Kabir: the end ~ the beginning!

Zacznij od początku
                                    

Yuvika sat straight and wiped her tears, something was filling her with strength
'Bhaii, Neil... Papa kehte the ki kuch rishte aise hote hein jo khoon se hamare sath judte hein , in rishton ko hum apne liye nahi chunte, ye chahh kar bhi tode nahi Jaa sakte, koi na koi dhaaga reh hi jata hai lekin kuch rishte aise hote hein jinpar hamara full control hota hai, in rishton ko todna-jodna, banaye rakhna sab hamare haath mein hota hai, ye dil ke rishte hote hein
Lekin..
Kabir ke sath ?? Kabir ke sath na toh main Khoon ka rishta nibha saki na Dil ka!
Kabir Mera Bhaii tha Neil !! Meri mummy ka Beta, mummy par kyaa beet rahi hogi main soch bhi nhi sakti, mere haathon mein tha vo Neil, mere samne damm toda hai usne' Yuvika eyes were filled with tears thinking about the incident that happened that night

                       •••• flashback ••••

'Yuvika, yahaan se Bach ke niklna namumkin hai, ye jagah chaaro aur se sealed hai
Aur gate par DJ ke gunde khade hein' said Kabir while hiding himself behind a tank kept in a darkroom
'2 din se hum bas idhar se udhar bhaag hi rahe hein Kabir, tumhare kehne se humne us truck vale se lift li aur delhi ka border cross Kiya lekin fir bhi hum fass gye! DJ ke gundo ne humein dhoond hi nikala! Mujhe lagta hai, bachne ka ek hi tareeka hai ! Humein unse jaakar baat karni chahiye ki unhein exactly chahiye kyaa?' said Yuvika while hiding herself behind a wardrobe lying there
'itna asaan nahi hai Yuvika, tumhe abhi bahut kuch seekhna hai..! Kasshh! tumhein seekhane ke liye main tumhare sath reh pata par koi baat nahi' Kabir gave this witty reply but in a monotonous tone
'Kyaa matlab hai tumhara Kabir?' asked Yuvika being confused
'Yuvika, kehte hein mitti ko jaisa aakar doge, vo vaisa roop le legi !! DJ ke sath bhi kuch aisaa hi hua hai !! Bachpan se hi uske dimag mein Mahajan Empire ka ek lauta Vanshaj hone ki baat daali jaati rahi, fir ek din tum log pahuch gaye
Uski loving family aur flourishing business jo apparently sirf uska tha, uska hissa banne, galti uski nahi hai, uski family mein kabhi koi aur tha hi nahi. Jaise tumhari, tum Nagars ki family ki picture mein bhi main kahaan hi fit baith-ta hun ..right?'

Yuvika hesitated, she was understanding what Kabir was saying
'tum mere Bhai nahi ho Kabir, pta chal gya hai mujhe' Yuvika hesitated but she thought if not now, when? When she will tell Kabir that she is not a fool, she knows that he and DJ were gaslighting her
'aur ye tumse kisne kahaa? Tumhari maa ne? Oops Hamari Maa ne ? Jinhein khud nahi pta ki unka beta Zinda hai ya marr gya?' Kabir smirked but his eyes were saying something else, he was longing for love and care, his eyes were moist
'tum kehna kya chahte ho Kabir? Tum koi baat seedhi seedhi kyun nahi karte?' Yuvika pushed him a little that lead to a sound from their end and this gave a signal to the shooters outside
'vo dono andar hein shayad' shouted one of the shooters from outside

Yuvika and Kabir tried to hide themselves properly and kept their mouth shut, they didn't moved an inch from there place

