you alwyes misunderstanding me why.

4.1K 352 44
                                    


Phir manik bina nandani ko kuchh bole do din ke ander phir se UK chala jata hai aur nandani ose pregnent hone ka nahi bata pati night shift ki wajga se aur waha par jakar bhi manik nandani se achhe se baat nahi karta hai aur nandani hurt fill karti hai ki achanak manik ko hua kya hai.

At evening

Sab hall main bethe hote hai manvi khel rahi hoti hai aur.

Nyu _ beta nandani tabiyat to thik hai na tumhari itna dull dull kyu horahi ho.

Nandani _ nahi maa woh night shift hoti hai to bahut jyada tired hojati ho main ab kuchh aaram milega mughe a
Kaka se day shift start hai mairi.

Mr malhotra _ beta dr se bol kar kuchh Dino ki day shift hi karwa lo bahut week lag rahi ho dr ko dikhao jara.

Nandani _ papa I am fine kychh nahi hua hai aap dono you aise hi pareshan horahe hai.

Nyu _ manik aaj aayega ye hi kaha tha osne mughe phone par.

Mr malhotra _ han.

Nandani kuchh nahi bolti aur manvi ke sath khelne lagti hai aur phir sab apne apne room main jakar aaram karne lagte hai dinner tak sab manik ka wait karte hai par woh nahi aata hai aur.

Manik  lateke baad ghar waps aata hai aur apne room main enter karta hai jahan nandani bed par bethi hoti hai.

Manik _ tum soyi nahi ab tak.

Nandani _ nahi jiska pati achanak se staranger ban jaye patni se woh patni so kaise sakti hai issliye jaag rahi ho ke pata to karo hua kya hai aapko.

Manik _ mughe kya hoga sahi salamat to khada ho tumhare samne just relx so jao aaram se.

Nandani oth kar manik ke pass jati hai aur 

Nandani _ mani plese tell me what happen with you.

Manik _ kuchh nahi hua hai yar jane lagta hai aur nandani oska hath hold karleti hai aur manik jark karke apna hath chhodwata hai aur nandani ka balance bigadta hai aur.

Nandani _ manik hamara baby.

Manik shoked hokar turn karta hai aur nandani ka jaldi se hand hold karke nandani ko girne se bacha leta hai aur nandani manik ke chest se bang karti hai aur.

Manik _ tum thik ho na aur ye baby kaha se aagaya tumne abort karwa diya tha na baby ko to.

Nandani ye sunkar shoked reh jati hai aur jark karke manik se dor hoti hai aur.

Nandani _ abort karwa diya hoga baby ko maine tumhe kaise pata ki main pregnent ho aur maine baby ko abort karwa diya hoga bolo batao mughe manik ki aankho main aankhe dal kar pochhti hai aur.

Manik _ woh oss din tum dr se boli thi na tum baby ko abort karwa dogi ye sunkar msin bahar chala gaya tha gusse main.

Nandani _ oss ke baad maine jo kaha tha tumne woh nahi suna bas itna sa suna aur mughe phir misunderstood kiya tumne kyu manik mugge kya samghte ho aap aaj bhi 16 yers imeture girl jo kuchh bhi kar legi na samghi main apne pyar ki nishani ko abort karwa dongi aisa tumne soucha bhi kaise bolo.

Manik _ woh tumne bola to.

Nandani _ oske aage jo bola woh nahi suna tumne to ab suno.

Dr ke number mila kar.

Nandani  _ aunty os din abort wali baat maine kahi thi oske baad aage maine kya bola tha jara maire so cold husband ko batao onhe lagta hai maine baby abort karwa diya hai..

Dr _ what kya bol rahi ho tum aur manik ko phone do jara main baat karti ho osse.

Nandani phone manik ko dekhti kar bahar chali jati hai aur manik phone lekar.

Manik _ hello aunty.

Dr _ hello manik kya bol rahi hai nandani beta.

Manik _ sorry aunty woh main pori baat nahi suna aur galt samgh betha.

Dr _ kya karte ho manik tum bhi tumhe pata hai oske baad nandani ne kya kaha tha ki aap ye souch rahi ho ki msin baby ko abort karwa longi to asp galt samgh rahi ho ye maire manik ki wish hai pata nahi kab se mamma papa aur maira manik is ka wait kar rahe hai achha hai baby aaraha hai an maira manik iski wajha se maire pass rahega UK nahi jayega.
Jab maine kaha tum kaise duty aur baby ko sambhalo gi to boli main sab manage kar longi aunty par ye baby ab jaror aayega manik kab se wait kar raha hai iska aap ose mat batana main khud ose surprise dongi aur tumne ose surprise kar diya shayd beta kitni pyari ladki tumhari life partner bani hai aur tum ose samgh hi nahi paate ho.

Manik _ sorry aunty.

Dr _ sorry mugh se nahi osse bolo beta jisko naraj kar diya tumne.

Manik _ osko manana to ab maire liye 4 mount everest par chhodne ke Barbara hai aunty main ho hi iss layak ki woh mughe gussa ho naraj ho agar dil kare to ek do laga bhi de maire tab hi aqal aayegi mughe.

Dr _ hanste hue are nahi aisa nahi hai tum bhi bahut pyare ho ose bahut pyar karte ho bas jata se jakdbaj ho aur kuchh nahi hai jaao jakar manao ose.

Manik _Ji aunty good night.

Aur phone band karke bahar aata hai niche dekhta hai Samne ka scene ose shoked kardeta hai.




Sweet 16 mairi jaan (Complite)Where stories live. Discover now