Bas Tera Hu Main Tera Hi Rahoon ❤️

202 17 7
                                    

After Entering The Room.. Ahaan Locked The Door And Then Pinned Ishqi To Wall..
I – ahaan what’s wrong with you ? kya kar rahe ho tum
A – ye sawaal mujhe tumse puchna chahiye.. what’s wrong with you ishqi.. na mere calls utha rahi ho na msg ka reply de rahi ho..
I – ahaan I told you na.. main busy hu abhi.. aur har wakt main bas tumse hi baat kiya karu.. mujhe aur koi kaam nahi hai kya
A – ishqi its not like that.. main bas itna keh raha hu ki atleast mere call ka jawab do msg ka reply karo.. I am not forcing you to do dinner with me or shopping with me..
I – dekho ahaan.. ab di ki shaadi ho chuki hai.. humara deal hua tha ki di ke shaadi ke baad main tumhe tumhare paise de dungi.. hum sabko bata denge ki humara breakup ho gaya hai.. aur fir tum apne raaste main apne raaste… bas thode din ruko fir main maasa ji aur massi ko keh dungi..
A – ishqi.. mujhe laga hum ek dusre ke best friend ban gaye the.. lekin tumhe toh bas deal ki padi hai..
I – ha toh vahi decide hua tha na.. ab jaisa decide hua tha vaise sab ho raha hai.. infact ho gaya.. kisiko humpe shak bhi nahi hua.. itni acchi acting ki tumne toh tumhare paise de dungi main tumhe..
A – do you really think ki maine jo bhi kiya paiso ke liye kiya ? yes I agree… pehle pehle maine ye paiso ke liye kiya but badme.. tumse.. tumhari family se attatch ho gaya main… vo sab natak nahi tha..
I – tum kya keh rahe ho mujhe kuch samajh me nahi aa raha
A – samajh nahi aa raha ya tum na samajhne ka natak kar rahi ho.. ishqi dekh raha hu.. tumhara behaviour change ho raha hai..
I – kuch bhi mat bolo..
A – main kuch bhi nahi sach keh raha hu.. just tell me what’s your problem ?
I – tumhari problem kya hai.. ab humara deal khatam ho chuka hai.. now you are free… toh tumhe kyu problem ho rahi hai mere baat na karne se..
A – janana hai na tumhe.. mujhe kyu problem ho rahi hai.. toh suno.. tumhari har wakt care karna.. tum agar ruth jao toh tumhe manana… tumhari har choti choti khwaish pura karna.. tumhare sath day out karna.. tum emotional ho jao toh tumhe sahara dena.. mayank ne tumhe haath lagaya isliye usse hospital tak pohocha dena.. tumhe accha lage isliye firse sketching start karna.. tumhare liye dog walk karna.. tum ignore bhi karo tab bhi tumhe calls aur msg karte rehna.. ye sab kyu kiya maine.. you know why.. (pulled her closer) you know why (he shouted) bcoz I love you.. you crazy girl.. (he left her) I really love you ishqi.. tumhare boyfriend hone ka natak karte wakt kab tumse pyaar kar betha ye mujhe khud pata nahi chala.. mujhe pata hai tumhare dil me kya hai but I just want to listen it.. batao ishqi do you love me ?
I – nahi.. I don’t love you.. main tumse pyaar nahi karti
A – (he was hell shocked) what are you saying ishqi ? tum jhoot kyu bol rahi ho..
I – main jhoot nahi sach keh rahi hu.. main tumse pyaar nahi karti.. maine hamesha tumhe ek accha dost mana hai.. that’s it..
A – accha.. (he held her shoulders tightly) toh uss raat.. pool side pe mujhe I love you kyu kaha
I – (she looked at him shockingly)(in mind – ho gaya kand.. mujhe laga hi tha ki maine ahaan se kuch toh kaha hoga.. shit! Ab ye banda nahi manega) mujhe kuch yaad nahi.. uss wakt main drunk thi aur drunk state me insaan kuch bhi bol deta hai..
A – drunk state me insaan kuch bhi nahi dil ki baat bolta hai..
I – lekin main ab keh rahi hu na that I don’t love you..
A – main nahi manta
I – tumhare manane ya na manane se kuch badalne wala hai nahi..
A – exactly tum chahe mana karo but ye baat tumhe bhi pata hai aur mujhe bhi that you love me.. we both love each other..
I – oh plz ahaan.. kitni baar bolu main.. main tumse pyaar nahi karti..
A – oh god ishqi.. tum kyu aisa bol rahi ho.. tumne mujhe uss raat tumhare feelings ke baare me bataya tha and now your denying it..
