Hum hi kyu ?( Anushma)

By AditiRathi9

12.1K 1.2K 810

Nothing in description More

Introduction
Part - 1
Part -2
Not an Update
Part -3
Part -4
Part -5
Part -7
Part -8
Part - 9
Part -10
Part -11 .
Independence Day.
Part -12 .
Part -13.
Part -14
Part -15
Part -16 .
Part -17
Part -18
Part -19 .
Not an update.
Part -20
Part -21 .
Part -22
Teaser
Part -23
Happy Diwali
Part -24
Part -25
Suggestions
Part -26
Part -27
New Year.
Part -28
Information.
Part 30
Part -29
Happy Holi
Part -31
Part -32
Part -33
Part -34
Part -35 .

Part 6

302 37 21
By AditiRathi9

Continue from last part.

Then Karu di went towards record room without looking at Anu bhaiya.

Anubhav ( in mind). : Lo ho gayi naraz isi baat ka toh dar tha abb manana padega usse.

Mahesh : Yeah Karishma Singh ko kya hua woh iss tarah se kyu chali gayi?

Anubhav :  Kuch nhi woh bass humse naraz ho gayi hai.

Mahesh Singh : Kyu, matlab unse koi rishta thodi naa hai apka .

Anubhav : Rishta hai Mr Mahesh, bahut karib ka rishta hai mera usse  , sagi behen hai woh meri.

Mahesh Singh : Ooh accha but transfer jaisi choti si baat  par naraz hona.

Anubhav : Hum sab ke liye bhale hi transfer choti si baat ho Mr Mahesh magar Karishma ke liye yeah baat choti nhi hai. Karishma hume lekar bahut emotional hai usko mera usse dur jaana nahi pasand.

Mahesh Singh : Ooh esi baat hai.

Anubhav : Jii. PS Jii app ek kaam kijiye Karu ka tiffin app mujhe de dijiye mai usko khila dunga.

PS : Jii Sir abhi laate hai.

Then PS went and bring Karu di 's tiffin.

PS : Lijiye Sir Karishma Madam ka tiffin ( forwards tiffin towards Anu bhaiya) .

Anubhav : Layea ( receiving the tiffin)

HM : Anu app pehle hamaare sath khana kha lijiye phir Karishma Singh ko khila dena naa.

Anubhav : Nahin Haseena Jii hum pehle Karu ko khilaayenge phir khayenge  .

HM : Per kyu. Humara matlab apko bhi toh bhuk lagi hogi naa?

Anubhav : Bhuk toh lagi hai lekin jab tak Karu nahi kha leti hum nahi khayenge kuch.

HM : Lekin.

Anubhav : Haseena jii please . Accha hum Karu ke pass jaate hai app log bhi khana shuru kar dijiye lunch time finish  hone hi wala hai aur haa jab tak hum nahi kehte koi under nahi aayega agar kuch kaam hua toh bol dena .

All : Ok Sir  .

Then Anu bhaiya went to record room.

At record room.

Anu bhaiya enters in record room.

Karishma was standing near the window and tears are flowing from her eyes. And  Anu bhaiya sees this and went near her..

Anubhav : Pata tha.

Karishma hears his voice Karishma turns and sees that Anu bhaiya is standing near her.

Karishma : App. Aur kya pata tha apko?

Anubhav : Kyu hum yaha nahi  aa sakte hai kya. Aur hume yeah pata tha   ki files check karna toh ek bahana tha apko toh ander aa ke inn aanshuon ko hide karna tha .

Karishma : Aa toh sakte hai lekin iss waqt apko ghar jaa kar packing karni SP Sir warna app late ho jaoge . Aur haa  hum koi aanshu nahi hide nahi kar rahe hai.

Anubhav : kisse jhuth bol rahi ho tum humse yaa apne aap se?

Karishma : Hum. Hum kisi se jhuth nahi bol rahe hai.

Anubhav : Accha toh yahi baat app humari aankho mein dekh kar kahiye naa.

Karishma : App jayea yaha se app ko late hoga warna .

Anubhav : Chale jayenge chale jayenge lekin usse pehle apko khana toh khila de.

Karishma : App jayea yaha se aur hame nahi khaa naa khana.

Anubhav : Thik hai chale jaate hai lekin kya app hamaare bina reh payengi?

Hearing this Karishma got emotional.

