Abhira ff: Dil tune chuaa

Par anjali1808

75K 4.4K 297

It starts when abhimanyu and akshara were in temple after confessing their love. Plus

PART 1
PART 3
PART 4
PART 5
PART 6
PART 7
PART 8
PART 9
PART 10
PART 11
PART 12
PART 13
PART 14
PART 15
PART 16
PART 17
PART 18
PART 19
PART 20
PART 21
PART 22
PART 23
PART 24
PART 25
PART 26
PART 27

PART 2

3.5K 176 8
Par anjali1808

Kairav- what...i don't believe that aru aisa kuch kar sakti hai...use toh main baad me dekhta hu...pehle tum dono batao ab kya karne wale ho...kuch der me sab yaha aane wale hai

Akshara and abhimanyu look at each other and then at kairav.

Akshara- bhaiya...ham sabko mana lenge...bade papa...harsh uncle...aru....

Kairav- aur tujhe lagta hai vo log maan jayenge

Abhimanyu sighs- toh tum batao ham kya kare

Kairav firmly looks at him- vahi jo soch kar tum akshu ko yaha laye the

Abhimanyu looks at kairav in daze.

Abhimanyu- u mean shadi

Kairav nods. Abhimanyu and akshara are shocked.

Akshara- bhaiya

Kairav looks at her- dekh akshu...agar sab aa gaye toh sabse pehle toh hamesha ki tarah tamasha hoga aur fir bade papa tujhe abhimanyu se hamesha ke liye alag kar denge...vo nahi maanenge is rishte ke liye...isliye tere paas sirf ek choice hai tu abhimanyu se shadi kar le...yahi...aur peecha chod ham sabka...taki teri zimmedari kisi aur ko dekar main acche se arohi ko khush rakh saku...uska khyaal rakh pau...jab tak tu sath rahegi main aisa nahi kar paunga

Akshara is hurt hearing kairav. Abhimanyu looks at kairav as what her is trying to do. He can see that kairav is hurt as well.

Akshara- aap mujhse peecha chudana chahte hai

Kairav looks at her sternly- haa (looks at abhimanyu) bohot shauk hai na pyaar karne ka (points at akshara) ab jhelo ise puri umar

Akshara looks at abhimanyu and then kairav.

Kairav- teri taraf main apni aakhiri zimmedari puri kar raha hu aaj akshu...tera kanyadaan main karunga

Kairav looks at the pandit- panditji...aap in dono ki shadi karwaiye...kanyadaan main karunga

Pandit nods.

Kairav looks at abhimanyu and akshara- baitho dono

Abhimanyu- kairav

Kairav stops him- isse pehle sab aa jaye please shadi kar lo...kam se kam tum dono ke paas koi vajah toh hogi ladne ki

Abhimanyu thinks and looks at akshara who was very hurt hearing kairav. She was crying looking at kairav. Abhimanyu makes akshara look at him.

Abhimanyu cups her face- main janta hu tum aise ye sab nahi chahti thi par kairav bhi sach keh raha hai...maan jao...uske baad jo tum kahogi ham vaisa hi karenge...bolo...karogi mujhse shadi

Akshara looks at kairav and then at abhimanyu and nods. Abhimanyu smiles. They sit before the havan kund and pandit starts the mantras. They exchange garlands. Kairav does their ghatbandhan. They take phere. Kairav performs akshara's kanyadaan. Akshara looks at kairav who was doing everything just to get rid off a responsibility. Abhimanyu ties a mauli thread around akshara's neck as there was no mangalsutra and then fills her maang with sindoor.

Pandit- ye vivah sampann hua...ab se aap dono pati patni hai...aap dono ghar jakar apno se bado ka aashirwaad lijiyega

Akshara and abhimanyu looks at each other. Pandit leaves. They move towards kairav. They look at each other and then bend to touch kairav's feet. Kairav who was not ready for this was shocked and holds both of them.

Kairav- are...kya kar rahe ho tum dono

Abhimanyu- yaha par bade toh tum hi ho na...akshu ke bade bhai ho toh ab mere bhi bade bhai huye na

Akshara- mera kanyadaan aapne kiya hai bhaiya...jo farz pita ka hota hai vo aapne nibhaya hai...toh jo aashirwaad lene ka hak mujhe mere papa se tha vo ab aap hi se lungi na

Kairav looks at both of them amazed. They both again bend and touch kairav's feet. Kairav makes them stand. He couldn't control himself and hugs both of them tightly. Akshara and abhimanyu too smile and hug kairav.

