The real ones ❤

1.4K 72 3
                                    

Backdrop:
After murtasim dropped meerub in Karachi he went to village and meerub sat on the door crying and somehow got unconscious.
Morning

Maid comes inside the house screaming
Maid: sahab madam vo meerub bibi
Waqas : kya hua h meeub ko
Anila : boko kuch
Maid: vo meerub bibi darwaje pe behosh pdi h
Waqas and anila got worried and ran outside there they saw their beloved daughter whom they protected from each and every evil of the harsh world ,whom they taught to walk to speak to always take a stand against wrong . Their brave, ferocious , bold meerub lying unconscious ,her face pale 
Waqas and anila took her to her room and called a doctor . Dr checked and insisted to make her eat something and give some medicines

Waqas and anila were continuously crying
Waqas: ye kya krdiya mene jiss Beti to itne nazo se pala jiski har qhwaish puri ki vo beti aaj iss haal me mere samne meri wajah se hi h
Anila: galti sirf aapki nhi meri bhi thi
Waqas: anila , mere meerub ko loutane ke wade se jyada agr mene iski khushi aur behtri dekhi hoti to aaj ye na hota meri beti iss haal me na hoti
Anila : kassh mene aapko aur meeub ko Hyderabad Jane hi na diya hota

Meerub is lying on the bed , left side  anila is sitting taking her left hand in hers and on right side waqas taking her right hand in his hand suddenly meeub wakes up

Waqas: meerub theek ho Beta tum . Apne iss baap ko maaf krdo beta maaf krdo (he is continuously crying) . Mera gunaah mafi ke kabil to nhi h pr fir bhi hath jodkr bolta hu maaf krdo beta
Meerub grabs his hand in hers
Meeub: kehte h khoon ka rishta sabse bda hota h pr yha to mere asli baap ne mujhe ghr se nikal diya aur aapne apne ghr aane diya . Main boht dino se kashmakash me thi ki main aapko kis cheez ki saza deri hu baba aapne to mujhe humesha pyaar aur mama ne bhi humesha buss mujhe pyar hi diya h asli aulaad na hote hue bhi jb mujhe aapke wade ka pta chla to soch me pd gyi ki asli beti na hote hue bhi itni mohabbat itni fikr kyu baba mama aap btaiye kyu
Anila :kisne kaha beta ki tum humari beti nhi ho tum humari meerub thi ho aur humesha rahogi

At this moment meerub realises that all her anger to them was unjustified she wipes both of theirs tears and says

Meerub: main humesha aapki hi beti rehna chahti hu baba mama mujhe nhi bnna kisi anwar Khan ki beti
Waqas: beta hua kya h bta paogi ?
Anila: dekho agr abhi munasib lge tabhi btana wrna koini baad me bta dena
Meeub narrates whole story
Waqas: tumne murtasim ko btaya ki mariyam ne tumhe kya kya bola tha aur haya ki sajish 
Meerub: ab bta kar bhi koi fayda nhi h baba uska trust tod chuki hu main ,uska pyaar uska sath sab kho chuki hu humesha ke liye
Meeub started crying
Waqas and anila hugs her
Waqas: beta iss bare me baad me baat krenge tum ye soup peelo aur dawai lelo
Waqas feeds soup to her and anila gives her medicine (its actually a sleeping pill so that her mind could relax)
After some time after making meeub sleep
Waqas: jo main apni beti ke liye pehle ni kr paya ab krunga uski aankho me mujhe murtasim ke liye pyaar dikha h anila main iss baar apni beti ke liye stand bhi lunga aur use support bhi krunga
Anila: aap sahi keh rhe h  ek kaam krte h Hyderabad chlte h murtasim se baat krne
Waqas: tum meerub ke paas hi ruko use need pd skti h main hoke aata hu

