allah ki eidi

38 0 0
                                    

allah apne kimati tofe ke badle kuch lene aaya hai
aaj Humsafar taare ki chaandni ko cheen ne aaya hai
iss eid wo mujhse eidi lene aaya hai

zindagi mein tumhara aana ek iteefaq toh nhi ho sakta na
zarur khuda ne mujhko dukh dena hoga
mujhe khush dekh kar jalta hoga
shayad isiliye usey meri zindagi mein laa kar
aur meri khushi usey bana kar
mujhse cheen na chahta hoga
zindagi mein sabse pyaari cheez bana kar
usey apni jaan maan kar
mujhe maarna chahta hoga
zindagi mein uska aana ek iteefaq toh nhi ho sakta na
zarur khuda ne mujhko dukh dena hoga

allah apne kimati tofe ke badle kuch lene aaya hai
aaj Humsafar taare ki chaandni ko cheen ne aaya hai
iss eid wo mujhse eidi lene aaya hai

uski ek jhalak thi pehli mulaqaat mein
pta nhi kab ek jhalak kuch palo ki mulaqaat ban gyi
aur waqt ke saath saath tu mera pyaar ban gyi
apni zindagi ki mushkilo ka koi thikana nahi tha
usse pyaar jatana hi apna sirf kaam nahi tha
wo aadat bani thi humari
zyada kuch nhi kuch palo mein zindagi thi wo humari
uske har bure waqt mein
ek uska hissa bann na
uski har khushi ka kaaran bann na
koi aur toh nahi uski zindagi mein ye soch kar jalte rehna
kabhi kabhi acha lagta hai
usse apni zindagi ki har pal hui harkato ke baare mein batana acha lagta
wo kabhi kabhi jab baat nahi kar paati
toh apna rooth jaana bhi acha lagta hai
acha lagta hai jab wo apne saaare dukh baat ti hai mujhse
apne zindagi ki kitaab se kahaniya padd kar sunati hai wo mujhe
mujhse derrr raat tak baat karne ke liye apni neend udaa deti hai
uska jaan kar udaas hona bhi acha lagta hai mujhe
usse ummeed rakhta hu tere pyaar ki
uske liye hi toh tadapta hu ek mulaaqat ki
zindagi ki saari khwaish ko alag rakh kar
use paane ki chaah hoti hai
usse har pal pyaar karne ki khwaish hoti hai
lekin isse pehle meri ek choti si ye khwaish hai ki
unn palo ko rokna chahta hu
usse har waqt baat karna chahta hu
wo do pal guzarne nhi dena chahta hu
uski ek jhalak thi pehli mulaqaat mein
pta nhi kab ek jhalak kuch palo ki mulaqaat ban gyi
aur waqt ke saath saath tu mera pyaar ban gyi

allah apne kimati tofe ke badle kuch lene aaya hai
aaj Humsafar taare ki chaandni ko cheen ne aaya hai
iss eid wo mujhse eidi lene aaya hai

kuch haalat the aise bhi
jisse kuch aana kaani hoti thi apne beech bhi
kuch baatein bigadne lagi
choti choti baato pe wo bhi chidne lagi
pasand nhi usey koi baar baar sawal puche
lekin meri bhi zidd thi usse apne pyaar ke izhaar ke jawaab jaane ki
uski meri baatein kam hone lagi
zindagi gumnaam si ban gyi thi
waqt ne aisa haseen sitam kar daala
usey bhi mujhse pyaar kar daala
lekin kya pta tha uska dimag jeet jayega
uske dil mein main tha
lekin dimag mein ek darr tha
darr ne usse uski khushiyan cheen ni shuru ki
ki jaise wo rone lagti
mere bina uski zindagi bhi adhuri hone lagi
wo bhi mujhe har samay kosne lagi
"kyu aaye meri zindagi mein dekho ab main jeene marne mein farak hi nhi pehchan ne lagi"
ab uske dukho ka pitaara khatam ho gya
meri zindagi se chli gyi thi wo
lekin sochta hu aaj bhi
kaash tu hoti aaj mere sath mein
toh khada nahi hona padhta kabhi
garmi thand ki chandni raat mein
odni nhi padhti kabhi raat ki kaali chaadar akelepan ke sath mein
kuch haalat the aise bhi
jisse kuch aana kaani hoti thi apne beech bhi

allah apne kimati tofe ke badle kuch lene aaya hai
aaj Humsafar taare ki chaandni ko cheen ne aaya hai
iss eid wo mujhse eidi lene aaya hai

You've reached the end of published parts.

⏰ Last updated: Jun 16, 2018 ⏰

Add this story to your Library to get notified about new parts!

ShayariWhere stories live. Discover now