There was an uncomfortable silence lingering in the air.I could feel his eyes on me and often caught him glancing at me.After few minutes he finally decided to break this awkward silence

"Agar main tumhe ghar drop karne se pehle kahin aur le jaun toh chalogi?" he asked.I looked at him for once to confirm

"Zyada time nahi lagega" he said finding my facial expressions.I sucked on the deep breathe before nodding at him.After another several minutes of drive he finally stopped his car,looking outside i found we are in front of a bow bridge,central park.Since it was late at night,and pretty cold,there was no one around us,and rain has stopped by now.It was looking so beautiful with serene calmness in the air unlike my mind,arising questions messing it all up

"Chalein?" he asked,startling me.I nodded as he gestured me to walk ahead of him.I halted in the middle of the bridge when i saw him standing by the railing,looking at the lake ahead of him.I stood next to him not knowing what to say or basically letting him to speak first since he is the one who brought me here

"Ek kahani sunaun? " he asked looking at me.I frowned not getting him "kesi kahani?"

"Ek larka aur larki ki kahani" he shifted back his gaze to the lake

"Larka jo rebel tha,apni hi zindagi se larraha tha,uske parents tak usse tang aachuke the. Larki jo seedhi saadhi,bohot acchi thi. Larka aur larki ek dusre ke best friend the"

"Larka gaana gaata tha,larki use sunti thi. Larka udaas hota tha,larki use hansati thi. Larka gussa karta tha,larki use manati thi. Larka galat hota tha toh larki use sahi karti thi. Larka pata nahi kya tha,larki ne use insaan banadiya tha.."

"Larka sochta tha,larki uss jese ladke se kese pyaar karsakti hai? Magar larki ne use phir ghalat saabit kardiya tha"

"Isi jagah pe larke ne larki se pyaar ka izhaar kiya tha,larki bohot khush thi,sab bohot khush the. Uss raat larke ka sab se bada concert tha,woh stage pe khada tha,saamne uske hazaaron log the,unn hazaaron ke bheed me woh larki ko dhoond raha tha,magar larki aayi hi nahi,uski best friend hi nahi aayi thi"

"Concert khatam hogaya magar larka intezar karta raha,phone karta raha magar kisi tarah larki ka koi pata nahi chala"

"Phir ek phone call aaya..Larka pareshan haal bhaag raha tha,uske pairon ke neeche se zameen phisal rahi thi. Larki ka accident hochuka tha,jab tak woh pohanchta bohot dair hochuki thi,larki apni aakhri chand saansein gin rahi thi"

      My hand reached my mouth closing it.I realized he was in tears. I took a step toward him trying to catch a better view of his face

"Yeh kiski kahani hai?" I asked,my tone urgent.What i heard next,blew my mind

"Zain aur Falak ki,yaani meri aur Falak ki" he answered

"Falak?" I frowned

"Mene zikr kya tha uska" he said

"Magar woh sab toh jhoot tha na" i replied recalling our conversation from three years ago

"Sab jhoot nahi tha" he shook his head "yeh jhoot nahi tha ke Falak meri best friend thi,yeh bhi jhoot nahi tha ke main usse pyaar karta tha magar haan..Falak thi hi nahi,Falak ko gaye saalon hochuke hain ab" he pressed his lips,trying to hide his grief

"5 saal hochuke hain use gaye hue magar aaj bhi mere saath hoti hai,sochta hun agar Falak yahan hoti toh kya karti aur wahi karta hun" .He turn to face me and frowned

"Pata hai Iram,usne mujhse ek vaada liya tha..bohot hi ajeeb sa tha,kahan tha ke agar kabhi bhi dosti aur pyaar ke beech chunna ho toh dosti ko chuno"

SUN SAATHIYA   #MissionDesiWhere stories live. Discover now