YOU ARE MY STRENGTH MY LOVE

By Laziest_Writer

21.5K 2.2K 1.1K

Hi, This is my another story of our beloved ANUSEENA. But this is completely different from the show. Here n... More

INTRODUCTION
CHARACTERS
SIBLINGS' LOVE
HAPPINESS & CONFUSION
NEW FRIENDS
YOU ARE PRECIOUS
A SIMPLE PROPOSAL
PRECIOUS FAMILY
BRAEK-UP
WHAT IS THE MATTER?
APOLOGY NOTE - [NOT A PART]
WHAT HAPPENED TO HER?
THE HARSH TRUTH
HER BAD CONDITION
WITH YOU, ALWAYS
BROKEN ANUSEENA
I AM WITH YOU
THE ARGUMENT
THE BLESSING
THE FIR
THE TENSIONS
THIS IS REALITY
WHAT THE HELL
THE START OF THE WAR
THE COURTROOM
INSULT, THREAT & COURAGE
MY IDENTITY
THE ACCIDENT
NO NEED TO WORRY
UNBEARABLE PAIN
HER PAINKILLER
SETTLEMENT?
PROVED GUILTY
I WANT JUSTICE, NOT SYMPATHY
WHY DID YOU SAY 'NO'?
SHE IS NOT READY YET
IT'S NOT EASY
WHEN YOU ARE WITH ME
NOT CHANGED, BUT...
EPILOGUE [01] - MY LOVELY FAMILY
EPILOGUE [02] - YOU ARE MY STRENGTH, MY LOVE
WHY I WROTE THIS?
GRATITUDE NOTE

YES, I AM IN LOVE

544 52 23
By Laziest_Writer

{PLEASE IGNORE THE SPELLING AND THE GRAMMAR MISTAKES}

*_*_*_*_*_*_*_*

The next day,
After college HM was waiting for AS. He came to her. She looked at him and said,

HM: You are 20 minutes late.

AS: Kshama kijiyega Haseena ji. Woh nyayalay se aate samay traffic mein phas gaye the. Iss liye hume deri ho gayi.

HM: Okay, but where's the party?

AS: (confusingly) Kis baat ki party, HJ?

HM: Today you won the case naa!?

AS: Aapko kaise pata?

HM: I know everything. I already told you naa, "You will defiantly win this case because you are my friend" (chuckled)

AS: Oh haan, hum toh bhul hi gaye the. Chaliye hum aapko coffee pilate hain?

HM: (pouting) Only coffee? Kansoj

AS: (fake angry) Sun rahe hum. Aur woh 'kansoj' nahi 'kanjus' hota hain.

HM: Yeah, same.

AS: Achchha, naraaz mat hoyiye. Chaliye, jo aapko chahiye woh khila denge.

They smiled. HM demanded an ice cream and he agreed. Both were having their ice cream. Some boys of college again started talking about her. The boys were behind them.

BOY 1: Yeh toh woh hi ladki hain jisne kal kuch ladko sabak sikhaya tha unki awaragardi ke liye. Achchha hua jo woh log ab jail mein hain. Naak mein band kar rakha tha unn ladko ne.

BOY 2: Abe yaar, ab isme unn ladko ki bhi kya galti hain? Ab yeh hain hi itni haseen ki koi bhi iss par lattoo ho jaaye. Agar aisi ladki mere ko mil jaaye naa toh meri toh life hi ban jaaye.

AnuSeena heard this. Without wasting a second, AS went near them and slapped the boy very hardly and started beating him. He held his collar and said,

AS: (angrily) Agar inhe aankh uthakar bhi dekha na toh tumhari aankhon se khoon ke aansu niklenge. Samajh rahe ho?

Another boy was trying to stop AS but he was not leaving that boy. Finally, HM came near him and held his hand. She said,

HM: Anubhav, leave him. Let's go from here.

She was trying to stop him but he was not listening her. She again said,

HM: Anubhav please, leave him. For my sake.

Finally, he stopped. HM dragged him from there. They were in his car. She angrily said,

HM: Anubhav, what was that? Was it necessary?

