YOU ARE MY STRENGTH MY LOVE

By Laziest_Writer

21.5K 2.2K 1.1K

Hi, This is my another story of our beloved ANUSEENA. But this is completely different from the show. Here n... More

INTRODUCTION
CHARACTERS
SIBLINGS' LOVE
HAPPINESS & CONFUSION
NEW FRIENDS
YOU ARE PRECIOUS
YES, I AM IN LOVE
A SIMPLE PROPOSAL
PRECIOUS FAMILY
BRAEK-UP
WHAT IS THE MATTER?
APOLOGY NOTE - [NOT A PART]
WHAT HAPPENED TO HER?
THE HARSH TRUTH
HER BAD CONDITION
WITH YOU, ALWAYS
BROKEN ANUSEENA
THE ARGUMENT
THE BLESSING
THE FIR
THE TENSIONS
THIS IS REALITY
WHAT THE HELL
THE START OF THE WAR
THE COURTROOM
INSULT, THREAT & COURAGE
MY IDENTITY
THE ACCIDENT
NO NEED TO WORRY
UNBEARABLE PAIN
HER PAINKILLER
SETTLEMENT?
PROVED GUILTY
I WANT JUSTICE, NOT SYMPATHY
WHY DID YOU SAY 'NO'?
SHE IS NOT READY YET
IT'S NOT EASY
WHEN YOU ARE WITH ME
NOT CHANGED, BUT...
EPILOGUE [01] - MY LOVELY FAMILY
EPILOGUE [02] - YOU ARE MY STRENGTH, MY LOVE
WHY I WROTE THIS?
GRATITUDE NOTE

I AM WITH YOU

528 67 48
By Laziest_Writer

-------------------------------------

{PLEASE IGNORE THE SPELLING AND THE GRAMMAR MISTAKES}

*_*_*_*_*_*

The same night,
Cheetah was sitting on the bench outside his home and blankly looking at a random point. His face was pale and dry.

Flashback:-

A 10-year-old girl was running behind a 7-year-old boy in the whole house. 

BOY: Pakdo pakdo aapa, aap nahi pakad paaoge hume. Hihihi.

GIRL: Aap hume mil toh jaayiye Chhote, phir dekhiye ki aapka haal karte hain hum.

Seeing this their parents smiled.

GIRL: Ammi, Abbu, aap dono has kyun rahe ho? Chhote ko bolo naa ruk jaaye. Usko daato naa!

AMMI: Are, hum jab bhi usko daant-te hain toh tu hi toh apne bhai ko bacha leti hain. Aur aaj khud usko daantne ko kah rahi hain.

ABBU: Haan, agar hum ek shabd bhi tere bhai ko bole toh tere sar par gussa chadh jaata hain. Aur aaj tu khud uski shikayat kar rahi hain.

AMMI: Dekh Hassu, jhagda tune aur Cheete ne milkar shuru kiya hain ab tum dono hi isko suljhaoge.

ABBU: Haan, hum isme tumhari koi madad nahi karenge.

HM: Aap dono bhi...

CM: (cuts her) Aapa aap wanhi pe Ammi-Abbu se baat karoge ya hume pakdoge bhi? 

HM: Aapko toh hum chhodenge nahi.

CM: Pehle pakad ke toh dikhayiye. 

They again started to run and their parents were enjoying their cute fight. She was chasing him while her leg twisted. She fell to the floor and shouted in pain.

AMMI AND ABBU: HASSU!

Ammi and Abbu ran to her. Cheetah too came near her. Abbu took her in his arms and said to Ammi,

ABBU: Noorie ji, jaldi se first aid kit le ke aayiye.

AMMI: Ji

They sat on the sofa and Abbu examined her leg. Ammi came and gave him the first aid kit.

ABBU: Shukra hain ki jyada chot nahi aayi. Bas thodi si lagi hain. Marham laga denge toh thik ho jaayegi.

"Ahh" she hissed in pain.

AMMI: Kuch nahi Hassu, bas thoda sa dard karega phir thik ho jaayega.

Abbu gently applied the gel on her leg and took her into his lap and kissed her.

ABBU: Ho gaya. Ab thodi der mein dard gayab ho jaayega.

They saw Cheetah was crying. Ammi took him in her lap and said,

AMMI: Kya hua Cheetu, tu ro kyun raha hain?

He didn't say anything but cried. Haseena asked him,

HM: Chhote aap ro kyun rahe ho?

CM: (innocently) Pata nahi.

ABBU: Pata nahi matlab?

CM: Abbu, matlab hume aapa ko aise dekh kar achchha nahi lag raha. Hume rona aa gaya.

