ABHIRA:- ARRANGED TO LOVE

By anjali57730403

65.4K 4.9K 537

This is story of abhira from the very beginning when the yrkkh introduced third generation. It involves more... More

CHARACTER SKETCH
PART 1
PART 2
PART 3
PART 4
PART 5
PART 6
PART 7
PART 8
PART 9
PART 10
PART 11
PART 12
PART 13
PART 14
PART 15
PART 16
PART 17
PART 18
PART 19
PART 20
PART 21
PART 22
PART 23
PART 24
PART 25
PART 26
PART 27
PART 28
PART 30
PART 31
PART 32
PART 33
PART 34
PART 35
PART 36
PART 37
PART 38
PART 39
PART 40
PART 41
PART 42
PART 43
PART 44
AUTHOR'S NOTE
PART 45
PART 46

PART 29

1.4K 105 44
By anjali57730403

In abhira's room

Akshara enters and sees abhimanyu pacing in the room angrily.

Akshara softly- abhi

Abhimanyu stops and looks at akshara. He holds her hands and makes her sit on bed. He kneels in front of her.

Abhimanyu cups her face- akshu...i am sorry...tumne kya socha hoga ki tumhara yaha pehla din aisa hoga...vaisa hoga aur ye log hai ki tumhe acchi wishes dene ke bajaye tumhe udaas kar rahe hai

Akshara holds his hand on her cheek- abhi...kisne kaha ki mera din yaha accha nahi hai...mere sasural me mera pehla din bohot accha beeta aur mujhe yakeen hai ki aage bhi accha beetega...aur tumhe kisne kaha ki mujhe kisi ne acchi wishes nahi di...mujhe sab ne aashirwaad diya hai aur fir tum bhi toh ho...tum toh dil se mujhe good wishes de rahe ho na

Abhimanyu smiles and nods. Akshara hugs him.

Akshara- abhi...taiji ne apna point of view diya...mujhe traditional dresses pasand hai pehenna...iska matlab ye toh nahi ki unhe bhi pasand ho...aur fir aaj mera yaha pehla din hai...mere maayke se ye ghar thoda alag hai par vo toh koi aur ghar bhi hota na...sabke tastes alag hai...routine alag hai...thodi bohot problems toh hogi na...thode adjustments bhi karne padenge

Abhimanyu breaks the hug- vahi toh main keh raha hu akshu...adjustments karne padenge par tum akele ye sab nahi karogi...adjust dono ko karna padega...thoda tum karo...thoda ham sab kare...tabhi toh problem solve hogi na

Akshara sighs- abhi...tum apna mood kyo kharab kar rahe ho...kal hamara reception hai...hamari shadi se related aakhiri function aur fir ham sab normal routine me aa jayenge...hame ise special banana chahiye...khush hona chahiye...naa ki mood spoil karna chahiye...aur rahi baat kapdo ki toh taiji mujhe best dress hi degi na...aur ho sakta hai ki mujhe unki dress pasand aa jaye aur fir jab bhi mujhe koi fashion tips chahiye hongi main unhi ke paas jau...shayad main aur taiji isi topic par bond kare

Abhimanyu chuckles- tum bohot zyada optimistic ho (kisses her forehead) aur bohot acchi bhi

Akshara smiles and kisses his cheeks softly. Abhimanyu looks at her surprised.
Akshara looks down being shy. Abhimanyu looks at her instensely.

Abhimanyu- oye hoye...mujhe nahi pata tha ki mera gussa shaant karne ke liye tum aisa kuch karogi...ab se main zyada gussa karunga

Akshara- tum vaise bhi har baat par gussa karte ho (looks down) aur mujhe tumhare gusse se bohot dar bhi lagta hai

Abhimanyu sighs and makes her look at him- akshu...i agree mujhe gussa jaldi aata hai aur bohot saara aata hai...par itna bharosa toh tum mujh par kar sakti ho na ki kisi galat baat par main gussa nahi karunga

Akshara murmurs- haa par jab tumhe gussa aata hai na toh tumhe kuch samajh nahi aata...kisi ke samne kuch bhi bol dete ho...naa bado ka lihaaz karte ho naa hi rishte ka maan

Abhimanyu looks at her for a minute and then understands- oh...toh tum sir ki baat kar rahi ho...tumse kisne kaha mujhse unki vakaalat karne ko...maa ne kaha ya fir unhone khud sifaarish ki hai (chuckles) sorry...sifaarish nahi order diya hoga na tumhe...

