Kabir meets Rahul.

93 4 0
                                    

"Tu kar kya raha hai bro ?" for once a sober Kabir asks a total stranger sitting on a nearby table.

Khud ki barbadi mein masroof insaan ne aaina dekh liya tha..
He couldnt stop staring at that stranger who was drinking away his sanity. Pouring liquor over an overflowing glass. He just had to ask.

Rahul looks up, smiles and replies, "Kuch nahi bro.. bas iss se khudko door karne ki ek naakaam koshish"

"Lagta hai tumhe wakayi bahot chad gayi hai, warna yeh naakaam koshish bhi tum na karte." Kabir replies.
He approaches that stranger.

He sits down in front of him.
Holds out his hand "Kabir"
Rahul, "Rahul" while shaking his hand.

Rahul pushes his own drink towards Kabir. Kabir gulps it down.
"Kya hua ?"
"Yeh aakhri drink thi meri."
Kabir contemplates for a moment.
"I know a rehab." He replies
Rahul laughs
"Pehla wakya hoga jaha ek sharabi dusre sharabi ko rehab mein daal raha hoga."

Kabir joins in laughter.
"I'm sitting sober. How did you guess?"

Rahul smiles and replies
"Dard dard ko pehchaan hi leta hai."
Warna tum yaha nahi baithe hote.
Iss khali bar mein, mujhe dekhkar meri ore nahi chale aate, mujhmein apne aap ko nahi dekh rahe hote."

"Kya tum chhodd paoge?"

"Mujhse poochh rahe ho ya apne aap se?" Rahul replies with a smile.

"Filhaal toh tumse..

Main ek surgeon hoon. I can put you in a rehab agar tum chaho. Kar paoge."

Rahul replies..
"Haan. Isse nahi chhoda toh woh chhod ke chali jayegi. Jaan hai woh. Aarohi."
A moment passes
"Aur Tum ?"

"Koi nahi hai." Kabir replies.

Rahul smiles again.
"Agar koii nahi hota, toh aankhon mein
yeh dard bhi nahi hota.
Tumhe kuch kehne ki zaroorat hi nahi mere dost, tumhari aankhein khuli kitab hai.

Jaise tum mujhmein apne aap ko dekh rahe ho, main bhi tum mein apne aap ko dekhna chahta hoon. Par main bahot aage nikal aaya hoon.

Peechhe sab dhudhla hai, aur aage bas andhera."

"Par you wanna leave, tum chhodna chahte ho, its a start. Tumne apni aakhri drink bhi mujhe de di."

"Evaluation is the start my friend.
Tumhari shuruvaat hai..
You evaluating me, in turn your own self, your decisions, ..tumhari life.

Main toh bas thehra hua hoon,
Andhere mein... ek haath hai, jo mujhe pakde hai.. woh haath jiska hai woh meri zindagi hai.. woh mujhe ujaale mein le jaana chahti hai.. main bas usse chahta hoon.. usske liye apni aadaton se bagawat kar raha hoon.."

Rahul gets up, looks at kabir.
"Kabir tumne jo shuruvat ki hai, usse zaya mat karna, I think you're a fighter tum woh ho jo main banna chahta hoon. Aadat nahi bas zariya hai tumhare liye sharab.. dard bhulane ka.. iss se muh pherna tumhare liye mumkin hai.. bas itna jaan lo..

Turns, while waving and walking off.
"Alvida dost.. Kal phir ek koshish karunga.. shayad kal naakaam na kehlaaye.. tum bhi meri haalat ko yaad kar lena.. jab tumhe peene ka khayaal aaye.."

You've reached the end of published parts.

⏰ Last updated: Feb 17, 2023 ⏰

Add this story to your Library to get notified about new parts!

Kabir Meets RJ #KabirSinghWhere stories live. Discover now