ABHIRA:- ARRANGED TO LOVE

By anjali57730403

65.6K 4.9K 537

This is story of abhira from the very beginning when the yrkkh introduced third generation. It involves more... More

CHARACTER SKETCH
PART 1
PART 2
PART 3
PART 4
PART 5
PART 6
PART 7
PART 8
PART 9
PART 10
PART 11
PART 12
PART 13
PART 14
PART 15
PART 16
PART 17
PART 18
PART 19
PART 20
PART 21
PART 22
PART 23
PART 24
PART 25
PART 26
PART 27
PART 28
PART 29
PART 30
PART 31
PART 32
PART 34
PART 35
PART 36
PART 37
PART 38
PART 39
PART 40
PART 41
PART 42
PART 43
PART 44
AUTHOR'S NOTE
PART 45
PART 46

PART 33

1.2K 123 7
By anjali57730403

Anand and harsh comes on stage with mic.

Harshvardhan announces- good evening everyone...aap sabhi aaj yaha aaye...we are eternally thankful...aaj ka occasion bohot hi important aur special hai...aaj hamare ghar ke bete ki shadi ka reception hai...we all are glad that u graced us with your presence and blessed the beautiful couple...dr abhimanyu birla and his lovely wife mrs akshara birla

All claps.

Anand- dr abhimanyu birla...aap sab ka colleague...kisi ka mentor toh kisi ka student...but for us...he is all heart...mere saamne paida hua...mere samne bada hua...mere saamne doctor banne ka sapna dekha aur mere hi saamne us sapne ko sakaar kiya...and now look...he is married...waqt bohot jaldi nikal jata hai...all i have to say is jitne acche doctor tum ho utne hi acche pati bhi banna...god bless u my son...and akshara welcome home beta (raises a toast) cheers to their happy married life

Neil gets two glasses of drink for abhimanyu and akshara and gives them. All raise a toast. Abhimanyu too cheers.

Akshara whispers to abhimanyu- abhi...main drink nahi karti

Abhimanyu whispers back- main bhi nahi karta (points the glass in her hand) ye peene ke liye nahi cheers karne ke liye hai

Akshara nods and cheers too.

Mahima raises a toast- abhimanyu and akshara...may u have all the happiness and live together...love u both...cheers

All cheers.

Harsh- cheers to the new life

Mahima looks at manjiri- manjiri...now its your turn...chalo

Manjiri hesitates- main kaise didi....

Mahima interrupts- are kyo nahi...tum maa ho Abhimanyu ki...come on

Abhimanyu also signs manjiri to speak. Neil gives mic to manjiri who looks at harsh being afraid. Harsh gets angry but he doesn't want to create a scene.

Manjiri- har maa ka sapna hota hai ki uske bete ki shadi ho...vo dulha bane...maine bhi ye sapna dekha tha...par sach kahu na toh mujhe kabhi laga nahi tha ki is janam me mera ye sapna pura hoga (all laugh and abhimanyu gets irritated) ab is chidku aur gusse wale doctor se kaun shadi karega...aur ise bhi shadi karni hi nahi thi...jab bhi main baat karti ye taal deta...lekin vo kehte hai na kismat ka likha koi badal nahi sakta...mere bete ki kismat me likha tha ki ek din uski zindagi me ek aisi ladki aayegi jo uski puri zindagi badal degi...aur vo hua...akshu ne mere bete ko badal diya...mere bete ko pyaar karna sikha diya...main hamesha se ek beti chahti thi...par mere do bete hai...lekin ab main khush hu kyoki agar beti hoti toh vo vida hokar chali jati par akshu mere sath hamesha rahegi...meri beti bankar...tum dono sath khush raho...sath raho mujhe aur kuch nahi chahiye

Abhimanyu and akshara smile while everyone claps.

Anand- and now i would like to call the man of the evening to address on this special evening...let's welcome doctor abhimanyu birla

All claps. Abhimanyu is surprised but goes on stage as everyone looks at him. Anand gives him mic signing to say something. Anand goes off the stage.

