Itni ana parasti

53 1 0
                                    

Ghazal4
Itni ana parasti Itna ha tum main gusa.
Par kya karun ye dil ha k bas tumhi pa aya.
Tu dhoop sa ha zalim par kya karun main ab to.
K jal k ab to tujh main bhata nahi ha saya.
Tere sath se Hun pura aur tere bin Adhura.
Teri zat be ha mujh main kaisa ya ghar banaya.
Koi Chahe Kitna kah le apna ho ya paraya.
Dil kah raha ha ab to mujh main ha tu samaya.
Karta ha yad tu bhi kahta nahi ha lakin.
Ya darmiyan hamare kuch fasla sa aya.
Chorun gi na main ab to koi Bol ka dikhaye.
Haq mera ha bas tum par har dusra paraya.
Hain aur bhi Haseen dunya main mere peeche.
Pata nahi ha dil ko tu hi kyun Itna bhaya.
Tajh se to ek alag si ulfat ha mujh ko kasi.
Main Shaks wo hun jis ne khud ko bhi na bachaya.

Ilfaz e Kalb (Ghazlain)Where stories live. Discover now