Chapter 26

619 62 25
                                    


FRIDAY MORNING

Sabhi cadets apni passing out parade keliye ready ho rahe hote hain jo kuch hi minute mein shuru hone wali thi, jabki Naina yeh sochkar pareshan thi ki pata nahi uske parents aayenge ya nahi... Aalekh usse distract karne keliye usse apne sath conversation mein engage rakhne ki koshish karta hai

Aalekh : main uniform mein kaisa lag raha hoon naina

Naina : jaisa roz lagta hai, waisa hi Aalu... ek din main sakal nhi badal jayegi teri lekin tu yeh puch kyun raha hai ?

Aalekh : arey mana meri sakal nhi badlegi ek din main lekin Naina, aaj main pehli baar Lieutenant ki uniform mein ready hua hoon... toh kuch alag hi lag raha honga na (then thoughtfully) waise Naina tujhe kya lagta hai, aaj koi ladki mujhe ghas dalegi

Naina : Rajveer Sir ke rehte toh koi ladki tujhe attention toh dene se rahi, isliye tere liye achha yahi hoga ki toh koye hope mat rakh yahi best hoga aur abhi apne career par focus kar... ek baar Rajveer Sir ki shaadi ho jane de, uske baad toh sabhi ladkiyon ki attention tujhpe hi hogi

Aalekh : phir toh yeh din bahut jaldi aane wala hai Naina, kyunki mom ne bhai ko ek saal ka time diya tha jo khatam ho gaya hai... ab bhai ki shaadi ki shehnaiyan kabhi bhi baj sakti hain aur uske baad thank God mera number aayega jab main bhi larki pata sakuga

Naina (shocked) : what, yeh tu kya keh raha hai Aalu... kya aunty ne Rajveer Sir keliye ladki dhund li ?

Aalekh : abhi toh nahi, lekin mom jaldi hi dhund lengi aur phir main bhabhi ke saath gang up karke bhai ko paresan karege..... aur bhai chah ke bhi hamhe kuch nhi kar payege ....... God ye din jaldi aaye

Naina takes a sigh of relief listening this, that Sakshi hasn't yet found a girl for Rajveer

Aalekh : waise Naina, tu bhai ki shaadi ki baat ko lekar itni shocked kyun lag rahi thi?

Naina : bas aise hi, wo mujhe laga nahi tha ki Rajveer Sir itni jaldi shaadi karenge... bas isliye shocked thi, kyuki unhe kabhi ladkiyon se baat karte nahi dekha na....... aur na hi kabhi shaadi ki baat karte kabhi suna

Aalekh : jaldi kahan hai Naina, bhai 28 years ke ho gaye... aur yeh shaadi karne ki perfect age hai..... aur agar abhi shaadi nhi karege bhai toh kya budhape main karege

Naina (started getting irritate listening aalekh's useless talks) : acha Aalekh, yeh sab chod... chal, ground mein chalte hain... Colonel Sir hamara wait kar rahe honge

Aalekh : hmm (pov) yeh jangli billi toh badi ziddi nikali... mere itna kuch bolne ke baad bhi, iske kano main ju tak nhi regi aur na hi yeh realise nahi hua ki yeh bhai ko pasand karti hai isliye unki shaadi ki baat nahi sun pa rahi thi... lekin nahi, isko apni innocence ke chalte sab gadbad karna hota hai... ab bas bhai isse propose kar dein..... kyuki is yedi se toh kuch umid karna bekar hai

Uske baad wo dono training ground mein jate hain, jahan Colonel Rai unhe parade mein apni position lene ko kehte hain kyuki passing out parade ab kisi bhi waqt shuru hone wali hoti hai

Rai : jaise hi military band bajega cadets, aap sabhi ko drill square mein enter karna hai... abhi mujhe reviewing officer ke welcome keliye jana hai, isliye main aap logon ke sath nahi reh sakta... lekin meri best wishes aapke sath hain cadets, toh apna best dijiyega

Cadets : ok sir

Phir Colonel Rai reviewing officer ka welcome karne jate hain, jo aur koi nahi balki Rajveer ke dad - Chief of Defense Staff General Arjun Singh Shekhawat hote hain... unke arrival ke baad anchor unke honor mein ek welcome speech deta hai, followed entry of cadets in drill square with the military band of OTA

Meant to be YOursWhere stories live. Discover now