Mohra

By Atiwak

9.5K 1.4K 1.7K

एक आम मोहरे की सिर्फ एक चाल और पूरा खेल समाप्त...!! ???? A/N- I don't own the characters but, I own this stor... More

Prologue
Part -1
Part-2
Part-3
Part- 4
Part-5
Part-7
Part-8
Part-9
Part- 10
Part- 11
Part-12
Part - 13

Part-6

490 97 179
By Atiwak

Continuing...

"Nyaydhish mahoday agar aap aagya de toh kya hum yeh DNA report padh sakte hai?" Vishwas asked with a smile in the tense atmosphere of the court. The judge granted him permission, and Vishwas tore open the envelope and retrieved the report. His face turned pale as he was shocked by its contents.

"Mr. Vishwas, report padhkar sabko sunaiye," Anjali said curiously. Vishwas glanced at her and then at Sarkar.

"Kya hua Vishwas ud gya chehre ka rang...humne bola tha yahin Anubhav hai jo khud ko bachane ke liye natak kar raha hai..!" kS said with a smile.

"Natak karna toh inki ab khoon mein bas gya hai...pehle acche hone ka natak phir pyaar ka natak aur ab Sarkar hone ka natak...!" Haseena said tauntingly.

"Vishwas report mein kya hai..??" Judge asked sternly.

"Kya judge sahab kya puchh rahe hai aap, inke chehra bata raha hai ki report.....Negative hai, sir..(Vishwas said, cutting off KS, which shocked the courtroom, especially Kareena.)"

"Whatt...??" Anjali snatched the report and get surprised. "Yeh kaise possible hai..yeh Sarkar Anubhav nhi hai..!!" She said shockingly.

"Humne bhi wahi bola tha Anjali ji..!" Vishwas smirked at her. "Maine bhi bola tha ki main nhi hoon Anubhav..!" Sarkar said.

"Nhi yeh report jhooth hai...aisa ho hi nhi sakta...!" Haseena interrupted.

"Sach hai Miss Malik, ab yeh mat kahiyega ki report badal di hai ya phalana..kyunki aap janti hai ki blood sample lene ke baad se report adaalat mein aane tak woh doctor ki team special force ke nigrani mein rahi hai..aur ab aage ka sach aap batayengi ki, Anubhav ko kyun mara aur uski body kahan gyi..!!" Vishwas growled.

"Hum bata chuke hai woh deshdrohi hai isliye mara...aur body ka hume nhi pata...!" She answered angrily.

"Toh Karishma Singh aap bata dijiye...!"

"Bola na hume nhi pata...hum toh maddam sir ko lekar hospital chale gye the...!" KS said irritatedly.

"Haan bataya tha...aap apni maddam sir ko wapas lekar hospital gyi thi...usi maddam sir ko jinhe aap us waqt apni maddam sir manti tak nhi thi...?! " Vishwas said questioningly.

"Amma kaaa bol rahe hai..!" KS said, rolling her eyes. "Sach...jab tak inki yadasht wapas nhi aayi thi tab tak aap khud confuse thi ki yeh Haseena hai ya Urmila...yaad hai ya aapki team ko bulaye...!" Vishwas smirked at her.

"Mr.Vishwas us baat se koi fark nhi padta ki Karishma Singh, Haseena Urmila ko lekar confused thi...sach toh yeh hai ki Anubhav Singh ek deshdrohi tha..!" Anjali interrupted with a smile.

"Fark padta hai Anjali ji...bahot fark padta hai, kyuki inhone us insaan ke kehne par inhone sabse important cheej yani woh Pendrive ko destroy kiya tha...apne bhai par gun point kiya aur unhe goli bhi maari...sirf us insaan ke kehne par jiski asli pehchan tak woh nhi janti thi...!"

"Par baad mein sabit toh ho gya ki Urmila hi Haseena hai..!" Anjali replied with smirk.

"Bilkul...isliye toh Miss Malik ne bade aaram se maar diya Anubhav ko...!" Vishwas said tauntingly.

"Waise Miss Malik (walks up to her) bada dard hua hoga na apne hi pyaar ko apne haathon se maarne ke baad..tch..us dard ka ehsaas toh shayad is adaalat mein upsthit koi bhi insaan mehsoos nhi kar sakta....(Haseena stared blankly at Vishwas), pehle pyaar kiya toh vishwas tuta, phir vishwas karke Anubhav ke pyaar ko apnaya toh woh aapko sagai ke din chhod kar chala gya aur jab phir mile toh woh mulakaat akhiri ban gyi...(sadly), itni sundar kahani ka anth aisa dardnaak hoga na kabhi aapne socha hoga na Anubhav ne....!"