Karishma : Haa.. H. Hum. Reh. Reh lenge ap. Appke bina. ( said in a cracked voice)

Anubhav : Thik hai toh phir hum chalte hai.

Then Anu bhaiya starts walking towards the door. But Karishma stops him.

Karishma : A. App jaa rahe hai?

Anubhav : Haa

Hearing this Karishma can't control herself and starts crying .

Anubhav : Arre Karu kya hua tum ese rone kyu lagi?

Karishma : App. Jaa. Rahe... Ho

Then Karu di hugs him and he is also hug her.

Anubhav : Arre baccha ese rote thodi hai aur hum sirf dusre city hi toh jaa rahe hai naa.

Karishma : Phir bhi yaad toh aayegi naa aapki.

Anubhav : Bass itni si baat jab bhi yaad aaye toh hume phone kar lena.

Karishma : Aur agar appne phone nahi uthaya toh?

Anubhav : Phone nahin uthaya toh....

Then Anu bhaiya apne haath se ek bracelet nikalte hai.

Anubhav : Toh hamara yeah bracelet dekh lena ( forwards to Karishma) .

Karishma : Okk. Aur agar apko hamari yaad aayi toh? (Taking chain)

Anubhav : Toh hum apko phone kar lenge .

Karishma :  Aur agar phone nahi uthaya maine toh.

Anubhav : Toh.

Then Karu di apni pocket se ek chain nikalti hai.

Karishma : Toh app yeah chain dekh lena. ( forwards chain to Anu bhaiya) .

Anubhav : Thik hai ( Taking chain)

Karishma is still crying.

Anubhav : Karu tum toh hamari bahadur sherni hona.

Karu nodded head in yes.

Anubhav : Toh hame hamari sherni rote hue bilkul acchi nahi lagti isliye abb rona band karo aur ek acchi si smile karke hume vida karo.

Karishma : Vida karo matlab.

Anubhav : Woh Karu hame 3 ghante baad nikalna hai kyunki kal hume headquarters join karna hai.

Karishma: Accha, ( sad face) .

Now Karishma stops crying but Karu di looking sad now.

Anubhav : Kya hua baccha tum ese udash kyu ho gayi.

Karishma : Bhaiya agar app chale jaoge toh hum hamari maan ki baate kis se share karenge.

Anubhav : Itni si baat arre  MPT walon ko bata dena.

Karishma : Lekin bhaiya hum unse sari baate toh share nahi kar sakte naa. Appse toh hum har baat share karte hai aur kar bhi sakte hai kyunki app bachpan se mere sath hai aap ne mujhe paal phoske itna bada kiya hai .

Anubhav : Haa toh koi baat nhi tum hame phone kar lena.

Karishma : Aur agar uss time phone possible nahi hua toh?.

Anubhav : Toh.... Diary likhna start kar dena.

Karishma : Matlab?

Anubhav : Matlab yeah ki joh bhi baat tumhe hume batani ho tum woh ek diary mein likh lena aur jab hum aayenge tabh hume bata dena.

Karishma : Thik hai bhaiya aur haa SP Sir app hamare bhaiya ka dhyan rakhna hamaare bhaiya ko apki vajah se kuch nahi hona chahiye aur agar kuch hua naa toh bhaiya kasam bata rahe hai humse bura koi nahi hoga.

Anubhav : Aur app bhi SI Madam hamari behna ka dhyan rakhna agar apki wajah se hamari behna ko kuch hua naa toh yaad rakhna humse bura koi nahi hoga .

Karishma : Aur haa bhaiya  hum dono roj baat kiya karenge.

Anubhav : Of course yeah bhi koi kehne ki baat hai. Bass tum apna dhyan rakhna aur haa gusse mein apne aap ko chotil mat kar lena. Aur haa khana wagera sab time peh khana aur nind bhi puri karna kahi esa naa ho ki kaam ke chakkar mein nind puri naa karo. Aur haa agar kabhi bimar ho jao toh sabse pehle jaake doctor ko dikhana aur uske baad hume phone karna.

Karishma : Ohk bhaiya aur haa app bhi apna pura khyaal rakhna kahi esa naa ho ki app kaam ke chakkar mein heath ko bhul hi jao.

Anubhav : Jii mate 

Then Anu bhaiya sees Karu di's tiffin

Anubhav : Karu abb bate bahut ho gayi abb khana khate hai chalo  .

