NARAYAN REMEMBERS

1.1K 70 15
                                    

The sisters were in the palace disappointed. They just spent few moments with Narayan and he went away to battle with Rishabh.

"Kya hume aise hi jeena hoga ? Narayan kya hume nahi milenge ?" The second sister asked.

"Ha." They heard a voice and saw Ganesh and Amarsri.

"Aapko ab aise hi rehna padega kyuki yeh yudh samapt nahi ho sakta." Ganesh said.

"Kintu itne varsho ki tapasya ka kuch mol nahi ?" The second sister asked.

"Aap sabhi ne wahi galti ki jo Mata Laxmi ne ki." Amarsri said.

"Kaisi galti ?" The first sister asked.

"Aap sabhi ne jisse manga woh kaun hai ? Shrishti ke palanhaar. Aap ne Narayan ke vastavikta ko jana hi nahi, yeh hi galti mata laxmi ne ki thi." Amarsri said. The sisters lowered their gaze.

"Unse unki smritiya bhulakar aapne unhe na sansaar ka rehne diya aur naa hi apna bana payi." Amarsri said.

"Aap ke karan mere mata-pita bhi alag ho gaye hai." Ganesh said.

"Kaise ?" The fourth sister asked.

"Narayan jisse lad rahe hai woh aur koi nahi apetu Mahadev hai, unhone Rishabh roop dharan kiya hai taki Narayan ko unki smritiya mil jaye."

"Kya iska koi hal nahi ?" the third sister asked.

"Do maarg hai, pehla ki sab aisa hi chalta rahe aur ek din yeh shristi khatam hojaye." Ganesh said.

"Aur dusra ?" the first sister asked.

"Aur dusra maarg hai ki aap apna swarth bhulade aur Narayan ko vachan mukt karde, jisse sansaar ko unke Vishnu bhagwan mil jaye aur Mahadev bhi Mata Parvati se mil jaye." Amarsri said. The sisters fell in deep thinking.

--

"Aap yaha kya kar rahi hai ? aap log jayiye yaha se mai abhi iss Rishabh ko parajit kar ke aata hu." Narayan said to the sisters who just came ii the battle field. The sisters nervously looked at each other.

"Kya hua aap sab sakushal toh hai na ?" Narayan asked.

"Nahi. Yeh bodh ho jane ke paschat ki humne humare swarth hetu sansaar ko uske palanhaar se vanchit kardiya hai, humara man glani se bhar utha hai." The first sister said.

"Hey Narayan aap samast sansaar ke hai, aur hum apne such ke liye sansaar ko dukh nahi pahucha sakte." The second sister said.

"Iss liye hum aapko vachan mukt karti hai." The third sister said.

"Vachan ?" Narayan asked confused. He frowned and the memories came flooding back in his mind, the fight with his wife, the sisters asking boon and him forgetting his past. Suddenly Amarsri felt a rage of energy in running in the right side of her body, she smiled as realized Narayan remembered everything.

"Mahadev ?" Narayan said looking at the Rishabh. Mahadev smiled and came back to his original form, free from the Narayan astra. The sisters bowed to him.

"Ha Narayan. Maine hi yeh Rishabh roop dharan kiya tha taki aapko apni smritiya mil jaye." Mahadev said.

Narayan also closed his eyes and came in his original form, with four hands and also got freed from the Pashupatastra.

"Hey Mahadev mujhe Kshama karde, itne dino se aapne prayas kiya mujhe meri shaktiyo se parichaye dilane ka kintu mai anabhigya raha aur nirantar aap par akraman karta raha." Narayan said.

"Hey Narayan, aap ke aur mere yudh se yeh punah siddh hogaya hai ki hum dono samkaksh hai, koi kisi ke aadhin nahi koi kisi se shresht nahi." Mahadev said.

"Kintu pitashree aapka chakra kaha gaya ?" Amarsri asked. Narayan too realized his Chakra was not in his hand.

"Usse toh Mahal mai hi chut gaya." Narayan said.

"Narayan aap use patal lok ke santulan v adharm ko jagrit karne hetu wahi rehne dijiye. Iss din ke smriti ke roop mai apko ek aur chakra deta hu." Mahadev said giving him a new chakra.

--

"Akhir kaar mujhe Harihareshwari ki kamzoori ka gyath ho gaya !!" Andhkarini laughed
-------------------------------------
A/N
BOLO HAR-HAR MAHADEV !!

SORRY FOR MAKING YOU WAIT, I AM A LITTLE BUSY THIS WEEK WITH SCHOOL WORK.

HARIHARESHWARI 2 : BHAKT AUR BHAGWAAN Where stories live. Discover now