Khuwabon ki taraf pehla safar
Hum 2 behnein aur ek bhai tha mein sbse bari thi baki dono behan bhai mujhse umar mein kafi chotay the... Mujhe shuru se parhnay ka bohat shoq tha magar hum logh bohat ghareeb the Abu sara din mehnat kartay the aur Ami bhi sara din koi na koi kaam karti rehti thii'n tab kahii'n ja k kuch paisay hotay the jinse khana khaya ja sakay... Hamaray rishtedaaron mein se koi bhi humse milna nahi chahta tha kyun k hum un sabse ghareeb the magar mere baray mamu Sajid itne ameer honay k bawajood humse mahinay mein ek do baar milnay atay aur mera parhai ki taraf shoq dekh k mujhe achay school mein parhanay k liye maali imdaat bhi kartay the jiski wajah se mein gao'n k school mein dil laga k parhnay lagi waqt guzarta gaya mene matric aur phir inter achay numberon se pass karlia magar agay gao'n mein koi university bhi na thi aur ab hamaray paas itne paisay bhi nhi the k mein gao'n se bahir ja kar parh pati ... Mera dil to bohat tha k agay bhi parh paun mujhe Doctor ban,nay ka bohat shoq tha magar ghar k halaat dekh kar apne khuwabon ko khatam kardia aur gao'n k school mein hi teacher ban gayi...mamu ka ab hamaray ghar ana bohat kam hogaya tha k masroof rehte the mere mamu ko Allah ne aur taraki di aur wo ek bohat baray businessman ban gaye the...ek din mamu humse kafi time baad milnay aye to mujhse puchnay lagay k agay ka kia plan hai aur mene mamu ko sab btaya k mera agay parhnay ka bohat dil hai magar yahan koi university bhi nhi aur gao'n se bahir to jaya nhi ja sakta na hi itne paisay hain aur na hi Abu ijazat deinge... Mamu ne mujhe pyaar kia aur kehne lagay iss sabki tum fikr na karo mein tumharay Abu se baat karunga aur tumhe apne saath shehar le jaunga aur tumhara achi si university mein admission bhi karwa dunga tum bas tayari pakro... Mamu ne mere Abu se bhi baat karli aur unhe mana lia... Meri khushi ki inteha na thi aur mene jaldi jaldi apni kuch cheezein bag mein rakhii'n aur mamu k saath chal pari... Ye pehli baar tha jab mein apne gao'n se itni door wo bhi itni bari aur khoobsurat gari mein ja rahi thi sab kuch khuwab jesa tha bohat haseen... Magar ye haseen safar mere liye itna mushkil hojayega ye mene kabhi nhi socha tha...
YOU ARE READING
Sofia
Non-FictionZindagi hamesha asaan nhi hoti kabhi kabhi humein kuch cheezein uss waqt nhi milti jab humein unki zarorat hoti hai magar uss waqt mil jati hain jab humeim unki zarorat nahi hoti ya chah kar bhi nahi le patay...