Karishma : Ohk bhaiya .

Then Anushma ek dusre ko khana khilate hai.

After lunch .

Karishma : Wase bhaiya apka transfer hua kaha hai.

Anubhav : Delhi hua hai. Aur aaj raat 9 baje ki flight hai.

Karishma : Ohk, toh bhaiya apko abhi nikalna chahiye apko packing bhi toh karna padega .

Anubhav : Haa bass abhi nikal rahe hai chalo abb bahar chalte hai.

Karishma : Ohk bhaiya

Then Anushma record room se bahar aate hai. And Anushma sees that everyone is now doing there work ( because sabka khana ho gaya tha and lunch time bhi finish ho gaya tha )

Then all sees Anushma.

All : Jai Hind Sir.

Anubhav : Jai Hind everyone . Accha toh abb hum chalte hai wase toh hum hamaare promotion ki khushi app sabke sath celebrate karna chahte they magar hume kal Delhi headquarters join karna hai aur raat 9 baje ki flight hai toh hum app logon ke sath woh khushi celebrate nahi kar payenge.

HM : Koi baat nahi Anu app jab Lucknow aaye tab kar lena hamare sath celebrate.

Karishma : Haseena madam bilkul sahi keh rahi hai bhaiya jab aao tab celebrate kar lena.

Anubhav : Thik hai accha ab hum chalte hai app sab apna dhyan rakhna aur haa jab bhi hume samay milega hum app sabse milne aayenge.

Karishma : Jarur bhaiya aur jab hume samay milega hum aayenge appse milne. Aur haa app bhi apna dhyan rakhna  .

Anubhav : Okk aa jana and byee byee everyone. Chalte hai.

Hearing this tears flows from Karishma eyes and Anu bhaiya sees this and a tear left from Anu bhaiya's eyes too but he quickly wipes it before anyone notice him.

Anubhav : Nahi Karu bilkul nahi.. No tears, rona nahi bilkul bhi, Anu bhaiya ki sherni hona bilkul mat rona. Idhar aao.

Then Karu di came near him. And Anu bhaiya hug her and again she starts crying.

Anubhav: Arre ese rote thodi naa hai betu, idhar dekho hamari taraf dekho.

Then Karu di sees him.

Anubhav : Tum hamari sherni ho apne Anu bhaiya ki sherni ho aur Anu bhaiya ki  sherni ese roye yeah Anu bhaiya ko bilkul nahi pasand isliye abb rona band karo aur ek pyari si smile karo.. Accha ek baat batao agar tum hamari jagah hoti aur hum tumhari jagah hote aur ese roo rahe hote toh tumhe accha lagta?

Karishma : Nahi hame bilkul accha nahi lagta apka rona.

Anubhav : Toh phir. Aur wase bhi  tum sherni ho aur sherni rote hue bilkul acchi nahi lagti  isliye abb rona band karo aur ek acchi si smile kardo aur agar tum ese hi roti rahe naa toh log tumhe bhaukaali Karishma Singh nahi balki rotlu Karishma Singh karke chidayenge.

Hearing this Karishma stops crying and stars laughing.

Karishma : Kya bhaiyu app bhi. ( laughing) .

Anubhav : Yeah hui naa baat, hamesha ese hi hasti rehna acchi lagti ho haste hue. ( kiss on her forehead)

Karishma : Okk bhaiya  .

Anubhav : Hum milne aate rahenge aur haa tum bhi Delhi aana milne.

Karishma : Jarur bhaiya. I love you bhaiyu.

Anubhav : Love you too mera baccha.

Then Anu bhaiya broke the hug.

Anubhav : Accha toh abb hum chalte hai. Bye bye everyone.

Karishma : Bye bhaiya ( smiling).

All : Bye Anu / SP Sir.

Then Anu bhaiya left from thana   and  went home and pack his all stuff and went to Airport. And DSP Mahesh is also left from Mahila Thana.

At Thana.

HM : So now everyone get back to work aur hum apne cabin mein jaa rahe hai koi kaam ho toh bula lena.

All : Okk Madam / Maddam Sir.

Then everyone starts their work and HM went to her cabin.

After 1 hour

A lady enters in Thana.

PS : Ji kahiye hum apki kya help kar sakte hai.

Lady : Madam mujhe FIR likhwani hai apne husband ke khilaaf.

Hearing their voice HM came from her cabin.