Kairav breaks the hug- always stay happy and together...god bless u both

They were interrupted by arohi's scream.

Arohi- Akshara abhimanyu

They see full family standing there with shocked expressions. The family comes near the three of them.

Swarna holds akshara's arm- ye tune kya kiya akshu...shadi kar li...vo bhi abhimanyu se jo teri behen ka hone wala pati tha

Akshara is hurt hearing her.

Arohi holds akshara's hand and turns her towards herself and gives her a tight slap. All were shocked. Abhimanyu immediately holds akshara who herself was shocked and teary eyed while kairav immediately comes in between arohi and akshara and glares arohi.

Kairav angrily- ye kya badtameezi hai arohi

Arohi angrily- aur jo isne kiya...uska kya bhaiya...meri shadi ke din mere dulhe ke sath akshara yaha phere le rahi hai...vo thik hai bhaiya

Kairav sternly- nahi...lekin is tarah akshu par haath uthana bhi galat hai

Abhimanyu angrily- akshu ko main yaha laya tha...shadi karne ke liye bhi maine akshu se kaha tha...tumhe jo kehna mujhse kaho...jo karna hai mere sath karo...akshu ki koi galti nahi hai

Manjiri holds abhimanyu's arm- abhi...beta ye sab...

Abhimanyu interrupts softly- maa aapne kaha tha na ki aap ham dono ke sath hai...hamara yahi faisla tha maa...ho sakta hai ham galat ho lekin hame koi dusra option nahi dikh raha tha...sorry

Manjiri nods in no and cups his face- main hu tum dono ke sath aur main khush hu ki tum dono ne kam se kam apne rishte ko ek naam diya hai...izzat di hai...is tarah bas bhaag nahi gaye

Abhimanyu had a smile on his face hearing manjiri's approval. Akshara was still looking at arohi.

Arohi shouts angrily- wow...toh ab tumhe apni maa se approval bhi mil gaya...congratulations...aur kiska approval chahiye...because i am sure akshara apni emotional baato se kisi ko bhi mana legi...jaise hamesha karti aayi hai (looks at akshara) tujhe khushi mil gayi...pehle meri maa ko mujhse cheena...fir papa ko...uske baad se lekar abhi tak tu mujhse mera har credit...mera har sapna...meri importance sab kuch cheenti aayi hai na...aur aaj dekh tune mujhse mera dulha bhi cheen liya...abhi bhi man nahi bhara ho toh aur kuch bhi cheen le...bol aur kya chahiye tujhe

Akshara crying- aisa nahi hai aru...please meri baat sun le....

Arohi interrupts angrily- just shut up ok...mujhe tumhare muh se kuch nahi sunna...mil gaya sukoon mujhe aaj sabke samne embarass karke

Kairav tries to calm arohi- aisa nahi hai arohi...ek baar meri baat sun please...

Arohi shouts- nahi bhaiya...aap bhi bataiye kya main galat hu...aapne mujhe galat kaha kyoki maine akshu ko thappad maara lekin bhaiya jo thappad akshara ne bina haath uthaye mere muh par maara hai uska kya...aapko yaad hai bachpan me bhi jab main first aati thi aur akshu mushkil se paas ho paati thi uske bavjood meri mumma akshu ki taareef karti thi...sab especially papa mujhe praise karne ki jagah use console karte the...papa akshara ko unki jaan kehte the aur main...main nahi thi unki jaan...sirf isliye ki akshara naira ki beti thi aur main sirat maa ki...sach toh yahi hai na ki papa naira ke jane ke baad bhi unhe kabhi nahi bhul paye...meri mumma ko vo jagah kabhi mili hi nahi jo unki thi kyoki vo toh naira ki thi na...aur naira ke marne ke baad unki beti ne mere sath vahi kiya jo naira ne kiya tha meri sirat maa ke sath...kabhi bhi papa ke dil me mujhe aur sirat maa ko aane hi nahi diya...unhe kabhi bhi hamare kareeb nahi aane diya...jab bhi papa hamare sath time spend karte the tabhi akshara ko panic attacks aate the...tabhi uski tabiyat kharab hoti thi...ye akshara kabhi mujhse jeet nahi payi na...main hamesha se number one thi...padhai me...career me...isliye ye jalti hai mujhse...bloody low class gavar

Kairav shouts arohi's name and raises his hand to slap arohi but stops in middle. Everyone were shocked. He was damn furious. Birlas were also shocked to hear that arohi and akshara are step sisters. Abhimanyu was the most furious one. If manjiri had not held his hand to control him he would have blasted on arohi. Akshara was the most affected one. She never knew that arohi felt so low about her. Goenkas were shocked seeing the level of hatred in arohi.

