Part - 2

613 41 16
                                    

Need khuli,hath khud b khud mobile ki talaas me nikal pade.
Koi Uncle ye story pad rahe honge to wo soch hi rahe honge ki ye aajkal ke bachhe raat din phone pe kyu lage rahte hai . . ? ?

Answer aap smile de hi rahi hai .

To mai bhi aap logo ke  jaise mobile ka keeda hu.

Baap Dada  ki nafrat ke beech mere ye azeeb sauk ...!

Mere family me mujhe chhod ke baki sab Army officers rahe hai,sirf profession se nahi passion se bhi .

Aur mai ,,singing and photography bas yahi do sauk the aur junun ki had tak the ,
Yar,aisa junun jaane kaha se paida ho gya ..?

Na jaane kyu sabse lad gya ki nahi jaana mujhe Army me ,per papa ko singing aur photography ke liye nahi mana paya .

Aur ab engineering ke liye preparation kar raha tha.

Pta nhi kyu ,,kyuki mai ye janta tha mujhe ye nhi karna .
Per hamare parents hame kabhi samjhate hi nhi .

Mai ye sab sochte sochte Whatsaap aur Facebook ke notifications check kar raha tha tabhi ek post dikhi .

I hate these Post,fir bhi har kahi mil hi jaate hai,usme India n Pakistan ke flags the and likha tha "dekhte hai kon apne desh se jyada pyar karte hai ,Pakistan ke liye like kare aur India ke liye comments"

Mera khoon ubaal saa aa gya ,Maine turant comment kiya "Pakistan ko duniya se mita dena chahiye ,sale aatankwadi "

Tabhi reply aaya "hello,mind ur language, apna desh sambhala nhi jata doosre ka mulk mitayenge,and one more thing Pakistan world's beautiful country hai OK"

Mai-"what d ......,sala yahi Pakistan hai na jaha sala itne aatankwadi paida hote hai training karte hai ,tum to aatankwad ki rotiyo me pal rahe ho "

Wo kuch bolti isse pahle hi na jaane kitne log aur aa gye aur bahut hi ghatiya galiya start ho gyi ,us ladki ko bhi bahut gandi gandi galiya di jaa rahi thi samjh nhi aa raha tha kya sahi tha kya galat ..?


Hi all,you maybe Indian or Pakistani, but trust me ,mera koi irada nhi hai kisi ki feelings hurt karne ki ya kisi ke desh or mulk ko achha ya bura bolne ki.

Bas ye ek thought aaya tha ki dono countries me itna similar cheeze hai to kyu na ek love story likh du .

Hope you all enjoying the story, plz be honest on comments and feedback.

And don't forget voting if you like the concept.

A hated love story . . . !जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें