Chavans in hospital

Start from the beginning
                                    

Papi - Badi Mami aap shant ho jayiye (again spoke in between)

Bk - Dekh dekh iss bacchi ko jab se hamare ghar ki bahu bani thi, tabse hamare saath hai hamara saath deti hai. Bahu ka har farz nibhaya hai usne, pichle 8 saalo se Chavan Niwas ka ek majboot hissa bankar rahi hai vo.

O - Are iss devi ji ko bas jhagda karna aata tha, farz ye kya nibhati.

Sk - Agdi barobar Omkarji.

Ash - Aisa kyu kiya tune Sai, kya mila tujhe ha bol.

Bk - Ye kya bolegi Ashwini, dekha nahi kaise yaha khushi se apni beti ke saath rehti hai.

K - Waise Sai aapke pati kaha hai?

Bk - Kaha se hoga Karishma bhag gaya hoga isse chod ke, pata nahi kiska ganda khoon hoga vo.... (cut off by Virat)

Virat - Basss!!!!! (shouted with his top most voice)

Everyone were freezed at there position seeing his face turned red in anger and tightening his fist.

Virat - Aapko logo ki himmat kaise hui meri Sai ke baare mein itni ghatiya baatein karne ki. Aap jaante hi kya hai, ki Sai kitni mushkilo ke saath yaha rehti hai. Aur aap log insaan hai bhi ya nahi, Sai ke saath itna bada haadsa hua hai. Vo yaha hospital ke bed par kamzor haalat mein hai, phir bhi aapke taane khatam hi nahi ho rahe. Aur aap sabne hamari baat mein uss masoom bacchi tak ko le aaye, sharam aani chahiye aap sab ko. (To BK) Aur aap jisse ganda khoon keh rahi haina vo aapke hi khandaan ki beti hai, Savi meri beti hai (again shouted) (To Karishma) Aur ha Karishma tumhe bohot interest tha na, Sai ke pati ke baare mein janne ka. Toh bolo kya bolna chahti ho, mein hi hu Sai ka pati.

Everyone went silent at the confession.

Virat - Aur mujhe aaj ye baat yahi clear karni hai (To BK) Toh Kaku aap keh rahi thi, ki Sai ne aaj tak ghar ki bahu hone ke ek bhi farz nahi nibhaye. Toh aap mujhe ye bata dijiye ki kab aapne Sai ko dil se apni bahu mana tha, usse vo izzat di jo ek bahu ko milni chahiye. Mujhe toh aisa koi din yaad nahi, jab aapne usse ache se baat ki ho. Kyu kiya aapne aisa kyuki mein bina aapki ijazat ke Sai ko uss ghar ki bahu meri patni bana kar le aaya, ya Sai aapki ye so called Shahanukuli Maratha Khandan ki bahu jaisi nahi hai (pointing towards papi)

Papi - Virat inn sab mein, main kaha se beech mein aa gayi.

Virat - Kyu nahi Patralekha ji, mujhe toh aaj tak ye samjh nahi aaya ki Kaku aapse itna impress kyu hoti. Aapke 100 layers of makeup se ya, Sai aur mere beech mein jhagda karwaane ke style se.

Papi - Virat tum meri beizzati kar rahe ho (her famous dialogue 😑)

Virat - Lo ho gayi aapki beizzati, agar beizzati nahi karwana chahti na toh apna muh band rakhiya na. Beech mein bolna aapke liye jaruri hai kya?

Karishma - (mumbled) Agar kuch nahi bolenge tab bhi inki beizzati ho jayegi (audible enough to everyone)

Virat - Aur Kaku aapne Sai ko ehssaan faramosh kaha tha na, sabse bade ehsaan faramosh toh aap sab hai. Sai ne aap sabke liye bohot kuch kiya, par phir bhi aaj aap sab log usse blame kar rahe hai. (To Sonali Kaku) Aur aap Sonali Kaku aapne bohot miss kiya hoga na Sai ko taane maar ne ka, isliye aaj moka mil gaya toh phirse shuru ho gayi aap. Agar aapki bahu Karishma aise bed par aisi haalat mein hoti, tab bhi aap use aise taane maarti boliye 🤨 (To Omkar) Aur Omi Kaka aapke toh kya kehne, bas ha mein ha milana aapki aadat ho chuki. Sai ke khilaaf koi bhi baat ho, aap pehle insaan hote hai usse sahi proof karne mein.

Virat - Aur meri mahaan Aai baki sabse se toh maine koi ummeed nahi ki thi par mujhe laga aapne Sai ko apni beti mana hai. Par Sai ke ek faisle ki wajh se, aaj aap usse itna kuch bol rahi hai. Aapne toh ye bhi keh diya ki aapko afsos hai ki aapne Sai ko apni beti mana.
Sabse bada afsos toh mujhe hai, ki uss din maine Sai ko akele jaane hi kyu diya. Mujhe khud uske saath chale jana chahiye tha. Kamse kaam aap sabke dikhave ke pyaar, concern se toh bach jata. Mujhe aur Sai ko hamare bacho ko akele sambhalna toh nahi padta.

Virat was wenting out his frustration while Sai was continuously crying hearing all the things. She was happy because Virat did not marry anyone, he took care Vinu on his own. She was happy because now Virat again took a stand for her, but due too crying continuously. Her breath became unusual and she started breathing heavily. Virat panicked as he saw her situation and called the doctor immediately.

Virat - Sai.... Sai please shaant ho jau (trying to calm her)

Doctor came and checked her. After a while she was normal and slept because of tiredness.

Doctor - Itne sab log yaha, kisne allowed kiya aapko. Aap sab jayiye bahar patient ko rest ki zarurat hai.

They all came out still blaming Sai in their thoughts.

Will continue in the next chapter... :)

___________________________________________

Precap - Papi's new trick

Again a new chapter 😅
Feel free to critise me Or the chapter if the beizzati was not as you expected.
Do tell me i request 🙂
Because I was hell angry on Chavans
Also if you have any better idea for beizzati do tell me.
I'll try to fulfill that in next chapter which will be full of papi's beizzati.

SaiRat : The Family Reunion Where stories live. Discover now