Kisi ke jaane ke baad aisa kyun lagta hai ke jaise apnaa kuch kho gya ho...
Kuch khaalipan sa mehsoos kyun hota hai apne andar...
Kyun sabkuch hote hue bhi kuch na hone ka ehsas kyun hota...
Kyun aisa hota k saari dunya me bas wohi shakhs tha or uske jaane k baad poori dunya veeran ho gai..
Kyun aisa hota hai...
Kyun Aisa hota h k hm duniya k samne hanste hain or humara dil door kahin akela khada hota hai..
Kyun aisa hota hai...
Kyun kisike jaane k baad pehle us shakhs pe gussa aata hai..
Sari galtiya uski e nazar aati hai..
Hum khudko sahi nazar aate hain..
Phir dheere dheere, Aahista se hmara dil hme he kusoorwaar bnane lg jata hai...
Kyun Aisa hota hai..
Kyun Aisa hota hai k wo gussa dheere dheere uske wapaas aane ki ummeed ban jata hai..
Aur jab wo ummeed toot ti hai to phir wo ek kabhi na khtm hone wala intezar ban jata hai..
Kyun aisa hota hai...
Kyun aisa hota h ke wo Intezar jo aap krna ni chahte lekn apka dil har waqt kisika muntazir rehta hai...
Kyun Aisa hota hai...
YOU ARE READING
INTEZAR
PoetryKisika intezar apko kitna bebas kr deta hai, iska andaza shyad apko khud ko bhi nahi ho pata..
