part 29

3.1K 155 12
                                    


Sab village wale khush the, kyuki unko apna agla sarpanch jo mil gya tha. Per rama ka behavior same raha, woh toh viraat ki dekh baal bhi nhi karti thi. Ghar ki nukar  hi uski dekh baal karte, rama se bhi jayada. Viraat bada hota gya ,aur mein village ke kamo mein busy. Kabhi meine yeah janne ki koshish bhi nhi, ki rama ka behavior viraat ki taraf kitna sukha hai. Woh viraat ko beta bhi nhi manti thi.  Usne viraat ko bol rakha tha ki, Woh rama ko maa bhi na bole.

Ek din mein sham ko ghar aya, toh meine dekha ghar per koi nhi hai, na koi naukar na koi guard.mein bada hairaan hua asa toh kabhi nhi hota.  Kitchen mein se viraat ke rone ki awaze aa rhi thi.

Jab mein kitchen ki taraf gya toh ,mein dekha rama viraat ka  haath jalaane lgi thi, mein bhag kar gya aur rama ko dhakha de kar dur dhakel diya. Us waqt muje bda gussa aya meine, rama ko zor se thappad mara, aur Pucha uski himmat kaisi hui asa karne ki.

Woh gusse mein boli ,woh hum dono se nafrat karti hai. Meine shadi karke uski zindagi barbad kardi. Woh kisi aur se pyar karti thi. Lekin sarpanch ka rishta aane se uske ghar walo ne uski  shadi mujse  kardi.  Aur uski baat bhi na suni, na, uske ghar wale uske pasand ke ladke ko milne ko raazi the. Aur usko dhamki bhi di thi agar , usne mujse kuch kaha ya shadi ko mna kiya toh, Woh us ladke ko maar denge.

Woh unse kehti rhi per woh nhi manne. Aur viraat ka chehra usse uski mere saath batayi raat ki galti ka ,ahsaas karvata hain, aur woh nafrat karto hai. Hum dono se usne aj nhi kitni bar viraat ko physical torture kiya hai. Per viraat mara nhi. Woh usko marna  chahti  thi, kyuki usko lgta tha, viraat uske pyar ke saath ,uski ki bewafaai ki nishani hai isliye jab bhi woh viraat ko dekhti hai. Uska khoon jalta hai.

Itna sunte hi mein hairaan ho gya, agar mein aaj waqt per na aata toh woh, viraat ko kitna bda nuksaan pahuncha sakti thi. Uske baad mein rama ko ghar se nikal kar, uske ghar bhej diya.

Uske ghar walo ko jab sari baat pta chali. Uske ghar wale bahut sarminda the, lekin jo unki beti ne kiya woh kam maafi wala nhi tha. Tab viraat 6 saal ka tha. Us waqt uski maa ki kahi sab baatein samjh aa gyi. Woh bachpan se hi apni umar se jayada hoshiyaar tha.

Meine rama se sacha pyar kiya tha. Uske is dokhe ne muje puri tarah tod ke rakh diya. Mein apne ghum mein itna dubh gya ki ,mein us chote beche ko bhi bhul gya. Jo us waqt sabse bde dukh se guzar rha tha. Maa kabhi uski hui nhi ,aur baap uski, na pyar karne wali biwi ke chale jane se usko bhul gya. Uski maa ke saath saath uska baap ne bhi usko akela chod diya . Mein apne dukh mein itna khoya rha ki, mere bete ke dil mein kya chal rha hai mein yeah bhi dekh na paya.

Beauty for the BeastWhere stories live. Discover now