko naa ek ghante mein tum uske bare mein pata karke bataogi.

Khabri : Okk madam .

Karishma : Haa aur ab rakho phone hum tumko photo bhejte hai .

Khabri : Okk madam . Jai Hind Madam.

Karishma : Jai Hind.

And the call ends and Karu sent Rani's photo to her khabri .

Karishma ( in mind) : Chalo Rani ke bare mein toh kaam start kar diya abb woh drugs Narcotics Department de aate hai.

Then Karu di apne secret room mein jaake drugs leke Narcotics Department walon ko drugs handover kar deti hai.

NDO 1 : Waah Karishma Singh maana padega aapko aap khud drugs dene aayi hai warna aksar drugs addict iss bare mein kisi ko batate tak nahi hai aap pehli esi drugs addict hai joh khud chalkar drugs dene aayi hai.

Karishma : Sir hum drugs addict hai yaa nahi yeah prove nahi hua hai so aap hume suspect hi consider kare toh accha hai aur hum drugs medicine ke alawa kabhi nahi lete kyunki medicine mein bhi drugs hota hai aur joh yeah sab se darte hai naa woh sabse chupa kar rakhte hai aur Karishma Singh in sab se nahi darti aur naa kabhi daregi .

NDO 1 : Waah kya gajab ka confidence hai aapka Karishma Singh maana padega. Aap bahut nidar hai.

Karishma : Thank you Sir .

NDO 1 : Welcome. I hope aap innocent prove ho jaye agar innocent hai toh.

Karishma : Thankyou Sir.

NDO 1 : Most welcome.

Karishma : Sir aap log hamara polygraph test kab lenge?

NDO 1 : Abhi le le?

Karishma : Yes Sir why not.

NDO 2: Thik hai chaliye phir polygraph test lete hai aapka .

Karishma : Chaliye.

Then NDO take Karishma's polygraph test and she clears it very well.

After 1 hour.

Karishma's polygraph test is over now.

NDO 1 : Well done Karishma Singh you give all the answers correctly and bravely.

Karishma : Thank you Sir. Sir hamari blood report?

NDO 2 : Aapki reports aane hi wali hai Karishma Singh.

Karishma : Okk Sir.

After 15 minutes.

Karishma's blood report came and drugs were not found in Karishma's blood and but the report was not normal ( because of blood cancer).

NDO 2 : Congratulations Karishma Singh aapke blood mein drugs nahi hai aap innocent hai Karishma Singh.

Hearing this Karishma smiles (☺)

NDO 2 : But Karishma Singh aapki reports normal nahi hai aapki health ke according aapko toh blood cancer hai Karishma Singh .

Karishma : Sirf cancer hi nahi hume brain tumor bhi hai Sir ( sadly 😞)

NDO 2 : Ooh.

Karishma : Yaa.

Then one officer came near them ( where all officer with Karu standing)

NDO 1 : Bolo officer Jay.

Jay : Sir aapne Karishma Singh ki jis friend ka number mujhe diya tha woh number band aa raha hai.

NDO 2 : Kya.

Jay : Haa. Aur Sir yeah number Rani ke naam se registered hai.

NDO 2 : Accha.

Jay : Ji Sir.

NDO 1 : Karishma Singh aapki uss dost ka naam kya batayaa tha usne aapko?

Karishma : Tanya bataya tha Sir.

NDO 1 : Kya.

Karishma : Haa Sir.

Then Karishma 's phone starts ringing and it was from her khabri.

Karishma : Excuse me.

Then Karishma went towards a corner and picks the call.

Khabri : Jai Hind Madam.

Karishma : Jai Hind kuch pata chala uss ladki ke bare mein?

Khabri : Yes madam pata chala hai.

Karishma : Kya pata chala hai?