Abhimanyu- good evening all...aap sabhi ko dil se shukriya aaj mere aur akshara ke itne special day par hame blessings dene ke liye...yaha bohot log aise hai jinse maine seekha hai...kuch log aise hai jinhe maine sikhaya hai...many of them being my colleagues...i truly thank them...meri team who is always supporting me and helping me do my job better...thankyou...ye sab log jante hai ki bhale hi maine top medical college me padhai kyo naa ki ho lekin my first mentor is always my tauji (all birlas smile as they know anand holds a very special place in Abhimanyu's life) he has always supported me...mujhe aaj bhi yaad hai meri first independent surgery thi aur unhone mujhe all the best wish nahi kiya balki warning di thi ki agar maine ot me ek bhi surgical tool idhar udhar kiya toh mujhe job se nikaal denge...surgery ke baad maine jab unse pucha ki aapne mujhe aashirwaad kyo nahi diya toh unhone mujhse kaha ki unhe patient ki chinta nahi thi ot ki chinta thi kyoki he trusts me ki main unka aur birla hospital ka naam kharab nahi karunga...aur aaj tak yahi trust mujh par rakhne ke liye thankyou...main hamesha kehta tha ki mujhe aap jaisa doctor banna hai aur tauji return me kehte the ki abhimanyu tujhe meri tarah ek handsome doctor banna hai (anand and everyone laughs) dekh lijiye tauji doctor ka pata nahi par handsome main aapse zyada hu (all laugh) aur taiji aap janti hai main aapse bohot pyaar karta hu and its ok agar aapke husband ke baal ud gaye aapke is handsome bhatije ke baal sahi salamat hai (anand glares abhimanyu while all laugh including mahima) maine pehle bhi kaha hai ki har doctor ki pehli doctor uski maa hoti hai...aur main meri pehli doctor ke bina kuch nahi hu...maa mera sath dene ke liye thankyou...neil thanks for being my constant support and now a new addition to the family...akshara...sab apne partners ko kehte honge ki vo unka pyaar hai...support system hai par akshara tum mera sukoon ho...tumhara sath mere andar chal rahi saari ladaaiyo ko khatam kar deta hai...tumhari aawaz me ek alag hi jaadu hai...jis sukoon ki talash me main itne saal bhatakta raha vo mujhe tumse mila...meri life me aane ke liye thankyou...welcome to my family and home mrs akshara abhimanyu birla

Abhimanyu raises a toast and everyone cheers.

Neil takes the mic- bohot ho gayi baatein...now its time for some dance...let's start with the bride and groom...please welcome mr and mrs abhimanyu birla

Abhimanyu forwards his hand to akshara and takes her in the center. They dance together. Later all couples join them. After sometime the guests leave after the dinner.

Manish- Harshvardhan ji...ab ham bhi chalte hai...akshu ko pag phere ke liye yahi se le jaa rahe hai

Harshvardhan nods- ji manish ji

Kairav- akshu chale

Akshara nods. She looks at abhimanyu who smiles and nods. She also smiles.

Abhimanyu- room book kiya tha...tumhara samaan vahi hai

Akshara nods and looks at swarna- badi mumma...buami main bag lekar aati hu

Keerti and swarna nod. Akshara abhimanyu leave.

In room

Abhimanyu pulls akshara in a hug. Akshara too hugs him.

Abhimanyu- i will miss u...jaldi aana

Akshara nods in no- tum jaldi aana mujhe lene

Abhimanyu- mera bas chale toh main toh tumhe jane hi naa du par main rokunga bhi nahi...i know tum apni family ko miss kar rahi thi (kisses her forehead) go and enjoy...main kal aaunga tumhe lene

Akshara smiles- i love u abhi

Abhimanyu smiles- i love u to infinity

They hug each other. Abhimanyu takes akshara's bag and they go downstairs. Akshara takes blessings of all birla elders and leaves with goenkas. Abhimanyu bids her bye. Birlas too leave for home.