AS: (innocently) Dekhiye HJ, humse saha nahi gaya ki koi aapko aise bole. Iss liye humne uske do-chaar laga diya. Hum kaise sahan karte ki koi humare mitra ko iss tarah se chhede?

HM: I understand your feelings Anubhav but there was no need to fight with them. Everyone says naa, "Barking dogs seldom bite." Agar woh bark karte hain toh karne do naa unko. Why are you ruining your good mood?

AS: Ho sakta HJ ki humne bhavnao mein behkar kuch adhik hi krodhit ho gaye the parantu hum swayam ke vash mein nahi rahe paaye. (looking into her eyes) Aur hum aage bhi apne vash se bahar ho jaayenge agar koi aapko galat drishti se dekhega toh. Hum nahi sehan karege ki koi aapko naazar uthake bhi dekhe.

HM experienced an unknown feeling. She was happy and as well as feared also. She smiled said,

HM: Let's forget it. We are getting late Anubhav.

AS: Haan haan, baaton baaton mein samay ka pata hi nahi chala. Aur jo samay mila tha woh toh kharab ho gaya. Chaliye koi baat nahi, ab toh hum mitra ban gaye hain naa! Phir kabhi aapke saath samay vyatit kar lenge. Kyun HJ?

HM: Anubhav, we are now friends naa, then why are you calling me 'HJ', just call it me Haseena. I don't like my friends calling me so formally.

AS: Umm... Thik hain hum aapko Haseena kehkar bulayenge par aapko bhi hume Anubhav nahi Anu kehkar bulana hoga. Agar aapko sweekar hain toh batayiye.

HM: (smilingly) Done.

AS: Waise apako naye vidyalay mein koi pareshaani toh nahi ho rahi hain naa!?

HM: Not at all. You know, everything is so nice. And the teachers are also so good. Every teacher explains everything perfectly. And Inder sir is very good teacher. He not only explains nicely but also pays personal attention to every student. He is truly a great teacher for all students.

He smiled and both were left from there.

**********

Weeks passed. AnuSeena were becoming very close friends of each other. They used to talk for hours and hours on mobile at night. They loved meeting each other. Their bond was growing more and more strong as well as beautiful. Now, HM could talk Hindi so easily and AS also learnt Kannada. Even KS and HM also became good friends each other. CC, SS, KS and KR understood that AnuSeena started to feel for each other.

One day,

AS was in the study room doing some important work. KS fastly came and shouted,

KS: Bhaiyya, bhaiyya...

AS scared and looked at her. She was so happy. He asked her,

AS: Kya hua behna? Aap aise chillaai kyun? Aur aap khush bhi lag rahi hain. Baat kya hain?

KS: (excitedly) Bhaiyya, baat hi aisi hain? Aap sunoge naa toh aap bhi khushi ke maare uchhal padenge?

AS: Behna, humari utsukta aur mat badhayiye aur baat kya hain woh batayiye.

She excitedly jumped on him. Her legs were on his waist and her hands were on his neck. He held her by her waist. She shouted,

KS: Bhaiyya, humara result aa gaya aur pata hain, humne pire district mein top kiya hain.

AS: (excitedly) Sachchi.

KS: Haan bhaiyya Sachchi.

They hugged each other very tightly. Both were very happy. They just started dancing, jumping and shouting. Hearing their noises Maa and Bua ji came there. They looked at each other. Bua ji asked with a little disgusting voice,

BUA: Tum dono ke paas akal naam ki koi cheez hain ya nahi? Aisa kya hua ki dono bandaro ki tarah uchhal rahe ho aur toh aur bhonpu (laud speekar) ki tarah aawazen bhi kar rahe ho?

MAA: Kya hua beta tum dono ko? Aisi kya khushi ki baat hain jo tum dono khushi mein pure ghar ko sar par utha liya?

AS: (to KS) Behna, aapne maa ko nahi bataya?

KS: Bhaiyya, maa aur bua ji toh ghar par the hi nahi toh hum unhe kaise batate!?
(to them) Waise aap dono kanha the?

BUA: Ab tum dono toh thehre apni dhundh mein rehne wale. Naye taur-tarikon ko mein aise kho gaye ho ki apne sanskriti aur sanskaaron ko hi bhula diya hain. Lekin hum toh waise nahi hain naa! Mandir gaye the hum dono prarthana karke ki tum dono ko kuch sadbudhhi de.

AnuShma made weird faces. Before they could speak Maa said,

MAA: Woh sab chhodo, ab toh hum aa gaye naa! Ab toh bata do ki kya khush khabri hain?

KS: Maa hum pass ho gaye hain aur woh bhi pure jile mein pehle number pe aaye hain.

Maa was very happy. She hugged her without wasting a second. They broke the hug. Maa said,

MAA: Hum aaj bahut khush hain Karu. Sach mein, tune toh humara sar ooncha kar diya. Hum tujhe nahi bata nahi sakte apni khushi. Chal, iss khushi ke manate hain aur aaj raat hum teri pasand ka khana banayenge.

KS: (hugging her again) Thank you maa.

BUA: Ab isme itna khush hone wali kya baat hain?

AS: (disappointing tone) Bua ji, behna pure jile mein avval aayi hain. Kya yeh khush honewali baat nahi lagti aapko?

BUA: Dekh anu, hume tujhse koi vivaad nahi karna. Humare hisaab se ladkiyan sirf chulhe chauke ke liye bani hain. Aur unpar woh hi shobha data hain. Yeh saare mardon wale kaamo mein teri behan ko pata nahi kya maza aata hain!

AS: (angrily) Dekhiye bua ji...

KS: (cuts him) Bhaiyya, Maa, hum soch rahe the ki kyun naa aaj hum Karan aur unki family ko khane par bulaye. Unhe bhi toh khush khabri deni hain.

MAA: Haan haan, kyun nahi. Bula le unn logon ko.

AS lost in something. KS sensed it and again said,

KS: Maa, woh agar Karan ko bula hi lenge toh kyun naa Haseena didi aur unki family ko bhi bula le.

BUA: Deemag kharab ho gaya hain kya tumhara? Ek gair jaat, gair dharam ki pariwaar ko bulaogi tum humare ghar mein.

AS again got angry. Before he could say KS again said before him,

KS: Bua ji, hum aur Haseena didi dost hain, dost kya behno jaisi hain hum dono. Aur dosti kabhi jaat ya dharm dekhkar nahi hoti. Dosti agar kuch dekhti hain toh woh hain insaan ka dil.

BUA: Dekh Karishma, tune toh apna dharm bhrasht kar diya hain ab humara toh mat kar.

AS: Bua ji, mitrata ka koi dharm nahi hota.

BUA: (angrily) Anu...

MAA: (cuts her) Bas, aaj khushi ke din koi vaad-vivaad pratiyogita nahi dekhni hain hume.
(to KS) Karu, tujhe jisse bulana hain bula le koi tujhe kuch nahi kahega.

KS: (kissing her cheek) Thank you maa! Bahut bahut dhanyawad.

She hugged AS also. Bua ji made a face and said,

BUA: Humari baat ka toh koi mol hi nahi hain iss ghar mein.

Saying this she left from there. AS got angry and said,

AS: Maa, yeh bua ji ki pareshaani kya hain?

MAA: Anu, tujhe toh maloom hain naa ki teri bua ji thode se purane khayalon ki hain. Tu apna dil kyun dukhi kar aaj ke din. Kuch samay de unhe, woh apni soch badal legi.

AS: Maa, pehli baat toh unki soch purani hi nahi balki dakhiyanusi bhi hain. Aur jo aaj tak samajh nahi paayi woh aur kab samjhengi?

MAA: Anu, tu kyun itna gussa ho raha hain. Ho sakta hain ki jo kaam hum nahi kar paaye woh kaam koi aur karde. Hum nahi toh koi aur toh hoga jo Sumi ki soch badal daale.

KS: Offo bhaiyya, aaj ke din gussa, udaasi aur pareshaani is not allowed. Aaj ke din sirf khushiyan aur khushiyan hongi. Chaliye ab muskura bhi dijiye.

