YOU ARE MY STRENGTH MY LOVE

By Laziest_Writer

21.4K 2.2K 1.1K

Hi, This is my another story of our beloved ANUSEENA. But this is completely different from the show. Here n... More

INTRODUCTION
CHARACTERS
SIBLINGS' LOVE
HAPPINESS & CONFUSION
NEW FRIENDS
YOU ARE PRECIOUS
YES, I AM IN LOVE
A SIMPLE PROPOSAL
PRECIOUS FAMILY
BRAEK-UP
WHAT IS THE MATTER?
APOLOGY NOTE - [NOT A PART]
WHAT HAPPENED TO HER?
THE HARSH TRUTH
HER BAD CONDITION
WITH YOU, ALWAYS
BROKEN ANUSEENA
I AM WITH YOU
THE BLESSING
THE FIR
THE TENSIONS
THIS IS REALITY
WHAT THE HELL
THE START OF THE WAR
THE COURTROOM
INSULT, THREAT & COURAGE
MY IDENTITY
THE ACCIDENT
NO NEED TO WORRY
UNBEARABLE PAIN
HER PAINKILLER
SETTLEMENT?
PROVED GUILTY
I WANT JUSTICE, NOT SYMPATHY
WHY DID YOU SAY 'NO'?
SHE IS NOT READY YET
IT'S NOT EASY
WHEN YOU ARE WITH ME
NOT CHANGED, BUT...
EPILOGUE [01] - MY LOVELY FAMILY
EPILOGUE [02] - YOU ARE MY STRENGTH, MY LOVE
WHY I WROTE THIS?
GRATITUDE NOTE

THE ARGUMENT

530 69 45
By Laziest_Writer

--------------------------------

{PLEASE IGNORE THE SPELLING AND THE GRAMMAR MISTAKES}

__________________

(Kindly read the clarification at the end of this chapter)

*_*_*_*_*_*_*

The next morning,
AnuShma came to Haseena's home. Cheetah welcomed them. Ammi came and hugged Karishma lightly. They greeted each other. Ammi asked her,

AMMI: Karishma beta, tum kab aayi yanha?

KS: Ammi, hum kal raat aaye the. Haseena di kanha hain? Woh... hume pata hain ki unke saath kya hua hain.

Her voice became a little heavy while Ammi was controlling her emotions.

KS: Kanha hain woh? Aur kaisi hain?

CM: Achchhi toh nahi hain. Bas jee rahi hain! Apne room mein hain.

AS: Ammi, hume unse ek bahut mahatvapurn baat karni hain. Hum dono unse milkar aate hain. 

AMMI: Thik hain beta. Tumse baat karegi toh shayad apna dil kuch halka kar le. Humse toh kuch kehti hi nahi.

AS: Aap chinta mat kijiye Ammi. Kuch samay lagega unhe pehle jaisa hone mein. Parantu hum aapko vachan dete hain ki hum unhe ab bahut der tak iss andhkaar mein nahi rehne denge.

AMMI: Hum jaante hain beta. Jaao tum dono usse milkar aao.

AnuShma nodded and went to Haseena's room.

********

AnuShma entered Haseena's room and saw her near the window. Karishma went near her and placed her hand on her shoulder. She said softly,

KS: Haseena di...

Haseena turned and saw her. Both's eyes were a little brim. 

HM: (slowly) Karu!

They hugged each other. Haseena stayed in her arms a little longer time. After some moments Karishma broke the hug and said,

KS: Di, hum jaante hain ki aap par kya beet rahi hain. Hum aapko koi dilaasa dene nahi aaye hain kyun ki dilaasa dena iss samasya ka hal nahi hain. Darasal hum aur bhaiyya aapse ek bahut zaroori baat karne aaye aaye hain.

HM: Kya?

AnuShma looked at each other and Anubhav said,

AS: Haseena, aapko humare saath police thane chalna hoga F.I.R. likhwane.

Haseena was numb for a few seconds. Not because she was scared but just because she was thinking something else.

KS: Kya hua? Kya soch rahi hain aap?

HM: Hnn... Aa... Nahi, kuch nahi.

AS: Waise hume aapse ek aur baat bhi karni hain. 

HM: Ab kya?

