Part 5

375 59 2
                                    

A few minutes later.

Susheela came back to room. She heard him crying. She realized that the door was unlocked.

She entered inside the room.

He looked at her and Quickly wiped his tears.

Susheela - tumare parents chale gaye.

Pramod - Jane do mughe farak nahi padta.

Susheela - aise kyo bol rahe ho.. Parents hai tumhare.

Pramod - parents...huh..sab jhooth hai.. Agar parents hote to parents ki tarah rehte.. Na ki mughe aapas me baat dete.. You know mai bas 8 saal ka tha jab Mughe boarding school me bhej diya tha Taaki mai unke roz ke jhagde se bach saku.. Fir mughe pata chala ki unka divorce ho gaya hai mom dad ke sath nahi rehti.. Mughse ye kabhi poocha nahi gaya ki mai kya chahta hu. Bhot gussa aata tha mughe.. Bhot miss karta tha unko par vo kabhi aae hi nahi.. Kabhi mom aati the to kabhi dad.. Even bday par dono ka jhagda khatam nahi hota tha.. Mom dad ko blame karti the.. Aur dad mom ko divorce ke liye blame karte the. Tang aa gaya hu mai ye sab sunte sunte aur ab jab life me Pehli baar koi dhang ka kaam kiya to unhone tum par sawal uthaya..

Susheela - par Pramod mai do din me tumhe zara bhi nahi jaan pai aur vo parents hai tumhare..

Pramod - aur tum wife ho meri.. Aur kisi ko bhi haq nahi ki tumse aise baat kare.. Anjane me. Hi Sahi tumne apni family ko. Mere liye chhoda.. Mere liye kya kuch nahi kiya.. Aur vo kon hote Hai Tumse aise baat karne wale.. Dekho jo bhi ho.. But i promised your mom.. Ki hamesha tumhara khayal rakhunga.. Jo mughe karna bhi hai.
Please... Bhale tum is rishte ko kuch na namo par tum meri wife ho.. Aur mai tumhara husband.. Aur tumhari care karna.. Aur vo sab kuch karna jo ek husband karta hai vo mughe karna hoga.

Meet - tera ho gaya ho bahar chale.. Mughe bhookh lag rahi hai. Bhabhi aap hi bolo na ise bahar chalke dinner karte hai.

Pramod - mughe kahi nahi aana.. Tum dono jao.

Susheela - Chalo na please.

........

Meet - by the way bhabhi.. Aapki to bhot saari behne hongi na.

Pramod - ha..iske setting.. I mean rishte ki baat karo na kisi se.

Susheela - dekho meri bhot Saari cousins hai.. Tunme Shaadi me. To dekha hi hoga to batao na.. Koi pasand aai the kya?

Meet - ha bhabhi vo jisne golden Saare pehne the aur vo aapke sath me khadi the vo...

Susheela - oh you mean.. Divya.. Sorry tum usse Shaadi nahi kar sakte.

Pramod - kyo?.. Shakal se naa sahi par akal se ye sach me bhot samajh daar hai...

Susheela - dekho aap shakal aur akal dono se bhot samajhdaar ho.. Par aap usse Shaadi nahi kar sakte.

Meet - kyo?

Susheela - kyoki vo already married hai.. .. Kaise karegi vo tumse Shaadi?

Pramod - are.. Tch Bechara.. Abhi to Shaadi bhi nahi hui the aur ye rand..

Meet - chup.. Bhabhi aap ki aur bhi to behene hongi na.. Kisi se baat karke.. Meri bhi Shaadi kara do na. Ab mughse aur single nahi raha jata.

Susheela - okay main zaroor dekhungi tumhare liye koi ladki.

Pramod - vaise tumne kaha tha tum apni studies complete kar chuki ho to agar ab tum job karogi ya higher education ke liye apply karogi. Dekho mughe zara bhi problem nahi hai. Tum jo chaho vo kar sakti ho.

Susheela - mai job nahi karna chahti and higher education ke liye bhi apply nahi karna chahti.

Pramod - to kya house wife ban na chahti ho.. Dekho don't get me wrong par mughe usme bhi koi problem nahi hai.. Tum jo decision logi mughe accepted hai.

THE RANDOM SHAADI Место, где живут истории. Откройте их для себя