Khabri : Ladki ka asli naam Rani hai aur woh xyz nagar mein sector C -38 rehti hai aur ek criminal hai woh 2 mahine pehle jail se bhaag gayi thi aur madam yeah wahi hai jisne Qayamat bankar shahar ke logon pareshaan kiya tha.

Karishma : Asli naam matlab?

Khabri : Uska ek naam Tanya bhi hai aur even woh Tanya ke naam se hi rehti hai aur yeah bhi pata chala hai ki woh inn dino jisse bhi uski dushmani hai unke chahre ke mask lagar unke naam se galat kaam kar rahi hai.

Karishma : Accha.

Khabri : Haa.

Karishma : Abhi kaha mil sakti hai woh kuch pata hai?

Khabri : Jii madam abhi woh ghar peh hi hai maine usse abhi abhi ghar mein jaate hue dekha hai. Mai uske ghar ke bahar hi hun even uspe nazar rakh rahi hun.

Karishma : Accha. Well done mujhe tumse yahi umeed thi.

Khabri : Thanks mam.

Karishma : Accha abb hum rakhte hai ek kaam karo tum mujhe Rani ka address WhatsApp kardo.

Khabri : Okk Madam abhi send karti hun mai aapko Rani urf Tanya ka address bhi send kar deti hun.

Karishma : Okk abb rakhte hai Jai Hind.

Khabri : Okk, Jai Hind madam.

Then call ends. And Karishma went towards the officers.

Karishma : Sir hume pata chal gaya hai hume kon fasaa raha hai.

NDO 2 : Kon fasaa raha hai Karishma Singh?

Karishma : Sir yeah Rani urf Tanya hi hame fasaa rahi hai kyunki humne isse jail pahunchaya tha Kyunki yeah criminal hai 2 mahine pehle hi jail se bhaagi hai yeah aur Sir yahi woh Qayamat hai jisne sare sahar mein aatank machaaya hua tha. Yeah apne dushmano se unke naam ko mitti mein milakar unse badla leti hai. Sir hum kehte hai ki isse phle yeah kisi aur ko fasaaye hume isse arrest kar lena chahiye.

NDO 1 : Aap thik keh rahi hai Karishma Singh hume isse jald se jald pakadna hoga.

Karishma : Sir mujhe lagta hai ki hume isse abhi jaake hi arrest karna chahiye kyunki humne pata laga liya hai ki iss waqt yeah kaha hai.

NDO 2 : Thik hai Karishma Singh agar esa hai toh hum abhi jaa kar isse puchtach karke isse arrest karte hai. App address de dijiye hum chale jayenge.

Karishma : Sir agar aap log bura naa maane toh hum aapke sath chale kyunki hume isse apne apman aur isne joh hamari izzat ka kachra kiya hai uska hisaab chukta karna hai isse. ( remember slapping incident)

NDO 2 : Okk Karishma Singh aap bhi chaliye because kaanon se jyada toh woh aapki gunhegaar hai aapko pura hakk hai usse apna hisaab chukta karne ka.

Karishma : Thank you Sir . Sir chale phir .

NDO 1 : Yes why not.

Then they left to arrest Rani.

At One place.

Rani was sitting on Sofa while having Karishma's pic in her hands

Rani : Iss baar maine esa daav khela hai naa Karishma Singh ki tuu bach nahi payegi. Bahut ghamand tha naa tujhe ki Karishma Singh ko koi barbaad nahi kar sakta lee aaj tera yeah ghamand maine tod diya barbaad kar diya maine tujhe. Tere apne thane walon ne hi tujh peh bharosa nahi kiya infect teri sabke samne bezzati ho gayi joh dekhar mujhe bahut sukoon mila hai. Bada shauk tha naa tujhe mujh jaise logon ko ander karne ka dekh aaj khud teri wahi halat hai. Teri bezzati teri naukri jaana yeah sab dekh kar mujhe bahut maza aaya. Drugs liye maine aur naam tera aaya drugs Thane se churaaye maine lekin naam tera aaya. Mujhrim main magar jail jayegi tuu. Tujhe dosti ke jaal mein bhi maine oops Tanya ne fasaaya aur tuu kuch naa kar sakti Karishma Singh. Karishma Singh tuu har gayi aur mai jeet gayi. Mai jeet gayi  abb tuu jail mein baith kar roti rehna aur mai bahar tera naam badnaam karungi. Badnaam karungi tera naam (😡).

Then suddenly she hears a voice of a girl.

Girl : Ama mera naam badnaam karne ki itni bhi kya jaldi hai Rani oops Tanya Jii thoda wait karo. Wait karna accha hota hai .

Yes the girl was our Karu and Karu records Rani's whole talk in her phone.

Rani : Kar. Kar. Karishma Singh 

Girl : Haa Karishma Singh .

Rani : Tuu yaha kya kar rahi hai Karishma Singh.

Karishma: Mai tujhe arrest karne aayi hun.

Rani : Tuu aur mujhe arrest. Arre madam arrest karne ke liye naa saboot hona chahiye aur tere pass toh kya hi saboot hoga joh mujhe arrest karwa sake.

Karishma : Jara apne piche dekh tujhe saboot bhi mil jayega.

Then Rani turn back and sees that NDO officers were standing there which makes Rani worried.

Rani : Yeah Narcotics Department wale yaha kya kar rahe hai?

Karishma : Tumhe sasuraal le jaane aaye hai tumhare.

Rani : Kya bakwash kar rahi hai tuu. Sir maine kuchh nhi kiya yeah sab yeah Karishma Singh ka plan hai isne mujhe apne face peh dusri ladki ka mask lagaake dosti ke jhaal mein fasaaya hai. Aap log isko arrest kijiye yeah criminal hai.

NDO 1 : Rani humne tumhari sari baate sunli hai aur record kar li hai Karishma Singh nahi tum criminal ho.

Rani : Nahi. Nahin yeah nahi ho sakta mera plan fail nahi ho sakta. Nahin ho skta.

Karishma : Tumhara plan fail ho chuka hai tumne hamare liye gaddha khoda tha naa lekin usme ghir tum khud gayi aur itna ghir gayi ho ki abb tumhe koi nikal nahi sakta. Bada shauk hai tumhe imaandaar logon ka naam mitti mein milane ka toh abb iska anjaam bhukto.

Then Karishma starts beating Rani

Karishma : Hamara naam mitti mein milaogi tum . Hamara naam se drugs leogi. Ama tumko kaa laga tum itna ghatiya kaam karogi aur kisi ko kuch pata nahi chalega. Tumhari wajah se aaj hum par drugs addict hone ka ilzaam laga hum suspend hue tumhari wajah se hume taane sunne pade tumhaari wajah se logon ne hamare teachings peh question kiye. Pichli baar toh humne tumhe chod diya tha magar aaj nahi chodenge. Aaj hum tumko batayenge ki ek imaandar police officer ka naam mitti mein milane ka kaa anjaam hota hai.

Then Karishma starts beating Rani from belt.

After 15 minutes.

Karishma stops beating Rani because Karishma ne Rani ko maar maar kar adhmara kar diya tha.

Karishma : Ama iss baar toh hum tumhe chod rahe hai Rani magar abki agar phir tum jail se bhaagi yaa galat kaam kiya toh iss baar tumhara sidha encounter hi hoga. Samjhi tum.

Rani : Sa. Sa. Samjh ga. Gayi abb. Se nahi bhaagungi jail se.

Karishma : Hmm.

NDO 2 : Karishma Singh agar aap ka ho gaya ho toh kya hum Rani ko arrest kar le.

Karishma : Abhi nahi Sir abhi hum Rani ko MPT leke jayenge taaki hum par joh sawal uthe hai unka answer de sake toh aap log Rani ko wahi se arrest kijiyega.

NDO 1 : Thik hai Karishma Singh. Toh abb chale hum.

