Udaasi

131 4 0
                                    

~H.Nasir~

Mere ghar ki balcony se shaam k waqt neche dekho to lawn mey neeley, aatashi or harrey rang ki mirchian nazar ayen gi, jaisi aksar shaadi biyah k mauqon per lagayi jati hayn na, bilkul waisi. Jab hawaa chalti hay to paudon se lipti yeh roshnian jugnuon k maanind idhar udhar jalti bujhti dikhayi deti hayn. Mere liye aaj bhe yeh lawn ek aam sa lawn he hota agar mujhe tum na mili hoti. Yeh mirchion ka naam tum he ne jugnu rakha tha, wo konay mey lagay hose pipe ko baglay se mushabihat tumhi ne di thi, raat mey porch ki light parne se, deewar per bante saye ko ek umr raseeda aurat ka laqab tumhi ne dia tha. Tumhari zaat se mehekta bagheecha, ek boseeda khokhle peyrr mey badal chuka hay, wo jugnu shayad tumhen talash karte karte kahin dur chalay gaye hayn, tumhara bagla sabz kaayi ki chaadar orhey soya rehta hay, or wo umr raseeda burhiya, apne iklotey saharey k kho janay se nidhaal ho chuki hay!

~H.Nasir~

You've reached the end of published parts.

⏰ Last updated: Dec 18, 2020 ⏰

Add this story to your Library to get notified about new parts!

UdaasiWhere stories live. Discover now