Kas meri taqlif ko samajh jate tum m.
Kas mere dard ko samajh jate tum.
Mardangi sab ko dikhati hai hamari kas hamare andar ke mard
Ko dekh pate tum.
Kas mere dard ko samjh jate tum...
Bachpan se jawani kab aygai pta hi na chala..
Nadan se jimmedar kab hogye pta hi na chala ..
Sapne ped ke patto ki tarah dusaro ke liye gira diya.
Aur kisi ko pata bhi na chala.
Mardangi sab ko dikhati hai..
Par andar ke mard ka kisi ko pta hi na chala..
Ham apna rona apno ke liye chupa leta hai.
Dard hame bhi hota hai..
Beshak par ham nahi jatate hai..
Jan kar bhi is duniya se anjan ho rha hu mai..
Dikhata sab kuch hai..
Phir bhi chupaye ja raha hu mai..
Jemmedariyo ka bojh badhta hi ja raha .
Jise ham kabhi nadan lagate the
Wo hame samjhdar bataye ja raha hai...
Hamara dard ko tum bhi jara jan lo ..
Mardangi sab ko dikhati hai
Tum hamare dard ko bhi pahchan lo ..
Dusaro ki ummid ka ayina ban raha hu mai..
Mujhe khud ko bhi dekhana hai.
Jara tum ye jan lo...
Mardangi sab ko dikhati hai...
Jara andar ke mard ko bhi jan lo..
