Seekh..

75 8 2
                                    

Hii,

Hum apni duniya mei itna kho gaye ki hume apne aas paas ke logo ka pata he nahi chala..

Humne pata kitni masoom jaane le li hai ab tak please ab toh ruk jao sabke ke liye nahi toh apne or apni family ke liye..

PrishaRazdan  ese or parents honge jinke baacho ki jaane ab tak hum duniya walo ne le li hogi..

Pollution karke..

Didi ne apne bacha khoya hai pollution ki vajah se mai unka dukh ache se samajh sakti hu meri toh aatma jal jaati thi jab mai mere bhai ko hospital mei admit delhti thi voh machines ke saath voh humesha doctors ka injection lagana fir bhi mere bhai toh thoda bada tha lekin tab bhi usse bohot taklif hoti lekin yaha pe shayad unka bacha ek saal tha uske lungs mei pollution wala air bhar gaya tha socho uss waqk uspe kya biti hogi?

Ek baar socho uss bache ne humari karan apni jaan khoyi hai..

Ek maa-baap ne aj humari vajah se apna bacha khoya hai..

Uss choti si bachi ne apna bhai..

Ye feeling toh mai bakhubi samajhti hu apne bhai ya behen ko khone ka dard kya hota hai.. Jab apko ye malum chale ki ap ab unhe ab kabhi nahi dekh pao ge ab voh apke pass kabhi nahi aayenge..

Ab agar ye padhke ap log pacha bhi rahe hai toh ab pachta ke kya hoga jab chidiya chug gayi khet..

Hum ek prathna toh kar sakte hai ki uss bache ki or uske jaise aur bacho ko apni voh sharan de jaha voh inn sab chizo se dur rahe..

Please pollution karna band kar dijiye ap kisi or ka nahi karva sakte toh kam se kam khud toh karna band kijiye..

Please..

Pray for the child to rest in peace..

Didi, bhagwan apko or apke pariwar ko iss kathin samay se nikal ne shakti de..
Yaad rakhiyega Aatharva humesha apke saath he hai..

Mai aapke dukh ko nahi maap sakti jo mai abhi voh padke feel kar rahi hu voh dukh toh apke dukh ka 1% bhi nahi hai..

Ap log usse khushi se yaad kijiye, dukhi ho kar nahi please ye meri request hai..

Mujhe votes bhi nahi chahiye comments bhi nahi chahiye, bas ap iss baat ko sabke dimaag mei faila dijiye ki pollution karna band naa kar sake toh kam karde.. Please ye mere liye nahi toh kam se kam unn masoom bacho ke liye jinhone apni jaan khoyi hai ya aur khoyenge..

Please..🙏🙏🙏

You've reached the end of published parts.

⏰ Last updated: May 08, 2023 ⏰

Add this story to your Library to get notified about new parts!

Seekh..Where stories live. Discover now