The Truth

49 2 3
                                    

Story starts from the day when arnav tells Khushi about why he married her... In car khushi behaves like nothing happened as if he didn't told her anything which piss him off she stops the car and ask her why are you behaving like this khushi..

Arnav:- kahin aisa toh nahi ki kyunki mujhe ab sab pata h isliye tm ab sab khule aam kr sakti ho.. Isliye khush ho? Agar aisa h toh tm galat ho kyunki main aisa kuch hone ni dunga..

Khushi:- (doesn't reply to him and busy in her self looking outside)

Arnav :- (gets angry) kitni baar kaha hai ki jab main baat kar raha hoon toh meri taraf dekha karo.. Don't you know ki main kya kya kr sakta hoon?

Khushi :- no reply

Arnav :- ( gets out of car and grab khushi's hand forcefully and gets her out of the car...) speak up dammit

Khushi :- kya kahe hum.. Hum Chup hai kyunki hum kuch kehna nahi chahte hum koi safai nahi denge aur aapko toh bilkul bhi nahi denge... Yeh sawaal apko Humse aaj nahi balki us din puchna chahiye tha ab aap Humse koi bhi sawaal karne ka haq kho chuke hai Mr raizada... Suna aapne kho chuke hai aap Yeh haq..

Arnav:- I said tell meeee...

Khushi:- Humne kaha na hum kuch nahi kahenge.. Aur waise bhi aapne toh pehle hi faisla kar liya h ki hum galat hai toh yehi sahi galat hi h hum. apne bilkul sahi socha humare bare main. Aur jis Insaan ki humare baare main itni ghatiya soch hai usse hum kuch bhi kehna zaroori ni samajhte

Arnav:- galat maine khud apni aankhon se dekha hai Yeh sab khushi

Khushi:- humme ni pata aapne kya dekha par jo bhi dekha sab jhuth tha..

Arnav:- toh fir tumhi batao sach kya hai khushi...

Khushi :- Sach Yeh Hai ki shyam ji wohi Insaan hai jo hamare ghar main rehte the buaji ke pg ke taur pe.. Sach Yeh Hai ki shyam ji woh Insaan hai jinse hamari mangni hui thi.. Sach Yeh Hai ki Humne kabhi bhi unse pyaar ni kiya hum unse shaadi bhi nahi karna chahte the.. Aur jab humme pata chala ki shyam ji hi anjali ji ke pati hain toh Humne unse mangni bhi tod diya... Yehi sach hai arnav ji... humara unse koi rishta ni hai

Arnav:- ( shock and then remembers terrace scene) maine khud apni aankhon se tmhe uski baahon main dekha hai khushi.. Aur tum usse Keh rahi thi ki woh di ko chor de..

Khushi:- nahi arnav ji Yeh sach nahi hai aapne jo dekha woh sach nahi tha humara yakeen kariye arnav ji...

Arnav:- (sarcastic laugh) yakeen karun woh bhi tumpe?? Tum jaisi ladkiyon ko achhi tareh janta hoon main... jo paison ke liye kisi bhi mard ke bahon se lipat jaati hai jo kisi ke Saath bhi sone se peh... ( he stops with a slap on his face)

Khushi :- (start crying after slapping him) chale jaiye yahan se arnav ji... Chale jaiye hume ghin aa rhi aapse.. Hume ghin aa rahi hai apne aapse ki Humne aapse pyaar kiya tha... ( start crying bitterly)

Arnav:- kya?.... Kya kaha tumne khushi??

Khushi:- jaaiyeeee (angry)

Arnav:- par tum yahan akele kaise? Mere Saath chalo khushi

Khushi:- hum kuch der main khud aa jayenge

Arnav:- main ghar pe sabko kya kahunga khushi chalo mere Saath av (he forces her to go with him so she agrees to go with him)

They reaches home everyone asks why they came today as they had planned to come after 3 days

Arnav:- woh mujhe zaroori kaam tha isliye Hume aana para

Khushi:- doesn't talk to anyone and goes straight to her room

Anjali:- chote.. Khushi ji ko kya hua hai woh thk toh hain na??

Arnav :- Haan di woh theek hai bs thodi thak gayi araam karegi toh theek ho jayegi..

Anjali:- theek hai chote tum bhi jao rest karo aur tum dono ko kuch bhi chahiye ho toh humme batana hum le ayenge..

Arnav:- ( di kitna sochti hai khushi ke bare main aur usne inhi ko itna bara dhoka diya.. He goes to his room thinking this where he finds khushi crying)

Arnav:- Yeh natak yahan karne se kuch ni hoga bahar ja ke ro lo shayad koi sympathy mil jaye mujhse tumhe koi sympathy ni milne wali.. Infact main tmhari Yeh shakal bhi nahi dekhna chahta( he goes to change after saying this)

Khushi:- (looks at him heart broken) ab bus 10 din aur fir aap aur hum Iss rishte se azaad ho jayenge... Aur fir hum kabhi aapke Saamne ni ayenge. ( in her mind)

Iss Pyaar Ko Kya Naam doon? जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें