YOU ARE MY STRENGTH MY LOVE

By Laziest_Writer

21.4K 2.2K 1.1K

Hi, This is my another story of our beloved ANUSEENA. But this is completely different from the show. Here n... More

INTRODUCTION
CHARACTERS
SIBLINGS' LOVE
HAPPINESS & CONFUSION
YOU ARE PRECIOUS
YES, I AM IN LOVE
A SIMPLE PROPOSAL
PRECIOUS FAMILY
BRAEK-UP
WHAT IS THE MATTER?
APOLOGY NOTE - [NOT A PART]
WHAT HAPPENED TO HER?
THE HARSH TRUTH
HER BAD CONDITION
WITH YOU, ALWAYS
BROKEN ANUSEENA
I AM WITH YOU
THE ARGUMENT
THE BLESSING
THE FIR
THE TENSIONS
THIS IS REALITY
WHAT THE HELL
THE START OF THE WAR
THE COURTROOM
INSULT, THREAT & COURAGE
MY IDENTITY
THE ACCIDENT
NO NEED TO WORRY
UNBEARABLE PAIN
HER PAINKILLER
SETTLEMENT?
PROVED GUILTY
I WANT JUSTICE, NOT SYMPATHY
WHY DID YOU SAY 'NO'?
SHE IS NOT READY YET
IT'S NOT EASY
WHEN YOU ARE WITH ME
NOT CHANGED, BUT...
EPILOGUE [01] - MY LOVELY FAMILY
EPILOGUE [02] - YOU ARE MY STRENGTH, MY LOVE
WHY I WROTE THIS?
GRATITUDE NOTE

NEW FRIENDS

568 48 20
By Laziest_Writer

{PLEASE IGNORE THE SPELLING AND THE GRAMMAR MISTAKES}

*_*_*_*_*_*_*_*_*_*_*_*_*_*_*_*_*_*

The next morning,

AS woke up with an unknown feeling. He went to the balcony and stood there by beholding nature. The beautiful sunrise and soothing voice of birds were making him happy. He was adoring everything when he saw HM. She was playing with a sweet and little puppy. His unknown feeling raised. He was smiling more and more after seeing her. Just then someone patted on his shoulder. He turned and found KR was standing there with a smile. 

KR: Good Morning Anu bhaiyya.

AS: Suprabhat Karan.

KR: Aapko nind toh thik se aayi naa!? I mean koi takleef toh nahi hui naa yanha?

AS: (smiling) Are nahi nahi Karan, hume bilkul bhi kasht nahi hua.
(in mind) Aur rahi baat nidra ki toh hum thik se nahi so paaye Karan. Reh reh kar kal raatri hum Haseena ji ke baare mein soch rahe the. Hume unke liye bahut bura lag raha hain. Bahut hi sundar roop, manmohak aankhe, hriday ko sparsh karne wali muskaan hain unke paas parantu unke paas kuch nahi hain toh swar, aawaz. Bhagwaan bhi bahut nishtur ho jaate hain kabhi kabhi.

KR: (shouting) Anu bhaiyya

AS: (surprisingly) Aap chilla kyun rahe hain Karan?

KR: Bhaiyya, humne aapko do teen baar aawaz di lekin aap pata kanha kho gaye the.

AS: (covering up) Woh kuch nahi, hum bas ek case ko lekar chintit the.

KR: Ohh! Bhaiyya, niche garden mein chalte hain naa, bahut maza aayega.

AS: Garden mein!? Kintu Karan, aapko toh pata hain naa ki kal raatri kitni adhik varsha hui thi. Itni ki hum ghar bhi nahi jaa paaye the. Aise mein udyan mein toh kitna kichad ho gaya hoga. Aise mein wanha jaake hum kya karenge.

KR: Nahi bhaiyya, utna bhi kichad nahi hain. Hum log wanha aaram se jaa sakte hain. Aur waise bhi wanha Hassu, Cheetah, Chutki aur Karu bhi honge. Sab milke baatein karenge.

AS: (in mind) Are haan, abhi toh humne wanha Haseena ji ko dekha. 
(to him) Thik hain, chaliye.