AS: Aapne humse kaha tha naa ki hum Maa ko yeh sach bata de aur unka jawab aapko suna de. Toh humne Maa ko sab sach bata diya hain.

Haseena was sad as she assumed that Maa had started to hate her or she had said no to their relationship. Before Anubhav continue she said,

HM: Hum jaante hain ki Maa ka jawab kya hain. Woh hi jo humne pehle socha tha. Anu, hum nahi chahte ki humari wajah se aapka apni Maa se rishta kharab ho jaaye. Behtar yeh hi hoga ki aap humse doori bana le. Rahi baat iss ladaai ki toh hum yeh nahi keh rahe hain ki hum haar maan lenge. Hum zaroor ladenge par aise kisi ko kisi se door karke nahi.

AnuShma gazed at each other helplessly. Haseena turned back and said while facing her back to them,

HM: Karu, Anu, aap dono ka saath shayad humare naseeb mein itna hi tha. Lekin haan, yeh saath humare zindagi mein sabse khas palon mein se ek hain. In yaadgaar palon ke sahaare hum apni puri zindagi beeta sakte hain.

AS: Haseena, hum samajhte hain ki aap ek Maa aur unke bete ko alag nahi karna chahti. Hum aapki iss bhavna ka aadar bhi karte hain. Haseena humne yeh baat jab Maa ko batayi toh...

Flashback:-

Anubhav had told the truth to Maa. AnuShma were eagerly waiting for Maa's response. Before Maa could respond anything, they heard a harsh voice,

BUA: Tum bhai behno ka deemag kharab ho gaya hain ka?

The trio turned and saw that Bua ji was standing at the door with a furious expression. She had come from the Satsang and had heard their talks.

ANUSHMA: Bua ji...

She came inside and said angrily,

BUA: Haan hum, tumhari Bua!

AS: Aap toh Satsang ke liye gayi thi naa!

BUA: Jaane toh wale toh the. Par tabiyat kuch kharab si lagne ke wajah se wapas aa gaye. Bhagwaan ke kaam se wapas aane mein mann toh nahi kar raha tha par ab pata chala ki isme bhagwaan ki hi leela thi ki hume ghar mein bheje aur tumhare iss kaand ke baare mein hume pata chale.

KS: (murmurs) Inko bada pata hota hain ki bhagwaan ke dil mein chal raha hota hain.

BUA: Ka boli tum Karishma?

KS: (rudely) Kuch nahi!

 BUA: Sab samajhte hain hum.

She turned to Anubhav and spoke,

BUA: Ka re Anu, tu toh bada samajhdaar bana ghumta rehta hain. Toh itni bhi samajh nahi hain tujhme ki kise apni patni banana chahiye aur kise nahi!

KS: Humare bhaiyya yeh achchhe se jaante hain Bua ji. Woh samajhdaar dikhte hain hi nahi balki samajhdaar hain bhi. Sabse samajhdaar. Woh achchhe se jaante hain ki kaun kya hain, kaisa hain aur uski niyat kya hain! Bhale hi unhone aapse kam duniya dekhi ho par aapse jyada duniyadaari jaante hain humare bhaiyya.

BUA: Tumse baat ki ka humne. Kitni baar tumko samjhana padega ki jab do bade baat kar rahe ho tab chhoto ko apne muh par taala maar lena chahiye. Aur ek baat toh bata humko tu...

She came near Karishma said,

BUA: Tujhe gaye hue toh kuch hi din hue the. Wanha bhi pair nahi tika tera. Oo tirening (training) walon ne tujhe aane kaise diya?

KS: Oo ka hain naa Bua ji, hum ne oo tirening walon se kah diya tha ki humare Bua ji ka swargwaas ho gaya. Toh unhone hume bhej diya.

AS: (loudly) Behna!

Karishma looked at her brother and then looked down. She said half-heartedly,

KS: Bad-tamizi ke liye maafi chahte hain.

BUA: Hmph... (huh), humko sab pata hain. Yeh saari bad-tamizi kaun sikha raha hain. Ee sab woh paraai jaat ki ladki Haseena ka kiya dhara hain!

AS: Bua ji, ab isme Haseena beech mein kanha se aa gayi?

