Part 22 Is Aditya giving up on Zoya

417 46 9
                                    

Zoya - Aditya, humse itana pyaar karte hai, humari Khushi ke liye woh humse dur rahe ko bhi taiyar ho gaye.
Hume maaf kar digiye Aditya, humne aap ke pyaar Ko samaj me galati kar di. Hum aapko khona nahi chhahte Aditya, hum aa rahe hai.

Zoya, Paagalo ke jese Aditya Ko saari jagah dhundti hai, par Aditya kahin nahi milta.

Zoya ke ghar se kuch dur chai ki shop par Aditya rukha hua tha.

Small boy -  bhaiya chai,

Aditya - Thanks chhote.

Baccha Aditya Ko dekh samaj Gaya tha ki Aditya kisi pareshaani me hai.

Boy - kya hua bhaiya?

Aditya - kuch bhi toh nahi.

Boy - toh phir aapke chehre par itani udaasi kyu hai?

Aditya - aisa kuch nahi hai, tujhe koi galatfami huyi hai.

Boy - bhaiya main chhota zarur hu par aandha nahi mujhe sab dikhata h.
Main nahi jaanta bhaiya, aap ke dukh ki wajah kya hai, mera yakeen kariye kuch hi der me aapki problem solve ho jayegi aur aap jo chhahte h woh aapko mil jayega.

Aditya - Thanks chhote, kash teri kahi baat sach ho jaye, par aisa kuch nahi hone wala.

Boy - hoga bhaiya, me kabhi jooth nahi kehta, aapko aapki saari khushiya jald hi Milne waali hai, aap bas dekhete jaaiye.

Aditya - Accha chhote tu sahi me galat. Ab me chalta hu bye.

Boy - bye bhaiya, meri baat yaad rakhana.

Aditya - ha me yaad rakhuga.

Aditya chalte chalte ek aesi jagah pahunch jaata hai jiske aage koi raashta Nazar nahi aa raha tha. Woh soch hi Raha tha ki kya kare, waha se ek old lady guzar rahi thi.

Aditya - suniye aunty.

Old lady - ha beta bolo, kya baat hai?

Aditya - Aunty ye raashta toh band hai, koi aur road nahi airport tak ke liye.

Lady - nahi beta, joh raashta teri manzil Ko jaata h woh toh koi aur hai.

Aditya ko kuch samaj nahi aa raha tha.

Aditya - kya matlab hai aapka? me kuch samaja nahi.

Lady - baarish aur landslide ki wajah se saare raaste band hai aur flights cancel ho gayi hai.

Aditya - thank you aunty.

Lady - achha beta me chalti hu, lagta hai mausam badalne waala h aur bahut tez baarish hone waali hai.

Aditya - mujhe kisi safe place par jaana chahiye.

Aditya ko ek purana ghar dikhata h, ghar pura Khali tha, koi waha nahi rahta tha. Aditya wahi rukh jaata hai.

Aditya - lagta hai waha koi nahi rahta, raat guzarne ke liye ye sahi jagah hai.

Zoya Aditya ko dhundte huye, ussi chai ki shop par pahunchti hai.
Zoya Aditya ki photo dikhate huye sab se uske baare ne puch rahi thi.

Zoya - bhai Sahab suniye aap ne inhe Kahi dekha hai.
Woh chhota bachha Aditya ki photo dekh usse pahchan gaya tha.

Bepannaah - Do pal pyaar ke(Completed)Where stories live. Discover now