Ammi and Abbu smiled. Ammi wiped his tears and kissed his cheek.

AMMI: Haan chhote miyan, hum samajhte hain. Bahut pyaar jo karte ho apni aapa se.

HM: Achchha!?

ABBU: Haan beta!

HM: Toh phir yeh hamesha humare hisse ki ice cream lekar kyun bhagte hain?

Ammi and Abbu chuckled.

CM: Aapa agar aapko bura laga toh sorry. Abse hum aapki ice cream lekar nahi bhagenge. Bas aap kabhi gussa mat hona aur rona bhi mat. Hume achchha nahi lagta.

HM: Thik hain, hum nahi royenge par agar aap humari ice cream lekar nahi bhagenge toh humari kasrat kaise hogi?

They laughed and Abbu embraced everyone in his long arms.

Flashback ends.
(I know boring tha, bas mann kiya toh likh diya.)

Cheetah's eyes were teary. Then, a hand rested on his shoulder. He turned and saw Santu there. 

CM: Santu, aap?

She sat beside him and held his hand,

SS: Dekh Cheete, hum jaante hain ki abhi iss waqt tujh par kya beet rahi hain. Hum tujhe koi dilaasa dene nahi aaye hain. I know, yeh dukh kisi ki baaton se mitne wala nahi hain. Hum toh bas tere saath woh gam baantne aaye hain jo tu apne andar hi chhupakar khudko takleef de raha hain.

He smirked sadly and said,

CM: Takleef...! yeh takleef toh uske mukabale kuch bhi nahi hain jo humari Aapa khudke andar samaye baithi hain. Santu aapko pata hain, bachpan se hi hum unka dard nahi dekh sakte hain. Kyun ki unke dard se hume bahut dard hota tha. Hum har ek koshish karte the unka dard mitaane ke liye. Lekin aaj... aaj hum chah kar bhi kuch nahi kar paa rahe hain apne aapa ke liye. Hume khud par bahut gussa aa raha hain Santu.

SS: Yeh tu kaisi baatein kar raha Cheete? Hum jaante hain ki yeh waqt tere liye kitna mushkil hain. Cheete, iss waqt sabse jyada tooti hui Hassu didu hain. Unhe hum sab ki zaroorat hain. Aur hum sab hi aise bikhar jaayenge toh kaise chalega? Cheete, apne liye na sahi toh kam se kam Hassu didu ke liye himmat se kaam lena hoga tujhe.

CM: Himmat hi toh nahi hain ab humare paas Santu. Jab bhi hum apni aapa ko dekhte hain toh unke dard ko dekhkar humari himmar jawab de deti hain.

SS: Teri baat sahi hain Cheete. Lekin phir bhi hume himmat ko juta ke rakhni hogi. Hume khudko bhi sambhalna hain aur Hassu didu ko bhi. 

She tightened the grip around his hand and said,

SS: Dekh Cheete, ek baat yaad rakh. Yeh waqt chahe kitna bhi muskil ho, hume chahe kitne bhi takleefon ko guzrana pade, hum tere saath hamesha rahenge. No matter what will come in our future just remember one thing, I am with you.

He smiled a little and hugged her. She tightened the hug and he said, 

CC: Thank you Santu. Thank you so much humara saath dene ke liye.

She smiled and said,

SS: Raat bahut ho gayi hain Cheete. Jaa jaake so jaa. Aur ho sakta hain ki raat ko didu ko phir se panic attack aaye toh please unka bhi dhyan rakhna aur kisi cheez ki zaroorat ho toh hum mein se kisi ko bhi bulane se pehle bilkul mat hichkichana. 

He hummed and both went to their respective homes.

(Bore toh nahi ho gaye naa yaar!?)

*********

On another side,
AnuShma reached their home. They were still in the car. Karishma asked him,

KS: Bhaiyya, kya aap sach mein aaj hi Maa ko sab sachchaai bata denge?

AS: Haan behna, kyun ki jab tak hum Maa ko yeh sach batake unka jawab Haseena ko nahi bata denge tab tak Haseena ke andar swayam ke liye asuraksha (insecurity) ki bhavna rahengi. Bas ek baar Maa ka uttar hum unhe dede toh humara aur unka, dono ka hriday halka ho jaayega.