Kairav furious- bas arohi...ek shabd aur nahi...varna apna haath dobara nahi rok paunga...kya bakwaas bhari hai tune apne dimaag me akshu ke khilaaf...bachpan ki baat karni hai na tujhe...chal aaj karte hai...aaj pura hisaab karte hai...jab bachpan me tu first aati thi aur akshu mushkil se paas hoti thi tab sab use praise karte the kyoki uski mehnat me kabhi kami nahi rahi thi...result uske bas me nahi tha lekin mehnat karna tha jo vo puri karti thi aur shayad tu bhul gayi hai arohi...papa agar akshu ko console karte the na toh sabse zyada akshu ko padhai ke liye daatne wale bhi papa hi hote the...vo yaad nahi jab exams ke time papa apna kaam chod kar ghar par rehte the hamari help karne ke liye aur tab akshu sabse zyada daat khati thi unse kyoki uska koi bhi jawab sahi nahi hota tha...aur haa...akshu thi papa ki jaan...aur reason bhi sahi hai kyoki akshu naira mumma ki beti thi par ek choti si vajah aur hai jo tujhe nahi pata...mere paida hone se pehle naira mumma aur papa ko ek beti hui thi jo paida hote hi mar gayi thi...isliye tabhi se papa aur naira mumma ek beti chaah rahe the aur jab akshu hui toh vo un dono ki jaan ban gayi thi...unhe lagta tha ki unki mari hui beti akshu ke roop me vapis aa gayi hai (abhimanyu holds akshara's shoulders as he knew she needs support) papa aur sirat mumma ke sath aisa koi incident nahi hua tha...aur teri khushi ke liye bata du ki papa mere liye itne possessive bhi isliye the kyoki shuruaat ke paanch saal mumma aur papa alag alag rehte the...papa ko pata bhi nahi tha ki unka ek beta hai...aur jab main finally unse mila toh meri heart surgery honi thi...doctor hai na tu...janti hai na kya ho sakta tha...isliye papa darte the mujhe aur akshu ko khone se...aur ek reason ye bhi tha ki vo apne pyaar ko nahi bacha paye toh us pyaar ki nishaniya sambhalna chahte the

All goenkas had tears listening kairav while akshara was crying in Abhimanyu's arms.

Kairav continues- papa naira mumma se bohot pyaar karte the aur ye sach hai ki vo naira mumma ki jagah kabhi kisi ko nahi de paye...sirat maa ko bhi nahi lekin arohi tu shayad bhul gayi...tu dus saal ki thi aur akshu gyarah saal ki jab tum dono ko pata chala tha ki tum dono sagi behne nahi ho...kya tum dono ko yaad hai ki usse pehle kabhi bhi ghar par naira mumma ki baat bhi hui ho...nahi na...kyoki ye papa ke instructions the ki vo nahi chahte ki unki DONO betiya hurt ho ye jaankar ki vo sagi behne nahi hai...vo tum dono ko dukh se bachana chahte the (looks at arohi with disappointment) aur arohi ek sawal puchna hai tujhse...tune sach kaha akshu ke paas koi khaas qualifications nahi hai jabki tu doctor hai (smiles lightly) par ek baat bata sirat maa toh utni padhi likhi bhi nahi thi...in fact jab main unse mila tha na tab toh unhe english bolni bhi nahi aati thi...vo marwadi bolti thi...toh kya sirat maa bhi bloody low class gavar hai

