Abhinav gives his consent

643 88 6
                                    

Next morning,

Everyone was having breakfast when the doorbell rang...

Akshara opened the door and found kairav....

Kairav : good morning akshu...

Muskaan's heartbeats were rising....

She hugged him...

Akshu : good morning bhaiya...

Abhir : mamu...!!!!

He ran and scooped in his arms....

Abhir : mamu maine bohot miss kiya aapko...

Kairav : miss toh maine bhi bohot kiya tumhe...

Abhir : mamu, buddy mimi koi aur nahi aaya...

Kairav : woh sab phir kabhi aayenge...

Abhir : okay aao main aapko apna room dikhata hu...

Abhinav : betu school ke liye late ho jayega....bus bhi aati hi hogi go....

Abhir : par papa mujhe mamu ke sath time spend karna hai....

Abhinav : woh toh aap school se aane ke baad bhi kar sakte ho mamu yehi hai....aaj aapka test bhi hai na...jao... muskan chod kar aao abhir ko bus stand...

She nodded....

Abhir : okay.... bye mamu...

Kairav : bye...

Abhir : bye mumma papa neela amma...

They nodded....

Muskan went with abhir...

Akshu : bhaiya baithiye main aapke liye coffee lekar aati hu...

He nodded....

Akshara brought coffee for kairav....

Muskan also returned dropping abhir...

The situation was getting restless....

Abhinav : saale saab... mujhe aapke aur muskan ke rishte se koi dikkat nahi hai par ek sach hai jo aapko jaan na zaruri hai...

Kairav : kaisa sach...

Muskan started fidgeting with her fingers....

Akshara kept her hand on her and assured her....

They explained her situation to him.... muskan was very nervous....

Kairav : abhinav ji aap jaante hai aaj tak mimi ne kai baar mujhe kaha hai shaadi kar le shaadi kar le par aaj tak koi aisa mila hi nahi jiske sath main apni zindagi bita saku...jo mujhe handle kar sake....inn 6 saalo mein akshu aur aaru dono hi mujhse durr ho gaye the....akshu toh bohot durr ho gayi thi aur aaru pass ho kar bhi durr ho gayi thi....main unn 6 saalo mein kabhi khul kar hass nahi paaya.... muskan ne mere andar ke uss kairav ko bahar nikala jo dabb gaya tha andar.... mujhe koi farak nahi padta muskan maa bann sakti hai ya nahi....main bass itna jaanta hu ki shaadi hogi toh sirf muskan se....warna nahi...

main jaanta hu bhai hone ke naate aapko uski chinta hai aur sahi bhi hai agar aapki jagah main hota toh main bhi yehi karta....aur muskan bhi mujhse keh rahi thi ki agar aap nahi maanenge toh shaadi nahi hogi....aur yakin kijiye abhinav ji hum apne sapno ka mehal kisi ki bhi nafrat par nahi banayenge....aur rahi baat mere pariwar ki toh aap unki chinta mat kijiye.... dekhna sab dil se muskan ko accept karenge....yeh mera wada hai...

abhinav smiled and akshara hugged muskan....

Akshu : congratulations...hone wali bhabhi ji....

She whispered to muskan making her blush....

Muskan : bhabhi kya aap bhi...

abhinav hugged kairav...

Abhinav : thank you saale saab... muskan...

He hugged both...

Akshu : mujhe aur neela amma ko bhul gaye aap log....

They chuckled...they all had a group hug...

Kairav : main ghar jaa kar sabse pehle sabse baat karunga...

He nodded....

Kairav : main chalta hu....

Akshu : bhaiya aapne apne bhaanje ko promise kiya hai ki aap uske sath time spend karenge toh ab aapko rukna padega warna pura ghar sarr par utha lega woh...

He nodded...!!!

*******************************

Abhinav was standing in the garden....

Kairav : abhinav ji...

Abhinav : arey aaiye saale saab...

Kairav : abhinav ji aap kuch kehna chahte hai...

Abhinav : aapko kaise pata...

Kairav : main bhi do behno ka bhai hu itna toh samajhta hu ki iss waqt ek bhai ke dimag mein kya hulchul ho rahi hoti hai... bataiye na...

Abhinav : saale saab muskan ne na kabhi apne maa baap ko nahi dekha... bohot choti thi jab maa baap ka saaya uske sarr se chala gaya.... mujhe aur muskan ko neela amma ne hi paala hai.... bachpan se agar meri ko saathi rahi hai toh woh muskan hai....humne sab kuch saath mein dekha hai dukh bhi aur sukh bhi....pehle humare pass itne bhi paise nahi the ki hum do waqt ka khana afford kar sake...bohot choti umar se main kaam kar raha hu taaki muskan ki padhai mein koi rukawat na aaye....bhale khana kam hota tha par phir bhi mujhe khilaye bina kabhi nahi khati thi....saale saab muskan abhi bhi dil se bacchi hai....choti choti baaton ka uske dil par bohot gehra asar hota hai...

Kairav : main jaanta hu abhinav ji...itne samay mein itna toh main bhi muskan ko jaan gaya hu... abhinav ji yeh mera wada hai muskan meri first priority rahegi humesha....

He smiled and nodded....

Both hugged each other....

Akshara was listening to everything....

Akshu : thu thu thu...!!!! Hey kanha ji...ab humari Khushiyon ki kisi ki nazar mat lagne dena...bass aise hi inke beech sab accha rahe....

She left without disturbing them....!!!!

AKSHNAV : A HAPPY FAMILY Where stories live. Discover now