Hyderabad
Maabegum is sitting in living room
Anwar is also present
Waqas enters

Waqas: aap logo se kuch jyada hi umeed lgali thi mene
Maa begum: waqas tum accha apni beti ki taraf dari krne aaye ho
Waqas: ji nhi sach bolne aaya hu
Anwar: kesa sach
Waqas: Anwar , tum kese baap ho yrr apni hi beti ko ghr se nikalte waqt sharam ni aayi tumhe , jara sa bhi Taras ni aaya uss bechari pe
Maa begum: pta bhi h kya kiya h usne
Waqas: ji sab pta krke hi aaya hu .
Maa begum: kya mtlb
Waqas: mtlb ye ki aapne meri beti pr to ilzaam lga diye pr apni betiyo se nhi pucha ki unka kye role tha iss sabme
Maabegum: kya bole jare ho
Waqas: suniye jara aap sabne vo video to dekhi par kya haya se sawal kiya ki vo vha khasi hoke video kyu bnari thi mariyam ko bhagne se rokne ki jagah
Anwar gets joining the dots
Waqas: main Batata hu kyu ki haya to chahti hi ye thi ki kisi Farah meri beti yha se nikali jaye aur usse murtasim ki shaadi ho jaye
Maabegum : chup ho jao waqas ye sab sach nhi h
Waqas: yhi sach h maa begum aur aapne meri beti pr mariyam ko bhagane ka ilzaam to lga diya pr kya mariyam se pucha usne meerub se kya kaha tha
Anwar: kya mtlb h tumhara
Waqas: mariyam ne meerub ko apni jaan lene ki dhamki di thi agr meerub uska sath na deti to fasi lga leti khudko vo
Waqas sheds a lone tear
Waqas: aaj main yha apni beti ke liye maafi maangne nhi aaya hu buss aap sabke samne sach lane aaya hu

Tears start falling Anwar's eyes

Waqas: ab rooke koi fayda nhi h anwar tumne har baar sabit kiya h ki tum uske baap bnne ke layak hi ni ho kaash mene vo wada kabhi na kiya hota kaash meeub ko humesha apne paas hi rakha hota .kher koini der aaya par durust aaya hu ab meeub yha nhi aayegi kabhi nhi aayegi vo apne baba aur mama pe paas rahegi jhase use kabhi nikala nhi jayega atleast
Anwar: ESA kuch nhi hoga meerub apne asli ghar aayegi jo ki ye h
Waqas: konsa ghr ?
Anwar:ye ghr jo ki  uske baap ka aur uske shohr ka ghr h aur bhul gye tumhara koi haq nhi h uspe vo meri beti h
Waqas starts laughing
Waqas: bhule tum ho uske birth certificate pe tk mera aur anila ka naam h puri zindagi case ladoge tb bhi ye sabit nhi kr paoge ki meeub tumhari beti h meri nhi
Anwar shouts waqasssssss
Waqas: chilao mat apni galtiya sudhar raha hu apni beti ko vo zindagi dena chahte hu jo vo deserve krti h

There was a person who was listening to all this conversation from door he enters inside 
Maabegum: murtasim beta aagye
Murtasim: hnn maa aagya aur shyd boht sahi time pe aaya hu
Waqas: ek tumpe hi bharosa krke apni beti ko yha chorke gya tha murtasim tumne mera bharosa aur meri beti ka dil dono tod diya
Murtasim joins his hands in front of waqas with teary eyes
Murtasim: maaf krdijiye mujhe mene use justification dene ka bhi moka nhi diya seedha apna faisla suna diya galti hogyi h mujhse main aapse wada krta hu aage se ESA kuch nhi hoga main uske bina nhi reh sakta
Waqas: vo bhi mar rhi h vha tumhare bina pr tum hi btao ese ghr me kese bhejdu apni beti ko wapas jha maa begum NAFRAT krti h usse  Anwar kabhi baap bn jata h kabhi ghr se nikal deta h aur especially haya jo meri beti ko neecha dikhane ke liye kisi bhi had tk gir skti h

Murtasim: haya aaj hi yha se jayegi aur mai aapse wada krta hu jaban deta hu apni  meerub se yha aajke baad koi batameezi nhi krega main humesha uske sath khada rahunga agr ESA kuvh dubara hua to main nhi rokunga aapko use leke jane se
Waqas: ek akhri baar yakeen krra hu tumpe beta
Waqas leaves
Murtasim was also going behind him
Maa begum : kaha jare ho
Murtasim: apni biwi ko wapas lene
Maa begum: koi jarurt nhi h
Murtasim: jarurat h maa uski glti na hote hue bhi use saza dena galt h
Anwar: main bhi chalunga
Murtasim: nhi chacha sahab chorke main aaya tha wapas bhi main hi Leke aaunga ❤




Hello readers the next part will be a continuation of this one only
I always wanted waqas to take stand for meerub . Anwar chachu was not at all impressive in recent episodes .

U and Me ❤Where stories live. Discover now