In goenka house

Akshara was lying keeping her head on keerti's lap. Everyone except arohi was sitting there. Keerti was caressing her hair. Akshara was telling about her first day at birla house.

Akshara- vaha sab log aise baith kar baatein nahi karte...sabko apni privacy pasand hai...haa lekin manjiri maa...neil aur abhi roz sath me time spend karte hai

Keerti- tu vaha khush hai na...pehli rasoi kaisi hui

Akshara happily- bohot acchi...sabko gajar ka halwa bohot pasand aaya...sabne bohot tareef bhi ki...aur maa ne shagun bhi diya

Swarna- akshu tu khush hai isse zyada ham sabko aur kuch nahi chahiye...aur tere chehre ki khushi bata rahi hai ki tu vaha kitni khush hai...tujhe kisi ki nazar naa lage...thu thu thu

Suhasini- ab bohot baatein ho gayi...so jao sab...kal abhimanyu bhi toh aane wala hai...kitni tayyariya karna hai

Akshara frowns- ye kya baat hui...matlab main yaha hu toh uski koi value hi nahi hai

Kairav- aisa bilkul bhi nahi hai...chal ice cream khane chale...jaise pehle jate the

Akshara happily nods.

Naksh- accha thik hai jao par time se aa jana...kairav dhyaan rakhna akshu ka

Kairav- ji mamu...chal akshu

Akshara and kairav leave.

Outside ice cream parlour

Akshara was waiting leaning on the car when kairav gets ice cream for her. Akshara takes it. They eat the ice cream while walking along the road.

Kairav- akshu ek baat puchu

Akshara- puchiye na

Kairav- tu khush hai na...dekh sach bol...main janta hu kisi bhi nayi jagah par jate hai toh kuch din ajeeb lagta hai...adjust karna padta hai...tujhe bhi karna padega ye bhi main janta hu...par tu mujhe bata sakti hai agar koi problem ho toh...mujhse share kar sakti hai

Akshara sighs- bhaiya...main sach me bohot khush hu...main janti hu aapko meri bohot chinta hai...par main sach keh rahi hu vaha sab mera bohot dhyaan rakhte hai...aapko pata hai maine thik se naashta nahi kiya tha toh manjiri maa ne lunch me especially mere liye kachoriya banayi...jabki vaha toh neil aur maa ke alawa kisi ne use chua tak nahi...abhi itna thaka hua tha hospital se aane ke baad fir bhi usne mujhse baat ki...mujhe comfortable feel karwaya...aur do din baad meri rejoining hai...uske liye encourage kiya...mujhe samjhaya ki mujhe apna career ke baare me sochna hoga...vo mera bohot dhyaan rakhta hai...ye baat kisi ko nahi pata par aaj maine jo lehenga pehna tha na vo abhi ki pasand ka tha ye aapko pata hai par maine vo isliye pehna tha kyoki taiji ki di hui dress me mujhe uncomfortable lag raha tha...abhi ne ye bhaap liya aur usi ne mujhse kaha ki main ye lehenga pehnu...mujhe toh pata bhi nahi hai ki is waqt birla house me taiji aur abhi ki kya baat hui hogi...bhaiya trust me abhi mere liye perfect hai

Kairav cups her face- main khush hu ki abhimanyu ko teri itni parvah hai...par akshu main na tera bada bhai hu...teri fikra mujhe hai aur hamesha rahegi...samjhi...main hamesha tujhse yahi puchta rahunga ki tu khush hai ki nahi...abhimanyu tera dhyaan rakhta hai ya nahi...aur ye na mera hak hai

Akshara smiles- bhaiya ab na aap apne liye bhi kisi ko dhund lijiye...yaa aap kaho toh main dhund lu

Kairav chuckles- pehle aru ki shadi ho jaye fir tum dono behne apne is bhaiya ki baarat bhi nikaal dena

Akshara laughs and nods.

Meanwhile in birla house

Mahima angrily- what the hell...Manjiri tumhari bahu ne meri insult karne me koi kasar nahi chodi...meri di hui dress naa pehen kar usne kuch aur pehen liya

Abhimanyu calming his anger- taiji aap bhi janti hai vo dress kaisi thi...bilkul bhi decent nahi thi...

