chapter 5 (part 2)

Start from the beginning
                                    

ACP - koi baat nahi ks hum samjhte hai aap bula laiye abhi unhe

As - uski avashakta nahi hogi sir hum agaye (he said descending from the stairs and looked others staring at him which made him embarass ) maaf karna hamari ankh lagayi thi zara

Abhi - koi baat nahi dsp Saab ab aplog itne dur se aye hai to thakan to hogi hi

Pankaj - waise thakan to mujhe bhi bohot horahi hai aur bhook bhi lagrahi hai

Freddy - sir bhook to mujhe bhi lagrahi hai aur nind bhi arahi hai

Nikhil - sir hum soyenge kaha aur kaise

ACP - theek hai main batata hu ke tumlog kaha rahoge Daya Abhijeet honge eksath ,ks hm honge eksath pj aur ss , Sachin nikhil ,Kavin dushyant, purvi shreya ,Ishita aur kajal, Anubhav aur cc aur kyuki Freddy ki biwi akeli hai to wo aur pankaj Freddy ke ghar le rahenge ,is that clear

All - yes sir

ACP - ok good to filhal abhi samamn rakhkar yahi Milo phir khana banayenge

Freddy - per sir khana banayega kon

Shreya - main purvi aur Ishita banayenge

As - yadi acp sir ki agya ho to hum bhojan taiyar kare(all looked at him in amazement)

Dushyant - sir aap khana banayenge matlab apko ata hai nahi matlab aap to haddiya todte hai kahi bartan to nahi tod denge

As - ji nahi hum haddiya avashya todte hai parantu sirf zaroorat padne per warna

Ss - warna ye sabko apne baton ke jaal mein fasake apna kaam nikalwa lete hai bade chakri admi hai (she said innocently while As Glared her and others chuckled )

Purvi - sir aap kyu takleef lenge hum ladkiya hai na hum bana denge

As - purviji aisa to kahi likha nahi hai ke mahilaye hi rasoi ka kam kare aur purush nhi , jaise ek stree ghar aur bahar ke karyo mein nipurn hoti hai ek purush ko bhi ghar ke karyo mein nipurn hona chaiye gharke kam karne se koi purush ke samman ko Hani nahi pahuchtu unka purushattva kam nahi hota balki sahi mayne mein ek purush sahkar hota hai jab wo stree ko unka samman de jiski wo hakdar hai aur samantran mein yakeen rakhe
(All looked at him suprisingly) kya aapsab hame aise kyu ghoor rahe hai

ACP - tumhari soch sachme bohot acchi hai (he said sweetly )

Kajal - sachme sir apki soch itni acchi hai apke mata pita ko to appear garv hota hoga (his smile vanished on mentioning about his father )

As - hum nahi jante humne apne maata pita ko garvit karpaye ya nahi parantu ham wohi mante hai jo unhone hame sikhaya

Salunkhe while entering - aree bhai kya horaha hai hame bhi batao

ACP - aree salunkhe tu agaya tera hi intezar tha

Salunkhe and tarika entered the house as soon as tarika and abhijeet saw eachother a huge smile crept on there faces , Daya teased abhi and kajal to tarika they blushed , purvi looked at them and felt a pain but ignoring her pain she formed a smiling face all were talking among them but Anubhav was Sharp enough to notice the change in her expression and also the unknown invisible tear which formed in her eyes but she didn't seemed him noticing her )

Salunkhe - haa bhai abto yahi kahoge samne jo agaya hy ...

Ss - per acp apne to hame inse introduce hi nahi karwaya aur iss ma'am se bhi (she said)

Abhi - accha to ye hai asst forensic expert Dr tarika (he said dreamily Daya coughed to bring him back ,) aur ye hai forensic expert Dr salunkhe,jo hamare pyar ki patri age nhai barne dete (murmured under his breath)

Salunkhe - suna mane abhijeet (eyeing him )

Abhi - nahi nahi sir main to aise ( nervously)

Daya - Inka to chalta hai aur ye hai inspector kajal inhone abhi join Kiya hai bohot hi strict officer hai ye

Ss - sir apne kaha inhone abhi join Kiya hai per apsabko dekhke lagta nahi ki aap inse pehli baar milrahe hai

Hm - ss sabko Apni apni khasiyat hoti hai, tajurba kehta hai hamara rishtey ki pehchan isse nahi hoti ki aap unhe kabse jante hai balki isse hoti hai ki aap unhe kitna jante hai

Abhi - haa aur kajal ne new join Kiya hai matlab wo pehle yaha hi thi per badme iska transfer hogaya tha aaj wapas ayi hai ye

Ss - ooh to aap aise arahe the ( rounding her hands in a gesture )

Daya - ji

(All giggled at this ACP sir saw Anubhav and smiled )

ACP - sahi kaha hm ne (all stopped and looked at him ) ki hum insan ki pehchan kitne waqt se jante hai isper nahi balki kitna jante hai usper Hai kayi baar Puri Umar bhi kam parjati hai kisiko janne keliye

As - aur kayi baar ek kshan mein aisa lagta hai ki aap unhe janmo se jante ho 

Pankaj - sir aplogo ki batein hogayi ho to hum bohot thak gaye hai (with a puppy face )

Abhi - theek hai pankaj Freddy tumlog jasakte ho , aur sir hum bhi thak gaye hai

Freddy pankaj left and others went to the rooms alloted to them Anubhav went to make dinner .....

______________________________

Tadaaa....
Kyun chouk gate na
Hehe , sorry for very late update

,enjoy the part

Past, Present And Future 🤷Where stories live. Discover now