Lamha-e-Ulfat

2.3K 28 14
                                    

This is set after the rukhsati of Wali and Faarah. Its partly based on novel and partly on series but if you have not read the novel and are watching the series, I suggest to wait for the last episode to air before you give this a read. But if you don't care about the spoilers, you can go ahead and read anyway. Lol!

Language: Urdu

Yun tou uske nikah ko kai saal guzar chukey the, Wali k sath uski rukhsati ko mehaz chand ghante beete the. Raat k is pehar jub Wali k kamre ki ghari me 12 bjte nazar arhe the, woh khud ko uski kisi bhi lamhe amad ko le kr andar hi andar kanmpta mehsos kar rahi thi. Uske kamre me bethe kai der bad usey yeh ehsas hua k yeh mehaz Wali ka kamra nhi raha tha. Jis bed pr woh 8 din yeh soch kr soe thi k yeh sub us se kuch dino me cheehn jaye ga,, woh aik khwab k Wali, uske kamre, uski zindagi me maujod hr aik shai pr uska haq tha, woh jee lena chahti thi...us tootte khwab ko kuch din woh haqeeqat buna kr jeena chahti thi.

Tub usne yeh na socha tha k uska khwab tootne ke is qadar qareeb akr haqeeqat bun jaye ga. Aj woh uske bed pr pure haq se bethi thi, chori se ya nazar chupa kr yahan nahi ayi thi, balke usey puri shaan-o-shokat, aur bohat hi izzat k sath Wali ki dulhan buna kr yahan laya gya tha. Wohi Wali ki dulhan jiska Suhaib chaha ne apne bete se wada kiya tha, wohi Wali ki dulhan jiska hona uske baba ki khwaish thi. Aj khud ko Wali ki dulhan bune dekh kr use apni qismat pr rashk arha tha. Saalon ki nafraten aik mohabat k iqrar se simat gayi thi. Wali ne uske naqabil-e-maufi gunahon ko dar guzar or faramosh krdiya tha or unhe apni mohabat se dhaanp liya tha. Woh kyun kr khud pr rashk na krti? K aj woh Faarah Wali Khan bun chuki thi. Had-e-qayamat or uske bad tk liye.

Qadmon ki dheeme chaap ne uske dil ki dharkanon ko ghair mamoli tez kr diya tha. Yek dum hi darwaza khola or woh saifaid kurta shalwar me malboos, kisi farishte ki manind chamkta, labon pr dabi si muskurahat liye andar dakhil hogya tha. Yun tou shaadi pr usne waistcoat pehna tha, jese k unka khaandani libaas tha, ab woh coat pehne na tha, uski aiesteen kohnion tk charhi thi or uska pura huliya behad sukoon or khushi ka manzar pesh kar raha tha.

Halke qadmon k sath woh akr uske sirhane bed pr beth gya tha. Uske hath thande par gaye the, ghabrahat or nervousness ka yeh alam tha k woh soch kr reh gai k woh Wali se kahin dhoor bhaag jana chahti thi ya uske mazboot sahare k tale woh apni saalon ki ranjishen mita dena chahti thi, uske seene pr sar rakh kr phoot phoot kr rona chahti thi or uske sath dil khol kr hansna bhi.

Uska hath bohat aihsta se uski taraf barha or usne uske aik duare se mazboti se jure duno hathon se uska dayan hath apne hathon me le liya. Yun tou woh kai bar pehle uska hath tham chuka tha, chahe use kahin khench kr le jane k liye ho ya kisi pahari pr sahara dene k liye ho. Pr us waqt uske duno hathon me intihai mohabat se daba uska hath, uske dil me kai naye ehsasaat jaga raha tha. Jahan aik taraf uske dil ki dharkan mazeed tez horhi thi, wahin dusri taraf uske dil me aik anjaan sukoon bethta ja raha tha. Uske labon pr ab bhi muskurahat thi, farq srif itna tha k ab ye hansi uske dil se nikalti mehsos hoti thi...usey chupa dene ki woh bilkul koshish nhi kr rha tha.

"Mujhe umeed hai k ap mujhse koi mu dikhai waghera jesi ghair zaruri rasam ki tawaka nahi kr rhi hongi..." Apne hathon se uske hath ko dheere se sehlate hue woh bola..."Kyun k na tou me apka mu aj pehli bar dekh rha hun or na tou ap meri biwi abhi bani hen. Ma sha ALLAH se peechle che saal se ap mere sir pr musalat hen...tou kis baat ki mu dikhai?"

Uski sharat se bhari baat ne use hairaan bhi kiya or pareshan bhi. Yek dum hi use ghussa sa agya tha...apna hath uski mazboot grift se churwane k liye khenchne lagi pr woh hr lihaz se us se zyaada taqat rakhta tha or yun uski kuch der ki koshishon k bad woh tak gai...ab bhi muskurata, apni jaib me hath daalne laga. Agle hi lamhe aik chota sa box uske hath me rakha tha. Uske hath kuch der k liye chor k usne woh box khola or usme mujood anghooti nikaal kr bohat hi mohabat bhari nazron se use dekhte hue uske hath ki teesri ungli me pehna di. Uski nazren Wali k sath juri thi, woh chahte hue bhi apni nazren jhuka nhi pa rhi thi, phr chahe woh abhi abhi mili hui anghoti ko kyun na dekhna chahti ho. Esa mehsos hota tha k jese uski nazron ne use mazboti se jakar liya hai. Woh is jadui asar ko khatm nhi krna chahti thi.

Eternal BlissWhere stories live. Discover now