I – jab feelings hai hi nahi toh denial kis baat ka
A – okay.. fir yahi baat mere aakhon me dekhke bolo..
I – (in mind – kyu mujhe weak kar rahe ho ahaan.. tum hurt na ho jaao isliye hi toh ye sab kar raha hu..) main tumse pyaar nahi karti ahaan (she said while looking direct into his eyes) sunn liya..
A – (his eyes welled up with tears.. he left her shoulders.. he was angry and hurt at the same time.. he turned to other side.. took a show piece which was of glass from side table and threw it in anger) fine.. jao tum.. go.. (his back was facing her.. she got scared by his anger)(he bent down and started collecting the broken pieces… while collecting he got a cut to his hand due to the glass piece and his hand started bleeding) aahhh..
I – ahaan (she ran to him) are you okay ? kya hua ? haath dikhav apna (she was about to take his hand in her hand but he stopped her)
A - tumhe kaha na jao.. pyaar toh tum mujhse karti nahi ho toh kyu jhooti care dikha rahi ho
I – (after listening to him… tears rolled down from her eyes.. she back hugged him and started sobbing)
A – ishqi chodo..
I – I love you
A – (he smirked as his trick worked.. he turned to her)
I – I love you so much.. I really love you (she said and hugged him tightly as she couldn’t control anymore)
A – (he reciprocated the hug)(while caressing her hair) toh jhoot kyu bol rahi thi
I – (she broke the hug.. wiped her tears and then said) ahaan tum hi batao.. kaunsi ladki chahegi ki uski shaadi ek aise ladke se ho jiska koi stable job nahi hai.. jo maar peet karke paise kamata hai.. I know ye baat bolke maine tumhe hurt kardiya.. isliye ye sab bolke tumhe hurt nahi karna chahti thi.. toh jhoot kaha tumse
A – you know what.. main tumhe jitna buddhu samajhta hu na usse kahi jyada buddhu ho tum
I – matlab (she asked innocently)
A – (he opened the drawer of the side table and took out a letter) ye raha mera job application letter... saath me resume bhi hai.. job interview ke liye.. abhi tak interview diya nahi hai par saari preparations kar rakhi hai.. kal ek interview hai.. dekhte hai job milta hai ya nahi.. ek ladki ko apni wife banane ja raha hu toh mere paas job honi chahiye itni akal hai mujhme.. vasooli kabki chod di hai maine.. pehle bata deti ki ye problem hai..
I – (she held her ears) sorry
A – sirf sorry se kaam nahi chalega (he said naughtily)
I – toh ab kya uthak-bethak karu
A – nahi..
I – toh kya karu
A – ek kiss dedo
I – bade besharam ho tum
A – madam.. drunk state me aap hume kiss karne wali thi.. aur tum ho jo mujhe besharam keh rahi ho
I – ab tum jhooti moothi kahani mat banav
A – I swear.. you were going to kiss me.. vo toh accha hai ki maine tumhe rok diya.. but ab nahi rokunga
I – ahaan main ja rahi hu abhi
A – don’t even try to be mrs. Malhotra.. maafi chahiye toh kiss dedo (he pulled her by waist.. her hands were on his chest.. his hands were on her waist.. they both had an intense eyelock.. ahaan kissed her on forehead.. then her both cheeks and nose.. their was only ittu sa distance between them.. their nose touched.. ishqi started breathing heavliy.. her heartbeats increased.. and then finally their lips met.. it was a soft and passionate kiss.. both were just lost in the kiss.. after sometime they broke the kiss.. ishqi was blushing hardly so she hid her face in his chest and hugged him) are you serious ? mujhe pata nahi tha tum itna sharmati ho
I – (she broke the hug) haww.. toh tumhe kya main besharam lagti hu..
A – aisa nahi hai.. abhi abhi proposal hua hai jhagadana bhi chalu kar diya.. iss moment ko enjoy karo..
I – ahaan mujhe tumse baat karni hai (in a serious tone)
A – ha toh karo na (he said casually and tucked a loose hair strand behind her ear)
I – bethke baat kare
A – okay (he settled himself on bed and pulled ishqi so she fell on his lap) ab bolo kya baat karni hai
I – ahaan.. hume massa ji aur massi ko sab batana chahiye.. maine pehli baar unse itna bada jhoot kaha hai.. main unhe andhere me nahi rakhnna chahti
A – ha toh theek hai.. dono milke baat karenge..
I – ahaan ek baat puchu
A – ha
I – bura toh nahi manoge..
A – bolo toh
I – tum itne well educated ho toh fir bhi tumne pehle kabhi job interview dene ka kyu nahi socha
A – (he didn’t say anything)
I – sorry.. agar tumhe nahi batana hai toh its okay..