KS: Aap sahi keh rahe hain bhaiyya. Samaj ki soch ne Haseena di ke mann mein yeh darr baitha diya hain ki Maa unko apne bahu ke roop mein nahi sweekarengi. Par yeh hum achchhi tarah se jaante hain ki humari Maa in sab khokle vichaaron wali nahi hain. Hum yeh shart laga sakte hain ki woh humara saath zaroor dengi. Aur bhaiyya, hum bhi aapka saath denge. I am with you

He passed a small smile to her and she adds,

KS: Lekin hume ek baat ka khayal rakhna hoga bhaiyya. Hume yeh baat Maa ko tab batani hogi jab Bua ji ghar mein na ho warna woh kya karengi, kya kahengi hume pata hain. Koi ashcharya nahi hoga agar woh iss haadse ka zimmedaar Haseena di ko hi samjhe toh! Woh har mumkin koshish karengi Maa ko manipulate karne ki aur saath mein jee bhar ke Haseena di kosegi bhi. Iss liye hume dhyan se yeh baat Maa ke saamne rakhni hogi. 

AS: Aap sahi keh rahi behna. Bua ji pata nahi iss baat ka kya arth nikal lengi. Chaliye, andar chalke avsar dekhkar Maa se baat kar lete hain.

KS: Ji, chaliye.

They both went inside the home. 

**********

Maa was totally surprised seeing Karishma here. 

MAA: Karu! Beta tu kab aayi yanha?

She asked her while giving her a warm hug. Karishma said,

KS: Maa hum kuch der pehle hi aaye hain. Woh kuch dino se humara mann thoda sa ashant tha iss liye aa gaye.

MAA: Tujhe pata hain, tere bina humara bhi mann nahi lagta tha. Zara dekh toh 8/10 dino mein hi tu sukh ke kaanta ho gayi hain.

KS: Kaa Maa!? Aisa kuch bhi nahi hua hain. Hum thik hain. Philhaal aap humari baat suniye.

MAA: Koi baat nahi sunenge hum teri. Abhi abhi toh aayi hain. Aur abhi se hi tujhe baatein karni hain. Nahi, pehle hum tere liye tere mann pasandida khana banate hain phir tere saath gappe ladayenge.

KS: (impatiently) Maa, hum kanhi bhage toh nahi jaa rahe hain. Hum khana baad mein kha lenge. Pehle aap humari aur bhaiyya ki baat sun lijiye. Yeh jyada zaroori hain.

Maa looked at her both children. She saw the tension on their faces. She understood that matter was really serious. She said, 

MAA:  Aisi kya baat hain jo tum dono itne pareshaan lag rahe ho?

AS: Maa, pehle aap yeh batayiye ki Bua ji kanha hain?

MAA: Beta, woh toh Satsang mein gayi hain. Shayad aane mein bahut der ho jaaye ya phir kal subah hi aa sakti hain.

KS: Bhagwaan ka shukra hain ki woh yanha par nahi hain.

MAA: Par hua kya hain? Tum dono ke chehre aise murjhaye hue kyun hain?

AS: Aap yanha baithiye Maa.

He made her sit on the sofa in the hall and both bro-sis duo sat on either side of her. He added,

AS: Aapko yaad hain Maa, ek-do din pehle aapne humse kaha tha ki hum aaj kal bahut prasanna rehne lage hain. Aur aapne iska kaaran bhi puchha tha!

MAA: Haan. Toh?

AS: Maa, baat darasal yeh hain ki hum ek ladki se prem karte hain. Bahut prem karte hain.

Maa was highly shocked after listening to this. Her celibate boy started to love someone. How could be this possible? 

MAA: Anu, tu yeh kya keh raha hain? Tu aur pyaar? Tu mazak kar raha hain humse?

AS: Nahi Maa, hum satya keh rahe hain. Hum sach mein ek ladki se prem karte hain. Itna ki unke bina hume humara jeevan apurn sa lagta hain. 

KS: Haan Maa, bhaiyya sach keh rahe hain. 

MAA: Matlab tu bhi jaanti hain iss baare mein? 

KS: (looking down) Haan!

Maa sighed and asked him,

MAA: Kaun hain woh ladki?

AnuShma looked at each other and Anubhav answered,

AS: Haseena! Haseena Malik.

Maa got another shock. They remain silent for sometime. Maa said,

MAA: Anu, beta, aaj tak hume teri pasand par koi shak nahi tha. Aaj bhi nahi hain. Haseena ek bahut pyaari bachchi hain. Har maayine mein sanskaari aur saaf dil ki hain. Ek achchhi beti, ek achchhi bahen, ek achchhi dost, ek achchhi patni aur ek achchhi bahu hone ke saare gunn hain usme. Sach kahe toh hume teri pasand par garv hain. 

A small smile appeared on AnuShma's face.

MAA: Magar...

ANUSHMA: Magar kya Maa?

