Entry of Krishna

292 31 16
                                    

Scene : Jaipur, a flat of Goenkas in an apartment

Varsha has come along with Akshara

All 5 are sitting at dining table (including Vansh)

Varsha : mai badi hone ke naate sirf salah de sakti hu baccho, par decision aap teeno ko hi lena hai

Krishna : Maine decide kar liya hai badi mami mai waha kabhi nahi jaungi. Arey jis ghar mai Akshara ki koi kadra nahi uss ghar mai main kaise jau?

Vansh : complete acceptance toh mujhe bhi aaj tak uss ghar mai nahi mili

Kairav : tujhe kuch bolna hai Akshu?

Akshara : Mai kya bolu bhaiyya, jaisa aap sab thik samjhe

Kairav : Dekh Akshu, tujhe bhi teri baat rakhneka pura haq hai.

Akshara : Krishna Didi, uss ghar mai mumma papa k memories bhi toh hai. Kya aap un memories ke liye bhi nahi chalogi?

Krishna : Konsi memories Akshara? Sab kuch toh uss Sirat ne mita diya. Maaf karna par, Akshu konsi badi hai ki Sirat ne apni beti ki zimmedari use saup di?

Kairav : kya sirf kuch dino ke liye bhi aap nahi chalegi didi?

Krishna : Nahi Kairav, uss ghar mai ab mera koi nahi hai aur na mere liye koi jagah

Kairav : aise mat kahiye didi uss ghar mai jagah aapko mumma papa ne khud dilwayi hai. Agar Aarohi ko mil sakti hai toh aapko kyu nahi.

Vansh : Par Kairav, Surekha Taiji chup thodi baithegi. Unhe kuch na kuch bolna hi toh hota hai. Mana karde Kairav. Yaad hai na tune kya kaha tha ki ab kabhi nahi lautenge

Kairav : thik hai. Hum nahi jaayenge par, unhe toh yaha bula sakte hai na didi, sirf kuch dino ke liye

Varsha : pehle Krishna ki shaadi tai hone do, jaana hai ya unhe yaha bulana hai baadme socho. Philhal toh koi bhi mat jao.

Kairav : thik hai badi mami aap jaise kahe

Kairav call Manish and tells him that they are not coming.

Scene: Goenka Villa

Surekha : Maaji Krishna ke liye maine ek ladka dhunda hai. Yeh dekhiye photo. Yuvraj naam hai. Yuvraj Ranavat. Maaji, ladke ki shaadi already ho chuki hai, par ab woh alag ho gaya hai apni pehli wife se, par ladka accha hai, galti saari ladki ki thi, toh yeh Krishna ke liye kaise rahega? Mujhe toh bohot accha laga. Mere Vijay Bhaisahab ka beta hai. Iklauta

Suhasini : Surekha? Yeh kya? Humne kaha accha rishta dhundo. Maana ki tumhare maike se hai. Par agar baat Mansi ki hoti toh bhi tum aise hi karti kya?

Scene : Singhania Sadan

Kirti : Choti Dadi yeh dekhiye
Devyani : dikhne mai toh bohot sunder hai. Par ladka kaisa hai woh bhi toh janana jaruri hai
Kirti : Naksh ne saari information nikal li hai. Accha ladka hai aur parivar bhi accha hai. Mohit Porwal naam hai. Woh garments ke buisness man Riddhesh Porwal ka beta.
Devyani : Arey woh toh bohot acche log hai. Mai abhi Suhasini ji ko phone lagati hu

Devyani calls Suhasini and tells her about Mohit.

Suhasini: Aapka bohot bohot shukriya Devyaniji. Hum pehle Krishna se baat karenge. Uski haa huyi toh baat aage badhayenge

Devyani: Ji ji bilkul. Krishna se kahe ki apna time le aur soch samajh ke hi faisla kare. Aur ek baar ladke se mil bhi le

Shamita enters the scene

Shamita : Mujhe Surekha Bua se baat karni hai

Devyani : Suhasiniji Shamita ko Surekha se baat karni hai

Suhasini passes the phone to Surekha

Surekha: Shamita beta bolo

Shamita : Bua? Aapne Yuvi ka rishta Krishna ke liye kyu dekha? Yuvi ki shaadi already tension mai hai. Use bachane ka chod ke aap uski dusri shaadi karwane pe tuli hai

Surekha: Dekh Shamita, Yuvraj mera bhi kuch lagta hai. Aur Vijay Bhaisahab ne mujhe khud kaha tha Yuvraj ke liye ladki dhundne

Shamita : Agar kisiko dhundna hai toh Swara ko dhundiye. Badi mehrbani hogi

Scene: Jaipur

Varsha: koi jald baaji nahi hai krishna. Aaram se faisla le. Tu jab taiyar hogi tab hum tujhe ladke se milwayenge

At evening Krishna reveals her decision that she is ready to meet Mohit.

Next day Swarna and Manish come to Jaipur. They, Varsha and Krishna go to the decided place to meet the Porwalas.

After a long private discussion between Krishna and Mohit they both agree for the alliance

Everyone is happy.

Krishna agrees to return to Goenka Villa. As it is the matter of only some days. But she is going enter the house with something in her mind.





Kaira Ka KairavWhere stories live. Discover now