A – aisa nahi hai ishqi.. now you are going to be my life partner.. tumhe pata hona chahiye mere baare me sab kuch.. as you know I hate my father.. mere papa yani veer malhotra bahut bade businessman the.. but he was a fraud.. logo ko paiso ke liye fasata tha vo aadmi.. infact he was not even a good husband.. maa pe haath uthate wakt maine dekha hai unhe.. unke jaisa ghatiya insaan koi nahi hai.. wo bahut famous the so jab unhone kiye huye fraud samne aa gaye tab sab logo ne unse bahut nafrat ki.. jo unhe pehle bhagwan maante the unhe pata chala ki vo bhagwaan nahi haiwan hai.. fir ek car aacident me unki maut ho gayi.. mujhe isliye job nahi milti kyuki main unka beta hu.. log yahi kehte hai fraud insaan ka beta bhi fraud hi hoga.. isliye mujhe vasooli karni padi.. but now I will try ki mujhe koi acchi si job mil jaaye.. and ha jab tak mujhe job nahi milti aur jab tak tum na chaho tab tak humari shaadi nahi hogi.. pehle mujhe job milne do.. fir jab hum dono ko lagega ki it’s the right time.. tab hum shaadi karenge.. okay ?
I – (she pecked his cheek and then rested her on his chest)
A – by the way.. mujhe pata nahi tha ki koi night dress me bhi itna hot lagta hai..
I – compliment deni hai toh sidhe sidhe bolo na ki hot lag rahi ho..
A – bahut hot lag rahi ho.. I am so lucky.. mujhe itni beautiful, cute and hot biwi milne wali hai
I – abhi se shaadi ke sapne saja rahe ho..
A – I am just waiting ki kab humari shaadi ho rahi hai.. aur tum humesha ke liye meri ho jao
I – vo toh main abhi bhi hu
A – (he smiled)
After talking for some more time.. finally they realised the time so ahaan dropped ishqi to home
At The Outside Of Her House
I – bye.. good night.. (she was about to go but ahaan held her by wrist)
A – abhi na jao chod kar ye dil abhi bhara nahi
I – ab kya andar tak chodne aaoge mujhe
A – mujhe koi problem nahi hai
I – oh really.. toh mujhe uthke mere room tak chod aao.. jaise leke gaye the vaise hi..
A – I am ready (without wasting time he took her in his arms and entered the house.. they didn’t even realise that massa ji and massi were still there)
I – (they both were looking at each other so they didn’t see them..)
M – (massi cleared her throat to bring them out from their dream world)
They Both Were Shocked To See Them
M – kya hua?
I – kuch nahi.. massi ye ahaan.. bol raha tha ki dikhata hu tumhe apni power
A – accha ji
I – haan ji
Ma – suman kyu baccho ko pareshaan kar rahi ho.. ahaan tum kamre tak chod aao isse..
A – love you massa ji (he walked towards her room.. kept her on bed) so challenge completed
I – toh ab jao.. mujhe neend aa rahi hai
A – okay.. good night (he covered her with duvet.. kissed her temple) bye ishqi.. see you
I – bye.. take care
Some Days Passed.. Ahaan Had Given 2 Interviews But Still Have’nt Got Job… Ishqi Had Come To His House To Meet Him
In His Room
Ahaan was sitting on bed.. he was in a deep thought
I – ahaan
A – hmm
I – kya hua ? tumne kal interview diya tha na.. unka call aaya
A – iss baar bi nahi select hua main (he was crying) I am sorry ishqi.. itna bhi nahi kar paaya main
I – (she bend down at his level) shut up.. pehle rona band karo tum.. (he cupped his face) meri tarf dekho
A – (he looked at her)
I – ahaan its not your fault ki tumhe job nahi mil rahi.. galat vo log hai jo sirf tumhara family background dekh ke tumhe judge kar rahe hai.. but don’t worry koi aisa insaan bilkul hoga jo tumhara amily background nahi dekhega.. tumhari kabiliyat dekhega.. iss duniya me jitne bure log hote hai utne hi kuch acche log hote hai.. so tumhe kabhi na kabhi toh job bilkul milegi.. I am damn sure.. (she wiped his tears) ahaan ye baat humesha yaad rakhna that I am with you.. okay ? (she stood up and he hugged her by encircling his hands around her waist)
A – thank you ishqi.. thank you so much.. mera saath dene ke liye
I – ab ek aur baar thank you kaha na toh ek laafa bhi dungi
A – (he chuckled)
I – aise hi haste raho.. mujhe mera ye wala ahaan pasand hai.. (she pulled his cheeks)
After A Week
It Was Ishqi’s Exam Tomorrow So She was studying very hard.. no one was at home.. the door bell rung.. she was so busy in study that she opened the door without looking who is there.. fortunately it was ahaan..