"Jis kahani mein pyaar ek tarfa ho, uska anth hamesha dard bhara hi hota hai Mr. Vishwas...!" Haseena said coldly. "Nhi Miss Malik, do tarfe pyaar ka anth bhi dardnaak hota hai...jaise aapke aur Anubhav ke pyaar ka hua...!" Vishwas added with a smile.

"Anubhav ne humse kabhi pyaar hi nhi kiya...!" Haseena said angrily. "Aapne toh kiya tha na?" "Hadd se jyada kiya...shayad isliye aaj bhi unki yaadein dard deti hai hume...!" She said, controlling her emotions.

"Aur vishwas?" Vishwas asked. "Ji..?" "Vishwas kiya Anubhav par aapne?" He repeated his question.

"Haan...!"

"Isliye jab Karishma Singh sagai wale din aakar aapse boli ki Anubhav sagai nhi karna chahta tha isliye chala gya aapne itni asani se maan liya?" Vishwas said tauntingly.

"Karishma Singh unki behan hai aur hamari dost...!" Haseena said.

"Jo kabhi nhi chahti thi ki aap aur unke bhai ek ho...!" Vishwas smirked at KS. "Haan nhi chahte the kyunki hume lagta tha dono ek dusre ke liye sahi nhi hai..!" KS said angrily.

"Toh phir achanak se jab Haseena Malik Anubhav ko rokne ke liye Airport par gyi tab aap Pushpa ji aur team ke saath mil gyi?" Vishwas asked.

"Hume laga ki jab dono itna pyaar karte hai toh hume koi pareshani nhi honi chhaiye, MS hamari senior aur dost dono hai unki khushi main hum khush the aur hamare bhai ki khushi ke liye bhi...!" KS said coldly.

"Wah re dosti...matlab dost ke liye apne bhai ki jaan le li, shaadi ke liye taiyar ho gyi..par aaj tak apne usi dost ko nhi bataya ki sagai wale din Anubhav kyun gya tha...!" Vishwas taunted her. Haseena looked at KS questioningly.

"Dekhiye Mr. Vishwas...(cutted by him), kya dekhe Karishma Singh, aapki pyaari maddam sir mahino tak roti rahi, gum mein rahi...par aapne unhe sach batane ki takleef nhi uthai...kyun?"

"Kyunki Anubhav Singh ne mana kiya tha, woh nhi chahte the ki unke jaane ke baad bhi Maddam sir unka intejaar kare...!" KS shouted, spilling the truth.

"Kyaa...???" Haseena looked at her surprisingly while Vishwas smirked. "Judge sahab, sagai wale din jab Anubhav Singh kaafi der tak nhi aaye tab humne unki maa ko phone kiya, unhone hume bataya ki Anubhav Singh ghar par nhi hai aur (she narrated the whole sagai wala episode and headquarter scene, which shocked Haseena) par woh sab natak tha, Anubhav Singh ne kabhi pyaar hi nhi kiya tha isliye woh jhooth bol kar bhaag gye...!" KS said angrily.

"Judge sahab aapki table par ek file rakhi hai, jisme Anubhav Singh ke senior Mr. Ajay Bakshi ka byan darz hai ki sagai se pehle Anubhav ko ek dangerous mission diya gya tha...jisme bachane ke chance na ke barabar the...!" Vishwas explained. "Karishma Singh, is file ke according Anubhav ne aapse sach kaha tha...phir aap aisa kyun bol rahi hai woh natak tha?" Judge questioned. "Kyunki unhone khud kaha tha us din..!"

"Unhone kaha toh yeh bhi tha ki woh Haseena se pyaar karte hai par woh toh nhi mana aapne...!" Vishwas said tauntingly.

"Mr.Vishwas, in sab se aap sabit kya kar lenge, sach toh yahi rahega ki Anubhav deshdrohi hai...!" Anjali said.

"Aap hi bataiye Anjali ji, jo insaan Haseena Malik ki jaan bachane ke liye use sagai wale din chhod sakta hai, khud par bhagoda hone ka kalank le sakta hai woh kaise in par goli chala sakta hai..!"

"Toh aap kehna chahte hai ki Haseena ka pyaar jhootha tha...isliye isne goli chala di aur maar diya Anubhav ko..!" Anjali taunted.

"Nhi...inka pyaar sach tha par us pyaar mein bharosa nhi, pehli baar dil tutate hi tut chuka tha, hein na Miss Malik?" Vishwas raised his brows.

"Nhi..hume vishwas tha Anubhav par...!"

"Isliye aapne ke baar bhi Anubhav ko phone karke nhi puchha kyun..? Kyun dobara dil toda aapka? "

"Aapka dil tutne ke baad aapke andar itni himmati rehti Mr. Vishwas...!" Anjali asked.