KR, AS, KS and SS went to the garden. HM looked at them and smiled. They smiled back. Then SS said,

SS: Hassu didu, Cheetah kanha hain?

HM was about to say something but SS spoke again,

SS: I know, woh abhi tak so raha hoga. Main abhi usse jagakar aati hoon tab tak aap log baatein waatein kijiye.

Saying this she went to CC's room. KR took KS with himself to show her his favourite flower plants. Of course, firstly he took permission from AS. AnuSeena sat on a bench. They were just looking at each other secretly. For a few minutes, they remained silent. Finally AS broke the silence. He said,

AS: Haseena ji, ab... woh... aap bahut su...su...sundar hain. Par dekhiye naa, bhagwan bhi kitna nishthur hain. Aapko itna manmohak muskaan di, pyari aankhein bhi di par swar hi nahi diya. Sach kahe toh hum purn raatri so nahi paaye yeh sochkar ki aap bol nahi sakti. Hume pata nahi kyun parantu aapke liye bahut bura lag raha hain. 

HM looked at him surprisingly. She said,

HM: (with a small surprising small) Nivu en helta iddira? Nimge yaaru helidaru nanage maatadalu baruvudilla anta? I... I mean, what are you saying? And who told you that I am a voiceless girl?

AS was highly shocked. He was like "lage 440-volt bolne se tere" (sorry for this line) He looked at her with widened eyes and open mouth. Soon, AnuSeena's ears heard some laughing voices. They looked at the directions of voices. There CheeTosh and KarMa were laughing about his situation. (Karan + Karishma = KarMa, sorry for this word agar aapko achchha nahi laga toh. Bahut sochne ke baad main yeh hi naam bana paayi.) They came near AnuSeena. KR said with a lot of difficulties as he hardly controlling his laughter,

KR: Anu Bhaiyya, humne aapse kaha tha ki Hassu bolna toh chahegi par bol nahi paayegi. Iska matlab yeh thodi an hua ki yeh dumb hain? Are yeh bahut achchhe se bol sakti hain.

AS: (confusingly) Yeh aap kya kah rahe hain Karan? Hume toh kuch samajh nahi aa raha hain. Aur agar Haseena ji bol sakti hain toh kal raatri jo aapne humse kaha tha who kya tha?

CM: Bhaiyya, hum aapko sab kuch samjhate hain. Woh darasal baat kuch yun hain ki Hassu aapi lagbhag 8 saal ki tabse woh humare maasa ji-maasi ji ke paas Banglore mein hi rahne lagi unke studies ke liye. Nahi matlab, Lucknow mein bhi bahut achchhe se studies hoti hain par maasi ji chahti thi ki aapi unke saath rahe kyun ki abbu gujarne ke wajah se humari finantial condition bhi itni achchhi nahi thi ki hum thik se padh sake. Aur Maasi ji ka ek hi beta tha jo tab 15 saal ka tha aur hostel mein rehta tha. Iss liye, maasi ji ne apna akelapan door karne ke liye aur aapi ke padhai ke liye inhe apne saath Banglore leke gayi. Isse hum dono ki padhai bhi thik se hone lagi aur maasi ji ko humare bhaijaan ki kami bhi utni nahi khalne lagi.

SS: Par in sabke chakkar mein, ek baat yun hui ki Hassu didu Banglore mein rehkar Kannada bhasha bolne lagi. Aur unka Hindi bolna lagbhag na ke barabar ho gaya.

AS: Woh sab toh thik parantu koi aise kaise apni maatrabhasha ko bhul sakta hain. Aur hume samajh nahi aa raha ki inn sab baaton ka aur Karan ki kal raat ke baat ka kya sambhadh hain?

KR: Hassu apni maatrabhasha nahi bhuli hain. Usse Hindi aati hain par baat yeh hain ki itne saal Kannada bol bol unhe aadat ho gayi hain. Aur woh jab bhi koi aur language mein baat karna chahe except for English toh woh uss language mein Kannada mix kar deti hain jisse ek naya hi word ban jaata hain. 

CM: Phir uss word ko sunkar hum sab hass padte hain aur inhe chidane lagte han jiske wajah se aapa bahut chid jaati hain. 

SS: Issi wajah se didu kisi bhi guest ke saamne baat karne se thoda hichkichati hain. Magar hum sabse toh bahut saare baatein karti hain. Itna ke agar yeh ek baat karna shuru kar de toh rukne ka naam hi nahi leti. 

KR: Haan, issi liye humne kaha tha ki Hassu baat karna chahegi magar kar nahi paayegi. Aur kal raat aage ki kahani hum aapko batane hi waale the ki amma ne hume niche bula liya iss liye woh baat adhuri reh gayi aur pata nahi uske chalte aapne kya dharnaayen bana li!

Everyone again laughed. 

AS: (in mind) Itna bada wala popat ho gaya humara. Haseena ji pata nahi kya soch rahi hogi humare baare mein. Parantu hume toh keval galat fahmi ho gayi thi.

By seeing his pale face HM said,

HM: Stop it guys. Bahut aaitu (bahut hua)

ALL: Kya?

HM: I... I mean bahut hua. Now stop it. Anyone can misunderstand. Don't make a big issue of this small thing.

KS: (teasingly) Lagta hain inhe humara bhaiyya par hasna pasand nahi aaya. Shayad bhaiyya ke liye bura lag raha inhe.

HM was about to say something but ammi called her. She excused herself and moved from there. In a few minutes, CC, AS, KS, KR and SS also went into the home.
All got freshened. PJ was making breakfast when KS knocked on the door of the kitchen and asked,

KS: Kya hum andar aa sakta hain?

PJ: Aao naa, isme puchhane wali kya baat hain?

She smiled and stepped into the kitchen. She stood nearby PJ and asked softly,

KS: Ek baat puchhe aapse?

PJ: Pucho naa.

KS: (hesitatingly) woh.. kal aapne hum dono ke jhag...jhagde ke baare mein sabko kyun nahi bataya? Humara matlab hain ki... Woh aap gussa ho gayi thi naa humse... phir aapne hume apni bahu banaana kaise sweekar kiya? Matlab, hum aise hi puchh rahe the.

PJ: (smilingly) Jab tumne market mein humari umra ko lekar jo kaha tha tab hume bura zaroor laga tha, bura kya, hume toh bahut gussa aaya tha. Lekin, jab hume yeh pata chala ki tum woh hi ladki ho jisse humara lalla pasand karta hain toh humara gussa wanhi shant ho gaya kyun ki hum sirf paraye logo ko apni umra nahi batate hain par jo apne hote hain unhe pata hain humari umra. Aur tumhare nek dili aur sanskaaron ko dekh kar hume tumko apna banaana chaha. Lalla bhi tumhari saaf mann ki bahut taarife karta rahta hain. Aur hum itna toh bina samay gawaye keh sakte hain ki humare lalla ki pasand kabhi galat nahi hoti.

KS: (smilingly) Aap se yeh baatein sunkar bahut achchha laga. Aur hum wada karte hain ki hum aapko kabhi shikayat ka mauka nahi denge. Aur shayad aapke lalla ne aapko bataya hoga ki KS apne wade ki kitni pakki hain.

PJ: Haan, bataya hain usne. Ab tum bahar jaakar Santu aur Lalla ke saath baitho hum nashta banate hain.

KS: (cutely) Nahi, hum yanha aapki madad karenge aur khabardaar agar aapne mana kiya toh! Hum madad karenge matlab karenge. Agar aapne hume roka toh hum bhaukal macha denge.

PJ: (chuckled) Achchha baba jaisi tumhari marzi.

After breakfast, all were ready to go to their destination. CheeTosh had already left for college. KS, KR, Maa, Bua ji and PJ were talking about something while AS came out of the house as his phone rang. After finishing the call he was about to go into the house but he saw HM standing alone near the gate. He went near and asked her,

AS: Haseena ji, aap yanha aise akele kyun khadi hain?

HM: Actually, today is my first day at college in Lucknow. I don't know more about Lucknow's route so Karan told me that he will drop me at the college. So, I am waiting for him.

AS: Ohh! Waise kaunse vidyalaya mein aapka dakhila hua hain.

HM: Abcdefgh medical college.
(Aise hi naam best hote hain. Haina? 🤣🤣)

Suddenly, an idea stuck in his mind. He excused himself and moved into the house. He dragged KR with himself by making an important work's excuse. They both came little far from other members. Then KR said, 

KR: Kya hua bhaiyya, aap hume khichte hue kyun laaye.

AS: Woh humne abhi Haseena ji se baat ki toh pata chala ki aap unhe aaj vidyalaya chhodne jaa rahe hain. (KR nodded) Humare mann mein bas yeh vichar aaya ki kyun aapko aur behna ko bhi kuch samay vyatit karna chahiye. Iss liye, aap ek kaam kijiye. Isliye aap behna aur humare baaki ke parivaar walon ko ghar chhod dijiye aur hum aapki mitra Haseena ji ko unke vidyalaya chhod denge.

KR: Wah bhaiyya, pakke wakil hain aap. Baaton ko aise ghumate hain ki har koi usme phas jaaye par hum nahi phasne wale. Aapko humari Hassu ke saath waqt bitana hain aur aap hain ki iska bill hum par aur Karu par phad rahe hain.

AS: A..aisa nahi hain Karan. Darasal, hume ek case ke silsile mein apni assistant, Shivani ke ghar mein bhi jaana hain janha uss vidyalaya ke raaste se hi jaata sakta hain. Bas isliye humne aapse kaha ki hum Haseena ji ke saath chale jaate hain aur aap behna aur baaki sabke saath chale jayiye naa. Baaki jaisa aap samajh rahe hain waisa kuch nahi hain.

KR: Bhaiyya, hum samajh gaye ki kya kaisa hain. Chaliye ek pal ke liye hum aapki baat maan bhi le par baakion ko aap kya kehnge.

AS: Woh aap sochiye naa!

KR: Thik hain, yeh bhi hum hi sochte hain. (after few minutes) Aap ek kaam kijiye, aap abhi Hassu ke saath nikal jaayiye. Aur Hassu se kehna ki hume ek urgent kaam se office jaana pad raha hain aur humne aapse kaha ki usse college drop kar de. Aur hum ghar mein sabse keh denge ki aapko ek urgent kaam se jaana pada aur aapne humse request kiya ki hum sabko ghar chhod de.

AS: (happily) Aapka bahut bahut dhanyawad Karan. Yeh bahana toh hum bhi soch sakte the kintu pata nahi kyun yeh humare mastishq mein kyun nahi aaya?

KR: (naughtily) Hota hain bhaiyya hota hain. Jab koi humare mann aur mastishq mein bas jaata hain toh hum kuch aur sochne samajhne layak nahi rehte hain.

AS: (irritatedly) Are baba, aisa kuch nahi hain. Aap har baat ka ulta arth kyun nikal rahe ho.

KR: Gussa mat hoyiye Anu bhaiyya aur jaldi se jo plan kiya hain usse kariye warna koi aa gaya aur humari baatein sun li toh saara kiya-karaya fail ho jayega.

They smiled and did as they planed.

******************************

AnuSeena were sitting in the car. He asked her looking at the road,

AS: Waise Haseena ji, aapke MBBS ka yeh aakhri saal tha toh aap yeh ek saal wanhi Banglore mein bhi kar sakti thi naa. Humara matlab hain ki MBBS khatam karke bhi aap Lucknow wapas aa sakti thi.

HM: Yes, you are right. But, I was really missing my Ammi and Cheetu so much. Especially ammi. I felt like I can't survive without my ammi anymore. And secondly, my brother, means my maasi ji's son is now doing a job in Bangalore and staying with maasi ji. So now she won't miss him anymore. She is also happy now. So I came hear back.

AS: Ohh, yeh toh achchhi baat hain. Aur kuch batayiye naa apne baare mein?

HM: Humare baare mein heluvudakke hechchenu illa.
(kehne ke liye jyada kuch nahi hain)

AS: (confused) Kya?

HM: (little embarrassed) I mean, there is no more interesting about me.

AS chuckled. She said with a baby face,

HM: Are you making fun of me?

AS: Nahi, bilkul bhi nahi. Ab doston mein itna toh hasi mazak hota rehta hain naa!

HM: (surprisingly) What!? Friends? Where did we become friends?

AS: Kal hi toh bane hain naa!

HM: (amazed) Yesterday!? But when?

AS: Jab humne aapko dekha aur aapne hume. Pehli nazar mein keval prem hi ho sakta hain kya? Mitrata nahi?

HM: (smilingly) Well, I heard it first time but it feels so good, "FRIENDSHIP AT FIRST SIGHT".

She chuckled and continued,

HM: You are so different from others.

AS: Iska kya arth hua?
(cutely) Kya hum aapko achchhe nahi lage?

HM: No, I didn't mean that?

AS: (teasingly) Arthat hum aapko achchhe lage.

He looked at her with a smirk on his face. She couldn't say anything. He again focused on road and asked,

AS: Aap apne shouk ke baare mein batayiye naa!

HM: Nothing much, but I like to read books and play badminton 🏸. And makkal jote makkalu aaguvudu nanage tumba ishta (bachchon ke saath bachchha ho jaana mujhe bahut pasand hain.)

He looked at her with a confused and cute face. She understood what did she say now. She said sweetly,

HM: I mean to say that I like being kid with kids. You know, I just love kids but only decent kids not all kids. There is no problem if kids were naughty but aapka pata hain there is a thin layer in between naughtiness and evilness. I just love those kids who don't cross this line.

He smiled and she continued,

HM: Aa... Are you feeling bored with me? (he looked her) I mean KR told me that you like to speak in Hindi. And I...

She looked down. He just smiled at her and said,

AS: Aisi baat nahi hain. Haan, yeh sahi hain ki hume Hindi mein baatein karna pasand hain par iska matlab yeh nahi hain ki hum kisi aur bhasha ko pasand nahi karte. Hum sab bhasha ko pasand karte hain. Hum sabhi bhashaon ka bahut samman bhi karte hain.
Chaliye hum dono ek kaam karte hain, ab hum dono mitra bhi ban gaye hain toh kyun naa ek dusre liye ek dusre ki basha jaan le. Hum aapke liye Kannada seekh lete hain aur aap humare liye Hindi seekh lijiye. Waise dekha jaaye toh aapko seekhne ki koi avashyakta nahi hain bas bolne ka abhyas karna hain. Toh kya aapko yeh sweekar hain?

HM: (smilingly) Definitely. That's nice.

They reached at her college. Neither he nor she wanted to go away from each other. They were looking in each other's eyes deeply. The sound of a vehicle's horn took them from their la la land. He said,

AS: Aapka vidyalaya aa gaya. Aapka yanha aaj pehla din uske liye aapko bahut bahut shubhkamnaye. Aur haan apna khayal rakhna.

HM: Thank you and take care yourself too.

They smiled and she went into her college. He was staring her going figure. For few minutes, he was just smiling. Then he saw that she forgot one of her books. He took the book and moved into the college to give her the book but was shocked and became angry after seeing a different and a cheap scene.

*_*_*_*_*_*_*_*_*_*_*_*_*_*_*_*_*_*

TADAA
CHAPTER OVER.
===============================

HOPE YOU GUYS ENJOYED THIS CHAPTER.
IF I DID ANY MISTAKE THEN PLEASE FORGIVE ME.
===============================

Sorry for if you find this chapter boring.
AnuSeena became friends. Just friends? 🤔. There were unknown feelings in them for each other. Will they recognise it?

And Which kind of scene made AS angry and shock?

--------------------------------

UPCOMING:- Entry of the professor Indar Kumar (IK).
===============================

THANK YOU
TAKE CARE
BYE-BYE.

Continue Reading

You'll Also Like

89.2K 4K 45
While foccusing on one relation one overlooked the other one. What if Mahi is missing being kiddo of his elder brother and his elder brothers comes...
35.4K 7.3K 61
Title se pata chal he Gaya hoga. To aayie dekhte hai humari Kareena ki arrange vali love story. Thoda pyaar, Thodi Takrar - Kya hoga Haseena ko karis...
334K 15.6K 87
A story which deciphers brothers bond, love, careπŸ’•! To know peep into the story πŸ‘€πŸ‘€!!!
408K 25.7K 58
BOOK ONE IN DESTINY SERIES (Completed) jo kismat mein likha hota hy wo tou hota hi hy chahy app chaho ya na chaho A proper fiction on my lovely Tej...