Chapter 1

1.3K 53 19
                                    

- Are yeh Saram kaha hain?- Dadi jaan ne poocha.
- Saram Bhai abhi tak office se nhi ae-  Nayaab ne btaya .
- Abhi tak nhi aya?- Dadi jaan ne time dekha to raat ke 11 bajh rhe the,  baki sab ghar wale dinner ke baad apne apne room main chale ghae the, Saram abhi tak nhi aya tha.
- J dadi - Nayaab en kaha.
- Phone karna tha use - Dadi me kaha.
- Maine kiya tha but unka phone switch off tha- Nayaab en btaya.
- Aaj to had kardi is larke ne- Dadi ne ghuse se kaha.
- Jabse Mahira use choor kar ghai hain tabse wo bht akhela ho gya hain- Samia Dadi jaan or Nayaab ke lie dhood room main le kar ai.
- Ha Ammi jaan isi lie wo khud ko kaam main busy rakhta hain- Nayaab ne udaasi se  kaha.
- Saram ki shadi karwado phir wo Mahira ko bool jae ghaor apni zindgi main aghe bar paengha - Dadi jaan ne advice  kaha.
- Leekhin wo mane to karwau - Samia en kaha.
- Tum uski fijar na karo main manwalunghi use- Dadi en kaha.
- Ha leekhin koi achi si larki bhi to honi chahye- Samia ne kaha.
- Zarah  hain na- Dadi jaan ne kaha.
- Kashif ki bethi?- Samia ne poocha.
- Ha apni Zarah - Dadi ne kaha.
- Yeh to bht achi baat hain, wo a rhe hain aghle hafthe London se to unse baat kar lenghe- Samia ne muskura kar kaha.
Bahir ka darwaza kulne ki awaaz ai.
- I think Saram Bhai a ghae hain- Nayaab ne kaha.
- Ha , main use Dinner dethi hu aap loogh soo jao- Samia ne kaha or bahir chali ghai.
Saram abhi abhi bahir se aya tha or room main jane lagha tha.
- Saram - Samia ne awaaz di.
- J Ammi jaan- Saram upar jathe jathe waha hi tehar gya.
- Khana laghau?- Samia ne poocha.
- J Ammi- Saram ne kaha.
- Acha to tum jaldi se change karke niche a jao- Samia kitchen main chali ghai , or Saram room main change karne chala gya.

Saram change kar ke niche a gya, Samia Dinning table phe bethi uska intzaar kar rhi thi.
- Ammi aap soo jae main khud le lungha- Saram ne kaha.
- Mujhe nind kaha ae ghi jab tak tumari shadi na ho jae- Samia ne kaha.
- Wo to impossible hain- Saram ne kaha.
- Saram Mahira ko is dunya se ghae hue 2 saal ho ghae hain , plz ab to tum Shadi karlo, mujhse tumari yeh udassi dekhi nhi jathi- Samia ki ankhu main ansu a ghae.
- Ammi jaan plz mujhe majbuur na kare, ab main kisi or se muhabbat nhi kar paungha- Saram room main chala gya.
 

                      **********

Aaj sunday tha ,Saram leeth utha o change kar ke niche chala gya.
- Ammi main office ja rha hu- Saram ne kaha.
- Saram idar ao- Dadi jaan or Samia sehan main beethe hue the.
- J Dadi jaan?- Saram Dadi jaan ke paas beeth gya.
- Kaha ja rhe ho aaj?- Dadi ne poocha.
- Office- Saram ne kaha.
- Aaj sunday hain, aaj kaha office ja rhe ho- Samia ne kaha.
- Aaj  sunaday hain?- Saram ko yaad bhi nhi tha.
- Kis dunya main ho, tume kuch khabar rehti hain- Samia ne use dhanta.
- Sorry  Ammi jaan- Saram ne kaha.
- Main coffee le kar athi hu phir bahir chale jana- Samia ne kaha or kitchen main chali ghai.
- Dadi- Saram ne Dadi ko mutawaje kiya jo apne kaam main laghi hui thi.
- Ha?- Dadi ne poocha.
- Kaha hain sab koi nazar nhi a rha ?- Saram ne poocha.
- Tumare Dada jaan Or Abbu jaan Bahir zaminu ki taraf ghae hain or baki sab shopping karne- Dadi jaan ne btaya.
- Acha, main bhi bahir ja rha hu- Saram ne kaha or bahir jane lagha.
- Coffee to phi lo - Dadi ne awaz di.
- Bahir phi lungha- Saram ne jate jate kaha.
- Allah ke hawale- Dadi ne kaha.
- Kaha gya ?- Samia coffee le kar a ghai.
- Bahir chala gya hain- Dadi ne kaha.
- Ab coffee ka kya karu?- Samia ne narazgi se kaha.
- Mujhe de do- Dadi ne kaha.
- Nhi Ammi aap sugar wali coffee nhi phi sakte - Samia codfee andar le ghai.

                                       ************

Saram ghari main beeth kar nikhal gya, na manzil thi na tikana bas kisi anjaan raste par nikhal gya tha.

Flashback

- Mahira yaar chalo bhi- Saram ne kaha.
- No way, abhi to mujhe mehndi wale kapre bhi lene hain- Mahira ne kaha.
- Abhi tumari shopping khatam nhi hui?- Saram ne  poocha.
- Nhi, abhi shadi ka lehngha bhi lena hain-  Mahira ne muskura kar kaha.
- Main to ja rha hu, office main bht kaam hain- Saram ne mazaak se kaha.
- Jao - Mahira naraaz ho kar kari ho ghai.
- Are baby main to mazaak kar rha tha- Saram ne use piche se hug kiya.
- Jao tum , mujhe tumse baat nhi karni ,tumare lie to office ziada important hain- Mahira ne narazghi se Saram ko dakha dia.
- Sorry - Saram ne kaan pakhar lie .
- Tum mujhe itna tang karte ho, deekh lena eek din main bht duur chali jaunghi or phir tum ......-  Mahira kuch kehne laghi, Saram ne uske muh phe haath rakh dia.
- Shhhh , esa khabi sochna bhi mat- Saram ne use pyar se ghale laghaya, Mahira ke anku main ansu a ghae- Acha ab bas karo , kuch ansu baad ke lie bhi rehne do- Saram ne mazaak se kaha.
- Baad ke lie?- Mahira ne poocha.
- Ha shadi ke baad jab main tume tang karungha tab ke lie- Saram hansne laga.
- I will kill you- Mahira ne ghuse se use halka sa maara.
- Ok sorry, chalo ab dosri market chale- Saram ne kaha.
- Chalo- Mahira ne muskura kar kaha.
Wo dono ghari ki taraf jane laghe.
- Ohh yaar- Mahira ko kuch yaad aya.
-  kya huwa?- Saram ne poocha.
- Main shopping bags shop phe hi bool aii hu- Mahira ne kaha.
- Oh god tum bhi na, tum ghari ki taraf chalo main bags le kat atha hu- Saram ne kaha.
Mahira ghari ki taraf jane laghi, achanak se eek ghari a ghai or Mahira ka accident ho gya.
 

    End of the flashback

- Mahiraaa..- Saram ki ghari ke samne eek larki a ghai usne jaldi se break laghai or ghari se bahir a gya.

PHiR  MuHaBBaT HuiOù les histoires vivent. Découvrez maintenant