AS and MAA smiled.

KS: Yeh hui naa baat!

MAA: Tum dono baatein karo. Hum niche hain.

The trio smiled and Maa went to downstairs. KS said,

KS: (extra sweetly) Bhaiyya...

AS: (cuts her) Jaante hain hum, paise chahiye naa apko kuch apne mitragan ke saath khushiyan baantne ke liye. Table par humara wallet pada hain jitne chahiye le lijiye. Parantu haan, koi bekar ki cheezon par kharcha mat kijiyega.

KS: Wah bhaiyya, aap toh humari tarah hi smart ho. (cutely) Par aapko lagta hain ki hum phijool kharche karte hain. Very bad bhaiyya, aapko apni pyari si, maasoom si behan par bharosa nahi hain.

AS: Maaf kijiye hume maate, galati ho gayi humse. Notanki band kijiye apni. Chaliye, paise lijiye aur jaayiye. Hume bhi kaam hain.

She smiled and took some rupees from his wallet. She was about to go but stopped. She turned to him and said,

KS: Bhaiyya, raat ko zara time par khane par aa jaana. Aur achchhe se taiyyar hoke aana. Woh kya hain naa, aaj raat kuch KHAAASSS mehmaan aa rahe hain.

She teased him. Before he say anything she ran from there. He ran his fingers in his hair and smiled.

*************

At night,
The dinner was over. Malik family and PJ's family are back in their home after spending good family time with Singh family.

HM was standing in her room's balcony. She was gazing at the moon with a cute and sweet smile. Suddenly someone back hugged her. She smiled and said,

HM: Kya baat hain Santu, nind nahi aa rahi hain aapko aaj?

SS: Haan didu, iss liye hum yanha aa gaye, aapke paas. Waise aap batayiye, aap kiske baare mein soch kar aise muskura rahi thi?

HM: Hum... kisi ke bhi toh nahi. Bas aaj chand kuch jyada hi khubsurat dikh raha hain toh usse hi nihaar rahe the.

SS came in front of her and said with teasing smile,

SS: Jhuth mat boliye didu, chand toh roz ke jaise hi dikh raha hain. Aapki muskurane ki wajah toh koi aur hain. Hume pata hain ki aap Anubhav bhaiyya ko yaad karke muskara rahi ho. Kyun!?

Santu raised her eyebrows two times. HM was trying to hide her smile. She said while coming into her room,

HM: Kya Santu, kuch bhi bolti rehti ho aap. Aisa kuch nahi hain.

She sat on the couch near to the window. SS sat beside her and said,

SS: Didu, isme sharmane aur ghabrane wali baat hi kya hain jo aap admit nahi kar rahe ho apne pyar ko. C'mon didu, apne feelings ko pehchaniye aur bata dijiye Anu bhaiyya ko aap unse pyar karti ho.

HM: Santu, aisa kuch bhi nahi jaisa aap rahi hain. Hum bas achchhe dost hain.

SS: Offo... Aap dono bhai-behan bhi naa ek jaise ho. Ek woh Cheetah tha jo humse pyar toh karta tha par bolne se darta tha. Jab humne usse propose kiya toh tab usne apni feelings ke baare mein bataya. Kam-se-kam aap toh aisa nas karo. Sach batayiye, kya unke saath rahna, unse baatein karna aapko achchha nahi lagta. Hume pata hi ki ab kya kahengi! Aap yanhi kahengi ki yeh toh aap apne saare friends ke saath karte hain, waise hi khush hote hain (she nodded). Lekin aap hi soch kar dekhiye ki kya jab aap apne baaki doston ke saath rehti hain aur jab Anu bhaiyya ke saath rehti hain toh kaisa lagta hain. Dono khushi mein bahut fark hain. Didu, hum yeh nahi keh rahe hain ki aap jaldbaazi mein koi decision lijiye par iss baat ka bhi khayal rakhna ki kanhi der naa ho jaaye.

HM: (in serious time) Santu, humare ek akele se sochne se kya hota hain. Anubhav ki bhi toh koi jazbaat honge naa. Kya pata woh hume sirf apni ek dost maante ho.

SS: Lekin hume toh aisa nahi lagta. Aaj dinner par jab aap khate khate khansne (coughing) lagi thi toh Anu bhaiyya kitne panic karne lage the. Aapke liye jo unki care hain naa usse dekhkar hume nahi lagta ki woh aapko sirf dost maante honge. I think he has feelings for you. Didu, take your full time. I know, yeh zindagi ka bahut bada aur important decision hain. Aise ek second mein nahi le sakte yeh decision. Aap apni feelings ko samjhiye phir koi decision lijiye. Achchha, abhi hum jaate hain. Amma, rah dekh rahi hogi.

HM: Hmm...

Both smiled and SS left from there. HM put har hands on sofa and rested her chin on her hands.

HM: (to herself) Kya jo Santu keh rahi hain woh sach hain? Kya sach mein humare dil mein Anu ke liye kuch jazbaat hain? Agar... agar hain bhi toh kya dosti ke badhkar?

She closed her eyes. The first thing that flashed in her was none other her Anu. His magnetic eyes which attract her every time, his innocent smile from which his heart feels good every time, his sweet voice which works as honey in her ears every time, his talks that make her so comfortable every time. His presence around her that feels her protected every time. His care from that she feels blessed every time. And above all, his priceless and pure heart which filled with full of love and kindness, she remembered everything about him. Her mind was remembering every moment she had spent with him. She opened her eyes and smiled wholeheartedly.

HM: (to herself) Haan Santu, aap sahi keh rahi hain. Haan, hum Anu ko ek dost se badhkar chahne lage hain. Haan, humare dil mein Anu ke liye jazbaat hain. Haan, hume Anu se mohbbat ho gayi hain. YES, I IN LOVE. I love you Anu. Hum samajh gaye ki hum aapse bahut pyar karte hain Anu. Jab bhi hum aapke paas hote hain toh hume ek alag si khushi hoti hain. Aapka ehsaas hume sukoon deta hain. Aapke saath rehne se hume lagta hain ki hume sab kuch mil gaya. Agar aap humare saath rahe naa toh hume aur kuch nahi chahiye. Thanks Anu, humari zindagi mein aane ke liye. Hum aapse bahut pyar karte hain. Aur hum aapko bata bhi denge, kal hi.
(after a pause) Nahi... nahi... Itni jaldi kaise propose karde. Magar aisa bhi naa ho ki hum apni dil ki baat kehne mein der kar de. Aur Anu hume ek dost se badhkar nahi maan-te toh? Kanhi aisa na ho ki hum apni dosti bhi kho de! Kya kare hum?

She was thinking about it. Suddenly, an idea stuck in her mind.

HM: Yes, hume samajh aa gaya ki ab hume kya karna chahiye. Ab bas kal ka intezaar hain. So Mr.Anubhav Singh, kal aapko ek surprise milega. Be ready for this.

***********

On another side,
AS was sitting on the bed in his room. He was lost in his thoughts. Suddenly, he felt a hand on his shoulder. He turned and looked that KS was sitting beside him smilingly. He said,

AS: Are behna aap? Kshama kijiyega hume pata hi nahi chala aapke aane ka. Kahiye kuch kaam tha aapko?

KS: (with an annoying tone) Kya bhaiyya, aap hamesha aisa hi kyun sochte hain ki hum aapke paas tab hi jab hume aapse koi kaam nikalwana hota hain.

AS: Offo... Behna, ab aap yeh rota mukh mat banayiye. Hume aapka aisa mukh bilkul achchha nahi lagta. Aap toh hamesha sirf hasti hui achchhi lagti hain.

KS: Thik hain, thik hain. Jyada maska lagane ki koi zaroorat nahi hain. (teasing) Waise bhaiyya, aap kuch jyada hi kho jaate ho humari honewali bhabhi ke khayalon mein. Ab bhi aap unki khayalon mein aise kho gaye the ki aapko pata hi nahi chala ki hum yanha hain.