All : Jai Hind Maddam / Maddam Sir

HM : Jai Hind.

HM : PS Jii yeah kon hai? ( point towards Lady)

PS : Maddam Sir yeah yaha apne pati ke khilaaf FIR likhwane aayi hai.

HM : Ooh, app ek kaam kijiye app baith ke aaram se hume sari baat batayea ( said to lady) .

Lady : Ohk maddam.

Then Lady sits at chair.

Lady : Mera naam Bhawana hai mai ek normal family se belong karti hun aaj se 2 mahine pehle meri shadi Prithvi naam ke ek ladke se hui thi. Madam shaadi ke 1 mahine tak sab thik tha per.

Karishma : Per kya?

Bhawana : Jab hamari shadi ka dusra mahina shuru hua toh Prithvi aur uske ghar wale hamare papa se dahez mangne lage. Madam hamaare papa ne jaha tak papa de sakte they waha tak diya bhi lekin un logon ki demand  toh khatam hone ka naam hi nahi le rahi hai abhi ek hafte pehle hi papa ne Prithvi ko gold ki chain di layi thi aur abb woh keh raha hai ki use 4 SUV bhi chahiye madam mai middle class family se belong karti hun mere family wale itna kaha se karenge. Madam ab toh un logon ne mujhe marna bhi shuru kar diya hai. ( showing the wound on her hand).

Seeing this all got angry.

Karishma : Ama ee sab ho raha tha tumhare sath toh tumne FIR kyu nahi likhwayi pehle?

Bhawana : Madam FIR likhwayi thi magar koi fayda nahi hua.

Karishma : Kyu?

Bhawana : Kyunki humne jaha complaint file ki thi waha ke Officer ne hamaare sasuraal walo se rishwat leke case ko band kar diya tha.

Hearing this all again got angry.

Karishma : Accha wase konse thane mein report karwayi thi tumne?

Bhawana : Jankipuram Thana Gomati Nagar mein karwayi thi koi Bulbul Pandey karke tha waha ka senior.

Karishma : Bulbul Pandey ama ese kaam wahi kar sakta hai. Humko toh samjh nahi aata ki Bulbul Pandey jaise log esa kaam kar kaise lete hai.

HM : Lalach ki wajah se Karishma Singh ese log naa lalach mein aakar kuch bhi kar sakte hai. Anyways Santu Bhawana Jii se jitni bhi important information chahiye woh l
sari lelo aur Bhawana Ji app sari information SS ko de dijiye aur befikr hokar ghar jayea abse woh log appse dahez nahi lenge.

Bhawana : Okk Madam.

Then Bhawana gave all her information and left from there.

Karishma : Haseena Madam hum kaa kehte hai yeah case naa hum hamaare tarike se solve karte hai esa bhaukaal dikhayenge naa uu Prithvi ko ki uu toh kaa koi aur bhi kabhi bhi dahez nahi mangega.

HM : Nahi Karishma Singh yeah case Jazbaat se hi solve hoga.

Karishma : Kyu?

HM : Kyunki Karishma Singh maar peet se kabhi koi case solve nahi hota cases hamesha jazbaat se hi solve hote.

Karishma : Madam hum mante hai ki cases jazbaat se solve hote hai magar ek sach yeah bhi ki cases bhaukaal se bhi solve hote hai. Aur yeah case agar humne bhaukaal se solve kiya naa Maddam toh Bhawana ko insaaf jaldi milega aur phir kisi Prithvi ki himmat nahi hogi kisi Bhawana ko dahez dene ke liye force karne ki.

HM : Karishma Singh cases sirf aur sirf Jazbaat se hi solve hote hai bhaukaal se nahi aur rahi baat  insaaf ki toh jazbaat se bhi bahut jaldi Bhawana ko insaaf milega.

Karishma : Madam cases naa toh 100 % jazbaat se solve hote hai aur naa 100 % bhaukaal se cases hamesha jazbaat aur bhaukaal ke balance se solve hote hai app ek baar  hame apne tarike se solve karne dijiye bass.

HM : Karishma Singh humne kaha naa cases sirf aur sirf jazbaat se hi solve hote hai aur  honge aur rahi baat apko case solve karne dene ki toh woh karke hum Mahila Police Thane peh koi samasya nahi kadi karna chahte hai.

Hearing this Karishma feeling bad and got angry.