After few minutes, Kabir sensed something, he understood what's gonna happen
In rush he started speaking but kept his voice low 'yuvika! Tum kuch nhi bologi...kuch bhi nahi, ab main jo bhi bolunga, bas sunti rehna'
'Main Mumbai mein rehta hun, choti-moti filmon mein koi role ya kbhi advertisements karta hun
Main usi anaath-aashram mein pala badha hun jahaan tum aur Neil gye the, vo kahani sachii thi Yuvika! Mera school khatam hone ke baad maine paas mein ek dukaan leli, filmon ka kaam bhi hota raha lekin rozi-roti ke liye gaadiyan sahi karne ka kaam karne lga fir, ek din ek gaadi aayi mere paas thik hone
Uske maalik ne apna naam Harish Nagar bataya, mujhse kahaa gaadi thik kardo! Main thik kar hi Raha tha ki mujhe usmein ek paper Mila
Maine Sahab se pucha ki ye paper lekar vo kisko dhund rahe hein ? Toh unhone kahaa 'tum jaante ho main kaun hun? Harish Nagar! Apne time ka mash-hoor stock broker lekin fir zindagi kuch aise palti ki sare rishte tutt gaye! Biwi bimaar rehne lagi toh usko lekar London chla gya, meri beti vahaan Maa ko dekhne aayi toh vahi usne ek beti ko janam diya,sab thik ho hi raha tha ki mere damaad ko kisi ne ek befizool ke scam mein fasa diya...us vajah se meri aur meri beti ki duniya hamesha ke liye alag ho gayi !! Aaj jab uske paas vapis lautne ka sochta hun toh ateet ki vo ek baat abhi bhi mujhe rokti hai, darasal... meri naatin ke hone se pehle meri Beti ne ek bete ko janam diya tha
Yahi Delhi mein, apne pehli shadi se lekin ek haadse mein uska pati nahi rha aur jab Uska beta paida hua toh humm darr gye ki samaaj mein ab ye akeli kaise rahegi?
Akele is bache ko kaise paalegi?
Us din main us bachhe ko lekar yahaan Mumbai aagya, use saup diya ek anaath aashram ko
Kuch saal Tak aata raha usko dekhne, usko Milne
Paise bhi bhejta rha lekin London jaane ke baad ye sab thoda mushkil hogya aur fir band!
Ab afsos hota hai, mujhe meri galti ka ehsaas hai...ye usi bacche ka birth certificate hai, Dhundne aaya hun use'
Yuvika was listening everything carefully was connecting dots, she understood where this is heading
'vo sahab toh chale gye lekin us certificate ko mere paas hi bhul gye ..maine bhi nahi lautaya! KYUNKI VO MERA THA!
Aur iteffaq dekho! Thik ek din baad mujhe ek phone aaya tumhare pyaare Bhai DJ ka!
Buddy kehta tha vo mujhe, vaise toh mujh jaise mechanic ko ghas bhi na daale lekin ek din jab vo Mumbai mein tha tab meri dukaan ke saamne apni aalishaan gaadi mein baith kar sar peet rha tha, maine toh bass insaniyat ke naate puch liyaz Sahab chai laadu? Usne Aisa khoonkhar look diya mujhe ..lekin fir meri nazar uski phone ki screen par padi
Uske invest kiye hue shares ke prices gir rahe the ...mere saamne vo kankaal hota ja rha tha! Mere se dekha nahi gya aur maine Jo kuch bhi internet aur apne Mumbai ke doston se seekha tha uske mutabik use ek Salah dedi
Uske baad agle din toh ye mere saamne nayi chamchamti gaadi lekar khada hogya
Bola 'Digvijay Mahajan kisi ka ehsaan nahi rakhta, kal tumhari salaah ki vajah se mera loss , profit mein badal gaya isiliye us profit ke 1% ki ye gaadi laaya hun tumhare liye'
Bas us din ke baad se lekar Aaj Tak DJ ne befizool ki harkatein mere sath nahi ki, shayad samjh gya tha ki mere paas usse zyada dimaag hai !!
Lekin Nagar ji milne ke baad mujhe ye baat pta chla ki ye stock market mere dimaag mein nahi, mere khoon mein hai !!

MAHAJANS ~ The Entangled Empire!Opowieści tętniące życiem. Odkryj je teraz