Akshara interrupts softly- abhi...aisa nahi hai...tum galat samajh rahe ho....

Abhimanyu interrupts and cups her face- ab toh main sahi samjha akshu...ye sab sir ka kiya dhara hai...aaj tak maa ko dara kar rakha...neil ko beizzat kiya aur ab tumhe manipulate kar rahe hai (looks at her) akshu tum bohot innocent ho...tum nahi samajh paa rahi sir kya karne ki koshish kar rahe hai...par main samajh gaya (looks at her sternly) aur main unka asar hamare rishte par padne nahi dunga

Akshara tries to explain- abhi

Abhimanyu pulls her closer and hugs her tightly. Akshara too hugs him. Abhimanyu calms his anger but is determined to not let harsh ruin his marriage and manipulate akshara. He kisses her hair. Akshara closes her eyes relaxing in his arms.

Manjiri who had entered to talk to them see them hugging and looks away. She knocks on the door. Abhimanyu sees manjiri and breaks the hug. Akshara also sees manjiri who looked away. Abhira are embarrassed.

Akshara- maa aaiye na

Manjiri smiles and walks in. She caresses akshara's hair and hugs her.

Manjiri cups her face- beta didi ki baat ka bura mat maan na...unki taraf se main tujhse maafi maangti hu

Akshara- nahi maa...mujhe bura nahi laga...sach me...aap please guilty feel mat kijiye

Manjiri- tu bas aise hi haste muskurate reh...mujhe aur kuch nahi chahiye

Abhimanyu- aur main...ye haste rahe...aur mera kya...maa aap bahu ke aane ke baad bete ko bhul gayi hai...dekh raha hu main

Manjiri teases him- are main toh tere liye hi soch rahi hu...ab agar akshu hasti rahegi tabhi toh tu khush rahega...beta agar biwi ruth gayi toh fir toh tujhe mahadev se hi mannat maangni padegi

Akshara blushes while abhimanyu frowns.

Abhimanyu- maa aap dara rahi hai mujhe

Manjiri smiles- bilkul nahi...warning de rahi hu (looks at akshara) kyo akshu

Akshara giggles and looks away as abhimanyu frowns looking at both of them.

Abhimanyu- sab janta hu main...dono milkar pareshan kar rahe ho na mujhe...dekh lunga

Saying this abhimanyu leaves after taking manjiri's blessings and giving a side hug to akshara. Manjiri and akshara were smiling.

Manjiri looks at akshara- beta tu didi ki dress dekh lena...agar tujhe pasand aaye toh hi pehenna...varna apni pasand ke kapde pehenna...reception tum dono ka hai...tum dono ka khush rehna zaroori hai

Akshara- don't worry maa...main sach me khush hu

Manjiri smiles- accha kal reception hoga aur main soch rahi thi ki fir parso tere pag phere ki rasm kar le...use bhi zyada din taal nahi sakte na...kal reception me na main swarna ji se baat kar lungi is baare me...thik hai

Akshara nods with a smile- jaisa aapko thik lage maa

Manjiri caresses her hair lovingly. She goes. Akshara sits on bed looks at her phone.

Akshara- bhaiya ko phone karti hu

She dials kairav's number who picks it.

Kairav- aa gayi yaad tujhe bhaiya ki...mujhe toh laga vaha jakar bhul hi gayi ham sabko

Akshara pouts- aisa nahi hai bhaiya...bas time hi nahi mila...kal saari rasmo me busy ho gayi thi...ham sab bohot thak gaye the...kuch der pehle hi abhi hospital gaya hai

Kairav- bahane mat bana...ek message kar deti ki tu thik hai...tujhe pata hai ham sabko teri kitni yaad aa rahi hai

Akshara emotional- aur mujhe nahi aa rahi kya...yaha sab hokar bhi nahi hai bhaiya...main aap sab ko bohot miss kar raha hu

Kairav worried- kya hua akshu...kuch hua kya vaha par...sab thik hai na...kisi ne tujhe kuch kaha

Akshara- nahi bhaiya...bas yaha sab thoda alag hai...yaha ki aadat daalne me thoda time toh lagega na

Kairav- hmmm...akshu pakka koi problem nahi hui hai na

Akshara- nahi bhaiya...sab thik hai (excited) aapko pata hai papa aur sab ne decide kiya hai ki kal mera aur abhi ka reception hoga...i am sure saari bookings karne ke baad vo aap sabko invite karenge