BUA: Are ussi ke sangat mein hi toh bigad gaye ho tum dono. Aur tujhe puri duniya mein bas woh ladki mili thi dil lagane ke liye. Apne dharm ki ladkiyan marr gayi thi ka? Aur chuni bhi toh aisi ladki jiske paas sharm, haya, izzat, kuch bhi nahi hain.

AS: Bua ji, hum Haseena ke khilaf ek shabd bhi nahi sunenge. Aap zaroorat se jyada bol rahi hain.

BUA: Hum toh bolenge. Zaroor bolenge. Aur tumko sun-na bhi padega. Akal bech khai hain ka tumne! Are ek ladki ki izzat jugal (chewing gum) ki tarah hoti hain. Ek baar kisi ne chabakar phek di toh phek di. Phir uska koi mol nahi hota. Aur tu humare pavitra khandaan mein ek aisi apavitra ladki ko laana chahta hain jiske paas toh sharm bhi nahi hain aur izzat bhi nahi.

AS: Kisi ki sharm, haya uske aankhon mein chhupi hoti hain Bua ji. Aur jis izzat ki aap baat kar rahi hain naa toh hum aapko bata de ki izzat kisi ke tan ki nahi apitu uske mann ki hain.

KS: Aur nahi toh ka! Bua ji, tan ke saaf log toh bahut se mil jaayenge aapko par mann se saaf iss duniya mein aapko bahut kam log milenge.

BUA: Do-chaar kitaabein ka padhli khud ko maha gyani samajhne lage toh tum log. Are humare andar bhi kam gyan nahi hain.

KS: (murmurs) Hmm... pata hain hume ki kitna gyan hain. Phenkne ki bhi seema hoti hain. 

BUA: Dekh Anu, hum uss ladki ko apni ghar ki bahu nahi ban-ne nahi denge.

AS: Hum bhi aap hi ke bhatije hain Bua ji. Zid pe aa jaaye toh kisi ki nahi sunte. Hum bhi aapse yeh spasht kehte hain ki humari patni koi banengi toh woh hain keval aur keval Haseena.

BUA: Dekh Anu, abhi bhi waqt hain. Samajh jaa. Are aisi ladkion ko toh pair ki juti bhi nahi samajhna chahiye. Aur tu hain ki usko apne sar ka taaj banane ka sapna dekh raha hain.

AS: Bua ji jo kuch Haseena ke saath hua usme Haseena ki kya galti. Uss bechaari par kya beet rahi hain kabhi socha hain aapne?

BUA: Humko sochne ki zaroorat bhi nahi uske baare mein? Uske saath jo bhi hua hain naa yeh ussi ke kisi paap ka dand hain.

KS: Bua ji aapko nahi lagta ki logon ka paap aur punya ka hisaab aapko nahi karna chahiye. Yeh kaisa tark hain aapka ki agar kisi ke saath aisa haadsa hua toh usme bhi galti uss bechari ki hain, uske paapon ki saza hain. Are woh toh itni saaf dil ki hain ki devta bhi uske aage natmastak honge. Kaunsa paap karegi aisi ladki?

BUA: Tu humse jyada juban mat lada. Aisi kalmuhi ka hum muh tak naa dekhe aur tu keh rahi hain ki hum usko apne ghar bahu bana le! Are aisi ladki ko toh doob kar marr jaana chahiye.

AS: Usse nahi Bua ji, marna na toh usse chahiye jo aisi ghinoni harkat karke ek maasoom ladki ka jeevan barbad karta hain. Marna toh usse chahiye jo ek ladki ko apne haat ka khilona samajhta hain.

BUA: Anu bete, yeh sab baatein ya toh kitaabon mein achchhi lagti hain ya phir kisi bhashan mein sunane ke liye. Lekin asli jeevan mein inka koi mol nahi hota. Dekh, tu chahe jo bhi karle, kehle hum uss paapi ladki ko apne bahu ke roop mein nahi sweekarenge matlab nahi sweekarenge.

AS: (shouted) Kaun sa paap kar diya hain usne? Paapi toh woh hain jisne uske saath yeh...

