Thori deer baad Danial Bilal or Sufyaan sahib airpot ke lie nikhal ghae.
Raat ka safar tha is lie time se pehle hi airpot pohanch ghae.
- Ok Danial betha meri taraf se sab ko salam kehna or apna dihaan rakhna- Sufyaan sahib ne kaha.
- J Dad aap bhi apna or Mom ka khyaal rakhye gha- Danial ne kaha.
- Bye bro jaldi milenghe- Bilal ne kaha.
- Ha zroor- Danial ne muskura kar kaha.
- Dad patah nhi kyu leekhin aaj mujhe darr sa lagh rha hain, aghar mujhe kuch ho gya to plz aap Emaan or Sahil ka dehaan rakhye gha- Danial ne kaha.
- Esi baate nhi karte , tum heryat se jao- Sufyaan sahib use ghale mile.
- Allah hafiz- Bilal or Sufyaan Sahib ne kaha.
- Allahh hafiz- Danial andar chala gya.

***********

" Pakistan"

- Emaan jaldi karo tumare discharge papers bhi a ghae- Ayesha ne Emaan ko awaaz di jo washroom main change kar rhi thi.
- A ghai Ammi- Emaan Washroom se bahir a ghai.
- Jaldi karo tumare Baba niche wait kar rhe hain- Ayesha ne kaha.
- Sahil ko change karwa dia aap ne?- Emaan ne poocha.
- Ha or Mehak to use niche bhi le ghai hain- Ayesha ne kaha.
- Acha , chalye Ammi- Emaan ne kaha.
- Ha chalo jaldi karo phir Tumare Baba ne Danial ko bhi lene jana hain- Ayesha ne kaha.
- Kab ja rhe hain?- Emaan ne poocha.
- Hame ghar chorne ke baad wo use lene chale jaenghe- Ayesha ne kaha.
- Ammi mujhe aap se baat karni hain - Emaan ko samaj nhi a rha tha ke wo une Danial or Sanna ke nikah ka btae ya na.
- Bolo betha- Ayesha uski taraf mutawaje ho ghai.
- Kuch nhi- Emaan btaa nhi pa rhi thi.
- Tum bhi na, acha to chalo- Ayesha ne kaha.
Wo dono baate karti karti niche pohanch ghai.
- Jaldi karo ghari main betho - Shahraz sahib ne une ghari main bethne ke lie kaha.
Wo dono ghari main beeth ghai.

Jab wo ghar pohanche to Dua uske sasural wale or Kuch family friends waha mojuud the.
Emaan ki tabyat theek nhi thi is lie wo apne room main chali ghai or baki sab living room main baate kar rhe the.

*********

" Airpot"

Shahraz sahib subah se Airpot phe Danial ki flight ka intzaar kar rhe the. Khafi baar uno ne poocha leekhin Kisi ko kuch khabar na thi.
Khafi deer baad koi andar se aya.
- England se ane wala plane crash ho gya hain, koi bhi nhi bach ska- Us bande ki baat sun kar sabi waha mojuud jo apne pyaru ko lene ae the wo ye khabar sun kar thoot ghae. Shahraz sahib ki to jaan hi nikhal ghai, unka Dil bikhar gya, bht mushkil se driver ne une sambala.
Ahar kaar khali haath wo ghar ke lie rwana ho ghae.

Ghar main sab Danial ke accident ki khabar se bekhabar the. Sab besabri se Danial ka intzaar kar rhe the.
Shahraz sahib ko akhele athe deekh sab pareshan ho ghae.
- Danial kaha hain?- Ayesha ne poocha.
Shahraz sahib kamosh the.
- Baba btae na Danial kaha hain?- Mehak ne poocha.
Emaan bhi upar se dhoorti hui niche a ghai.
- Mujhe laghta hain bahir ho gha- Dua ne kaha.
- Main dekhti hu- Mehak bahir jane laghi.
- Rukho Mehak- Shahraz sahib ne awaaz di.
- J Baba?- Mehak ne poocha.
Shahraz sahib ne Tv on kiya , or uspe yeh btaya ja rha tha ke England se ane wala plane crash ho gya hain, usme sabi mojuud yahan tak ke sabi pilot is dunya main nhi rhe. Sab ye khabar sun kar thoot ghae, sabi ki ankhu main ansu the , Emaan thoot ghai, wo Danial se mil bhi na phai or na hi wo Sahil ko deekh paya.
Jis ghar main abhi thori deer pehle kushya thi abhi usi ghar main mataam chaya huwa tha.

Aghle din patah chalte hi sab jaldi ki flight le kar Pakistan a ghae.
Emaan na kuch kha rhi thi or na kuch phi rhi thi.
Zoyah athe hi Emaan ke room main chali ghai or use ghale lgha kar bht roi.
Sarah Sherry Bilal sab ki ankhe nam thi, une bilkul bhi yeh khabar na thi ke kuch esa hogha. Aaj unki sab se aziz cheez unke paas nhi thi.

Danial ki body milte hi jaldi jnaze ka time rakh lia or use khuda ke hwale kar ae.

Emaan room main bethi hui Danial ki tasaweer ko seene se laghae roo rhi thi. Sarah Sherry Bilal uske room main a ghae.
- Emaan Sambalo khud ko, aghar tum ese thuth ghai to phir Sahil ko kon sambale gha- Sarah ne kaha.
- Bhai kaha chale ghae, ab main kisse larai karungha, kon mujhe choti choti baatu phe chirae gha, i miss you bhai- Sherry ki ankhu main ansu a ghae, aaj uska bara bhai uske saath nhi tha.
- Mera dost mera bhai kon khe gha mujhe main Danial ke bgheer kese rhungha- Bilal ki ankhe bhi nam thi, uski Maa ke baad Danial hi use aziz tha ,uska koi behan bhai na tha wo to Danial ko hi apna bhai maanta tha, bachpan se wo saath khele the school college or university akhate ghae the, aaj uske andar jese jaan na rhi ho.
- Danial ne acha nhi kia, usne phirse mujhe dokha dia hain- Emaan ne kaha.
- Nhi Emaan , wo Sanna se nikah apni marzi se nhi karne wala tha , wo majbuur tha- Sarah ne use puri baat samjai.
Emaan ko khud phe ghusa a rha tha ke wo apne pyaar ko samajh na pai.






"Eh jaan jane se pehle kuch to btaa dia hota

Jane se pehle ghale lghaa lia hota

Hame kya khabar thi ke tum is kadar bewafa nikhlo ghe.....

Tume khabi khud se door jane hi na dia hota

Kesi duri thi kesi majburi thi....

Jane se pehle eek baar muskura kar dekh lia hota

Tum kehte the ishq main fanaa ho jaenghe.....

Hame bhi yeh uzar athaa kiya hota

Tera pyaar teri muhabbat tera chehra teri muskaan hum kese bool paenghe....

Jane se pehle apna deedar kraa dia hota

Teri bina kya karenghe hum yeh tu bta de zraa.....

Teri bina kese jiyenghe hum ye tu btaa de zraa.....

Jane se pehle hmare bare main to sooch lia hota

Jane se pehle kuch to btaa dia hota

Jane se pehle ghale laghaa lia hota."

IshqWhere stories live. Discover now