Mohabbat.

0 0 0
                                    

Kabhi barish ki boondho se.. khud ko uski bahoon me chupana.....
To kabhi tapti dhoop me.. apna daman uske sar par lehrana,

Mushkil me muskurana....
To kabhi Khushi me aansu bahana,

Had se zyada himmat dikhana ....
To kabhi ek sawaal se hi toot Jana,

Sar utha kar duniya se takrana ....
To kabhi us EK k samne palke jhukana,

Dard mile to himmat banna....
Aur kabhi sukoon mil jae to kismat man'na,

Uske liye kismat se ladh Jana....
Aur kabhi uske samne khud to haar Jana,

Uski nazar se khud ko sawaarna......
Aur kabhi apne sabr se usko bigaadna,

Uske ek aansu me apni ankhen barsana...
Aur kabhi uski hasi me samandar pee Jana,

Kabhi pathar ko moom sa piglana...
Aur kabhi moom ko faulaad sa ladana,

Ab bhi samaj na aaye jo jaana( sweet heart )
Sidhe alfaaz me hai bas itna batana.

Duniya bhar ki khuwahishon ko chod
Hamko to bas aap ke dil se kaam  hai...
Mohabbat jismo me ulajhne ka nahi,
Uljhano se sulajne ka naam hai

Zaroori nahi k mohobbat kisi gair se ho,
Apno pe Jaan lutana bhi to Mohabbat ka hi kaam hai.

You've reached the end of published parts.

⏰ Last updated: Dec 18, 2023 ⏰

Add this story to your Library to get notified about new parts!

Poetry Where stories live. Discover now