Part 8

414 43 7
                                    


Ab sham ka waqt ho jata hai.Navya shaadi ka joda leke Nandani ke ghar pe aati hai.

jaha woh Mukti aur Abhi se milti hai.

Mukti: Navya.aao na.kaise aana hua.hum log bas mandir pahunchne hi wale the.

Navya: Woh main shaadi ka joda leke aayi hoon.Yeh joda Manik ki maa ne apni bahu

ke liye liya tha.aauntie to nahin rahi per yeh inki aakhri ichcha thi.agar Nandani

mana naa kare to.

Abhi: Kyun nahin.yeh to bahot hi achchi baat hai.aakhir Manik ki maa ka ashirwad

Nandani ko mil jayega.

Mukti: Aao.Navya.tum khud hi usse dedo.

Navya: jee.chaliye.

(in Nandani's bedroom)

Nandani khidki ke pass khadi hokar dubte huye suraj ko dekh rahi thi.

jab Navya aur Mukti andar aate hai.

Mukti: Nandani.dekho.kaun aaya hai.

Nandani mud ke Navya ko dekhke muskurane ki koshish kar rahi hai lekin uski

lal aakhen sab kuch bata rahi thi uske dil ka haal.

Navya: yeh lo Nandani tumhare shaadi ka joda.

Nandani: Navya.yeh.main.

Navya: Nandani mana mat karna lekin yeh Manik ki maa ki aakhri ichcha thi.

isliye main tumse darkhast karti hoon.ple Nandani.

Nandani: thik hai.main abhi pehan ke aati hoon.

Thodi dair bad Nandani shaadi ka joda pehan ke bahar aati hai.Navya aur

Mukti use sajane lagte hai.

Mukti: main janti hoon Nandani ki tum bahot hi samajdar ho aur apne faisle

tum khud karti ho lekin aaj ke baad tumhare her faisle ke saath kisi ki khushiyaan

.kisi ke armaan.kisi ka saath juda hua hai.Aaj se tum akeli nahin ho.zindagi ke her

mod pe her safar me tumhe Manik ka saath dena hai.Nandani ab tumhari zindagi pe tumse

jyada hakk Manik ka hai.Nandani bahot hi kam log hote hai jise Manik jaise log milte

hai.muje aaj kahi na kahi tumse jyada Manik ke pyaar pe bharosa hai aur ek din tum

bhi Manik se pyaar karne lagogi.

Nandani: pyaar main kar chuki hoon.

Navya: Nandani.jab bhi tum Manik ki zindagi me aayi ho tab se Manik ne sirf aur

sirf tumse pyaar kiya hai.pyaar ke sache maine mene Manik se sikhe hai.Nandani

main yeh nahin kehti ki tum bhi Manik se pyar karo lekin kam se kam use khush

rakhne ki koshish karna.shayad Manik ke sath rehne se tum uske pyaar ko pehchaan

sako.

When Abhi enters.

Abhi: Mukti.Nandani taiyaar ho to hume mandiir ke liye nikalna hai.Manik aur

Cabir pahunch gaye hai.

Mukti: haa taiyaar hai.chalo chalte hai.

(at the temple)

Cabir: Manik.yeh log abhi tak nahin aaye.

Manan foreverWhere stories live. Discover now