AS: (fumbling) Yeh... yeh, kya aap bhi ku..kuch bhi bole jaa rahi hain. Aur kaun hain aapki ho...hone wali bhabhi?

KS: Please bhaiyya please, humare saamne ban-ne ki koshish mat kijiye. Hum achchhe se jaante hain ki aap aur Haseena didi dono ek dusre ko pasand karne lage ho. Ab filmo ki tarah (overacting) "nahi, aisa kuch nahi hain humare beech" aise dialogues mat maatiye. Hume sab pata hain ki aap unse kitna pyar karne lage hain.

AS: Aisa nahi hain behna?

KS: Aisa nahi hain toh kaisa hain.

AS: Hum keval ek dusre ke achchhe mitra hain aur kuch nahi.

KS: Ohh, toh thik hain. Hum ek kaam karte hain, humara ek dost hain jo shaadi ke layak hain aur achchhe gahr ka bhi aur toh aur achchhe dil ka bhi hain. Toh hum soch rahe hain ki kyun na uski setting Haseena didi karva de. Mast rahegi unki jodi.

AS:(immediately, in flow flow) Nahi, behna aap aisa nahi kar sakti. Hum Haseena se prem karte hain aur aap apne hi bhai ke prem ko unse door karna chahti hain.

KS: (teasing) Dekha, ab aa gayi naa dil ki baat zubaan par. Hum toh mazak kar rahe the aapse sach ugalwane ke liye.

AS realised what he said. He made a face and said,

AS: Yeh aapne sahi nahi kiya behna! Aisa mazak bhi koi karta hain kya? Aapko pata bhi ek kshan ke liye hum kitna darr gaye the. Aapke dil mein na seena hain hi nahi, patthar hain patthar hain.

KS: (with an irritating tone) Offo bhaiyya, biology mein aap hamesha se hi kamzor rahe hain. Aapko itna bhi nahi maloom ki dil mein seena nahi seene mein dil hota hain. Mat bhuliye ki jisse aap pyar karte hain woh ek doctor ban-ne wali hain. Agar aap unse aisi lines kahoge naa toh woh bina ek second gawaye hi aapko reject kar dengi.

AS: (innocently) Behna... Ek toh waise hi hume kuch samajh nahi aata unke saamne aur aap hain ki humara aatma-vishwas aur gira rahi hain.

KS: Toh aap aisi baatein kar hi kyun rahe hain. Ab yeh batayiye ki aap Hassu didi ko propose kab karenge?

AS: Hume nahi pata. Hume kahi na kahi darr lag raha hain ki agar woh humse prem nahi karti toh kanhi hum apni mitrata bhi naa kho de.

KS: Aap kuch jyada hi soch rahe hain. Jitna hum unhe itne dino mein samajhe hain naa usse toh hum aaram se keh sakte hain ki unhe bhi aapse bahut pyar hain. Humne dekha hain aapki aur unki aankhon mein ki aap dono ek dusre se kitna pyar karte ho. Aapne sirf aur sirf unke liye Kannada seekhi aur unhone sirf aapke liye itni jaldi apni Hindi sudhar li. Jab aap dono mein se kisi ek ko kuch hota hain toh dusra jhat se react karta hain. Ek dusre ki khushi aap dono ke liye bahut maayine rakhti hain. Aur ab bhi kya aapko lagta hain ki woh aapse pyar nahi karti!? Aap itna mat sochiye, bas jaldi se unhe propose kar dijiye. Aap samajh rahe hain naa humare baat ko bhaiyya?

AS: Hmm...

KS: Hashh! Ab yeh toh batayiye ki agar aapko unhe propose karna hoga toh kaise karoge?

AS: Abhi?

KS: Abhi nahi toh aur kabhi? Hume pata hain ki aise maamlo aap gadbad kar hi denge. Iss liye behtar hain ki hum ek baar dekh le ki aap kya karenge! Chaliye, ek baar batayiye toh sahi. Achchha, jyada nahi toh ekad line hi bol dijiye humare saamne.

After a lot of huffs, finally he agreed and said,

AS: Haseena... woh hum... hum...

KS: (irritated) Iske aage bhi toh kuch boliye bhaiyya!

He inhaled deeply and said in one breath,

AS: Haseena, hum aapse kehna chahte hain ki aapne humare hriday par waar karke humari dhadkane band kar di hain.

KS: (surprisingly) Bhaiyya, yeh kis nukkad ke shayar se aisi shayari seekh kar aahe hain aap? Yeh line sunkar toh Haseena didi bolegi ki Bhai isse pyar nahi heart attack kehte hain.

AS: (irritatingly) Hume aapse baat hi nahi karni behna. Ek toh waise hi hume kuch samajh nahi aa raha hain aur aap hain ki humara manobal niche giraati hi jaa rahi hain.

She cupped her face and said,

KS: Bhaiyya, aapko filmi baatein kehne ki kya zaroorat hain. Aapko pata hain, aapki sabse best cheez kya hain!? Woh aapki saadgi. Aapki jo simplicity hain woh hi toh sabse anmol hain. Aur in dino mein hum Haseena didi ko jitna jaan paaye hain, usse toh hum saaf saaf keh sakte hain ki woh bhi simplicity ki misaal hain. Unhe bhi saadgi aur sachchai se bhari hui aur baatein pasand hain. Iss liye aap bas apne simple tarike se unhe propose kar dijiye. Aap samajh rahe naa ki hum kya kehne ki koshish kar rahe hain?

He smiled and held her hands. He said,

AS: Bahut badi ho gayi hain aap aur samjhdaar bhi hain. Chaliye, abhi raat bahut ho gayi hain so jaayiye.

KS: Haan, waise bhi hume bahut nind aa rahi hain. Aur aap humari baat bhuliyega mat.

AS: Nahi bulenge baba. (kissing her forehead) Shubhratri.

KS: (kissing his cheeks) Good night bhaiyya.

She left to her room. Here AS thaught,

AS: (to himself) Sahi keh rahi aap behna. Hum jaise hain waise hi Haseena ko apne hriday ki baat bata denge. Hum kal hi unhe bata denge. Kya bana diya hain aapne hume Haseena. Woh ladka jo prem naamak shabd se bhi chid jaata tha woh ladka aapke prem mein pagal ho gaya. YES, I AM IN LOVE. Hum aapse bahut prem karte hain Haseena. Aur kal hi hum aapko sab bata denge kyunki hum ab aur vilamb nahi karna chahte. Bhale hi, behna ne mazak mein aapke saath kisi aur ka naam le liya tha parantu ek kshan ke liye hum chintit ho gaye the aapko khone ke darr se. Toh Haseena, kal ke liye taiyyar rahiyega.

He smiled.

*_*_*_*_*_*_*_*_*

TADAA
CHAPTER OVER.
==================

HOPE YOU GUYS ENJOYED THIS CHAPTER.
IF I DID ANY MISTAKE THEN PLEASE FORGIVE ME.
==================

AnuSeena acknowledged their love for each other. After the suggestion of KS and SS, they decided to propose to each other. They planned something for each other.
What is their plan for each other?
What is the next step in their love story?
What their fate is planned for them?

~~~~~~~~~~

UPCOMING:- A simple proposal of AnuSeena.
==================

THANK YOU
TAKE CARE
BYE-BYE.

Continue Reading

You'll Also Like

676 88 20
This story contains all zdmn characters as well as some are added by me. It is little bit inspired by sapna diis plan of universe. Puri emotional Rol...
50.7K 3K 39
"A great marriage is not when the 'perfect couple' comes together. It is when an IMPERFECT couple learns to enjoy their differences." What happens wh...
35.5K 7.3K 61
Title se pata chal he Gaya hoga. To aayie dekhte hai humari Kareena ki arrange vali love story. Thoda pyaar, Thodi Takrar - Kya hoga Haseena ko karis...
53.4K 5.8K 35
Sai is all set for her another solo tour. She loves to travel during her vacations. Virat was nervous as it is the first time he is travelling alone...