Arohi and akshara together- bhaiya

Kairav smiles- arohi papa ne kabhi bhi sirat maa ko unke qualifications ke basis par judge nahi kiya...unhe vo izzat di jo unhe milni chahiye thi...haa jo pyaar unke dil me naira mumma ke liye tha vo bas unhi ke liye tha par sirat maa ne apni alag jagah banayi thi ham sabke dilo me...sirat maa padhi likhi naa sahi par vo ek national level boxer thi...independent thi...unhe jeene ke liye kisi kartik goenka ki zaroorat nahi thi lekin kartik goenka ko zaroorat thi sirat maa ki...papa itne padhe likhe the...itne bade business man the...jo chahiye khareed sakte the lekin apne bete ke khaatir vo kartik goenka sirat maa ke samne jhuka tha...kyoki use apne bete ki jaan ki parvah thi...arohi padhna likhna...paise ye sab insaan ko bada nahi banati...insaan ko uske rishto ki bhi utni hi zaroorat hoti hai...in fact sabse zyada zaroorat hoti hai

Arohi angrily- aap jo keh rahe ho shayad sach hai...lekin ye bhi sach hai ki akshara ne mujhse meri maa ko cheena aur ab abhimanyu ko

Kairav tired- usne nahi cheena...sirat maa teri akeli ki maa nahi thi...meri aur akshu ki bhi thi...us din mandir me jo mari thi vo ham teeno ki maa thi...jo dukh tujhe mila tha vo mujhe aur akshu ko bhi mila tha...vo bhi dusri baar arohi

Arohi gets speechless.

Kairav continues- aur rahi baat abhimanyu ki...toh aaj jo kadam abhimanyu aur akshu ne uthaya hai...usme vo dono akele nahi hai...main unke sath hu...akshu ka kanyadaan maine kiya hai

All are shocked. Manish comes in front.

Manish- kya kaha tumne

Kairav lowers his head- i am sorry bade papa...lekin mujhe jo thik laga maine kiya...mujhe lagta tha Abhimanyu akshu ke liye thik nahi hai...mujhe hamesha aisa lagta tha ki abhimanyu ka gussa...uski zid...meri pyaari si akshu ke liye thik nahi hai...vo uske sath zindagi bhar nahi reh payegi lekin ab samajh aaya ki ho sakta hai Abhimanyu ka ye gussa aur zid akshu ke man se itne saalo ka dar nikaal de...akshu khud ke liye jeena seekh le...apne pyaar ke liye ladna seekh le...aur mujhe vishwaas hai bade papa...abhimanyu akshu ko ye sab sikha dega...ho sakta hai thoda waqt lage par vo sikha dega...mujhe abhimanyu par pura bharosa hai

Manish- aur agar tumhara ye faisla galat saabit hua toh...tab kya karoge

Kairav- pata nahi...shayad khud ko kosunga....

Harshvardhan interrupts- agar aap sabka family drama ho gaya ho toh ab ye soche ki aage kya karna hai...dekhiye main ye shadi me nahi maanta...kisne dekhi in dono ki shadi...kisi ne nahi.....

Kairav interrupts- maine dekhi hai uncle...jis pandit ji ne inki shadi karwayi hai unhone dekhi hai....

Harshvardhan angrily- tumhe kya lagta hai mujhe tumhare ya us pandit ki baat par bharosa hai...main nahi maanta is shadi ko

Abhimanyu angrily roars- aur mujhe farak padta bhi nahi ki aap maane ya na maane...jin logo se mujhe farak padta hai mukhe sirf unka ijazat chahiye (calms down and looks at manjiri) maa

Manjiri firmly- main tum dono ke sath hu

Abhimanyu smiles.

Neil happily side hugs him- main bhi bro...i am so happy for u...congratulations

Abhimanyu smiles at him.

Manish irritated- are band karo ye bakwas (looks at akshara) ghar chalo akshara

Abhimanyu interrupts calmly yet sternly- akshu ab aapke sath nahi mere sath jayegi

Akshara softly- bade papa ....

Manish interrupts angrily- mat kaho mujhe bade papa...dhyaan se chun lo...ya toh tum is abhimanyu se saare rishte todkar hamare sath ghar chalo ya fir ham sabse saare rishte tod kar abhimanyu ke sath iske ghar jao

Continuer la Lecture

Vous Aimerez Aussi

22.6K 1.7K 13
A closure for both goenka sisters... read to know more....
25.8K 1.4K 32
Akshara and Abhimanyu journey from childhood enemies to friends. And how friendship turns into love. This story is gonna be rollar coaster ride of ab...
19.7K 1.6K 23
This is my take on Abhirohi after the camp fire accident. NOTE: Please be aware that as the story proceeds I've managed to give the main and paralle...
47.1K 2.3K 16
Takes place from Abhimanyu's proposal for Aarohi.