Mahima interrupts- what do u mean abhimanyu...tumhe lagta hai main birla khandaan ki bahu ko kuch bhi aisa waisa pehenne dungi...it was an elegant dress

Abhimanyu angrily- it was not...jo dress aapne bheji thi usme akshu comfortable nahi thi...use aadat nahi hai aise dresses pehenne ki fir bhi usne try kiya taki aapko hurt naa ho lekin maine use roka...maine usse kaha kapde badalne ko...main nahi chahta tha akshu kuch bhi aisa waisa pehne...let's end this here...main nahi chahta ki jab kal akshu yaha aaye toh fir se ye topic uthe

Manjiri- didi...abhi thik keh raha hai...akshu ko aise kapde pehenne ki aadat nahi hai...usne kabhi nahi pehne...isliye usne lehenga pehna aur vo lehenga abhi laya tha akshu ke liye...aur aapne bhi dekha na sabne kitni taareef ki...akshu bohot pyaari lag rahi thi...isliye ab aap bhi gussa chod dijiye

Mahima nods- fine

Mahima leaves. Abhimanyu also goes in his room.

In abhira's room

Abhimanyu calls akshara who picks it in the first ring.

Akshara worriedly- hello abhi...vaha sab thik hai na...taiji gussa toh nahi hai

Abhimanyu- tumhare pati ne tumhe phone kiya hai taki ham romantic baatein kar sake aur ek tum jise sirf taiji aur unke gusse ki padi hai

Akshara sighs- abhi mujhe bohot tension ho rahi hai...batao na...sab thik hai na...taiji mujhse gussa hai kya

Abhimanyu smiles- koi gussa nahi hai tumse...maine aur maa ne taiji ko samjha diya hai ki tumhe aise dresses pehenne ki aadat nahi hai aur vo samajh gayi so relax...ab ham hamari baatein kar le please...aapka pati aapke attention ke liye mara jaa raha hai

Akshara blushes- hmmm...kar lete hai

Abhimanyu smiles- toh batao...mujhe miss kar rahi ho ya fir apne maayke walo ke sath mauka hi nahi mila

Akshara- vo toh hai...mere maayke walo ne mujhe mauka hi nahi diya kisi ko yaad karne ka (abhimanyu frowns while akshara smiles) par mera pati hai hi itna hot ki yaad aa hi gayi

Abhimanyu- accha ji...tum kaho toh main vaha aa jau...apni hotnes dikhane

Akshara immediately- nahi nahi...agar tum aaye na toh kairav bhaiya aur buami mujhe bohot chidayenge

Abhimanyu chuckles- accha thik hai toh fir main kal aaunga puri permission lekar...tumhe le jane

Akshara smiles- jaldi aana...main intezaar karungi

Abhimanyu- ok meri jaan

Akshara blushes- abhi

Just then keerti comes in.

Keerti- akshu tujhe kabse bula rahi hu...kya kar rahi hai

Keerti realizes akshara was talking to abhimanyu.

Keerti- sorry maine disturb kar diya na

Akshara- nahi buami main toh bas...

Keerti laughs loudly- kya akshu darwaza toh band kar leti...bye

Keerti leaves. Akshara gets embarassed.

Akshara- abhi main tumse baad me baat karungi...bye

Akshara cuts the call. Abhimanyu laughs loudly.

Abhimanyu- akshu tum kitni cute ho

Continue Reading

You'll Also Like

20.2K 1.6K 42
She made him realise that even after having everything, love was the only thing missing in his life. He made her realise that she was also worthy of...
22.2K 1.3K 14
It has been years since Akshara left the Goenka family with Abhir and Abhimanyu. Now, she finally had everything she could dream of a happy family, a...
24.7K 2.2K 35
Status: Completed ✔️ Ve kamleya, is a roller coaster of the life of AbhiRa, which they saw together Leap 3~ A recreated version