He stopped in the middle and added after a short pause,

AS: (a little crying voice) Aap ek stree hokar kisi aur stree ke liye aisa sochti hain? Sharm aani chahiye aapko? Kitni baar bataye hum aapko ki isme uss maasoom ka koi aparadh nahi hain. Bua ji, aap jo yeh din raat bhagwaan ke naam par jo pooja-path karti hain naa, chhod dijiye usse. Kyun ki seekhti toh aap usse kuch bhi nahi hain. 

BUA: Wah bete, aaj ek parayi ladki ke liye tu apni sagi Bua par ungli utha raha hain.

KS: Bua ji, hum ya bhaiyya aap par ungli nahi utha rahe hain. Bas aapko aaina dikhane ki koshish kar rahe hain.

BUA: Aaina! Aaina dekhne ki zaroorat hume nahi tum dono ko hain. Tum logon jo keh rahe ho naa ki isne uss Haseena ki koi galti nahi hain, yeh galat hain. Yeh ussi ke paap ka dand hain. Agar aisa na hota toh yeh kaand ussi ke saath hota. Bhagwaan ne usko saza di hain uske paapon.

KS: (resting her palm on her forehead) Amaa kanha se aata hain inka yeh logic?

AS: (shouted) Bas! Bas kijiye Bua ji. Aapko pata hain, aaj tak hum sochte the ki aap keval puraane vichaaron wali hain. Parantu aaj pata chala ki aap kitni ghatiya vicharon wali hain. Kshama kijiyega Bua ji yadi yeh baat aapko buri lagi toh, prantu hum yeh baat kahenge avashya ki hume sharm aati hain aapka bhatija kehlane mein. Sharm aati hain hume ki aap jaisi mahila se humara koi sambandh hain.

BUA: Bahut sahi jaa rahe ho beta. Aaj ek paraai ladki ne humare inte saalon ke sambandh ko bigad diya. Are yeh baat aaj hum keh rahe hain, kal ko jab puri duniya tumhare upar uss ladki ke liye kichad uchhalegi ya sawal uthayegi toh tab tum kya karoge?

AS: Bua ji...

MAA: (cuts him) Teri Bua sahi toh kah rahi hain Anu!

AnuShma were highly shocked beyond their limits. It seemed that someone pulled the earth under their feet. This was totally unexpected for them. They had taken that guarantee that she would not say no to them but happened exactly the opposite of their belief. How?

ANUSHMA: (whispers) Maa...

*_*_*_*_*_*

TADAA
CHAPTER OVER.
=========================

HOPE YOU GUYS ENJOYED THIS CHAPTER.
IF I DID ANY MISTAKE THEN PLEASE FORGIVE ME.
=========================

Clarification 1:-

Friends, you might get angry on Bua ji's some statements like chewing gum and rape hona rape victim ke paap ka dand hota hain. Yes, I also hate these type of ideology. But I added this because some months ago I was watching a news debate where our honourable members of parliament were making these types of statements. I was very angry. Not only male politicians but also female politicians also states the same. It's blood boiling thing. I feel youth need to discuss on this freely and correctly. That's why I added this. If you offended by this then I apologise. Please, forgive me.

And what is happening in Maa's mind?

~~~~~~~~~~~

UPCOMING:- Maa's decision.

'''''''''''

Clarification 2:-

Friends, I don't want to drag this story unnecessarily and I will not drag it. But, but there some things which I do want to show like our high class society's low class mentally. I will take care that you don't feel bore but if you feel it boaring or unnecessary then without any hesitation say that me. I will stop that track. Hope you are understanding me.
=========================

THANK YOU
TAKE CARE
BYE-BYE.


Continue Reading

You'll Also Like

68.1K 12.2K 42
In this world full of trendy and fancy relationships and so called situationships, how hard do you think it is to find true love? Meet Sidharth Shuk...
89.2K 4K 45
While foccusing on one relation one overlooked the other one. What if Mahi is missing being kiddo of his elder brother and his elder brothers comes...
244K 19.5K 94
Is it always so perfect as it seems? Are predictions always true? Does True love actually exists? . . Is the love of your life really your life? Befo...
35.4K 7.3K 61
Title se pata chal he Gaya hoga. To aayie dekhte hai humari Kareena ki arrange vali love story. Thoda pyaar, Thodi Takrar - Kya hoga Haseena ko karis...