"Himmat nhi...baat khud ke dil ki thi Anjali ji, aap hi bataiye aapke arranged engagement 6 mahine ho gye hai, agar ab aapke mangetar achanak se bol de woh aapse shaadi nhi kar sakte toh aap unse puchhengi nhi kyun?"

"Woh aisa kabhi nhi karenge...!" Anjali said, shoting deadly glare at him. "Maan lijiye kar diya toh?"

"Bilkul sawal karenge hum, aur sawal ke saath saath aapki haddi bhi tod denge...!" She said through gritted teeth. Vishwas smiled softly. "Tension mat lijiye karenge nhi bas bol rahe hai...!" He whispered.

"Vishwas...!!" "Sorry sir...haan toh Haseena Malik, aapne kyun nhi puchha Anubhav se ek baar (she tries to speak, but he continue), accha maan lete hai unse nhi puchh sakti thi par Karishma Singh se toh puchh sakti thi par nhi, aap dono aise bhale hi kitna bhi mat bhed kare...aise time par aap dono ek dusre ki har baat ko sach maan leti hai...jaise Karishma Singh ne maan liya aur maar diya Anubhav Ko...!" Vishwas taunted them.

"Mr. Vishwas, daleelon se kuch nhi hoga proof dijiye adaalat ko ki Anubhav Singh begunah hai..! Anjali said.

" Aap bhi Anjali ji, saabit kariye Anubhav deshdrohi hai aur aapki muvakil nirdosh...!" Vishwas said in same tone.

"Aap dono, Mr. Vishwas...aap dono ko 2 hafte ka samay diya jata hai sabooton ke saath aane ke liye, agar next sunwai mein aap dono saboot laane mein asafal rehte hai toh phir court ka faisala aap dono ke liye bura hoga..!" Judge warne them. "Ji...sir...!"

______________

"Ab sabit ho gya hai ki main Anubhav nhi hoon toh kya main wapas ja sakta hoon banaras?" Sarkar asked irritatedly. Vishwas and Kareena looked at him. "Nhi...ab tum case ka hissa ban chuke ho isliye bina permission ke nhi ja skate...!" Vishwas said calmly.

"Par hume ghar jana hai.."

"Kaahe tumhari woh girlfriend intezaar kar rahi hai tumhara...!" KS taunted Sarkar. "Amma muh band rakho tum, girlfriend nhi hai woh hamari...!!" Sarkar said coldly. "Toh kaa use bhi bewakoof bana kar shaadi kar liye...!" KS taunted.

"Tum jaise logon ko bas wahi dikhta hai jaise tum log khud ho...gire huye...!Sarkar taunted with a sugar coated smile. "Sarkar aap apni tahzeeb mein rahe...!" Haseena interrupted sternly. "Hamari bari tahzeeb yaad aa gyi, tumhari is dost ke paas hai nhi ya sunai nhi diya jab isne humse badtameezi ki...!" Sarkar said tauntingly, with arched eyebrows.

"Inko ek dusre ki galti dikhti toh baat hi kya hoti Dhruv...dono ek dusre ki galti ko bas chhipana hi janti hai...kyun Miss Malik..!" Vishwas taunted with an ear to ear smile.

"Hum aur Karishma Singh, aap public prosecutor hai ya hamari dosti ke gungaan karne wali machine ,Tch...Mr.Vishwas, aap bas ek hi baat lekar baithe hai hum aur hamari dosti isse behtar hoga ki aap saboot jama kariye aur Anubhav ko insaaf dilaiye...hamari dosti par sawal utha kar kuch nhi milega aapko..!" Haseena give him her signature smile.

"Bilkul Miss Malik, insaaf bhi hoga aur logon ke asli chehre bhi bahar aayenge...bas aap wait kariye aur dekhiye kaise ek aam Mohra pure shatranj ka khel palat deta hai...!" Vishwas smirked at her.

"Aapke is khel mein hamara koi kaam nhi hai isliye hum ja sakte hai?" Sarkar asked. "Nhi..Tum hamare saath chaloge.!" Vishwas said.

"Aap Sarkar ko bina hamari permission ke nhi le ja sakte Mr. Vishwas...!" Haseena said boldly. "Aap bhool rahi hai court mein prove ho gya hai ki yeh Anubhav nhi hai isliye ab aapki iski zindagi par control nhi kar sakti...!"

"Aap...(cutted by Vishwas),judge sahab ki permission hai...aap chahe toh andar unki table par rakhe application ko dekh sakti hai..!" Vishwas said.