Karishma : Ji Sir chaliye aap log car se jayea hum Rani ko apni bike se laayenge.

NDO 2 : Thik hai Karishma Singh.

Then NDO officers left for MPT and Karishma Rani ko apni bike ke piche band kar le jaati hai .

Note : Karishma ke pass ek extra bike bhi hai joh unko Anu bhaiya ne unke birthday peh gift ki thi and yeah wahi bike thi .

In story

At MPT.

Karishma enters in thana with ND officers and Rani.

HM : Aap log yaha? Aur yeah Rani yaha kya kar rahi hai aur Rani ki yeah halat kaise?

Karishma : Aap logon ko lagta tha naa ki hum drug addict hai humne drugs ki baat leak ki hai.

PS : Lagta kya hai aap hi ka kiya dhara hai sab kuch.

Karishma : PS Jii jab hume kuch pata naa hona toh bolna nahi chahiye. PS Jii shyd aapko even sabko yeah jaankar dukh hoga ki hum innocent hai hum drugs addicted nahi hai yeah sara khel iss Rani ka khela hua hai.

HM : Aur yeah hum kaise maan le?

Karishma : Pata tha. Pata tha ki aap log humpe trust nahi karenge isliye hum Rani ki recording bhi sath mein laaye hai 

Then Karu NDO officers ko recording sunane ki request karti hai and they accept her request. And sab recording sunte hai.

After recording.

MPT are shocked and Cheetosh feels guilty for their behaviour.

Karishma : Rani tumne itna sab bola hai toh abb pura raaz bhi khol do ki yeah sab kyu kiya aur tumhe kaise pata chala ki Thane mein drugs hai?

Rani : Thik hai mai sab batati hun tum logon ke pass joh baccha wala case aaya tha means jis bacche ke through drugs yaha aaye they woh sab mera hi plan tha woh aurat joh uss bacche ko leke aayi thi woh meri hi dost thi aur woh baccha meri behen ka hi beta tha aur maine yeah sab Karishma ko fasaane ke liye hi kiya tha  . Karishma ko fasaane ke liye mai Tanya bankar wapas aayi aur ek real face jaisa dikhne wala face mask kharida taaki pakadi naa jaun kyunki agar mai apne real face mein rehti toh mai pakadi jaati aur Karishma ko dosti ke jaal mein bhi isliye fasayaa. Mujhe badla lena tha Karishma se kyunki uski wajah se mai jail pahunchi uski wajah se mere family walon ka naam kharab hua aur mai isme successful bhi hone lagi thi magar pata nhi kaise iss Karishma ko mere bare mein pata chal gaya.

Karishma : Rani ek baat toh manni padegi ki tumhare under bahut dimag hai magar kash tumne apne is dimag ka istemaal kisi acche kaam ke liye kiya hota. ND officers isse phle ki hum ese aur mare please aap log ese yahan se le jayea. Aur ise kadi se kadi saza dilwayea taaki phir koi Rani Tanya bankar phir kisi Karishma ko dhoka naa de sake .

NDO 1 : Don't worry Karishma Singh hum isko esi saza dilwayenge ki yeah kabhi bhi kisi aur ke sath esa nahi kar payegi infect abb toh jail se bahar bhi nahi aa payegi.

Karishma : Okk Sir.

NDO 2 : Accha abb hum chalte hai .

Karishma : Ok Sir.

Then NDO with Rani left from there.

CC : Karishma Madam woh .

Karishma : Ek minute Mr Cheeteshwar Chaturvedi kya kaha aapne hume?

CC : Karishma Madam bola humne aapko .

Karishma : Accha magar hum toh gaddaar, besharm yeah hai toh hum aapki Madam kaise ho gaye?

CC : Hume maaf kar dijiye Madam hum uss din kuch jyada hi bol diye aapko humko esa nhi karna chahiye tha aap hamari senior hai hume aapki respect karni chahiye thi hume maaf kar dijiye please.

