part 30

6.8K 177 17
                                    

Us din se viraat ke dil mein pyar ke liye nafrat ho gyi. Kyuki uski maa ne kisi aur ke pyar ke liye usko kabhi apnaya nhi, aur uske baap ne uski maa ke ghum mein usko bhula diya. Jab viraat 10 saal ka hua tabse woh mujse bhi baat nhi karta tha, karta bhi kyu ,jab woh 6 saal ka tha usne ek din mein maa baap dono kho diye.

Present time

Beti muje maaf kardo meri wajah se viraat ne tumse asi baat ki, guari kehti hai baba apki koi galti nhi na unki hai galti halaat ki hai. Koi baat nhi ab ap rona band kare aur aaram kare, apki tabiyat agge thik nhi hai. Uske baba kehte hai beta tum viraat se naraz na hona, tumhara aana ke baad meine viraat ko pehli baar khush dekh hai. Woh kehti hai baba mein, inko chod kar kaha jaaungi.

Ap chinta mat kijiye, aur ja kar aram kare. Viraat ko woh khud sambhal leygi. Baba usko ashirwaad de kar apne kamre mein chale jate hai. Guari sochti hai ab mein inko,apne pyar ka yakeen dila kar rahungi , chahe iske liye muje kuch b kyu na karna pade mein tayaar hun. Ab usko viraat ke behavior ka pta chal gya tha, kyu woh asa behave karta tha. Kyuki usne itni choti se umar mein hi kitna kuch saha hai.

Jis umar mein bche khelte hai, us umar mein uska bachpan hi uske selfish  maa baap ki wajah se khrab ho gya. Usko dukh aur dard ke siwa mila hi kya. Agar aj woh pyar shabd se nafrat karta hai toh, usmein uska koi kasur nhi hai. Lekin ab woh viraat ko, Koi dukh hone nhi degi.usko jo sehna tha woh sab seh chuka hai.

Ab woh puri koshish karegi viraat ki zindagi mein khushi bharne ki,
Woh asa soch kar apne kamre mein aa jati hai. Aur sochte sochte so jati hai. Thodi der mein viraat sharab ke nashe mein  dhut ho kar kamre mein aata hai. Guari ko soya dekh uski taraf  chala jata hai.

Woh uske mathe per lagi chot jis per ab marham lga hua tha, usko dekh kar kehta hai, muje pta hai aj meine tumhe dukh aur dard  diya hai. Meine gusse mein tumhe bhut galat bola hai ,jo mein bolna nhi chahta tha. Ab tum bhi muje sabki tarah chod kar chali jaogi. Meine aj baba ko bada galat kaha puri baat jane bina.

Baat yeah hui thi jab viraat gusse se nikla tha. Woh us admi se rashte mein mila jo uske baba ke saath gaya tha. Usne viraat se pucha malik ab bde malik kaise hai. Viraat ne pucha baba ko kya hua. Toh usne kaha, viraat uski puri baat sune bina hi chala gya.

Woh viraat ko sab bta deta hai, jo waha uske baba ke saath hua tha. Viraat ko ab bda guilt feel ho rha tha. Usne baba aur guari ko gusse mein kya kya keh diya. Issi guilt ke maare woh sharab peene chala gya.

Beauty for the BeastTahanan ng mga kuwento. Tumuklas ngayon