A.S. – agar nahi late aapko waise to aap to us gunde ko maar hi daalti...

H.M. – haan to acha hi kar rahe the hum , usne aapke upar goli chalayi thi na... use aise kaise chod dete hum.... Ab hum kya karenge ... wo humara favorite bracelet tha ... Anubhav ...

A.S. – (murmured) bracelet favourite tha ... ye kyun nahi bol deti ki humne diya tha isliye favourite tha....

H.M. – hume uska design pasand aaya tha... zyaada dimag mat chalaiye aap.... (murmured) khud to jaa rahe hain.. aur hume jo bracelet diya tha wo bhi tod diya ...

A.S. – humari hi galti hai...

H.M. – koi dekh na le ki aapke haath par bhi chot lagi hai ... isliye itni der se apna haath piche band ke khade the na ... bateyein abhi Karishma Singh ko ... ek to humara bracelet....

A.S. – humari chinta nahi hai aapko , kya Haseena ... aap pichle aadhe ghante se humse ek bracelet ke liye lad rahi hain ....(innocently)

H.M. – aapki hi galti hoti hai ...lekin aap maanenge thodi na (taunt)....

A.S. – choti si chot par itna daatengi ....

H.M. – ab goli to maar nahi sakte na aapko .... Isliye daat hi rahe hain .... Aur kya kar sakte hain hum....

He looked at her blankly , She realized what she said and looked at him ....

H.M. – Anubhav ....

But he left the cabin without replying

Karishma enter

K.S. – Madam sir.... Sach bataiye aapko chot kaise lagi ...

H.M. – Matlab...

K.S. – ab hum topa to nahi hain jo hume pata hi nahi chalega .... Ab bracelet se to aapko itna nahi lag sakta to ab sach-sach bataiye...

H.M. – abhi hume jaana hai... baad mein batate hain...

K.S. – Nahi... pehle aap hume bataiye ....

H.M. - please... waapas aane ke baad zarur batayenge....

K.S. – acha theek hai... jaaaiye....

H.M. – thank you ....

She left

Next day

Everyone is present in the thana and doing their respective work , aur Haseen Dilruba bhi

In Haseena's Cabin

Karishma enters

K.S. – Jai Hind Madam sir ...

H.M. – Jai Hind.... Aap to ...

K.S. – (sadly) patidev is baar nahi aa paayenge ...

H.M. – oh... to aap humare saath ghumne chaliye ...

K.S. – (Shocked) Ji...

H.M. – haan... waise bhi koi case to hai hi nahi ... aur Amar Vidrohi .... Wo ...

Amar enters

A.V. – hum to bas 1 hafte ke mehmaan reh gaye...

H.M. – hmm...

A.V. – to ... aap befikar ho kar jaa sakti hain 1 hafte ki chutti le kar ... hum sambhal lenge tab tak thana

H.M. – (Smiled) Shukriya... uski koi zarurat nahi hai ...

A.V. – hmm... chalte hain hum ....

He left

H.M. – kuch kaam tha Karishma Singh ...

K.S. – Ji... wo ....

Pushpa ji enters

P.S. – Jai Hind Madam sir... ek emergency aa gayi hai ...

(waise bhi aap sab ke kaam ki baat nahi hai)

H.M. – Kya.... Jaldi chaliye ....

After 2 hours they were back at thana

In Hall

H.M. – Karishma Singh aap kuch keh rahi thi us time....

K.S. – Wo ..hum...

P.S. – (Whispered) jaldi boliye na ...

K.S. – Pushpa ji bolengi ....

P.S. – hum... hum kya bolein ....

K.S. – jo aap chahti thi ki hum Madam sir se bolein

P.S. – Madam sir.... Dekhiye , ab jab sab kuch theek ho gaya hai ... aap aur DSP sir saath hain to ....

H.M. – to...

P.S. – to.. hum soch rahe the ki .... Aap dono.... Kuch ... aage ka sochein ....

H.M. – Matlab ....

K.S. – Pushpa ji aapki aur Anu bhaiya ki Shaadi ka baat kar rahi hain .... (she said with a straight face) Haina Pushpa ji... (smiled)

H.M. – aisi baat hai Pushpa ji ...

She moved towards her

P.S. – nahi... humara matlab.... Ki...

H.M. – hum baat karte hain ...

All – kya...

H.M. – humne kaha ... hum aapke DSP sir se baat karte hain .... (smiled)

she left

In Cabin

Haseena is standing near the window and smiling

H.M. – (smiling) sab log kitne khush hain ye soch ke ki... ab sab kuch theek ho gaya hai ... pushpa ji to humari shaadi ki baat tak karne lagi ... (Chuckled) aur aap hain ki .... Khair...

Karishma enters

K.S. – Madam sir... DSP sir aayein hain ...

H.M. – hmm.. aur aap itni khush hain ki ... hume pata chal hi gaya tha ki ...

K.S. – jaldi chaliye na ...

H.M. – chaliye... ab to aap humari baat bhi nahi sun ne waali ...

They both left the Cabin

.

.

.

.

..

Heyyy.... finally mera break over hua... aur exams to kabke ho gaye the... abse timely updates  

Reunion (Continuation)Where stories live. Discover now