SS : Haa Karishma Madam mujhe bhi maaf kar dijiye please maine bhi aapko uss din bahut bura bol diya mujhe esa nahi bolna chahiye tha please mujhe maaf kar dijiye.

CC : Madam aab toh Santu Jii bhi bol rahi hai please maaf kar dijiye .

Karishma : Thik hai hum karte hai tum dono ko maaf lekin aage se dhyan rakhna bina puri baat jaane kabhi bhi kisi ko bhi kuch bhi mat bol dena .

CC : Hum dhyan rakhenge madam ki aage esi galati naa ho.

SS : Mai bhi pura dhyan rakhungi madam aage se kabhi bhi bina kuch jaane kisi ko kuch nahi bolungi .

Karishma : Hmm thik hai.

Karishma : Haseena Madam abb hum toh innocent prove ho gaye isliye abb apko hamara suspension cancel karna hoga. So hamara suspension cancel kijiye abb.

HM : Thik hai hum aapka suspension cancel karte hai aap kal se wapas duty join kar sakti hai.

Hearing this Karishma smiles.

Karishma : Thanks. Abb hamara belt gun aur keys bhi hume wapas kijiye madam.

HM : Santu jao aur Karishma Singh ka saman leke aao.

SS : Ok Madam Sir.

Then SS went and brings Karishma 's things.

SS : Yeah lijiye yeah lijiye Karishma madam ( gives to Karu)

Karishma : Lao do ( receive)

Karishma : Acha toh ab hum chalte hai kal aayenge duty peh aur haa kal bhaiya Lucknow aa rahe hai kyunki unki 1 mahine ki chutti hai aur woh yeah chutti hum sabke sath celebrate karna chahte hai.

HM : Humara toh samjh aata hai Karishma Singh magar Santu Cheete aur Pushpa Jii ke sath kyu?

Karishma : Lagta hai aap bhaiya ko abhi tak thik se jaanti nhi hai Madam.

HM : Hum unhein bahut acche se jaante hai even aapse jyada acche se jaante hai unko.

Karishma : Accha hume toh nahi lagta kyunki agar aap unko hamaare jitna jaanti naa toh esa question nahi karti aap. Kyunki bhaiya iss Thane ko apna pariwaar maante hai PS Jii ko maa jaisi maante hai SS ko choti behen maante hai aur CC ko apna dost maante hai.

HM : Karishma Singh aap baat toh ese kar rahi hai jaise aap Anu ko bahut jyada jaanti hai.

Karishma : Haa toh jaante hai  hum unko even aap sabse jyada hum hi jaante hai unko.

HM : Humse jyada nahi jaanti aap unko Karishma Singh kyunki agar aap unko jaanti toh Mission Behroopiya mein unko shoot nahi karti .

Karishma hurt hearing that. But control herself .

Karishma : Madam aapne bhi toh un par bharosa nahi kiya naa aapne bhi toh unko dhokhebaaz samjha naa.

HM : Lekin humne aapki tarah unhe shoot nahi kiya tha.

Karishma : Toh humne bhi unko jaan buch kar nahi mara tha agar humko pata hota ki waha nakli Anu bhaiya nahi asli Anu bhaiya hai toh hum unko kabhi bhi nahi maarte khud ko maar dete lekin unko nahi maarte.

HM : Bas kijiye Karishma Singh kudh ki galti ko anjaan bolkar usko chipayea mat.

Karishma : Madam hum kaha chipa rahe hai hum khud bol rahe hai ki hamari galati thi . Aur uske liye hum aaj bhi sharminda hai aur hamesha rahenge. Aur wase galti toh aap ki bhi thi  madam aapne bhi toh unko galat samjha tha .

HM : Karishma Singh aap uss ek baat ke liye kitna kahengi hume woh baat khatm ho gayi uske liye humne Anu se maafi mang li aur unhone hame maaf bhi kar diya kabka abb bas kijiye aap bhi khatam kijiye aap uss baat ko.