____________

"Vishwas ji, hume yahan laane ka kya matlab hai...hamari yadasht nhi gyi hai ki uske ghar ko dekh kar hume kuch yaad aa jayega...!" Sarkar said irritatedly. "Hum jante hai...hum bas tumhe Maasi se milane laaye hai...!" Vishwas said calmly.

"Ammma, woh bol chuki hai hum unke Anu nhi hai...toh kaahe unhe hamari shakal dikha kar aur dard dena chah rahe ho..!"

"Dard nhi bas help chahiye hume..please Dhruv, maasi bahot bimar hai...woh dhang se kha pii nhi rahi hai...aur kal toh behosh ho gyi thi (Dhruv looked at him in shock), please ek baar andar chalo kya pata tumhe Anubhav samjh kar tumhare liye kuch kha le..!" Vishwas requested.

"Aap please mat kahiye, woh hamari Amma ki tarah hai... Hum chalte hain," Sarkar said, and they went inside the house after showing the permission letter to the two constables who were appointed for security.

"Maasi..." Vishwas softly called Maa, who was lying on the bed with closed eyes, while a glucose drip was attached to her right hand.
Meanwhile, Dhruv eyes brimmed with concern, he gently caressed maa's forehead.

"Anu...!" Maa whispered in a very low voice as she felt Dhruv's touch, which shocked Vishwas and Dhruv. They exchanged bewildered glances, unable to believe what they just heard.

"Maa...!" Sarkar softly said, caressing Maa's head. "Anu...?" Maa repeated.

"Anu, thik hai Maasi, aap ek baar aankhein khol kar dekhiye," Vishwas said. Maa slowly lifted her eyelids, and her lips curved into a smile as she saw her Anu with a smile. Vishwas and Dhruv smiled, but their smiles faded as they noticed that Maa became sad in the next moment.

"Tum Anu nhi ho..!" Maa said and again shut her eyes in sadness. Dhruv and Vishwas looked at each other in disappointed. "Maasi, mana yeh Anu nhi hai par Anu kahin na kahin toh hoga...aap uske liye toh kuch kha lijiye...!" Vishwas pleaded.

"Kyun khaye hum....jab use hamari chinta hi nhi hai...!" Maa said in audible tone. "Maasi use aapki chinta hai...! "

"Nhi hai..hoti toh woh hume aise akele chhod kar nhi jata...!" Maa said emotionally. "Kya pata woh majboor ho..!" Sarkaar interrupted. "Maa ji, hum nhi jante aapke bete ke bare mein jyada par jitna jaane hai itna toh samjh gaye hai ki woh aapse bahot prem karte the...haan Isliye khud chala gya mujhe is beraham duniya mein chhod kar...!" Maa said in anger after cutting of Sarkar.

"Maasi...!" "Nhi Vishwas, Tu side mat le uski...!"

Vishwas and Sarkar shared a look. "Koi fayda nahi hai... Ek maa ki mamta aur zidd ke aage koi nahi tik sakta," Dhruv said and left the room when he heard a voice.

"Kaise ho, Anubhav...?" Sarkar turned towards the source and...

Unknown Time and Place

"Hum yahan kaise aaye...?" The wounded man asked a man and a girl.

"Hum lekar aaye hai sir..!" The girl replied him. "Par yeh toh hamare plan ka hissa nhi tha?" He said questioningly.

"Sir woh plan hi kabhi hamara nhi tha, aapko bas ek Mohra banaya gya hai apne plan ko pura karne ke liye...!" The man answered. "Hum jante hai...par shayad unhe nhi pata ki shatranj mein jab Mohra apni hadd paar karta hai toh use Mohra se Bazir banane se koi nhi rok pata...!" He said with smirk.

"Sir..??!"

"Hume Mohra bana kar un logon jo khel shuru kiya hai ab unke hi khel mein unhe fasa kar unka khel khatm yeh Mohra hi karega...!" His lips curved into a dangerous smirk.

To be continued.....

Upcoming- Anubhav Is Back..!
___________________________________

The 6th chapter of Mohra ends here, how did you feel about the part?

Sorry for the grammatical errors.

Thank you for giving your valuable time to read this.

~Atiwak

Continue Reading

You'll Also Like

63.3K 3.7K 53
this story after hm marriage story enjoy 😊
11.1K 734 20
Kabhi kabhi joh dikhta woh Sach nhi hota aur joh nhi dikhta woh Sach hai. Think before taking a strong step otherwise you will be destroyed by fate M...
23.6K 1.7K 33
Hello guys, well many of you love the couple anuseena so i thought to write it. It just a different story , in this anubhav singh will have the posi...
50.7K 4.7K 27
Writing for the first time..so please do support 🥺 A die heart Kareena fan 😎 So this story is all about Kareena's unique relationship their trust...