Karishma : Ooh toh apko esa lagta hai ki hamaare tarike iss thane peh muskile kadi karte hai.

PS : Esa sirf lagta hi nahin balki hai bhi . Apke tariko ne hamesha hamaare thane sirf problems create kari hai aur bichari Madam Sir ko hamesha un problems ko thik karna padta hai galati karti app hai aur maafi Maddam Sir ko mangni padti hai . Aur apki inhi galati karne ki aadato  ki wajah se Anubhav Sir apko chod ke jaa rahe hai .

Hearing this Karishma got hurt .

HM : Aur haa Karishma Singh agar app chahe toh app iss case se drop leh sakti hai  kyunki case toh jazbaat se hi solve hoga.

Hearing this Karishma shocked.

Karishma ( in mind) : Nahi hum yeah case se drop nahin lenge hum iss case mein shamil honge.

Karishma : Thik hai Maddam agar app chahti hai ki case jazbaat se solve ho toh jazbaat se hi solve hoga. Humne hamesha Thane ka sath diya hai aaj bhi denge. ( sadly)

HM : Well done Karishma Singh hume app se yehi ummeed thi.

Karishma : Kya karna hai Maddam hume.

HM : Cabin me aayea sab phir batate hai.

Then HM tells her plan to Mahila Police Thana and the case is solved with jazbaat .

At night.

At Singh Mention.

Karishma enters in the house with sad face.

Karishma ( in mind) : Aaj toh bahut thak gaye hum. Ek kaam karte hai pehle fresh hote hai phir dinner bana dete hai phir aaram se baithenge.

Then Karishma went to her room .

At Lucknow Airport

Anu bhaiya was waiting for his flight because flight 9: PM ki thi and it's 8 PM now.

Anubhav ( in mind) : Ab tak toh Karu ghar pahunch gayi hogi, phone kare kya. Nahi abhi shyd fresh ho rahi hogi baad me Delhi pahunch ke kar lenge .

At Singh Mention.

After 20 minutes.

Karishma came in hall wearing night suit and starts preparing dinner.

After 20 minutes.

Karishma prepared the dinner and now putting on dinner table.

Karishma : Anu bhaiya dinner lag gaya hai aa jayea.

No response.

Karishma : Anu bhaiya khana lag gaya hai aa jao.

Still no response.

Karishma ( in mind) : Ama ee Anu bhaiya reply kyu de rahe jaake dekhte hai.

Then Karishma goes to his room.

At Anu bhaiya's room.

Karishma came in room  .

Karishma : Anu bhaiya app kaha hai?

Then suddenly Karishma remember that Anu bhaiya is here.

Karishma ( in mind) : Ama bhaiya toh Delhi gaye hai hum bhi pata nahi kase bhul gaye ee 

Then Karishma came  in dinning area with sad face .

Karishma ( in mind) : Ama hum toh abhi se bhaiya ko miss karne lage hai pata nahi aage kaise rehenge unke bina.

Karishma : Chalo pehle dinner karte hai phir baat karenge bhaiya se.

Then karishma starts doing dinner .

After 15 minutes.

Karishma have done her dinner.

Karishma : Dinner ho gaya abb room mein jaati hun.

Then Karishma went to her room.

At Karishma room.

Karishma came in her room and sits on bed.

Karishma ( in mind) : Bhaiya ko phone kare kya, bhaiya ne dinner toh kiya hoga naa, abhi toh bhaiya ki flight bhi rawana ho gayi hogi. Ek kaam karte hai ek ghante baad phone karte hai. Hmm tab tak bhaiya pahunch bhi jayenge.

Karishma ( in mind) : Aaj Thane mein joh hua woh bilkul galat tha Haseena Madam hamesha hame hi galat kyu manti hai aur baaki sab ko bhi hum hi kyu galat lagte hai. Haa mana hum har baar sahi nahi ho sakte lekin hum har baar galat bhi toh nahi ho sake hai.... Kya waqayi Anu bhaiya hamari wajah se gaye hai kya humare tarike Thane peh sahi mei musibat laate hai kya ham hamesha galati karte hai?.. Sawaal bahut hai lekin jawaab dene wala koi nahi hai kash Anu bhaiya yaha hote kam se kam hame hamare sawaalo ke jawaab toh mil jaate. Anu bhaiya se baat karne ka man ho raha hai lekin kar nahi sakte abhi. Kya kare. ( Then suddenly she remember diary) . Diary haa diary likhte hai wase bhi Anu bhaiya ne bola tha ki jab bhi hame unse baat karni ho apne man ki baat batani ho toh hum diary likh sakte hai. Hmm wahi karte hai.

Then Karu di diary find karke diary likhna start kar deti hai aur diary ka naam hota hai Anu bhaiya ki sherni ki kahani Karishma ki zubaani Anu bhaiya ke liye.

Then Karu di wrote whole incident in diary.

After 1 hour

Karishma wrote the incident.

Karishma : Chalo aaj ka toh likh diya abb bhaiya ko phone karte hai.

Then she was about to call Anu bhaiya but suddenly she smiles because Anu bhaiya himself call her and  she picks the call .

Karishma : Hello bhaiya.

Anubhav : Hello mera baccha, aur kaisi ho.

Karishma : Thik hai bhaiya app kaise ho ?

Anubhav : Hum bhi thik hai , aur dinner kar liya tumne?

Karishma : Jii aur appne?

Anubhav : Bas abhi abhi kiya humne bhi.

Karishma : Aur Delhi pahunch gaye app?

Anubhav : Haa behna pahunch gaye. Aur batao kya kar rahi thi?

Karishma : Kuch nahi bass apko yaad kar rahi thi ( sadly)

Anubhav : Kuch hua hai kya Karu? ( because he feels sadness in her voice).

Karishma : Nahi toh bhaiya aur apko kyu esa lag raha hai?

Anubhav : Nahi woh tumhari aawaaz se lag raha hai jaise udaas ho.

Karishma : Nahi toh. Bhaiya app Delhi aaram se pahunch gaye naa?

Now Anu bhaiya is sure that Karishma kuch chupa rahi hai.

Anubhav : Matlab kuch toh hua hai tum baat palat rahi ho matlab kuch chupa rahi ho

Karishma : Nahi toh.

Anubhav : Karishma sachi batao kya hua hai.

Karishma : Kuch nahi hua bhaiya.

Anubhav : Kashu please tumhe kasam hai hamari.

Karishma : Bhaiya kasam... Thik hai batate hai.

Then Karishma tells whole incident to him.

Karishma : Bhaiya kya sach me app hamaari wajah se gaye hai? Kya sach mein hamari wajah se Thane peh problems aati hai? Kya sahi mei hamaare tarike galat hai?

Anubhav : Esa kuch nahi hai Karu naa tumhari wajah se Thane peh problems aati hai, naa tumhare tarike galat hai aur naa hum tumhari wajah se Delhi aaye hai.

Karishma : Toh woh sab kyu esa bol rahe hai?

Anubhav : Kyunki unhe sirf woh khud hi sahi lagte hai unhe lagta hai ki unke alawa koi sahi ho hi nahi sakta hai. Lekin esa nahi hai agar woh galat nahi ho sakte har baar toh woh har baar sahi bhi nahi ho sakte aur Karu tum galat nahi ho aur naa hi tumhare tarike galat hai isliye apne man se tum galat ho tumhare tarike galat hai yaa hum tumhari wajah se gaye hai yeah sab baate nikal do aur har dam yahi socho ki tum sahi ho tumhare tarike sahi hai aur wase bhi kisi ke kehne se tum galat yaa sahi nahi ho jaogi.

Hearing this Karishma got smiles.

Karishma : Thank you bhaiya hume samjhane ke liye aur bhaiya hum kal baat kare woh hum thoda thak gaye hai.

Anubhav : Isme thankyou kaisa aur thik hai hum bhi kal hi baat karenge hum bhi thak gaye hai. Bye Karu.

Karishma : Bye bhaiyu and love you bhaiyu.

Anubhav : Love you too mera baccha bye bye .

So guys this was your 6 th chapter and  I know this is boring and lengthy chapter but I hope you all like it.

So guys milte hai next chapter ke sath tab tak ke liye

Tata bye bye

Do vote and comment.





Continue Reading

You'll Also Like

4.6K 724 12
Ghar ki Gali se, Dil ki Gali tak ❤️
1.2K 52 12
no description cause yall dont even read descriptions
10.5K 693 19
Kabhi kabhi joh dikhta woh Sach nhi hota aur joh nhi dikhta woh Sach hai. Think before taking a strong step otherwise you will be destroyed by fate M...
31.2K 1.7K 19
Secret 🤫