Karishma : Toh aap sab bhi Mission Behroopiya wali baat ko khatam kijiye naa hum bhi bhaiya se maafi mang chuke hai aur unhone hame maaf kar diya hai isliye abb aap log bhi uss topic ko khatam kijiye .

HM : Nahin Karishma Singh aap bahle hi uss baat ko bhul chuki hai magar hum nahi bhule kyunki aapne hamare pyaar par goli chalayi thi hamara pyaar dur hua tha humse aap ki wajah se.

Hearing this Karishma hurt and got angry.

Karishma ( in mind) : Waah aapko apna pyaar dur hua yeah yaad hai magar humse hamara bhai dur hua yeah yaad nahi. Uss din aapse toh shyd aapka pyaar dur hua magar humse toh hamara sab kuch chin gaya tha uss din naa sirf humne hamara guru khoya balki hamara sabse accha dost aur hamari jaan hamari duniya hamare dil ka tukda hamare bhaiya bhi dur ho gaye they humse .

Karishma : Toh humne bhi toh apna bhai khoya tha madam aap bol toh ese rahi hai jaise uss din sirf aapne hi apna khoya tha. Arre aapne toh shyd apna mangetar khoya tha magar humne apna sab kuch kho diya tha . Aapko toh shyd dursa mangetar mil bhi jaata magar hume dusra bhai nahi milta aur agar mil bhi jaata toh Anu bhaiya jaisa kabhi nahi milta aur naa hi kabhi mil sakega kyunki Karishma Singh ke dil aur jeevan mein Anu bhaiya ki jagah koi nahi le sakta kabhi bhi. Hum mar jayenge lekin hamare bhaiya ki jagah kisi ko nahi denge kabhi bhi  isliye aap apne man se yeah baat nikal do madam ki sirf aapne apna koi khoya tha kyunki humne bhi apna bhai khoya tha aur infect aap se jyada humne khoya tha (😠😤)

Hearing this PS got angry on Karu.

PS : Yeah kya tarika hai Karishma madam Madam Sir se baat karne ka woh senior hai aapki aap iss tarah unpar gussa nahi kar sakti. Woh toh aap se itne acche se baat kar rahi hai aur aap un par hi gussa nikal rahi hai aur aapko kya lagta hai ki Anubhav Sir jaisa mangetar mil jayega Madam Sir ko dusra aur aapse jyada Madam Sir pyaar karti hai Anubhav Sir se. (😠😠)

Karishma : Toh kya hume dusra bhai mil jayega Anu bhaiya ki jagah aur aap hume keh rahi hai toh apni madam ko bhi boliyea naa. Aur hum bhaiya se jyada pyaar karte hai yaa madam unse jyada pyaar karti hai yeah baat toh sirf bhaiya hi acche se jaante hai.

PS : Hum unhein kyu bole woh senior hai hamari hame unhein kuch keh nahi sakte hai aur wase bhi sach hi toh bol rahi hai woh.

Then suddenly Karishma starts suffering from headache very badly.

Karishma : PS Jii aap.. Aah bhaiya bahut tez sar dard kar raha hai... Aah bhaiya.....

Then suddenly her nose starts bleeding too.

Karishma : Aah bhaiya.. Aah bhaiya. Hum. Hum. Hum ghar jaa rahe hai subah aayenge .

Then Karishma left from there.

At Singh Mention.

Karishma enters in house and seeing her condition Shivani got worried.

Shivani : Karishma . Karishma kya hua?

Karishma : Bahut tez sar dard ho raha hai aur nose bleeding ho rahi hai. Aah bhaiya bahut tez dukh raha hai. Aah bhaiya...

Shivani : Ek kaam kar bathroom mein jaa aur nose clean kar itne mein oil garam karti hun garam garam oil se maalish karungi toh fata fat se dard thik ho jayega.