MAA: Bachcho tum apni Bua ji ko toh jaante ho naa!? Hum ek Hindu pariwaar se hain aur Haseena ek Muslim ladki hain. Tum dono ki Bua ji iss rishte ke liye nahi maanengi. Lekin hum wada karte hain ki hum Sumi ko samjhayenge aur tumhare aur Haseena ke rishte ke liye manayenge bhi. Par tum dono unse ladaai mat karna. Ho sakta hain ki raai ka pahad ban jaaye. Par Anu, bas tujhe thoda sa sabra rakhna hoga. 

AnuShma took a breath of relief. Anubhav said,

AS: Maa, hume koi jaldi nahi shaadi ki. Parantu usse pehle hum aapko ek aur satya batana chahte hain?

MAA: Aur kaisa sach?

AS: Ek bahut kadwa satya. Maa, agar yeh satya hum aapko nahi batayenge toh Haseena swayam hi iss rishte ke liye mana kar degi aur agar humne yeh satya aapse chhupaya toh aapse vishwasghat kar baithenge hum!

MAA: Anu, tu yeh jalebi jaise baatein karna chhodkar seedhe seedha bolega ki baat kya hain!?

Anubhav looked down. Karishma held his hand and squeezed it. She said,

KS: Boliye bhaiyya, boliye.

Anubhav stood up and looked to another side.

AS: Yeh baat uss din se shuru hoti hain jab hum Banglore gaye the. Hua yeh ki...

He narrated everything to her from the beginning. Haseena's strange behaviour, when she was ignoring him, his meeting with her in her home, her plan to fill the hatred in his heart for herself, his and Santu's meeting in which he learnt about Haseena's suicide attempt, his visit to her home to know the truth and lastly the brutal incident happened with her. His and Karishma's eyes were teary.

This was another shock to Maa, a great high voltage shock. She was standing like a statue. Anubhav turned and came near her. He said,

AS: Maa... Maa, aapko pata hain, Haseena in sab ka doshi swayam ko maan rahi hain. Bahut kathinta se humne unhe samjhaya hain ki woh nirdosh hain. Parantu woh yeh maan-ne ko taiyyar nahi hain ki aap unko sweekar karengi. Aapse jhuth toh woh bolengi nahi aur unhe lagta hain ki agar yeh satya aapko pata chalega toh aap unhe nahi pasand karengi.

Maa was just blankly gazing at him and he continued while holding her hand tightly,

AS: Hum jaante hain Maa ki aap aisa kuch nahi karengi. Hum jaante hain ki aap unko dosh nahi dengi. Woh bahut bholi hain naa, iss liye aisa sochti hain. Samaj ke darr ne unko aisa sochne par vivash kar diya hain. Bas aap ek baar unhe apne mukh se keh dijiye ki aap unhe apni bahu ke roop mein sweekarengi. Maa, bas aap ek baar unhe samjha dijiye. Phir unke aur humare mann ka saara bhar mit jaayega. Chaliye Maa, hum aapko unke paas le chalte hain aur aap unse keh dijiye ki aap unhe humari patni banane ke liye taiyyar hain.

KS: Haan Maa, bhaiyya sahi keh rahe hain.

AnuShma were eagerly waiting for Maa's response. Before Maa could react, they heard a loud voice.

VOICE: Tum bhai behno ka deemag kharab ho gaya hain ka?

The trio turned and saw that Bua ji was standing at the door with a furious expression. She had come from the Satsang and had heard their talks.

*_*_*_*_*_*_*

TADAA
CHAPTER OVER
=

=======================

HOPE YOU GUYS ENJOYED THIS CHAPTER. *Boring chapter*
IF I DID ANY MISTAKE THEN PLEASE FORGIVE ME.
========================

AnuShma told the truth to Maa but this truth was also heard by Bua ji.

What will AnuShma do now?
What will the reaction of Maa?
What will Bua ji tell to Maa to make AnuShma's right intension flop?

~~~~~~~~~~~~

UPCOMING:- Argument between AnuShma and Bua ji.

°°°°°°°°°°°

I know, yeh chapter boring tha. But I promise ki next chapter boring nahi hoga.
=========================

THANK YOU
TAKE CARE
BYE-BYE.


Continue Reading

You'll Also Like

186K 20.3K 110
It's beautiful samaina story
265K 23.2K 96
Short and different stories
53.5K 6.3K 38
Sai is all set for her another solo tour. She loves to travel during her vacations. Virat was nervous as it is the first time he is travelling alone...
408K 25.7K 58
BOOK ONE IN DESTINY SERIES (Completed) jo kismat mein likha hota hy wo tou hota hi hy chahy app chaho ya na chaho A proper fiction on my lovely Tej...