part 2

333 6 2
                                    

Haya driving seat ka darwaza khole khade khade batane lagi "magar scholarship program cordination ke office ke bahar aaj jo list lagi hai usme bhi mera naam nahi hai aur mera toh sirf tumhara hai hamare department se ar environmental sciences ki ladki Khadeeja Rana ka hai..mera khayal hai mera selection hi nahi hua"   "Ohh!" Use waqiayatan afsos hua..raat phone call ke baad uski Zara se ab baat ho rahi thi.."Khair tum kahi jaa rahi thi..?" Zara chehre par dobara basharat laate hue puchne lagi.."Han market jaa rahi thi Iram ke sath, Dawar bhai ke mehendi ka function hai aur mere lehenge ke sath high heels gum ho gayi hai, shayad kaam wali uthake le gayi hai..ab naye joote lene padege..tum chalogi..?" Wo gaadi se kohni tikaye tafseelan batane lagi..us waqt wo halki asmani kameez aur churidar paijame mein malboos thi kameez ka daman takhnon se zara upar tak tha..hum rang dupatta gardam ke gird lipta tha baal kamar par gir rahe the aur adatan ankhon mein gehra kajal dala tha.."Han chalo phir jaldi nikalte hai" Zara fauran tayyar hogayi aur front seat ki taraf badhi

"Iram ko bhi lena hai" Haya ne andar bethkar darwaza band kiya aur ignition mein chabi ghumayi.." Waise tumhare sakht se Taya Iram ko yun tumhare sath shopping pe ijazat de dete hai..?"

Iram un dono se junior thi aur uska depatment bhi dusra tha toh Zara ki usse zyada mulaqat naa thi "unki sakhti sirf scarf tak hai waise bohot acche hai wo"

Wo car bahir gate par le aayi Iram ka ghar Haya ke humsaye mein tha..dono gharo ke darmiyani deewar mein aane jane ka rasta bhi maujood tha lekin use jab bhi Iram ko pick karna hota wo uske gate par horn doya karti thi ab bhi zor ka horn diya toh chand hi lamhe baad Iram bahar nikal aayi..
Kasni lambi kameez aur trouser mein malboos hum rang dupatta phailakar samne liye chehre ke gird matching castez scarf lapete wo takreeban bhagte hue pichli seat ke darwaze tak aayi thi.

"Hello Haya"  "Hello Zara" ..betakallufi se chehekte hue usne andar baithkar darwaza band kiya..Haya ke sath outing ke program use yunhi khush kiya karte the..

"Kaisi ho Iram, tumse toh mulaqat hi nahi ho paati" Zara ne tirchi hokar rukh peeche ko kiya...

"Apka department door padta hai na..aur han Haya bata rahi thi aplogo ka Turkey ka selection aagaya hai"

"Main select nahi hui Haya ho gayi hai, khair isme koi behehtree hogi"

"Tumne nahi apply kiya tha..?"

"Abba ijazat dete tab na"  woh udas hogayi..
"Waise parents ko itna sakht nahi hona chahiye" Zara ne kaha..

Haya ne tabeedi nazron se use ghoora ki kahi pehle se ehsas e kamtari mein mubtila Iram mazeed udas naa ho jaate magar Zara gardan mode peeche dekh rahi thi aur Iram..Iram hasbe tawaqqa udas hogayi thi..

"Abba bhi pata nahi kis par chale gaye..itni garmi mein scarf lena aasan hota hai kya aur phir kal mehendi ke lehenge ki aadhi aasteen nahi banane di mujhe, Haya ki bhi toh aadhi aasteen hai..itni acchi lagti hai magar Abba zara bhi Sulaiman chaccha ki tarah nahi hai..

"Iram tumhe aaj kya lena hai..

"Maine toh jute lene hai"...usne kufat chupate hue baat ka rukh badla..Iram ka har waqt ka shikayti rawayya use behad bura lagta tha..

"Choodiyan leni hai magar lehenge ke blouse ke full sleeves ke sath choodiyan acchi bhi nahi lagegi"  wo muh basore phir se shuru hogayi toh Haya ne sar jhatak kar CD player on kardiya..Atif Aslam ka geet buland aawaz se gunjne laga toh Iram ko khamosh hona pada..

Jinha supermarket pohoch gaye Iram toh choodiyan dhundne nikal gayi jab ke wo dono metro shoes par aagayi..

"Yeh golden wala jo teesre number pe rakha hai, yeh dikhaye"  bohot der baad ek unchi heel uski nazar mein jachi thi..

"Yeh wala ma'am..?" Salesman ne pura joda nikalkar uske samne rakha..wo zameen ke panjho ke bal betha tha jabke Haya aur Zara samne couch par bethi thi..

Jannat ke PatteyWhere stories live. Discover now