Karishma : Thik hai jaati hun.

Then Karishma went to washroom and clean her nose and gets fresh.

After 15 minutes .

Karishma came in hall in night suit and sees that Shivani is sitting on sofa with hot oil. And she went near at Shivani.

Shivani : Arre tuu aa gayi aaja baith jaa mai tere maalish kar deti hun phir dekhna tera dard kaise thik hota hai .

Karishma : Okk.

Then Karishma sit and Shivani starts her maalish.

After 20 minutes.

Shivani done her maalish and now Karishma feels good.

Shivani : Kaisa lag raha hai abb?

Karishma : Accha lag raha hai dard ek dam gayab ho gaya hai.

Shivani : Hmm yeah toh hona hi tha. Wase tere woh case ka kya hua ?

Karishma : Wahi hua joh hona chahiye tha sach ki jeet hui hum innocent prove ho gaye aur kal se hum phir se duty join karenge .

Hearing this Shivani got happy.

Shivani : Arre waah yeah toh bahut acchi baat hai abb toh party banti hai madam.

Karishma : Promotion hone de phir party bhi de dungi. Accha wase kal Anu bhaiya aa rahe hai unki 1 mahine ki chutti mili hai toh woh apni family ke sath time spend karna chahte hai.

Shivani : Accha yeah toh bahut acchi baat hai phir.

Karishma : Acchi toh hai lekin.

Shivani : Kya hua tuu Anu bhaiya ke aane se khush nahi hai kya?

Karishma : Nahin ree esa kuch nhi hai mai bahut khush hun lekin yaar meri bimaariyaan....

Now Shivani understand what she mean.

Karishma : Yaar tum logon ke samne toh yeah sab thik hai kyunki tum logon ko sab pata hai . Magar yeah sab agar bhaiya ke samne hua naa toh unko sach pata chal jayega aur woh pareshaan ho jayenge. Aur hum nahi chahte ki woh pareshaan ho. Ek kaam karte hai hum ghar hi nahi aayenge raat ko kisi na kisi bahaane se Thane mein hi rukh jayenge isse duty bhi kar lenge aur bhaiya ko bhi kuch pata nhi  chalega.

Shivani : Tuu pagal hai kya agar tuu ghar nahi aayegi Thane hi rahegi aur duty karegi puri raat toh tuu soyegi kaise tuu bhul gayi kya ki doctor ne kya kaha tha doctor ne bola tha ki tujhe proper nind leni hai aur tujhe kya lagta hai tere iss tarah se raat ko ghar naa aane se Anu bhaiya ko chinta nahi hogi aur agar din mein unke samne teri tabiyat kharab hui aur woh doctor ke pass le gaye tujhe toh tuu kya karegi?

Karishma : Nind toh Thane mein hi puri ho jayegi hum le lenge waha nind  aur Anu bhaiya ese tension nahi lenge kyunki hum kisi case ka bahaana bana denge aur apna chahra scraf se
dakh lenge jisse unko kuch pata nhi chal payega ..

Shivani : Aur tera idea kaam karega?

Karishma : Pata nhi lekin try toh kar sakte hai naa.

Shivani : Thik hai karle try.

Karishma : Hmm.

So guys this was your 15th chapter I hope you all like it and i know it's a boring part but please vote aur comment kar dena.

And those who hates Anubhav Singh and Karishma Singh I request them to stay away  from my stories.

So guys milte hai next chapter ke sath tab tak ke liye stay happy and healthy .

Tata bye bye.

Jai Hind 🇮🇳🇮🇳

Jai Bharat 🇮🇳🇮🇳









Continue Reading

You'll Also Like

16.4K 1.8K 18
Karishma ny asa kiya k maddam Sir ne itna bara qadam utha lia 💔 No Mature content ❌❌❌❌❌ Note: A short Story
1.3K 18 10
36.1K 5.1K 50
Student Teacher love story.