Love u Mom

34 5 0
                                    

Yaad aata h us chhote se kamre ka wo roshandaan,
jahan se chaand ki roshni chhan k aati thi.

Maa k aanchal me chhup k so jaata tha,
Maa jab pyar se loriyan sunati thi.

Wo bachpan kahin kho gaya, jawani ki sarhad par,
Aaj fir se nazar dhundli ho gayi,
Un palon ko yaad kar.

Aankhein bhar aayi ye sochkar ki Maa ab daatati kyu nhi,
Wakht pr khaa lena, jaldi ghr aa Jana,
Ye kehti kyu nhi.

Mein kahan aa gaya? Kyu Maa se door ho gaya? Kyu ese haalat huye ki mein mazboor ho gaya?
Aaj jab gam had se bahar ho gaya,
Wo chhota sa jakhm naasur ho gaya.

To Maa ki thapkiyon KO sirhaane rakhkr,
So jaunga kuchh kahaaniyan sunkar.

Esa lagta h Maa aayegi, for gale lagayegi, fir mujhe pariyon k shehar le jaayegi,
Fir ek raja hoga, ek raani hogi,
Khatm ek nayi kahani hogi.
Maa fir aahista se dabe paavn chali jaayegi
Mujhe maalum h Maa fir laut k nhi aayegi.

Maang lu ye mannat ki fir yahi jahaan mile,
Fir wahi god, Fir wahi Maa mile..

*_____/I Love U Mom\_____*

Yes I wRiTe But dOn't CateGoriZeWhere stories live. Discover now