A – ishuuuuu
I – (she looked at him) ahaan tum.. yaha
A – ishu.. ishu.. ishu.. (he entered and then picked her in his arms and started twirling)
I – ahaan chakkar aa rahe hai.. neeche utaro
A – oh sorry.. (he made her stand)
I – kya hua.. tum itne khush kyu ho
A – mujhe naukri mil gayi
I – what!
A – yes
I – really
A – arey ha baba
I – yayyyy.. I am sooo happy for you ahaan (she tightly hugged him and he picked her up by his one arm)
A – jaan lene ka iraada hai kya..
I – oh sorry (she broke the hug)
A – bye the way tum aisa kaunsa book padh rahi ho
I – woh actually kal se exams start ho rahe hai so I am in stress..
A – oh ha tumne mujhe kaha tha.. dinner kiya
I – nahi
A – toh dinner karlo na
I – abhi tak dinner order nahi kiya.. vo massa ji aur massi gaye hai kisi relative ke ghar so vo kal raat aane wale hai
A – matlab ghar me koi nahi hai
I – nahi
A – oh wow.. koi nahi hai (naughtily)
I – ahaan.. I know tumhare dimaag me chichore vichaar aa rahe hai
A – nice… tumhe pata hai (he locked the door and then pulled her towards him) kya tum bhi.. tumhare naam me hi ishq hai lekin romantic bilkul nahi
I – oh hello.. tumhe nahi pata ki main kitni romantic hu
A – accha toh dikhao kitni romantic ho tum..
I – shut up.. mujhe padhai karni hai uspe focus karne do (she freed herself from his grip)
A – okay tum padhai karo main dinner banata hu.. aaj tumhe mere haath ka khaana khilaunga
I – chalega.. main tab tak room me padhai karti hu
A – concentrate karo.. main aaj raat yahi rukunga
I – arey nahi aunty ko akela kyu chod rahe ho
A – kartik aur khushi hai maa ke saath.. aur main tumhe akele nahi rehne dene wala
I – fir theek hai
A – and waise bhi thoda time mil jayega hume
I – hmm
A – chalo tum jaao.. main dinner banata hu
I – ha
After Sometime
The Dinner Was Ready.. Ahaan Decorated The Dinning Table BY Rose Petals And Burned Some Candles To Make Their Dinner A Candle Night Dinner
I – woahh.. accha decoration hai
A – thank you (he pulled out a chair for her so she settled herself on it.. then he also sat and they did dinner)
I – bahut accha hai khaana
A – thank you
I – shaadi ke baad bhi aise hi khaana khilana
A – jo aagya meri jaan
The Dinner Was Done.. Both Were Sitting In Balcony On A Swing.. Ofcourse Ishqi Was Sitting On His Lap And They were looking at the sky
I – aaj mausam bada pyaara hai na
A – aur saath me hum dono hai
I – ahaan I still can’t believe.. jhoote girlfriend boyfriend se hum sacchi me girlfriend boyfriend ban gaye
A – ab jald hi husband wife bhi ban jayenge
I – mere exams hone ke baad tum mujhse kabhi bhi kaho.. main shaadi ke liye ready hu
A – okay fir hum ghar pe sabko bata denge.. maa ko maine bas itna hi bataya hai ki hum dono ek dusre se pyaar karte hai.. vo toh kabse mujhe keh rahi hai.. shaadi kab karega.. so finally vakt aa gaya hai
I – kehte hai shaadi ke baad sab badal jaata hai.. kya humara bhi vaisa hi hoga
A – see ishqi.. kuch cheeze change hoti hai but agar tum baat jhagdo ki ya misunderstandings ki kar rahi ho.. toh hume hi efforts karne padenge.. chahe kuch bhi ho hum dono kabhi humara saath nahi chodenge.. agar jhagda hua toh ek dusre ko samjhenge.. misunderstandings hui toh baat karenge ek dusre se
I – ye fayda hota hai jab aap apne se bade insaan se shaadi karte hai.. I mean mujh jaisi immature ladki ko toh tum jaisa mature insaan hi samabhal sakta hai
A – aur mujh jaise angry young man ko sirf tum sambhal sakti ho (he rested his forehead on her) sone chale.. kal subah jaldi uthna hai na
I – hmm (they both went to bed and slept by hugging each other)
Precap – Marriage Rituals

Lag Ja Gale ❤️Where stories live. Discover now