Kairav happy- are waah...ye toh bohot acchi news hai

Akshara- haa aur mere kapde na taiji design karwa rahi hai

Kairav surprised- sach me

Akshara- haa...aur sabse acchi news ye hai ki maa ne kaha hai ki parso mere pag phere ki rasm karenge...matlab main pure din aap sab ke sath time spend karungi...i am so so happy bhaiya

Kairav happily- main bhi...tune toh aaj kitni acchi news sunayi hai...lagta hai vaha sab tujhe bohot laad pyaar kar rahe hai

Akshara- ab vo toh karenge hi...aakhir nayi nayi shadi hui hai meri...thoda attention toh milna chahiye na mujhe

Kairav- point toh hai...vaise sirf sasural walo ki hi baat karti rahegi...abhimanyu ke baare me kuch nahi kahegi...tu uske sath khush hai na akshu

Akshara blushes- bohot bhaiya...vo bohot accha hai...mera bohot dhyaan rakh raha hai

Kairav smiles- accha laga sun kar

Akshara- accha ab ye batao...baaki sab kaise hai ghar par

Kairav- sab thik hai...tujhe bohot miss kar rahe hai...ek minute main hall me aa gaya hu...speaker karta hu

He keeps the phone on speaker.

Swarna- akshu...kaisi hai tu beta

Akshara happily- badi mumma...main bilkul thik hu...aap sab kaise hai

Manish- ham thik hai beta...teri bohot yaad aa rahi hai

Suhasini- haa tujhe yaad karke teri pasand ki kachoriya kha rahe hai ham

Manish- tune kuch khaya ki nahi subah se...aaj toh tere liye bohot kuch banaya hoga sab ne

Akshara's smile vanishes.

Swarna- kaisi baat kar rahe hai aap manish ji...aaj toh akshu ki pehli rasoi ki rasm hui hogi na...akshu kya banaya tune...sabko accha laga

Akshara- badi mumma...rasm abhi hui nahi hai...khane ke time hogi

Goenkas are surprised.

Swarna- par kyo akshu...sab thik toh hai na

Akshara- haa badi mumma...vo yaha na subah koi bhi heavy breakfast nahi khata...sab fruits aur cereals hi lete hai...toh manjiri maa ne kaha ki main ye rasm lunch ke time kar lu

Swarna- oh...fir thik hai

Kairav- toh akshu...tune bhi fruits hi khaye...tujhe toh heavy naashta karne ki aadat hai...vaise bhi fir tu pure din kuch acche se nahi khati...naashta toh acche se kiya kar

Swarna and suhasini sign him not to say anything.

Akshara- aisa nahi hai bhaiya...aur vaise bhi mujhe bhook hi nahi hai...shadi ki itni thakaan hai ki mujhe toh bas sona hai ab aur kuch nahi

Swarna- so jana...par rasoi ki rasm ke baad...all the best...mujhe pata hai tu jo bhi banayegi accha hi banayegi

Akshara smiles- thankyou badi mumma

Just then there was a knock. A staff member was there.

Staff- mam...vo manjiri mam aapko bula rahi hai

Akshara nods. Staff leaves. Goenkas heard that.

Swarna- akshu...tu jaa beta...ham baad me baat karenge

Akshara- ji badi mumma...bye everyone...miss u all a lot

Goenkas bid too bid her bye. Akshara cuts the call and goes downstairs.

....................................................................................................................................................................................................................................................................................................

Hello everyone! I have some questions for u...

1) Suggest some unique and romantic places for abhira's honeymoon

2) Do u want arohi as a complete negative character or sometimes positive and sometimes negative as in the show

3) What do u want in the upcoming track
      - abhimanyu's strict doctor side for akshu
      - abhira's romance
      - abhira's fight
      - any other track u want

Please comment so i can write and update u regularly

Continue Reading

You'll Also Like

20.2K 1.6K 42
She made him realise that even after having everything, love was the only thing missing in his life. He made her realise that she was also worthy of...
172K 8.5K 33
Mature Story Abhimanyu Birla swore to never fall in love until the new intern catches his eye. Now all he wants is Akshara Goenka
34K 2K 24
Abhira have finally meet after one year. How will they react. Will Abhi believe his Akshu. Will she be able to disclose the truth in front of him...
5.7K 452 12
It's a story of true love. it's the story of Abhimanyu Birla and Akshara Goenka. Abhimanyu Birla is a famous cardiologist whose only love is his Maa...